Monday, December 3, 2012

Aayet






Aayet ke asli maani " nishani ya alamat ke hain, jo kisi cheez ki taraf rahnumaii kare . Quran may ye lafz 4 mukhtalif maanon may aaya hai . kahin is say murad mahaz alamat ya nishani hai, kahin aasaar-e-kaainaat ko Allah ki aayaat kaha gaya hai. kyon ke mazaher-e-qudrat may say her cheez is haqeeqat ki taraf ishaara kar rahi hai jo is zaaheri perde ke peeche mastur hai. kahin in mojizaat ko aayaat kaha gaya hai jo Anbiya Alahi salam le kar aaye they, kyon ke ye mojize  daraasal is baat ki alamat hote they ke ye log fermanrawa-e-kaainaat ke numaaindey hain. kahin kitaab Allah  ke fiqron ko aayaat kaha gaya hai, kyon ke vo na sirf haq aur sadaqat ki taraf rehnumaii karte hain ,bulke filhaqeeqat Allah ki taraf say jo bhi kitaab bhi aati hai uske mahaz mazamin hi may nahi, uske alfaz aur andaz-e-bayaan aur tarz-e-ibarat tak may uske Jalil-ul-qadar tasneef ki shaksiyet ke aasaar numayaan taur per mehsus hote hain. her jagah ibarat ke sayaq-o-sabaq say ba asaani malum hojaata hai ke kahaan " aayaat" ka lafz kis maani may aata hai.

No comments: