Sunday, January 21, 2024

istadlal...استدلال ( poshida daleel pesh karna, sabut dena )

 


Khudavanda qudus ki taleem-o-tarbiyet ke tarjuman ki zimmedari hai ke apni faham-o-frasat ki buniyadi maang per nazar saani karen, kahein vo jo khuda ki hikmat hai..likhein vo jisme faham ki firasat hai..

Na ke un buzurgan-e-deen ki talimaat per ungli uthayein , jinka shewa ummat-e-mohamadiya ko bhatakne se bachana hai...unki zindagi ki guthiyon ko suljha kar khuda ki raahon per laana hai...

Ye bande aur khuda ka maamla hai dosto,ke khuda uski mohabbat ko kis rang may rangta hai..aur uska konsa rang khuda ko bhaata hai..aur is kashmakash ke gerdab se ubharne waale ko apna haath thama deta hai..

Quran shareef ki geheraiyon may uterne waale , khuda   ki mohabbat ko apni manzil banane waale, Nabi sallam ki raahon per khud ko chalaane waale yehi alambardar khasaan-e-khuda hain, jo rahti duniya tak amal paira rahenge...insha Allah...

lihaza tafseer k tarjuma aur us per nazar saani karne waalon ko ye baat zehen may rakhni chahiye ke khud ko haq per rakhne ki koshish may kahin haqeeqat ko nazar andaz na kardein..aur khuda ki mehbub hastiyon ke haq may ghalth bayani ka sabab na ban jaayein...


Mushkilon may ghire huye log apne dil-o-dimagh ki kofton se majbur apna sakun inhi khaak nasheenon ki sangaton may talaash karte hain..khuda ka jalwa in khankhah nasheenon ki mohabbaton se jhalka karta hai..aur derd ke maaron ko sairab kiya karta hai...

Is baat se ye hergiz na samjha jaaye ke ye buzurgaan-e-deen is baat ki taleem de gaye hain ...nawazishein rahmatein saari rab ki taraf se hi hoti hain...aur mohabbatein buzurgaan-e-deen ka khaasa hain...inhi mohabbaton ka haasil hai in zayereen-e-haq ka yaqeen..ye buzrugaan-e-deen apni tamam umar ki riyazaton aur ibadaton say mazlumon ki duaon ko maqbul karte hain..

Karodon ki dilbastagi-o-sakun ka samaan hain khuda ke bakhshe huye waseele...khuda inki mohabbaton se jub inkaari nahi hai tou kisi ko is baat ka etraaz kyon ho... 

Tafseer likhne waalon ko is baat ko zer-e-nazar rakhna chahiye ke quran ka nazul bandon ki falah ki khatir hua hai...aur barah-e-meherbani khalkh-e-khuda ki beqarariyon ko buzurgan-e-deen ki shaksiyet-kashi per sarf  na karein..

jahan derd baante jaate hon vo jaaye-manzil-e-maqsud ke siwa kya hosakti hai..khuda ki kareemi ki aala misaal hai ye ke usne apne noor ko hi bashar kar diya...apni mohabbat ko hi inke daron per jalwa gar kar diya,,,

"waqi ghaur-o-fikir karne waalon ke liye hi ye nishaniyan hain.."

Hazrath , kuch maamle khuda per bhi chod diya karein,

khuda ki sochi samjhi scheme per hi duniya chal rahi hai, bandon ki falah-o-bahbudi ki khatir usne apne mehbub bandon ko rahbari bakhshi...

Buzurgaan e deen ko jo moqam haasil hai khuda ki rahmaton aur mohabbaton ki wajah se haasil hua hai..vo apni zindagi ko huzur sallam ki mohabbat ka nishaan banaate hain aur bhule bhatkon ko thaam kar unki raahon ko asan kar dete hain..

Ye bhi khuda ki hakeemi hai ke vo apne bandon ko waseele bakhshta hai aur apni qurb ki raahein sujhata hai...Alhamdulillah..

Ungli agar uthe shadat-e-haq ke liye uthey..na k khuda ke mehbub bandon ke khilaf uthey...khuda se behter bandon ke dilon ka haal kise patta hai..ilhaam her kisi ki taqdeer may nahi...so khuda se guftagu ka haasil bas yehi rahe..ke banda jub bhi kahe haq ki kahe...haq pe rahe...