Monday, December 25, 2023

Noor-e-Khuda






adam ku khuda math kaho adam khuda nahi
laikin ,khuda ke noor se adam juda nahi 


Her sifat jo makhlukh May paai jaati hai uska masdar o menba Allah taala hi ki koi na koi sifat hai ..insan k andar jo rooh phunki gaii hai vo dar asal sifat e ilahi ka ek aks ya partau hai..
 
Hayath, ilm,qudrat,irada,ikhtiyar,aur dusri jitni siffat insan May paai jaati hain ..Jin k majmuye ka naam hi rooh hai.ye darasal allah taala hi ki siffat ka ek halka sa partau hai jo is kalbad e khaki per daala gaya hai aur isi partau ki wajah se insan zameen per khuda ka khalifa aur malayeka samet tamam maujudad e arzi ka masjud qarar paaya hai..

Allah taala ne rahmat ku sau hisson May taqsim fermaaya..phir inme se 99 hisse apne paas rakhe aur ek hissa zamin per utara…

ye usi ek hisse ki Barkat hai jis ki wajah se makhlukhat aapas May ek dusre per raham karte hain..yehan tak ke agar ek janwar apne bache per se apna khur uthata hai taki usey zarar na pahunche jaaye tou ye bhi darasal usi hissa-e -rahmat ka asar hai..  

magar jo cheez insan ko dusri makhlukhat per fazilat deti hai , vo ye hai ke jis jamiyet ke sath Allah ki siffat ka partau is per daala gaya hai , is se koi dusri makhlukh sarfaraz nahi ki gai ..  

Ye ek aisa mazmun hai jis ke samajhne May admi Zara si bhi ghalathi kar jaaye tou is ghalath fehmi May mubtila ho sakta hai ke siffat-e-ilahi May se ek hissa paana ulwahiyet ka koi juz paa lene ke mutradif hai, halaanke ulwahiyet is se wara alwara hai.ke koi makhlukh uska adna sa shayeba bhi paa sakey..

Sunday, October 22, 2023

Khudi ka raaz…



Hazrath Allama Iqbal ke kalaam ne faham o adrak ki raahon per zeefaham zehenon ko dawat di hai..Hazrath rumi se unka Ishq o aqeedat is baat ki gawah hai…ke khuda ka qurb aksar yon bhi mila karta hai..dil arzu khahishon ki rahguzar se ho kar khudi ka patta chala karta hai..


 Ghalath nigar hai teri chashm-e-neem baaz  ab tak 

Tera wajud tere waastey hai raaz ab tak

Tera niyaz nahi ashna-e-naaz ab tak 

Ke hai qayam se khali  teri namaz ab tak

Gustaar hai teri khudi ka raaz ab tak 

Ke tu hai naghma-e-rumi say be-niyaz ab tak


________________________

Na utha phir koi rumi ajam ke laala zaaron say

Wahi aab-e-gil-e-iraan, wahi tabrez hai baaqi

--------------------------------------------------------------


Insan ki zindagi, arzu per buniyad,aur asaas rakhti hai. Apne aap ko apni pakiza tamannavon aur aala arzuvon ke hawaley say pehchano.

Momin aur banda-e-haq ki ummid aur tamanna Allah ki Raza, khushnudi aur uske deen ki sar bulandi , duniya ki kamrani aur akhirat ki falah hai..iske liye Allah ka batlaya hua raasta ekhtiyar karna hi matlub-o-maqsood hai..

Insan ki ankhen,kaan,hosh-o-hawas,  arzu se hi mutahrik aur zinda rahte hain.ye musht-e-khaak,  aulad-e-adam ,arzu se hi laala kheez  ban jaati hai..aisi mitti jis may gul-laala ugtey aur nashonuma paatey hain..

Jis insan ne arzuvon aur tamannavon ke beej apne dil ki kheti may na boye, vo patharon aur eenton ki tarha dusron ki paamaali  ka shikar  aur sabab banta hai..

Neik tamannayein buland iraadey aur maqsad-e-zindagi ke hawaley say khush-aaind arzuyein , her badsha aur sardar ka sarmaya-e-hayaath hain..

Arzu her faqeer ke liye  jaam-e-jahaan been ki haisiyet rakhti hai..

Insan jo aab-o-Gul ka mujasima hai , usko arzu hi insan banati hai..arzu hum ko apni pehchan aur shanakht bata deti hai..

Arzu aag ki chingari ki tarha hamare jism say buland hoti hai aur ek khaak k zarrey ku asmaani wussat aur pinhaii se humkinaar kar deti hai...

Aazar ki aulad ne ek kaaba tameer kiya..ek nigah-e-khuda shanas-o-khudabeen nay khaak ko akseer bana diya..aye bani nu ,tum bhi apne badan may khudi paida karo aur apni musht-e-khaak ko akseer banao.

Thursday, June 8, 2023

Allah ka zikir





Allah ka Zikir dilon ki shafa hai.. yaane dil May jis qisam ke amraaz paida hote hain ,takabur,hasad,keena waghaira , sab hi amraz ka ilaj Allah taala ka zikir hai.


Allah taala ka zikir iman ki alamat hai, nifaq se bara-at hai..aur shaitan se hifazat hai aur jahnnum ki aag se bachao hai.


Ek hadees May aaya hai tum May behtreen log vo hain jinko dekh kar Allah taala ki yaad taaza ho.


Allah taala ka zikir bande ke liye aisa hai jaise machli ke liye paani..


Tasawuf ka asal-ul-usul zikir hai..zikir Allah taala ki dosti ki jad hai..


Mera zikir karne waale mere hain,agar vo gunahon se toba karein tou Mai unka habeeb hota hun..aur "agar vo toba na karen tou Mai unka tabeeb hota hun "ke mai unku pareshaniyon May mubtila karta hun taake unhein gunahon se paak karun.

Zikir rooh ki ghiza hai..zikir-e-haq marham hai un dilon ka jinke dil Allah ki mohabbat se zakhmi hain…


Her mushkil se nikalne ke liye "chund baar darud shareef,istaghfar padh kar subhana rabil azeem,subhana rabil aala chund baar padh lena,her mushkil se nijat aur bulandi-e-darjaat ka zariya hai.."


Zikir-e-Allah rooh-e-kainaat hai…lafz Allah tamam sifat-o-Klamath ka jaama hai.jub tak Allah Allah hota rahega kainaat qayem rahegi..


Mehbub-e-haqeeqi se tanhaiyon May ba-wazu qibla-ru ho kar zikir karna sharah sadar ka yaqeeni tareeqa hai.qismat khul jaati hai..dil Roshan-o-shaad aur chashm-o-jabeen zikir-e-ilahi ki roshni se chamak uthte hain…zaat-e-baari-e-taala ki sohabat nasib hojaati hai…


Jis se Ishq-o-mohabbat hoti hai uske naam se dil May ek luzzat-o-maza mehsus hota hai…is luzzat se Allah jalla jalalahu ka paak naam liya jaaye ke surur aajaaye…yehan tak ke paas baithne waala bhi us surur-o-kaif ko mehsus kare…


Ek hadees May aaya hai ke allah se mohabbat ki alamat uske zikir se mohabbat hai..


ek hadees may aaya hai tum may behtreen log vo hain jinhein dekh kar Allah ki yaad taaza ho..

Khazana-e-khuld





Sulaiman Alahisalam ne irshad fermaaya,ke momin ke naama-e-amaal May ye tasbeeh sulaiman bin Davud Alaihisalam ki saari badshahi se achi hai , kyon ki badshahi fana hojayegi, aur tasbihaath baqiyaath-e-salihaath hain, yaani hamesha baaqi rahne waali cheez hai..


“ laahaul wala quwatta illa billahi”


Ye kalma junnat ke khazanon May se ek khazana hai..ye kalma arsh ke néeche se utra hai..


Allah taala fermaate hain jub Banda dil se ye kalma padhta hai vo apni ananiyet,fakhar se dastbardar hokar mera taabedar aur bilkul fermabardar hogaya..


Aap sallalahu alaihi wasalam ne fermaaya ke ye kalma 99 nananvey beemaariyon ki dawa hai..Jin May kum darje ki beemaari Fikr-o-ghum hai..

Ar-Razaq




Allah taala razaq hain..


Allama Alusi rahma tullahi alaihi  ne ye waqiya bayan kiya hai..” Hazrath Moosa Alaihisalam ke dil May ye khayal aaya tha ke Allah taala saari duniya ki makhlukh ko rizaq kis tarha deta hai…ye shak-o-shubah nahi tha,kyon ke Anbia ko shak-o-shubah nahi aata..unka emaan kaamil hota hai..bas tafseel jaanne ke liye ek khayal tha ke Allah taala kaise rizaq dete hain..


Allah taala ne Hazrath moosa ko us waqt hukum diya ke is chattan per laathi maaro …jub teen chataanein ud gayeen tou dekha ke uske andar ek Keeda hara ( green) patta kha raha hai..aur vo Keeda ek wazeefa  bhi padh raha hai..zara uska wazeefa bhi sun lijiye..vo Allah ku yaad kar raha tha, teesre pathar ki chattan ke neeche chupa hua kya keh raha tha,…


Paak hai vo Allah jo mujhe dekh raha hai,

Aur jo meri baat ko sunta hai,

Aur jo meri rehne ki jagah ku jaanta hai,

Jo hamesha mujh ko yaad rakhta hai,


Aur kabhi mujh ko nahi bhulta ( ke kisi waqt mujh ko rozi na miley ).

Tuesday, May 23, 2023

Yaad dilon ki roshni hai...

 




Adab Qadambose mere Meherbaan....

Yaad dilon ki roshni hai...karam hasti per meherbaani hai...dua rahmaton ki zindagani hai...kabhi koi pal khaali nahi in inayeton se...jahan bande aur khuda ke vasl ka samaan mere murshad ki zufishani hai...

Aap ka martaba her vo dil jaanta hai jo is tajrube se guzra hai..

Ab khamoshi bhi musalsal ek daras hai aur yaadon ki mehefil darasgaah hai...

khuda ke karam hai ye ke deewanon ko hosh ki raahon per bulaya gaya hai...

Duniya-saraaye-faani ki aarzi mushkilon ki haqeeqat se rushanaas karaya gaya hai...tadapte dilon per apni shafaqat ka marham lagaya hai...unhi ki khahishon may pesh hokar, khahishon ki haqeeqat samjhaii hai....

Samajhne waalon ke liye ishara kaafi hai...dubte dilon ke liye ek nazar ka sahara kaafi hai...

Sarkaar ki inayeton se sharaboor hai her dil ...jo raah na paaye vo gali may aapki aaye...phir do alam may jiska charcha hai usko paa jaaye...

Khuda mehbub bandon ki mohabbat may mil jaaye...jinse mil kar dil aaina hojaaye...

Thursday, March 16, 2023

Khuda bande se khud pooche..........

 


Bismillahirahamanirahim

—------------------------------

Assalam walalaikum haazireen,


Ye ahal-e-dil ki hai majlis yehan pe dil waale

Aseer-e-derd-e-mohabbat banaaye jaate hain


Allah taala ka talluq agar asani se mil jaata tou log duniya ke iwaz bik jaate..isi liye Allah taala fermaate hain jo log hamari raah may mushaqat uthaate hain hum unko apni bargah tak rasaii ke liye beshumaar drewaze khol dete hain..jo niyamat mushaqat se milti hai uski qadar hoti hai,,laikin mushaqat ka inaam bhi milta hai..


Allah apne chahne waalon ko apna raabita atta kar deta hai..jub hidayet may taraqi hoti hai phir “va rabatna ala khulu bihim “ ka moqam atta hota hai..yaane raabita-e-khaas atta hota hai..


Hum tum bas agah hain is rabt-e-khafi se

Malum kisi aur ko ye raaz nahi hai

Hum sa koi humdum koi dumsaz nahi hai

Baatein tou hain her dum magar awaz nahi hai


Qalb may ye awaz aati rahti hai ke ye karo ye na karo..ke khuda ka karam-e-khaas hota hai ke tasawur-e-zaat-e-haq may doob jaane ki salahiyet haasil hojaati hai..aur dil ki zulmat zaayel hojaati hai..zikir-e-ilahi ka noor zaakir ko gher leta hai..


Allah gawah hai ke na-ashna-e-derd yehaan

nigah-e-ishq se bismil banaye jaate hain..

Ye vo chaman hai jahan taayeraan-be-parr-o-baal

Suu-e-arsh beik dum udaaye jaate hain

Ye ahal-e-dil ki hai majlis yehan pe dil waale

Aseer-e-derd-e-mohabbat banaaye jaate hain


Ye daulat yon hi muft nahi milti…pehle nafs ko mitana padhta hai phir dil, dil banta hai..


Aaina banta hai ragde jub laakh “khaata” hai dil

Kuch na poocho dil bahut mushkil se ban paata hai dil


Banda hergiz mayus na ho, khata hojaaye rona aur gidgidana chahiye….Allah taala ke siwa kon muaf karega..lihaza umarbhar ye koshish jaari rahe..


Jo Allah ki baargah hai wahan ansu nahi hain isliye wahaan hamaare ansuon ki qadar hai..kyon ke ansu tou gunahgaar bandon ke nikalte hain..


Farishte tou rona nahi jaante kyon ke unke paas nadamat tou hai nahi..unko qurb-o-ibadat haasil hai.qurb-e-nadamat tou hum gunahgaron ko haasil hai..


Insan se jo gunah hote hain ue per chaar gawah hain..

1..ek gawah zameen hai jis per gunah hote hain.

2..dusra gawah aaza hain jin se gunah serzad hote hain.

3..teessra gawah sahifa-e-aamal hai.

4..chahuta gawa farishte hain.


Yaqeenan hum per nigehban izzat waale farishte moqarar hain jo kuch hum karte ho vo jaante hain..


Jub banda tauba kar leta hai tou Allah taala uske gunah malayeka { kiraman katibain} ko bhi bhula deta hai..uske aaza se bhi bhula deta hai us zameen se bhi mita deta hai jahan gunah serzad huye they..


Yehan tak ke vo shaks qayamat ke din Allah taala se is haal may milega ke us ke gunah per koi gawahi dene waala na hoga…


Basharte ke bande ko ehsaas hojaaye..tauba ka lamha mil jaaye…ye bhi karam-e-khaas hai..


Tauba ka kamaal ye hai ke agar saari zameen gunahon se bhar jaaye tou tauba sab ko mita deti hai..


Farishton se bhi bhula dene may ye hikmat thi ke zamin ki niyabat-o-khilafat paane waali makhulkh  farishton ke aage sherminda na ho…


Khuda ki azmat-o-rahmat ki is se aala misaal kya hogi…raah bhi wahi sujha raha hai manzil se bhi wahi mila raha hai..khuda hum sab ko amal ki taufiq atta fermaaye Amin…


Jo tu mera tou sab mera falak mera zameen meri

Agar ek tu nahi mera tou koi shaye nahi meri

Monday, March 13, 2023

Talluq

 


Un se milne ki hai yehi ek raah

Milne waalon se raah paida kar


Haq-e-mohabbat yehi hai ke dilon dilon may muntaqal hoti rahe…hatta ke zikr-e-haq ka zauq taalib ki tadap ban jaaye…ke huma waqt yehi khayal ho ke dil ka duniya se na koi sawal ho…khilwat-kada jalwa gah-e-taajdaar ho…her taraf wahi ho jalwa numa jiski raza ka dil ummidwar ho..


"Sirat-ul-azeena anamta alihim" may tadbeer-o-tareeq islah hai..Mohabat ki aag dilon se dilon ko lagti hai..shert ye hai ke apne dil ko un se paiwand kar liya jaaye jinka dil mohabbat-e-ilahi se zinda ho..


Aye dil ye cheeni zyada meethi hai ya cheeni ka banane waala meetha hai..jis dil ko Allah taala apna talluq khaas atta ferma dete hain..vo her waqt mast aur khush rahta hai..agar kabhi ghum bhi aata hi tou,ghum aur musibat may bhi qalb may ek kaif aur sukun ka alam hota hai..


Duniya ki zindagi bhi lazeez hojaati hai aur duniya ke ghum lazeez-ter hojaate hain..


hayaat-e-tayeba yaane balutf zindagi usko haasil hojaati hai..