Thursday, October 16, 2014

Karam ke Faisle




Badey ajib-o-ghareb they dilwalon ke faisle....bade habeeb they ghareeb ko ghareeb nawaz ke faisle...duaon may bhi dulaar tha, sohbaton may bhi dulaar tha, khamoshiyon may bhi dulaar tha.. unki dar pe baitha hua dil unki ulfat may rota zaar-o-qatar tha...Aah unhon ne apne panahgazeenon ko badi shafaqat se apna asra diya. apni sohbat se unko sairaab kiya..najaane kitne zakhmi dilon ko unke nazar-e-karam ki khairath mili...Najaane kitne anjaan unke dar se pehchaan ki raah ko paa gaye..kitne bhatke huye unki paanah may aagaye....jo dil bemaqsad zindagi ganwate rahe unke dar se apna maqsad paagaye...kitne bekaar unke kaar-e-karam per maamoor hogaye...unka carvan-e-ulfat khuda ki raza paata raha, phalta raha, badhta raha...

ek dil mera bhi hai jisey ab dil kaha jasakta hai ke unki sohbat is benaam ko bhi mili...unke dar se unka saaya us per bhi fagan hogaya...ek shikayet bhara dil apni shikayeton se azad hokar unki ulfat may magan hogaya....aise hain karname mere nawaz ke....hairan hain dil unke anokhe andaaz ke...sar jhuka ke jo baithe unhen apne dil ka nazara mila...aankh jisne uthaii unhen nawaz ka sitaara mila...bas to phir dil ko apni duniya abad karne ka sahara mila....

Zindagi musalsal ek jahad hai Dosto....Khuda bande ka ahad hai Dosto...jisne jaana vo ghumon se azad hogaya...jo ghaltaan raha vo zaaya hogaya...waqt halaath pesh karta hai, khuda bande ka imtihan leta hai..banda derd ki shiddaton se ghabra kar apni raah bisra deta hai...apni vo raah jo khuda apne waseelon ko ishaara bana kar pesh karta hai...gar us qeemati pal ko bhi zaaya kardega phir kaise khuda ki qurbat paayega...jub mehboob ki qurbat may mohabbat ka matlab na samajh paayega phir wafa ki qasmen kaise nibhaayega...ek chingari hai ye gar ye bujh jaayegi kaise shola ban paayegi...laakh zakhm ansu bahayenge per is shole ko na bujha paayenge...ye tohfa hai un zakhmon ka , yehi zakhm in sholon ko hawa de jaayenge...

Ghareeb nawaz aapki her atta ko humne apni rooh ka tamgha bana liya...jism waqt ki chaki may chahe pis gaya humne dil ko aapka nishaan bana liya...

Sunday, September 28, 2014

Salaam qubul ho.....




 vo  ek  shab  tamaam  umr per  bhaari hai
   vo ek shab jo humne teri yaad may guzari hai


Vo bayaan nahi hua hai jo un say suna gaya hai..Vo zubaan nahi hua hai jo nazaron may reh gaya hai..Vo paighaam nashar ho raha hai jo kaha nahi gaya hai...Baat bahut badi hai per asaan kardi gaii hai..Ek ilm ek laa-ilm sarphire bande ke suprud kar diya gaya hai..Ab uske baatin may wahi azaan hai wahi hai ibadat..wahi hai ab uske dhadkanon ki saadath...ke her ehsaas-e-faham ke saath uski rooh chaunkti hai. vo lamha jo sair baatini kara de milne ko hai...

Vo dil kya bujhey jisey aap ke dar se roshni mili ho...vo ankh kaise num ho jo aapke daman per tar huii ho...Mere Rahbar meri khabar shaayed mujh ko nahi per aapko rahi hai..Ye sauda mohabbat ka benaqd beshak hua hai per bewafa nahi hai...Ehsaas jub talak gawah hain hum aapko hi kahenge...Waqt aur halaath chahe haafiza chura lein, per jo mohabbat hifz hogaii ho vird hogaii hai...


Her lafz jinka dua ban gaya ho, her dua jinki haqeeqat may dhal gaii ho, jinke karam se zindagi may manzil mil gaii ho...vo mere maula ka ehsaan nahi to kya hai...vo zaat jinki zaat se judi hai wahi zaat mere aur taqdeer ke beech may khadi hai...Sau kaante jahaan kisi ne boye wahin ek aisa gul khilade jiska ek tabassum kaanton ki jasarath khaak may mila de...Phir daur jaisa bhi ho aapka saath hausla de...Zindagi ko bandagi ka matlab samjha de...

Mere Aqa, aapki shafaqat se na koi mehroom hosaka hai...vo bhi jo aapki panaah may ab tak na aa saka hai...aapki rehmath rahegi taqayamat, aapke ashiqain per aapke karam ka saaya rahega taqayamat..Bas itni iltija hai Namuradon ko bamuraad karna , jinhen hosh-e-dushmanan nahi hai unhen dost nigehbaan karna...zulm ka haath aap thaam lena. khushk dilon ki abiyaari karna...Amin..

Friday, July 25, 2014

Huzur Pur-noor










HAZRAT SYEDINA MUHAMMAD SALLALLAHU ALEHI WASALLAM : quraan me aapke bakasrat naam liye gaye hain az jumla do naam MUHAMMAD aur AHMAD hain, quraan me 4 jagah isme MUHAMMAD aya hai aur 1 jagah isme AHMAD aya hai, wese taaha, yaseen aur haameem ye sab huzoor hi ke alqabi naam hain jinke maana allah hi ko maloom hai.



Peer hazrat ghousi shah farmate hain


kis tarah pukaare tumhe kya kaha kare?


dekha ho jis ne aap ko maula wo kya kare


naamo se hai huzoor ke quraan bhara hua


kis naam se huzoor ye ghulam ilteja kare


sab naam hai huzoor ke “HUQ” ke kahe hue


kaise khitab e huq ko ye banda adaa kare


azmat e risalat ma’ab sallallahu alehi wasallam quraan ke aaene me.


وَتُعَزِّرُوهُ وَتُوَقِّرُوهُ huzoor ki izzat karo aur tauqeer karo


وَلِلَّهِ الْعِزَّةُ وَلِرَسُولِهِ وَلِلْمُؤْمِنِينَ وَلَكِنَّ الْمُنَافِقِينَ لَا يَعْلَمُونَ

beshak izzat allah ki hai aur uske rasool ki izzat hai aur momino ki bhi izzat hai lekin munafiq nahi jante.


مَّنْ يُطِعِ الرَّسُولَ فَقَدْ أَطَاعَ اللّهَ isne rasool ki itaa’at ki usne allah ki itaa’at ki


قُلْ إِن كُنتُمْ تُحِبُّونَ اللّهَ فَاتَّبِعُونِي aap keh dijiye ke agar tum allah se mohabbat rakhte ho to meri itteba karo


قُلْ إِن كُنتُمْ تُحِبُّونَ اللّهَ فَاتَّبِعُونِي jo kuch tumhe rasool de wo lelo aur jis se mana kare ruk jao.


kar nazar idhar bhi o madeene wale

teri rahmat ke siwa hum nahi jeene wale


1. rasoolallah ki besaat se qable yahood o nasaara bhi aap sallallahu alehi wasallam ke waseele se dua mangte the.


2. allah subhanahu wa ta’ala ne aap ko RAOOF o RAHEEM bhi kaha hai.


3. huzoor sallalahu alehi wasallam ki wajah se ye dunya bade azaabo se bachi hui hai.


4. sura e ahzaab ki 56wi ayat me hai ke إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا beshak allah aur uske farishte nabi sallallahu alehi wasallam par durood bhejte chale jarahe hain, ae imaan walo tum bhi in (hazrat muhammad sallallahu alehi wasallam) par durood o salam bheja karo.


allahumma salli alaa syyedina muhammad wa alaa alihi wa ashabihi wa barik wasallim.


5. huzoor sallallahu alehi wasallam ko jismani meraaj hui hai aur aap sallalahu alehi wasallam ne allah ko arsh e aala se bhi agey jakar apni ankho se dekha hai. aur allah ne aap ke dekhne par sure najm ki 17wi ayat me apki ankho ki tareef bhi ki hai


مَا زَاغَ الْبَصَرُ وَمَا طَغَى

aapki ankhe na chundhyai aur na jhapki


huzoor sallallahu alehi wasallam allah ke aakhri nabi aur rasool hain, aapke baad koi nabi qayamat tak nahi aayega.. hazar esa alehissalam bhi muhammad sallallahu alehi wasallam ke ummati bankar hi ayenge.


wasallallah alaa noorin kazu shud noor haa paeda

zamee az hub oo sakin falak dar ishq oshedaa.


jo nabi se muhabbat rakhe wo musalman hai aur jo nabi se bughz rakhe wo munafiq hai.


aap sallallahu alehi wasallam ki shaan me jitna bhi likho kam hi hai..


allahumma salli alaa syedina muhammad wa alaa alihi wa ashaabihi wabarik wasallim

Sunday, May 11, 2014

Mere Meherbaan





Mere Meherbaan sada rahna  tum Meherbaan
Tumhi say hai ashiqon ka dil ashiqon ki  jaan
Hai ye ghilaf apka phaile in damanon ka aasra
Tumhi ho khwaja in jhuke huye saron ki shaan


Muafi mere muhasin...waqi log waseele bhul jaate hain...unhen ye duniya jitna uljhaati hai vo us se bhi zyada khud ko uljhaate hain...ke unke aage do raaste jo hote hain...ek farar ka dusra qaraar ka....farar tou asaan hai qarar tou iqrar may hai..ke sahi aur ghalath ki guthi ab kon suljhaaye...ek ore nazar daalen tou dusri ore nazar jaaye....ek raah tou apni taskin ki hai aur dusri raah nibah ki hai....ye nibah un rishton se hai jo mukhlis they..jinke dil sona they jinki ulfat heera thi...jinki chah apni zindgi ka sawera thi...ab aise dilon ko tod kar koi sukun paaye bhi tou kaise...Aap behter jaante hain mere Muhasin....ye dil jo gosht post ka bana hai isey kuredne waale nakhun bhi apne hi tou hain...inse rista hua lahu unka hi tou hai...

Bas itni iltija hai ke ab ke vo sabar haath aaye jo shikayet ka mohtaj ho...karam muskurahat hojaaye aur waqt humdam....jub insaan ki samajh andheron may khud ko khojti phire tab ujalon ki ummid bhi tareeikyon may doobne lagti hai...Nahi aisa ho na paaye....aapki ulfat ke sadqe vo hausla mil jaaye jo in andheron se nikalne ki quwat atta karde...vo jo daana-e-waqt hain vo bas nafs-e-ammaara ke ghulaam hain aur apna chod dusron ke nafs ke saath khilwad ki tafreeh karte hain...Kaash waqt rahte unke dil herkat may aayen aur apna ujaala paayen...Aur is kasmakash may dube huye dilon ko najaath mil jaaye...ek tashanj taari hai, aakhir ab kis sitam ki tayaari hai...ke zindgi akhiri dum tak azmaish hamaari hai...

Nahi mere Maula, hum bhi insaan hain, hum wahi insaan hain jiski qismat may ghaflath bhi tu ne hi likhi, aur hidaayet bhi....ye tera hi chalan hai de kar azmaane ka....ye teri hi hikmat hai chaabi haath may thama kar khazanchi ku daryaburd karne ki....ab aise may mere maula phir ek baar aur tera karam chahiye....vo nazar vo sanam chahiye jo butkadon ko laang kar haram may daakhil karde...aur is deewane dil ka bharam rakh le....vo saraapa dastbasta rahmathon ka talabgaar hai....usey aaj bhi usi shafeeq muskurahat ka intizar hai....jo her derd ki dawa karde....is beqarar ki ye iltija maqbul karde....Amin.

Monday, January 20, 2014

Israar-e-Baatin






Ek din Anhazrath Sallallahu Alihi Wa Alihi Wasalim maghmum baithey they ke her shaks mujh say ahkam-e-shariyet ke mutaliq daryaft karta hai aur israar-e-baatin ke mutaliq koi nahi poochta. Shayed ye raaz hamare saath chala jaayega. yaani is say koi mustafeez na hoga . Laikin bamasdaq jub Allah Taala kisi cheez ka irada karta hai, is ke liye asbaab paida kar deta hai. usi waqt Hazrath Ali ibn-e-Abi taalib Razi Allahu Anhu ke dil may khayal paida hua ke Anhazrath Sallalahu Alahi Wasalam ki zaahiri mutabayat tou karli hai laikin unhon ne apne ahawaal-e-Baatin ke baare may koi taalim nahi di.. taa kay mutabayat-e-baatini say bahrawar hota. Pas kamaal sadaq-o-akhlas ke saath Anhazrath Sallam ki khidmat may jaa kar sawal kiya. Anhazrath Salla Allahu Alahi Wassalam bahut khush huye ke mujhe isi tarah ka hukum tha ke baghair talab-e-saadiq ye raaz kisi ko taalim na kiya jaaye. Alhamdulillah ke Allah Taala ne tujko ye raaz haasil karne ki hidaayet fermaii hai. Rasul-e-Khuda ne Hazrath Ali Razi Allahu Anha say fermaya ke " Aye Ali tu meri maanind hai meri wilayet may ke ye wilayet muaaina-e-haq hai. Pas vo raaz Hazrath Ali Karam Allah Wajaha say firqa-e-Sufiya tak pahuncha. Alali Amarurasatul Anbiya-o-Alam waris Anbiya hain.isi sabab say kaha gaya hai . Chnunanche Hazrath Khwaja Nasiruddin Mehmood Charagh dehli ne apni kitab ' khairul majalis" may is ajmaal ki tafseel bayaan fermaii hai.

Hazrath Ali ka ye martaba ke tamaam Awliya Akram unhi ke silsila-e-karam say aa mile hain unhi ki talab-e-haq aur Anhazhrath sallam ki ramooz-e-baatini ki taalim ka faiz hai.ke haq ko gar samajhna ho to jo ilm rakhta ho uske amal say ilm haasil kare..ke wahi izhaar-e-haq hai..ke wahi israar-e-haq hai..Anhazrath zaahir aur baatin say haq taala ki jalwa numaii aur sifaat ka muraqa rahe..unki her ada khuda ka paighaam thi..unhen peer-e-kaamil bana kar is jahaan may bheja gaya aur jahaan waalon ke liye  haq ki darasgaah banaya gaya...Aur khuda ne Hazrath Ali ki beloos mohabbat ka ajar unhen Huzur Sallam say bakhsha...Jo rehti duniya tak taalibon ko inaayet kiya jaata rahega...Sirf jaan lena kaafi nahi hai...jaanne waale ka ain ferz hota hai khud may is israr ko jalwagar karde..taaki qareeb aane waalon ke dil roshan hosaken..Aur ye taalim seena ba seena muntaqal hoti rahe...

ke mumkin nahi hai raah-e-shauq ka charagh na bujhey
asaan nahi hai tu mukhalif hawaon ko chalne say rok le
laikin koshish rahe teri nigah unke qadmon say na hatey
phir kya majaal kisi tufaan ki ke tujhe is safar say rok le

Saalek ko sadq-e-dil say jaanna chahiye ke Sufiya Akraam ki mutabayet suratan aur maanan Ain mutabayet Risaalat panah alaihi salat wassalam hai.Pas taalib-e-raah-e-haq ko laazim hai ke sufiya karaam ke ahwal-o-aqwal-o-aqaayed ko kama haqa samjhe aur un ke qadam ba qadam siraat-e-mustaqeem per suluk tamaam kare. Siraat-e-mustaqeem ko Hazrath Sheikh Muhiyudin Ibn-e-Arabi ne apni tasneef "fatuhaat-e-maki " may muffasil bayan kiya hai .

Maulana jaami ne kaha hai" Haq Aftab hai aur saara jahaan uska saaya hai". 

Thursday, January 2, 2014

Azmat-e-Ishq



                                                             




Taalibaan-e-Haq ki her justaju ka jawab unhen diya jaata hai..kyon ki ye talab bhi usi ki dain hai jisne haq ke liye unhen betaab kiya...aur unki qadam dar qadam rahbari bhi ki gaii taake unhen sahi raah mile...Baaqi tou taalib ki sachi talab aur uski nek niyyati kaam aajati hai...Taalib ki lagan yehi hoti hai ke Allah tak rasaii kis tarha ho .

Ishq ki aag hi noor ka moqam hai..ke wahi ishq-e-Mustafa hai wahi Noor-e-khuda hai..ishq ka pehla jalwa rabbani....Dusra Hazrath Abdullah ki peeshaani..phir saara jahaan is ishq ki zad may aagaya aur jisne us per nazar daali vo ishq paa gaya..Ishq waalon ki zaat hi kuch aur hoti hai..wahan na hosh may din hota hai na madhosh raat hoti hai...Dhadkan jub takrar ho, saansen ishq ki raftar hon, aur nabz alamat-e-yaar ho...phir tou safar aur safeer dono ki baagdore manzil ke haath hoti hai...ab aage aane waala baab-e-kaleed isi ki nishandahi karta hua milega...

Log aksar pasheman rahte hain ke hum is qaabil kahan ke hamari pahunch uske khayal tak bhi ho...kyon ke hum tou ishq-o-mohabbat ke daam may phanse aam say bande hain..tou lijiye un logon ke liye ye khususi khushkhabri hai ke yehi vo log hain jinki Awliya Allah husul-e-qurb-o-visal-e-haq ke liye sab say zyada mauzun aur is line ka behtreen khaam maal ( raw meterial) tassavur karte hain. uski wajah ye hai ke yehi vo jins hai jis ki is koochey may badi qadar-o-manzilath hai aur yehi vo esteem hai jo unko nihayet tezi say manzil-e-maqsood tak pahuncha deti hai, zarurat sirf kaanta badalne ki hoti hai. kuch arse majaz per le ja kar Sheikh kaamil inka kaanta haqeeqat ki line ki taraf badal dete hain aur ashiq sadiq is tezi say manaazil taye karta hai ke ibaadaath-o-mujaahidaath waale hazraath munh dekhte reh jaate hain. kyon ke ghair Allah ka jungle jo insaan ke qalb per hawi hota hai usko saaf karne ke do tariqey hain, ek tariqa ye hai ke kulhada lekar her darakht ko jud say nikaala jaaye. Dusra tariqa ye hai ke jungle ko aag laga kar aan ki aan may saaf kar diya jaaye. tariq-e-mujahida aur tariq-e-ishq may yehi farq hai, isliye jin logon ko aam mazhabi peshwa isliye hiqarath ki nazar say dekh kar kharij-az-bahas qaraar detey hain ke unki tabiyet may ishq-o-mushq bhara hai , Hazraath Ahal-e-Allah unko sab say zyada pasand fermaate hain.kyon ke "Derd badi daulat hai."

derd say ishq alag hai derd-e-ishq alag
ek derd ayan hai duja israr-e-ilaahi

Kitna khubsurat maamla kiya hai khuda ne apne bande ke saath..ghaflaten madhoshi hain...aur yehan nashe ki kaat nashe say hi ki gaii hai...yehan is baat ka ehsaas dilaya gaya hai ke khuda ke qurb ki luzzat ka, duniya ki koi luzzat moqabla nahi kars akti...