Monday, August 13, 2018

Mirat-ul-Arifayein





Mere  Shah-e-chisht ke ashiqan ke naam phir se ek paigham,,,,

Haal hi may mujhe Hazrath Imam Hussain Alahi salaam ki likhi hui kitab Mirat-ul-Arifayein ka mutalya Nasib hua ....kya bataun mai ke kya mila...jaise muflis ko haft-e- aqleem...ek aisa aaina jisme khalikh aur makhlukh dono ka deedaar hojaaye.....


Deen-e- Islam haqeeqat-e-ilaahiya ka izhar hai.ilm marifat-e-Allah is haqeeqat ki zaaheri surat hai.Aqa Alahi Salam is Surat ki ibtida se intiha tak takmil karne waale aur Hazrath Imam Hussain Alahi salam is surat ko husan bakhashne waale hain..


ilm Allah ke Noor ka awaleen izhar hai.jaisa ke hazrath Ghaus-ul-Azam ne fermaya “ Allah tala ne sab se pehle ilm ko paida fermaya kyon ki qalam ilm ko muntaqal karne ka pehle zariya hai.aur qalam se murad Huzur Alahi salat-us-Salam hain...Ke Aap ke zariye ilm Allah deen May muntaqal hua... 


Jis tarha tamam ilm qalam May pinhan hai usi tarha tamam ilm Allah Seena-e-Rasulallah May pinhan hai..


Kisi khalifa ke qalb-o-baatin may Zaat-e-ilahi kis hadh tak zaaher hai iska andaza uske ilm-e-marifat-e-ilahi se hi zaher hota hai. Jis per ilm marifat-e-ilahi ki takmil hojaye wahi Zapatista-e-ilahi ka is duniya May mazhar aur faqar ka waris hai..Chunanche faqar ke awaleen waris hazrath Ali karam Allah wajahu ke ilm ke mutalaq fermaya ke “ mai ilm ka shahar aur Ali karam Allah wajaha is shahar-e-ilm ka derwaza hain...



Jis per ilm-e- marifat Allah ki takmil hojaaye us se duniya Bhar ki kisi shaye ka ilm makhfi nahi rahta.


Mirat-ul-Arifyein sure-e-fateha umul kitab hai aur tamam Quran-e-Kareem ka khulasa hai ki jama tareen tafseer hai jo Hazrath Imaam hussain alahisalam ne apne bete hazrath imam zainul abidain ke Surat efateha ke sharah ke muttalaq sawal ke jawab May tehreer fermaii...


Hazrath Ali karamullah ke naam “aaya” se hai..jiski maani bulandi ki taraf maayel hone waale ke hain...ilm Allah jub hazrath Ali May muntaqal hua to bulandi ki taraf badha aur uruj haasil kiya. Hussain husna se mushaqaq hai jiske maani behetereen aur khubsurat tareen ke hain .Ilm-e-ilahi jub hazrath Hussain tak pahuncha to usey husn-o-nikhaar aur behtereen surat atta hui..