Sunday, December 4, 2022

Dua

 


Adab qadambose mohtaram khwaja khwajgaan..mere peer mere rahbaraan....

--------------------------------------------------------------------------------------

Salam masnoon qaarayeen...aaj ek muddua nazar se guzra, so share kar rahi hun..

Dua 

------

Rasul-e-Akram salla allahu alaihi wassalam ka irshaad-e-mubarak hai " Dua ibadat hai " .(termazi)

Ek dusri hadees may Aap sallam ne fermaya " Dua ibadat ki Rooh hai ". (termazi).

Takhlikh-e-adam ke baad sab se pehli ibadat jo Hazrat Adam ku sikhlaii gaii vo " Dua " thi.

Dua hi ek aisi ibadat hai jiske liye koi jagah, din ya waqt moqarar nahi , bulke her lamha her ghadi maangne ki ijazat hai..

Seerat-un-Nabi per ek nazar daalein tou lagta hai ke Aap sallam ki hayaat-e-tayeba ka koi lamha aur koi ghadi aisi nahi jo Dua se khaali guzri ho..

Dua her mushkil ghadi ka ,her pareshan dil ka ,atut aur wahed sahaara hai aur her muztarib dil ka lazawaal sakun hai...

---------------------------------------------------------------------------------------

Jub hum her kisi se dua ki darkhwast karte hain tou sirf apni darkhwast per hi nazar hoti hai...hum bekhabar hote hain aaya hamari darkhwast per koi amalpaira bhi hai k nahi...hamari dua ki maqbuliyet nek aur begharz niyet per munhasar hoti hai...

Buzurgaan-e-deen se apni dua ki maqbuliyet ki dua maangna is yaqeen ki shahadat hai ke unki darkhwast khuda ki baargaah may radh nahi hoti...ke ye Mehbub-e-khuda apni ibadaton apni mohabbaton ka sila apne chahne waalon ki nazar karte hain...

jub hum aam se insaan aam se insanon se taalib-e-dua hosakte hain tou phir maqbulaan-e-baargah se dua ki darkhwast ghalath kaise hosakti hai..

Jub ke her daur shahid hai ke khalifa-e-waqt ke haathon awaam-un-naas ki bhalaai aur islaah ki baag-dor sonpi gaii ..jo unka faiz ban kar aam huii..

Wahi aaj bhi bande ke emaan ki baqa hain wahi aaj bhi mehbub-e-do-jahaan ke karam ka silsila hain...

bqaul hazrath Allama Iqbaal ke...

khudi ko kar buland itna ke her taqdeer se pehle

khuda bande se khud pooche bata teri raza kya hai

Log baghair mushahide ke faisla saadar karte hain..

Sahi ghalath shirk biddat ki farsuda kasmakash se hut kar apne dil ko shahid-e-karam banaye.....

Koi khuda ki rahmaton ke faiz ka mushahida karna chahe mere Khwaja ki gali may aaye....mere rahbar ki sohbat may din bitaaye...

kisi ko chahiye haq.. 

kisi ko apni soch ki ikhtera...

Naii soch agar haq ko jila bakhase to qaabil-e-qabul hosakti hai...

Gumrahi ki taraf gamzan soch ko raah-e-raast ki taraf modna zaruri hai...

Awaam-un-Naas ki bhalaii ki khatir her pas-o-pesh ko balaa-e-taaq rakh kar haq ki mashaal jalaaye rakhiye...

khuda aur bande ka atut raabita banaye rakhiye..

Apne rahbar ki mashaal ko jalaaye rakhiye...

Sohabaton ke sabaq dilon dilon may muntaqal karte rahiye..

Ke shahid-e-haq ka yehi farz-e-ayin hai...

koi ek naii soch lekar namudar hua aur log apni buniyad bhul kar is naii soch ke peeche holiye..ye nahi dekha ke is soch ke peeche sirf ek khokli mantakh hai...

Wednesday, October 19, 2022

Analahaq.....

 



Meherbaan-e-qalq...azeezaan-e-bekasaan...dilon ke mohtaram raazdaan...ashkaar ho rahi hai haqeeqat zu-fishaan..aaina muntazar hai ke kabhi haq jhalak uthey..kaash ek jhalak paa kar phir se chamak uthe...

Ke itne may sada aai hai...Analhaq...yaani ke mai haq hun...

tamam umar ki ghaur-o-fikir ke baad bhi agar bande ko haasil na mile to samajh lena chahiye ke umar rayegaan hi gaii...

jisey mai dhundta tha asmaanon may zameenon may

vo nikle mere zulmat khanna-e-dil ke makeenon may

jo baatin ko jila bakhshe hai..jo zaher ko binaii...arey nadan ab dil ke siwa bhala kaun shahid-e-khudaii...

Azaar hain nafs ke saare...ye perda hain teri hasti ka...zara hata chilman...gar tamanna hai nazaare ki...

aainon se nazar milane ki taab jis dil ko ho...

wahi jaaye gali may mah jabeenon ki

khuda apne mehbub haq-e-dostaan ke sadqe ye meher un dilon per bhi karta hai..jo usi ki raah may bhatke...israar-e-khudi ka paa lena hi ghanimat hai...ke yehi tou asal ashna-e-mohabbat hai...

derd-e-dil ke waaste paida kiya insaan ko

warna etaa-at ke liye kuch kum na they karr-o-bayaan..

The reason for creation of Humans is to Love and Compassion for others,Else, for obedience, the angels did not have a match.)

Monday, October 3, 2022

raah-e-khizar ka gulsitaan..

 


Adab qadambose mere rahbaraan..aapke dast-e-karam se faiz pahunchaate hain khwaja-e-khwajgaan..

hum aam se insaan hamaari talab bhi thi aam si...aapne dil sune, sunli arz hamari, aur hume maangne ka saleeqa sikha diya aur haq ki talab per dilon ko gamzan karke taqdeer sanwardi...

khwaja ka astaan raah-e-khizar ka gulsitaan..

unki rahguzar se dil paate hain hayaat-e-javidaan...

haqeeaton ki rushanasi aam tou nahi..aapne khaas hona sikha diya....dilon ke bhed se jub ashna huye apni hi bazgasht suni hertaraf..auron se kya gharaz, pehle dil apna hi tatol...

mushkil tha saamna...aapne asaan kardiya...ek raah vo bhi thi...ye raah aur hai...wahan khaar khaar they...yehan agahi ke phul hain...

mere khwaja-e-khwajgaan...murshad-o-meherbaan ,apna karam yonhi banaye rakhna chahe ye jahan ho vo jahaan..

Tuesday, April 26, 2022

Salaat "Amaad-ud-Deen"( deen ka sutun)

 


Mere dosto,salam masnoon...haal hi may salaat k unwan per ek khubsurat aur roohperwar tahreer mili, vo aap sab ke gosh guzarish kar rahi hun...khud mustafeed hokar aap sab ku bhi mustafeed hone ki dua ke saath...inshallah..

Salaat arabi zuban ka lafz hai.ye lafz dua-o-rahmat,tawajoh-o-ruju ,sana-o-tareef aur wabasta hojaane ke maani may mustamal raha hai..

Istalah shara may islam ki makhsus aur jaama ibadat ku salaat kehte hain..jisko urdu aur farsi may namaz kaha jaata hai..

Namaz Huzur akram salla allahu alaihi wassalam ki ada-e-bandagi ka naam hai..jo Allah jalla majdahu ke janab may maqbul tareen ada-e-bandagi hai..isi liye Huzur sallam ne fermaaya " namaz us tarha padho jis tarha mai namaz padhta hun."

Namaz sar taasar bandagi hai, bandagi  ka aghaz bhi hai bandagi ki takmil bhi..Namaz ibadat ke jumla aqsaam-o-anwa ki jaama hai..isliye isko afzal-ul-ibadaat kehte hain..

Huzur salla allahu alaihi wassalam ne Salaat...yaane ke namaz ku deen ka satoon "amad-ud-deen" qarar diya..

Azaan waqt-e-baryabi ka elaan aur Allah ke ghar falah-o-kamrani ki dawat hai..

Zindagi ki vo rawish jo akhrwi jawabdahi aur mukafat-e-amal ki buniyad per qayam ho usko deen kehte hain..aisi zindagi baghair namaz k haasil nahi hoti..isi liye Huzur ne namaz ku musalman ka turra-e-imtiyaz qarar diya..

Musalman aur ghair musalman may farq-o-tameez namaz ke zariye hi hoti hai..

Namaz islam ka shuaar hai..Emaan ki alamat hai..Emaan dil ki kaifiyet ka naam hai..iska izhar namaz se hota hai..

Is may bandagi ke tamam pehlu jama hain..ye mukamal suprudgi ka muzahera aur itsaal taam-o-qurb tamaam ka zariya hai..

Huzur akram salla allahu alaihi wassalam ka nuskha-e-kimiya namaz hai aur yehi ada-e-bandagi, bandagi ke rang may insani zindagi ku rang deti hai..

"Salaat Huzur sallam ki meraaj ka tohfa aur mominon ki meraaj hai.".

Hazrath Imam ghazali rahmatullah aliha fermaate hain ke anbiya akram bamanzila tabib roohani, roohani amraz aur asqaam ke ilaaj ke liye bataur nuskha ibadaat ki taleem dete hain, taake insaani zindagi mukaram akhlakh se arasta hojaaye, taqwa ka mazhar banein,insaani amaal sifaat-e-mehmooda se jagmaga uthein aur insaan esaar-o-qurbaani, mohabbat-o-akhuwat, adal-o-masawaat, hamdardi-o-mawasaat aur khidmat-e-khalkh ke khugar hojaaye....

Gharz namaz ko farz karne may Allah ko bande ki bhalaii maqsud hai...jub tak namaz ki gharz se banda agah na ho iske farz hone ki noviyet ko jaan nahi paayega..khushu-o-khuzu ka raaz khuda bande ki mulaqat ki raah hai..jis per chal kar baryabi haasil hosakti hai...

Jub ke isaani rishte uns-o-mohabbat se phalte aur phulte hain..tou phir ghaur kijiye khuda bande ka rishta kya chahta hai..khuda ki inaayaat may poshida uske dast-e-karam aur uski rahmat huma waqt bande ki bhalaii ke liye karferma hai ,phir banda apni ibadatguzari aur itaat-o-wafa shuaari ka muzahera sarnigun hokar kare. husn-e-ibadat yehi hai ke khuda ki raza may banda raazi rahe aur her haal may uska shukur ada kiya kare...aur apni namazon ku durust kare..aur khuda ke paighaam ku apne amaal se mushtahar kare...

Emaan ka taqaza yehi hai ke banda ka yaqeen kaamil ho, aur her surat-e-haal may khuda ki hikmat may apni falah ko samjhe...

Monday, March 7, 2022

khiraaj-e-Karam

 

agar yon hi ye dil satata rahega

to ek din mera ji jaata rahega

Main Jaata Hoon Dil Ko Tere Paas Chhode

Meri Yaad Tujhko Dilata Rahega


Khwaja meer dard ne dil-e beqarar ka muddua mausar andaz may bayan fermaya ke dil ko be ekhtiyar aapka dar yaad aaya...jahan se rooh ka safar shuru hua tha,aur dil ko dhadakne ( tadapne) ki khairaat mili thi..nazaare rang badal badal kar milte rahe...aur khird per khudbeeni ke nashter chalte rahe...nafs se roz mulaqat rahi..roz hum jeete rahe marte rahe...


Agahi ka dar jub wa hone lagta hai to jaan lena chahiye ke Rab-e-kareem meherban hogaya hai..Usne apne mehbub ko aaina saaz bana rakha hai..jisne bhi nazar milaii apne aap ko paa gaya..barson ki behissi ko jaise hosh aagaya...agar us hosh ko muhasin ki sohabbaton ka surur mil jaaye  phir tou phir bekhudi saare marahel taye kara deti hai......dil ki huzuri mil jaati hai...aur banda ghayeb hojata hai..


jahan khudi faramosh hojaaye wahin haqaayeqon ka bazar lagne lagta hai...ab ye kharidar per munhaser hai ke usey kya chahiye dil chahiye ke dildar chahiye...ishq chahiye ke takraar chahiye...


Gharz dilon ka bhed paa jaana juu-e-sher laane se kum nahi...aur ye sirf aur sirf sher-e-khuda ki nasal ka pesha hai..jinke haathon ummat-e-wasta ki nigehbani hai...salaar-e-carvaan haiin ye...inhi ke nazar-e-karam se khudavand qudus ki rahmat rawaan hoti hai..inhi ke dar per ashiqan-e-Rasul ki mohabbat jawan hoti hai...

Adna ku aala karne ka hunar inhi ke paas hai..jise inki raah mil gaii samjhiye unki manzil bhi khaas hai..