Friday, December 14, 2012

Awlia Akraam ke Maratib






Aflaak say aaata hai naalon ka jawaab aakhir
karte hain khitab aakhir, uth-te hain hijaab aakhir

Awlia Akraam ke tabqaat, unke Maratib aur Qismen

Aqtaab--- Qutub ki jamaa-- ye muqareebin-e-khuda hote hain aur apne zamaane may groh-e-Awlia ke Aaqa hote hain. Un Aqtaab may say kuch Hazraath vo hote hain jinhen hukm-e-zaaher aur khilafat-e-zaaher bhi khilaafath-e-baatina ke saath milti hai.  Aise Hazraath may say Sayedina Sidiq RA aur Faruq Aazam RA, Sayedina Usman Ghani Ra , Sayedina Hayeder, Syedina Imaam Hussn AS shaamil hain. Kuch Aqtaab ko sirf baatini khilafat milti hai hukum zaahiri nahi milta. unme Ahamed Bin Harun Rasheed , Abu yazeed Bastaami Ra shaamil hain.

Aaima-----Her daur may sirf do hote hain. Ek Abdu-ul- Rab aur dusra Abd-ul-Mulk hota hai.Qutub ko Abdulla kehte hain.Ye teenon siffati naam hain. Ye dono Aaima Qutub ke marne ki surat may un ke Khalifa hote hain. Ek Aalam-e-Malkut ka mushahida karne may masruf rehte hain aur dusre Aalam-e-mulk tak mahdud rehte hain.

Awtaar----Ye sirf chaar afraad hote hain.kisi daur may inme kami-o-beshi nahi hoti.in chaaron ke zariye Allah kareem mashiq, maghrib, junub, shumaal ki hifaazat fermaate hain. inke maamlaath ki taqseem Kaaba say shuru hoti hai.in chaaron ke alqaab aur siffati naam ye hain.
1) Abd-ul-Hayee
2)Abd-ul-Aleem
3)Abd-ul-Qaadar
4)Abd-ul-Mureed 
Kabhi Awtaar waghaira auraten bhi hoti hain.

Abdaal--- Ye saath (7) say kum-o-besh nahi hote..Allah taala in ke zariye Aqaaleem ( saltanaten, Mumaalik) sabaa ki hifazat fermate hain. Her Badal ki ek aqleem ( sultanat, mulk ) hoti hai. Jahaan unki wilaayet ka sikka chalta hai.

Abdaal ka martaba bhuk, bedaari, khamoshi aur tanhaii say mila hai.jisme hasti badalne ki quwwat hoti ho vo Badl hota hai.Kisi maslihat ki ba per apni jagah apna "humshakal" Badal naamzad kar ke jaata hai. V o Jaanasheen jise tayeen kiya jaata hai vo ruhaani shaksiyet hota hai, jo qasadan amalan Badal apni jagah chod jaata hai.

Naqeeba-----Her daur may sirf  baara (12 ) Naqeeb hote hain.Asmaan ke baara burj ( gunbad) hain aur her ek Naqeeb ek ek burj ki khasiyeton ka aalim hota hai. Allah Kareem ne in Naqeebon ke haathon shareeyeton ke naazil kiye huye ilm de diye hain. Nafoos may chupi ashiya aur afaat-e-Nafoos ka inhen ilm hota hai.iblis inke saamne yon munkashif hota hai ke vo uski makhfi quwaton ko bhi jaante hain, jinhen vo khud nahi jaanta. inke ilm ki ye kaifiyet hoti hai ke  agar kisi ka naqsh-e-paa zameen per laga dekh lein tou unhen uske shaqi-o-sayeed hone ka patta chal jaata hai. Naqeeb ( khabar dene waala ).

Najeeya--- Her daur may aath say kum nahi hote. un per haal ka ghulba hota hai. jisey Aala martaba hi pehchaan sakte hain.

Hawaari Hazraath---Ye her daur may ek hi hota hai.Jub vo marte hain tou dusre Jaanasheen bante hain.Huzur Sallam ke daur-e-aqdas may Hazrat Zubair bin awam RA is moqam per mutmakeen they. Hawaari vo hote hain jo saif-o-hujjat dono ke zariye deen ki madad karte hain. inhen ilm, ibadat aur daleel atta hoti hai.

Rajbi Hazraat------Ye her daur may chaalis ( 40) hote hain. Ye aise log hain jin per Azmat-e-Ilaahi ka haal taari rehta hai. Inhen Rajbi isliye kehte hain is moqam ka haal Rajab ki peheli taareekh say aakhri taareekh tak taari rehta hai. Phir ye kaif-o-masti khatam hojaati hai.Ye mukhtalif sheheron may bikhre hote hain.Ek dusre ko pehchaan lete hain.

Khatam----Ye her daur may saari duniya may ek hi hote hain.Aisi hasti per Allah taala wilayet-e-Mohammadi ka khatima fermaate hain. Awlia-e-Mohammadi may in say badh kar koi hasti nahi hoti.Ek khatam aakhir bhi honge, jin per Adam say lekar aakhir Wali tak ki wilaayet khatam hogi. Ye Sayedina Esa Alahisalam hain, wahi khatim-ul-awlia hain.

Qalb----Adam Alahisalam ke mutabiq dilon walon 3 sau Hazraath. ye her zamaane may isi meqdar may hote hain.

Hudait-----Jo shaks 40 din tak mahaz Allah ke liye sarapa Akhlaas ban jaate hain tou Maula kareem unke dil say ubalne waale chashmon ko unki zubaan per jaari ferma dete hain.

Qara Razi Allah Anham-----Nabi kareem ka irshaad hai ke ahal-Quran hi Ahal-e-Allah aur khasaan-e-khuda hai.in logon ne amal ke zariye Quran ko yaad rakha hua hai. aur iske huruf ke bhi haafiz hote hain.Hifz-o-amal say azmat-e-Quran ko zaahir karte hain.Hazrath Abu yazeed Bastami RA bhi isi giroh say they.Ahal-e-Quran vo hai jiska qulq hi quran ban jaata haitou usme Allah kareem ki siffat bataur-e-aks paida hojaati hai.aur is siffat ki wajah say kalaam ka haqeeqi mausuf yaane Allah usey apne khwas may shaamil kar leta hai.Hazrath Sahal bin Abdullah nasteri ko sirf 6 saal ki umr may hi ye moqam haasil hogaya tha.

No comments: