Sunday, December 18, 2011

Khwaja Mere Khwaja

 


mera ji hai jab tak teri justaju hai
zaban jab talak hai yahi guftagu hai

Mere Khwaja aapke dar ser mera pesh hai...dil mera pesh-e-khidmat hai..jaan meri her lamha chahti hai yehi...mai rahun na rahun naam aapka rahe...mai kahun na kahun karam aapka kahe....qaul aapka herdam qaayem rahe...faiz aapka rehmat ka ek aisa silsila hai jo rehti duniya tak baaqi rahe...

Aapke saayelon may aapki pehchaan hai chupi....aapke saayelon ki jholi aapki ulfat say labrez hai...yeh gawah hai ke khuda ne apne khaazane-e-rehmath ko kahaan kahaan poshida rakha hai...mutlaashi ki justaju ,uska junun-e-ishq ,uski sachi aqeedat,uska moqadas irada,uski achi soch,uski chah-e-falaah hi usey haasil karsakegi...warna her kisi ko ye niyamat nasib nahi hoti..

Jisne bhi dekha vo mar hi gaya...vo husn hai mere sarkaar ka...rang-e-jamaal may jo dooba vo un hi ka sa hogaya...ajab khusbu hai sohbat unki...ajab surur hai bayaan unka...waqt teher sa jaata hai..is jahaan say jahaan waalon say door le jaata hai....jub deewangi ko hosh aata hai phir her lamha karam ban jaata hai....

Dosto,karam ka raasta awal aap kay ghar say hi nikalta hai..aur apno say jaa milta hai...awal karam faraayez-e-awalleen aapke rishte...inhi ke darmyaan ,in ko nibhaane ke dauraan, aapko apni ahaliyet ka patta chal jaata hai ke aapki fitrat ka rukh kis taraf hai...aapki zaat kin murakabaat per mushtamil hai....aap ka rehjaan kis ore aapko modta hai...aapke shauq ki daastaan aapke karam ki raah say mukhtalif hai...nafs agar khud say mukhatib hojaaye phir ye marhala asaani say taye hosakta hai...haan magar ye amar kathin zarur hai...magar chishtiya apne faiz ki manzil aisey hi paate hain...apna saara faiz auron pe lutaatey hain...


Her rishta faani hai...aap say aapke deewanon ka naata ek amar kahaani hai...ye aaj bhi aaj ke baad bhi baaqi rahegi...vo beej jo ek shajar ki dain hai phir ek shajar ban jaata hai....phir ye shajar kitne tapte dilon ka saaya ban jaata hai...kitne dil araam paate hain saaya-e-faiz taley..mohabbat jaadu hai...ishq nasha....karam surur ka samaan hai...ye kausar aapke dar per aa mili hai...wahi saaqi aapke payaale ko lubrez kar rahe hain....aapke pyaale say chalki huii bundon nay kitne jaam lubrez kiye hain....her bund ek saagar bana ..her saagar ek samandar....ye silsila-e-taufeeq jaari-o-saari rahe..Ameen...

Mere Khwaaja...aaj is hosh ke lamhe ko gawah rakh kar ye phaila damaan kehta hai...do haath judey hain kub say...ek dil sawaali bheega hai....do aankhen behti kehti hain...aapko un aankhon ki qasam jo dar per aapke mohabbat lutaati rehti hain...Bas ek baar phir karam hojaaye....is muntashar lamhe ko aapka karam phir mil jaaye....jisey haasil hojaaye panaah aapki uska daman khud panahgaah ban jaaye..maqbul dua karna ..qabul mohabbat karna...Khwaaja mere Khwaaja....Salaam qabul ho...mohabbat maqbul ho..Ameen..

tamana hai teri agar hai tamana
teri arzu hai, agar arzu hai

Tuesday, October 25, 2011

Mohabbat-Haqeeqat-Shareeyat




zarrey may dasht qatre may darya chupi rahe
daala meri nigaah ne perda kahaan kahaan

Kisi cheez ki taabeer ka ke liye kisi aisi cheez ka zikr karna padta hai jo awal-uz-zikr say nazuk-tar ho.tou phir mohabbat ki taabir kyon kar ki jaa sakti hai jis say badh kar koi naazuk cheez hai hi nahi.aur matlab uska ye hai ke ibarath izhaar-e-mohabbat ki mutmahal ho hi nahi sakti is liye ke ibarat ko ibarat nigar ki siffat haasil hai,jub ke "mohabat mehbub ki siffat hai ".

Aur alfaaz ke zariye mohabbat ki haqeeqat ka shaoor haasil nahi kiya jaa sakta, kyon ke isey tou mehsus kiya jaa sakta hai, bayaan nahi kiya jaa sakta, aur asal haqeeqat tou srf Allah hi jaanta hai.Ya Allah.

jub hum kehtey hain ke la ilaaha illaallahu' tou ye haqeeqat hai " Allah ke siwa koii mabud hai hi nahi".phir jub ye kehte hain ke " Mohammed RasulAllah" yaane Mohammad sallam Allah ke Rasul hain  tou ye shariyeth hai.

Haqeeqat shariyath ki asal hai aur shareeyath haqeeqat ki fara hai. jaise ke maarifath khud is haqeeqat say aagahi ka naam hai aur amar maaruf ko qabul kar ke is per amal paira hona shariyeth hai.

Tauheed khaalis aisi cheez hai jiski badaulat kamaalaath-e-nafsaaniya-o-badniya-o-maaliya paida hojaate hain.

Rasul vo hai jo mukhatibain ko shariyet-e-jadeeda pahuncha de, Aur Nabi vo hai jo Saaheb-e-wahi ho, khwah shariyet-e-jadeeda ki tableegh kare ya shareet-e-qadeema ki.

Banda kaii manzilen taaye kar ke harm-e-kaaba may is khayaal say pahunchna chahta hai ke wahaan usey Allah Taala ke nabiyon ke aasar dikhaii dete hain. Aakhir vo apne nafs ke sehra aur hiris-o-laaluch ke darya ko abur kyon nahi kar leta taake vo apne dil tak rasaii haasil karle,ke us may khud Allah Taala ke aasaar usey mil jaayenge.

Yaane zyaada buzargawar tou dil hai jo Allah taala ki maarifat ka mahal hai. ba nisbat kaaba ke jo mahaz ek simt ki nishaan dahi karta hai yaani sirf ibaadat-e-ilaahi ki jahat hai. kaaba tou vo moqaam hai ke jis per bande ki nazar hamesha jami rehti hai aur dil vo moqaam hai jis per khud nazar-e-haq hamesha padhti rehti hai.

"Pas jahaan jahaan mera dil hai wahin mera Dost hai". Aur jahaan us Dost ka hukum hai wahin meri muraad hai aur jahaan Anbiya ke aasaar hain wahaan mere Doston ka Kaaba hai.

("Mohammad bin Fazal-ul-Balkhi razi Allahu anahu").

mujh may rahe vo par na mai samjha kahaan rahe
qaalib may reh ke rooh ki surat nihaan rahe

Friday, October 7, 2011

Ek sada hai dil ki...



Chain mere dil ka Ajmer gaya hai
Nind meri lekar mera peer gaya hai

Ghareeb nawaaz ke dar say kitne taalib, ilm paa kar nikle hain...kitne jaahil aalim ban baithe hain..kitne sangdil dil paa gaye hain..unke kashaane say ulfat ke jharne bahte hain...unke aastaane may mohabbat ke phul khilte hain...ekbaar koi unke daman say lipat gaya,phir kabhi unsay apna daman chuda na saka...ye unki meher-o-wafa ki misaal hai..ke adna ho ke aala sab per eksaan saaya-fagan hain unki rehmaten..vo kahaan kisi ki mukamaal hasti dekhte hain...vo tou bas ek harkat dil ki maangte hain...vo dil jo sirf khud ki khaatir roya vo khud ko hi khoya....unke rozey may khamosh sadaayen kehti hain..unke darbaar  may bas inaayet hoti hai...

Bas unke dar pe mohabbat hoti hai...maine ek lamhe may sadion ki pyaas bujhaai hai...un ke dar per anmol mohabbat paai hai...bahut khoja tha khud ko...bahut tatola tha khud ko....khaali khaali us khaaki say bas ek sada hi aai hai...koi lamha rehmat ka milne waala hai ...bas roshan hoye charagh dil ke ...ab hersu ujiyaara hai...ye andaaz khwaaja ka bada hi pyaara hai...wahi tou haajatmandon ka sahaara hai....

Thursday, October 6, 2011

Iltija Ya Ghareeb Nawaaz



Aaj phir aan padi hai mushkil...phir aapki mohabbat darkaar hai mere Sarkaar...aapke daman say bandha hai jub say daman...her lamha yaqeen-e-rehmat...phir ek karam hojaaye...ab ke bhi door ye ghum hojaaye...bas rakhiyo mere yaqeen ki laaj....Aye haajat-mandaon ke sartaaj....

ek raah bhataka raahi aapke dar say raah apni paa kar kisi ko gumraah hotey kaise dekhe..phir koi shikaar hai lamhon ka...phir koi be-perwa hai jazbon say..phir kaii dil uske panje may...phir kitnon ki neenden uske qabze may....

Ek karam phir hojaaye...phir koii gumraah raah paa jaaye...kitne dilon ko araam aajaaye...bas hojaaye meher Aaqa....Ameen...

Friday, September 23, 2011

Itbaa-e-Mehbub


1. kisi sey naraazgi ka waqt itna taweel na rakho ke wo tumhaare bagair hi jeena seekh jaye".
Hazrat Ali (R.A.)


2. Rishton ki asal khubsurti ek doosray ke baat ko bardasht karna hai. Be aeb insaan talash mat karo warna akele reh jao gay
Hazrat Ali (R.A.)


3. Kisi ne HUZOOR akram (s.a.w..w) se nasihat daryaaft ki…to aap (s.a.w.w) ne farmaya..! Jab kisi kaam ka irada karo to uska anjaam soch lo, agar iska anjaam acha ho to karlo, aur agar anjaam bura ho to usse ruk jao...! (ahaadees dosron tak pohanchaana sadqa he).


5. Namaz ki haalat mein aankhen band karna makrooh hai. Namaz mein jab qayam par ho to nazrein sajde ki jagah rakho Jab rukoo karo to paon ke darmiyan dekho Jab sajda karo to naak ki samt mein aur Jab baeth jao to nazaren jholi mein honi chahiye, Aur jab salam phero to dono kandhon ko dekho


6. Paedaish Ke Waqt Azan Di Jati Hai. Magar Namaz Nahi Padhi Jati. Aur Maut Ke Waqt Namaz Padhi Jati Hai Magar AZAN Nahi Di Jati. ZINDAGI AZAN SE NAMAZ TAK KA WAQT HAI


7. (1) Jo shaks ALLAH se darta hai woh kabhi badla nahi leta..

(2) Hasad karne wala maut se pehle mar jaata hai.

(3) Kisi par etamaad na karo, jab tak usey ghussey mein na dekh lo


8. ALLAH. dey kar bhi aazmata hay aur ley kar bhi,

(1)Ghareeb aadmi roti ke liye daudta hai aur Ameer roti hazam karne ke liye.

(2) Gunah mein lazzat hoti hai sukoon nahi.

(3)Baat alfaaz ki nahi lehje ki hoti hai,

(4) kisi ke barey mein bura mat soncho ho sakta hai wo ALLAH ki nazar me tumse behtar ho.


9. Koi Gunah Lazat ke liye mat karna kyuke, Lazzat khatam ho jaegi aur Gunah baqi rahega, Aurkoi neki takleef ki waja sa mat Choro kyuke, Takleef khatam ho jaeegi aur neki baqi rahegi.


10. Cut your nail in sunnat way: ON FRIDAY Start from RIGHT HAND 1 st First Finger (shahadat wali) 2 nd Middle Finger 3 rd Ring Finger 4 th Small Finger then LEFT HAND 5 th Small Finger 6 th Ring Finger 7 th Middle Finger 8 th First Finger 9 th Thumb 10 th RIGHT HAND Thumb Please adopt Sunnat way.


11. (1) Ghoont ALLAH ko bhi pasand hai, Ek gussey ka aur Dusra sabr ka.

(2) Qatrey ALLAH ko bhi pasand hai, Jihad me khoon ka aur dusra Tanhai meina khauf-e-KHUDA mein nikala hua ansoo ka.

(3) Qadam ALLAH ko bhi pasand hai, Jo farz namaz ke
liya utha or dusra kisi ki tazeyat ke lia utha..


12.
AZAAN ko gaur se sunne ka fayda ye hai ke MAUT ke waqt zubaan par KALIMA aasaani se JAARI HOTA HAI!


13. JAB TUM KOI BAAT BHOOL JAO TO HUZOOR AKRAM S.A.W.W PAR DUROOD PADHO YAAD AAJAAEGI.! SUBHAN ALLAH


14. Apne khayalon ki hifazat karo kyon ke
yeh tumhare alfaaz ban jate hai.

Apne Alfaaz ki hifazat karo kyon ke
ye tumhare Amal ban jate hai.

Apne Amal ki hifazat karo kyon ke
yeh tumhare kirdar ban jate hai.

Aur Apne kirdar ki hifazat karo kyonke tumhara kirdar tumhari pehchan ban jati hai
Hazrat Ali (R.A.)


15. Aap (S.A.W.W) ne irshad farmaya jo koi sadaq dil se (pahla kalima) is kalime ko apnaiye is par dozakh (hell) ki aag haram hai.