Sunday, November 24, 2013

Maslak-e-Saalihain







Aaj ka ye daur  jadeed pareshanian lekar haazir hua hai…jiddat insaan ke bartau may hai..insaan ka khameer ek hi khaasiyet rakhta hai…usey  apni haqeeqat say rushanaas karaane waali nazar darkaar hai…jub bhi mai ne in fikr-o-halaath ka mushahida kiya aur is besakuni ki wajah tatoli bas ek hi jawaab haath aaya…raahen rahbar ke baghair ujaala nahi paa sakteen..bhatke huye ko manzil ka patta wahi nazar desakti hai jisne haqeeqat paali ho…aur ye haq parast  wahi saalihain hain jinka tazkara khuda vand qudus ne Sura-e-fatiha may kiya…unki misaal ko bande ki dua ka darja diya…phir "bande ko aur konsa gawah chahiye jub ke khud khuda unka gawah hai"…Lihaza “ Hazrath khwaja Moinuddin Chishti Ajmeri Rahamatulaahi Alaiha ke baatini ishaare per likhi gaii kitaab “ Mirat-ul-Israar” nay aise hi taalibaan-e-haq ki tarbiyet ka beda uthaaya aur aaj tak ye silsila jaari hai…so aap sab ki nazar wahi khidmat pesh hai jo khidmatguzaron ko Sultaan bana deti hai…

Tamaam sadion ke Awlia Akram ka maslak-o-mashrab bayeena wahi tha jo Anhazrath salla Allahu wa alahi wassalam, Sahaba Akram. Aima Ahal-e-Bayet , Tabayeen-o-taba tabayeen ka tha, yaani ibadaath, riyazaath-o-mujahidaath aur tawajah Sheikh ney taalibaan-e-haq ka tazkiya nafs kar ke unki ruhaani taaqat may izaafa karna aur quwat-e-perwaaz ke zariye qurb visaal-e-Haq haasil karna. Bad qismati say yehi vo cheez hai jisey  ulumaa-e-zwaher ne kho kar islaam ke sirf zaahiri dhaanche per iktefa kar liya hai aur jis say islaam ko vo zoaf-o-zawaal laahaq hua ke jiska hum aaj mushahida kar rahe hain…

Ismey shak nahi ke uluma-e-zwaher ne badi kaawish aur shadh-o-madh say islaam ki zaahiri taalimaat ko tarveej di hai aur Aswa-e-Husna per kaafi had tak amal paira hone ke liye jad-o-jahad ki hai, laikin unhon ne bad qismati say Aswa-e-Husna  ke zaaheri pehlu ko mad-e-nazar rakha hai laikin baatini pehlu ko bilkul nazar andaz kar diya hai, vo ye bhul gaye ke itba-e-nabawi ki bhi do qismen hain, ek itba-e-manawi ya itba-e-baatini, dusra itba-e-suri ya itba-e-zaaheri. Itba zaaheri  may Anhazrath Salla Allahu wa Alahi Wassalam ki tarha zindagi basar karna , ibadat karna , jahad-e-nafs karna , gharz ye key tamaam afaal-o-aqwaal may aapki pairwi shaamil hai. Laikin itba-e-manawi ya baatini ka matlab ye hai ke Anhazrath Salla Allahu wa Alahi wassalam ko Haq Taala ke saath jo ishq-o-mohabbat , zauq-o-shauq, qurb-o-marifat, huzuri aur visaal haasil tha usey hasb-e-istaadaad haasil karne ki koshish karni chahiye kyon ke yehi gharz-o-ghaayet-e-islaam hai aur Quran-o-Hadees ki taalimaat ka mudua-o-maqsad hai aur Awliya-o-Akraam khaasaan-e-Baargah ki vo jamaath hai jinhon ne nihaayet shadh-o-madh say itba-e-zaaheri aur itba-e-baatini dono per amal kar ke apni qalbi aur zeheni  istedaad ke mutabiq qurb-o-visaal-e-Haq ki mokhtalif manaazil-o-moqamaath tak rasaai haasil ki, daulat-e-kashaf-o-karamaat say nawaaze gaye aur zaat-o-sifaat Baari may fana-o-baqa haasil kar ke khilafat-e-ilaahiya ka taaj unke saron per rakha gaya aur islaami duniya ke mokhtalif ilaaqon may hidaayet-e-qalq ke liye maamoor mun Allah huye…


Aaj tak ye silsila-e-qidmat-e-Haq jaari hai..khuda ke bandon tak khuda ka paighaam pahunchana kaar-e-azeem hai..Aur ye azmat un azeem-ul-martaba Awliya Akraam ke perukaaron ke hisse may aai hai jinke zimme duniya ko azsar-e-nau noor-e-imaan say munawar karne ka kaam sonpa gaya..imaan tou insaan ki ghutti may pada hua hai…usko roshan karne waali mashaal  un babarkat Awliya Akraam ki khankaahon ke dum say taqayamat roshan rahegi…