Sunday, February 11, 2024

Millat-e-Hazrath Ibrahim Alaihisalam

 



Vo akela insan bajaye khud ek Ummat tha.

Jub duniya may koi musalman na tha tou vo akela Islam ka alambardar tha.

Aur dusri taraf saari duniya kufar ki alambardar thi.

Us akele banda-e-khuda ne vo kaam kiya jo ek Ummat ke karne ka tha.

Vo ek shaks na tha bulki ek " pura irada " tha.


Islah bande ki falah hai

-----------------------

Dosto baghair kisi jad-o-jahad ke humein jo niyamat mil gaii hai...jo inayet hum per hogaii hai..hum millat-e-Ibrahim kehlate hain .hum Ummmat-e-Mohammedia ke ezaz se nawaze gaye hain.

Kya humne is turra-e-imtiyaz ki shaan buland ki hai..ya khaali kholi naam nihaad musalman hogaye hain...hamari buniyad jis qawi irade per buland huii hai kya uski jadein apna iqtedar kho chuki hain...nahi mere dosto aisa mumkin hi nahi...


Andruni ehsas aur baironi sayee, dono se islah aur tabdili (conversion) mumkin hoti hai.

Koi daakhili tahreek insan ke andar koi bhi cheez jo is ke andar bilquwat maujud na ho,hergiz paida ho nahi sakti.

Tahzib-o-tamadun, akhlaq-o-mamlaath ke tamam shoabon (divisions) may aaj tak jo bhi zahur may aaya hai vo sab dar haqeeqat insan ke andar bilquwat ( potentially) maujud tha.

Hamare tahat-us-shaoor may poshida haqeeqi quwatein khuda ki taraf se widiyet ki gaii hain, jinka zahur hazaar mukhalifaton ke bawajud ho kar rahta hai.

Ke khuda bande ke tawasath se jo is duniya may apna izhar chahta hai,jise rokna kisi ke bas ki baat nahi.

Anbiya akram aur kitabein aur dayaan-e-haq insan ke andar usi cheez ko ubharte hain jo unke andar pehle se maujud thi..

shayed isey hi soii huii qismat ko bedaar karna kehte hain..ghafil ko uske maqsad se rushanas karaane ke hi saare marhale hain...khuda se khuda tak ke hi ye saare silsile hain.

Sunday, January 21, 2024

istadlal...استدلال ( poshida daleel pesh karna, sabut dena )

 


Khudavanda qudus ki taleem-o-tarbiyet ke tarjuman ki zimmedari hai ke apni faham-o-frasat ki buniyadi maang per nazar saani karen, kahein vo jo khuda ki hikmat hai..likhein vo jisme faham ki firasat hai..

Na ke un buzurgan-e-deen ki talimaat per ungli uthayein , jinka shewa ummat-e-mohamadiya ko bhatakne se bachana hai...unki zindagi ki guthiyon ko suljha kar khuda ki raahon per laana hai...

Ye bande aur khuda ka maamla hai dosto,ke khuda uski mohabbat ko kis rang may rangta hai..aur uska konsa rang khuda ko bhaata hai..aur is kashmakash ke gerdab se ubharne waale ko apna haath thama deta hai..

Quran shareef ki geheraiyon may uterne waale , khuda   ki mohabbat ko apni manzil banane waale, Nabi sallam ki raahon per khud ko chalaane waale yehi alambardar khasaan-e-khuda hain, jo rahti duniya tak amal paira rahenge...insha Allah...

lihaza tafseer k tarjuma aur us per nazar saani karne waalon ko ye baat zehen may rakhni chahiye ke khud ko haq per rakhne ki koshish may kahin haqeeqat ko nazar andaz na kardein..aur khuda ki mehbub hastiyon ke haq may ghalth bayani ka sabab na ban jaayein...


Mushkilon may ghire huye log apne dil-o-dimagh ki kofton se majbur apna sakun inhi khaak nasheenon ki sangaton may talaash karte hain..khuda ka jalwa in khankhah nasheenon ki mohabbaton se jhalka karta hai..aur derd ke maaron ko sairab kiya karta hai...

Is baat se ye hergiz na samjha jaaye ke ye buzurgaan-e-deen is baat ki taleem de gaye hain ...nawazishein rahmatein saari rab ki taraf se hi hoti hain...aur mohabbatein buzurgaan-e-deen ka khaasa hain...inhi mohabbaton ka haasil hai in zayereen-e-haq ka yaqeen..ye buzrugaan-e-deen apni tamam umar ki riyazaton aur ibadaton say mazlumon ki duaon ko maqbul karte hain..

Karodon ki dilbastagi-o-sakun ka samaan hain khuda ke bakhshe huye waseele...khuda inki mohabbaton se jub inkaari nahi hai tou kisi ko is baat ka etraaz kyon ho... 

Tafseer likhne waalon ko is baat ko zer-e-nazar rakhna chahiye ke quran ka nazul bandon ki falah ki khatir hua hai...aur barah-e-meherbani khalkh-e-khuda ki beqarariyon ko buzurgan-e-deen ki shaksiyet-kashi per sarf  na karein..

jahan derd baante jaate hon vo jaaye-manzil-e-maqsud ke siwa kya hosakti hai..khuda ki kareemi ki aala misaal hai ye ke usne apne noor ko hi bashar kar diya...apni mohabbat ko hi inke daron per jalwa gar kar diya,,,

"waqi ghaur-o-fikir karne waalon ke liye hi ye nishaniyan hain.."

Hazrath , kuch maamle khuda per bhi chod diya karein,

khuda ki sochi samjhi scheme per hi duniya chal rahi hai, bandon ki falah-o-bahbudi ki khatir usne apne mehbub bandon ko rahbari bakhshi...

Buzurgaan e deen ko jo moqam haasil hai khuda ki rahmaton aur mohabbaton ki wajah se haasil hua hai..vo apni zindagi ko huzur sallam ki mohabbat ka nishaan banaate hain aur bhule bhatkon ko thaam kar unki raahon ko asan kar dete hain..

Ye bhi khuda ki hakeemi hai ke vo apne bandon ko waseele bakhshta hai aur apni qurb ki raahein sujhata hai...Alhamdulillah..

Ungli agar uthe shadat-e-haq ke liye uthey..na k khuda ke mehbub bandon ke khilaf uthey...khuda se behter bandon ke dilon ka haal kise patta hai..ilhaam her kisi ki taqdeer may nahi...so khuda se guftagu ka haasil bas yehi rahe..ke banda jub bhi kahe haq ki kahe...haq pe rahe...

Monday, December 25, 2023

Noor-e-Khuda






adam ku khuda math kaho adam khuda nahi
laikin ,khuda ke noor se adam juda nahi 


Her sifat jo makhlukh May paai jaati hai uska masdar o menba Allah taala hi ki koi na koi sifat hai ..insan k andar jo rooh phunki gaii hai vo dar asal sifat e ilahi ka ek aks ya partau hai..
 
Hayath, ilm,qudrat,irada,ikhtiyar,aur dusri jitni siffat insan May paai jaati hain ..Jin k majmuye ka naam hi rooh hai.ye darasal allah taala hi ki siffat ka ek halka sa partau hai jo is kalbad e khaki per daala gaya hai aur isi partau ki wajah se insan zameen per khuda ka khalifa aur malayeka samet tamam maujudad e arzi ka masjud qarar paaya hai..

Allah taala ne rahmat ku sau hisson May taqsim fermaaya..phir inme se 99 hisse apne paas rakhe aur ek hissa zamin per utara…

ye usi ek hisse ki Barkat hai jis ki wajah se makhlukhat aapas May ek dusre per raham karte hain..yehan tak ke agar ek janwar apne bache per se apna khur uthata hai taki usey zarar na pahunche jaaye tou ye bhi darasal usi hissa-e -rahmat ka asar hai..  

magar jo cheez insan ko dusri makhlukhat per fazilat deti hai , vo ye hai ke jis jamiyet ke sath Allah ki siffat ka partau is per daala gaya hai , is se koi dusri makhlukh sarfaraz nahi ki gai ..  

Ye ek aisa mazmun hai jis ke samajhne May admi Zara si bhi ghalathi kar jaaye tou is ghalath fehmi May mubtila ho sakta hai ke siffat-e-ilahi May se ek hissa paana ulwahiyet ka koi juz paa lene ke mutradif hai, halaanke ulwahiyet is se wara alwara hai.ke koi makhlukh uska adna sa shayeba bhi paa sakey..

Sunday, October 22, 2023

Khudi ka raaz…



Hazrath Allama Iqbal ke kalaam ne faham o adrak ki raahon per zeefaham zehenon ko dawat di hai..Hazrath rumi se unka Ishq o aqeedat is baat ki gawah hai…ke khuda ka qurb aksar yon bhi mila karta hai..dil arzu khahishon ki rahguzar se ho kar khudi ka patta chala karta hai..


 Ghalath nigar hai teri chashm-e-neem baaz  ab tak 

Tera wajud tere waastey hai raaz ab tak

Tera niyaz nahi ashna-e-naaz ab tak 

Ke hai qayam se khali  teri namaz ab tak

Gustaar hai teri khudi ka raaz ab tak 

Ke tu hai naghma-e-rumi say be-niyaz ab tak


________________________

Na utha phir koi rumi ajam ke laala zaaron say

Wahi aab-e-gil-e-iraan, wahi tabrez hai baaqi

--------------------------------------------------------------


Insan ki zindagi, arzu per buniyad,aur asaas rakhti hai. Apne aap ko apni pakiza tamannavon aur aala arzuvon ke hawaley say pehchano.

Momin aur banda-e-haq ki ummid aur tamanna Allah ki Raza, khushnudi aur uske deen ki sar bulandi , duniya ki kamrani aur akhirat ki falah hai..iske liye Allah ka batlaya hua raasta ekhtiyar karna hi matlub-o-maqsood hai..

Insan ki ankhen,kaan,hosh-o-hawas,  arzu se hi mutahrik aur zinda rahte hain.ye musht-e-khaak,  aulad-e-adam ,arzu se hi laala kheez  ban jaati hai..aisi mitti jis may gul-laala ugtey aur nashonuma paatey hain..

Jis insan ne arzuvon aur tamannavon ke beej apne dil ki kheti may na boye, vo patharon aur eenton ki tarha dusron ki paamaali  ka shikar  aur sabab banta hai..

Neik tamannayein buland iraadey aur maqsad-e-zindagi ke hawaley say khush-aaind arzuyein , her badsha aur sardar ka sarmaya-e-hayaath hain..

Arzu her faqeer ke liye  jaam-e-jahaan been ki haisiyet rakhti hai..

Insan jo aab-o-Gul ka mujasima hai , usko arzu hi insan banati hai..arzu hum ko apni pehchan aur shanakht bata deti hai..

Arzu aag ki chingari ki tarha hamare jism say buland hoti hai aur ek khaak k zarrey ku asmaani wussat aur pinhaii se humkinaar kar deti hai...

Aazar ki aulad ne ek kaaba tameer kiya..ek nigah-e-khuda shanas-o-khudabeen nay khaak ko akseer bana diya..aye bani nu ,tum bhi apne badan may khudi paida karo aur apni musht-e-khaak ko akseer banao.

Thursday, June 8, 2023

Allah ka zikir





Allah ka Zikir dilon ki shafa hai.. yaane dil May jis qisam ke amraaz paida hote hain ,takabur,hasad,keena waghaira , sab hi amraz ka ilaj Allah taala ka zikir hai.


Allah taala ka zikir iman ki alamat hai, nifaq se bara-at hai..aur shaitan se hifazat hai aur jahnnum ki aag se bachao hai.


Ek hadees May aaya hai tum May behtreen log vo hain jinko dekh kar Allah taala ki yaad taaza ho.


Allah taala ka zikir bande ke liye aisa hai jaise machli ke liye paani..


Tasawuf ka asal-ul-usul zikir hai..zikir Allah taala ki dosti ki jad hai..


Mera zikir karne waale mere hain,agar vo gunahon se toba karein tou Mai unka habeeb hota hun..aur "agar vo toba na karen tou Mai unka tabeeb hota hun "ke mai unku pareshaniyon May mubtila karta hun taake unhein gunahon se paak karun.

Zikir rooh ki ghiza hai..zikir-e-haq marham hai un dilon ka jinke dil Allah ki mohabbat se zakhmi hain…


Her mushkil se nikalne ke liye "chund baar darud shareef,istaghfar padh kar subhana rabil azeem,subhana rabil aala chund baar padh lena,her mushkil se nijat aur bulandi-e-darjaat ka zariya hai.."


Zikir-e-Allah rooh-e-kainaat hai…lafz Allah tamam sifat-o-Klamath ka jaama hai.jub tak Allah Allah hota rahega kainaat qayem rahegi..


Mehbub-e-haqeeqi se tanhaiyon May ba-wazu qibla-ru ho kar zikir karna sharah sadar ka yaqeeni tareeqa hai.qismat khul jaati hai..dil Roshan-o-shaad aur chashm-o-jabeen zikir-e-ilahi ki roshni se chamak uthte hain…zaat-e-baari-e-taala ki sohabat nasib hojaati hai…


Jis se Ishq-o-mohabbat hoti hai uske naam se dil May ek luzzat-o-maza mehsus hota hai…is luzzat se Allah jalla jalalahu ka paak naam liya jaaye ke surur aajaaye…yehan tak ke paas baithne waala bhi us surur-o-kaif ko mehsus kare…


Ek hadees May aaya hai ke allah se mohabbat ki alamat uske zikir se mohabbat hai..


ek hadees may aaya hai tum may behtreen log vo hain jinhein dekh kar Allah ki yaad taaza ho..

Khazana-e-khuld





Sulaiman Alahisalam ne irshad fermaaya,ke momin ke naama-e-amaal May ye tasbeeh sulaiman bin Davud Alaihisalam ki saari badshahi se achi hai , kyon ki badshahi fana hojayegi, aur tasbihaath baqiyaath-e-salihaath hain, yaani hamesha baaqi rahne waali cheez hai..


“ laahaul wala quwatta illa billahi”


Ye kalma junnat ke khazanon May se ek khazana hai..ye kalma arsh ke néeche se utra hai..


Allah taala fermaate hain jub Banda dil se ye kalma padhta hai vo apni ananiyet,fakhar se dastbardar hokar mera taabedar aur bilkul fermabardar hogaya..


Aap sallalahu alaihi wasalam ne fermaaya ke ye kalma 99 nananvey beemaariyon ki dawa hai..Jin May kum darje ki beemaari Fikr-o-ghum hai..

Ar-Razaq




Allah taala razaq hain..


Allama Alusi rahma tullahi alaihi  ne ye waqiya bayan kiya hai..” Hazrath Moosa Alaihisalam ke dil May ye khayal aaya tha ke Allah taala saari duniya ki makhlukh ko rizaq kis tarha deta hai…ye shak-o-shubah nahi tha,kyon ke Anbia ko shak-o-shubah nahi aata..unka emaan kaamil hota hai..bas tafseel jaanne ke liye ek khayal tha ke Allah taala kaise rizaq dete hain..


Allah taala ne Hazrath moosa ko us waqt hukum diya ke is chattan per laathi maaro …jub teen chataanein ud gayeen tou dekha ke uske andar ek Keeda hara ( green) patta kha raha hai..aur vo Keeda ek wazeefa  bhi padh raha hai..zara uska wazeefa bhi sun lijiye..vo Allah ku yaad kar raha tha, teesre pathar ki chattan ke neeche chupa hua kya keh raha tha,…


Paak hai vo Allah jo mujhe dekh raha hai,

Aur jo meri baat ko sunta hai,

Aur jo meri rehne ki jagah ku jaanta hai,

Jo hamesha mujh ko yaad rakhta hai,


Aur kabhi mujh ko nahi bhulta ( ke kisi waqt mujh ko rozi na miley ).