Wednesday, December 24, 2008

Ilm-O-Amal Ki Raahen


Hazrath Iibrahim Adham RA farmate hain “maine raste may ek patthar pada hua paaya,,jisper ye lafz likhe they.mujhe ultao aur padho.ultaya to dekha,.ke ye ibarat likhi hui thi…….”.tu malum-shuda cheez per tou amal nahi karta ,phir is cheez ka mutlashi kyon hai jiska tujhe ilm nahi..yane jub tu apne ilm per amal nahi karta tou na-mumkin hai ke na-malum ko talash kar sake...bas isper amal kar, jo kuch janta hai ,taki iski barkat se tujhe vo bhi malum hojaye jo tujhe malum nahi”…

Uns Bin Malik RA kehte hain ke “koi cheez ilm ke darje o martabe ko nahi pahunch sakti ke ilm na ho tou insaan kisi latifa e rehmani ko nahi pehchan sakta…agar ilm ki niyamat maujud ho tou vo muqamat ,musahidat aur buland se buland darjat ka sazawar ban jaata hai.”

Vo ilm jo Allah ki janib se ata ho
Vo ilm jo Allah ke saath rehkar haasil ho
Vo ilm Allah jo Allah ki zaat o sifaat ka ho

Tesra ilm hi marifat- e -ilaahi hai, jiske zariye tamam awliya o akram ne Allah ku pehchana hai..aur us waqt tak na pehchan sake jub tak
bari e tala ki taraf se is amar ki tufiq na ata hui ho...Allah ke saath reh kar husul- e -ilm se murad muqamat e suluk o tariqat ka ilm hai jis se awliya ke darjat ki shanasai hasil hosakti hai...pas marifat e haq ki shanasai shariyet ku apnaye baghair nahi ho sakti..

Ilm jahalath ki tarikiyon se nikal kar dil ke zinda hojane aur zulmat o kufar se najaat pakar ankhon ku noor e imaan se roshan karne ka naam hai..

Dil saaf ho tou jalwa gah e yaar kyon na ho
Aaina ho tou qabil e deedar kyon na ho
Aayat e haq hain saare ye zarrat e kainat
Inkar tujh ku hovey tou iqrar kyon na ho
--------------------------------------------------------

Tuesday, December 16, 2008

Daras





   
Saaqi ki chasm-e-lutf ajab kaam kar gaii
Daali vo nigah ke kaamil bana diya
Khizr-e-tareeq-e-ishq pe qurbaan jaaiye
Gumraah ko bhi rahbar-e-manzil bana diya



Saath jinka humen mehfuz karde her bala se.....jiski khatir ashiq guzre hanste hanste karbala se....vo ishq ke siwa hai aur kya...zaat unki ishq hai...sohabten jinki ishq theen....nishaan ishq ,raah ishq ,qadam qadam ashiqi....her taraf ,hawa hawa ,bas ishq ishq.....daras awaleen rabubiyet ki mang bhi sirf ishq ishq...khud ashiqi khud ishq.....lafz khud per hi aashiq hua jub likha usne ishq ishq....looh-o-qalam ka pehla lafz bhi hua hoga ishq ishq...jub usne naam "Mustafa ' liya hoga kaanp gaya hoga uska seena bhi keh kar" aye noor-e-khuda tum ishq ishq".. ye shauq ki thi intiha...khud apni taqliq per khaliq ashiq hua....apni mohabbat usne adam ke seene may rakhi....adam ne jub saans li bas her saans ne kaha "Mustafa."... 

rog phir rog hai pathar ko bhi lag sakta hai
ye tou phir dil hai yehaan derd sawa hosakta hai

Ye nazuk bhi hai hissas bhi jisey log dil kehte hain....derd kahaan uthta hai kise khabar....per dil hi ki duhaii lagti hai..haaaye dil...haan isi dil ke naam her jazba mansub hota hai...isi ka naam lekar duniya may tamasha khoob hota hai...bashar ko basaarth milkar bhi vo mehrum darun-e- khana-e-manzar hai...vo chasm jo rooh ka safar karle sabse khoobter hai...kahaan aasan hai uske liye jo duniya may ghaltan hai...uske liye duniya bas ek ishq-e-pechaan hai...thokron may maza paaya bada-parwar ne....justaju-e-shauq may bhatkaya jub dar dar ne...bas ek nada ku tarse sada dil hairaan...mai hi hun jiske liye bhatke hai tu neem-jaan..mai kub se muntazar hun meri rahon may tu aaye...do qadam aur aage badhe aur mujh ko paaye....ye fasla darmyaan tere mere bas chund sanson ka.....dil kehta hai tu jisey ,mai isi may hun maujud....tune sara jahan dekha...sataya khud ko talaash may meri.....mai her waqt tujh may tha jaan ki tarha teri....

Ek sakut sa kyon dil pe taari hai...ab ke kis tufaan ki baari hai...khamoshi tujh se dosti pehle aisi na thi...aye khamoshi ab ke tu kyon itni pyaari hai...kahin saare sabaq apne ho na gaye hon...ya tera daras ab bhi jaari hai...musalsal husul payedari hai... naii naii hi teri meri yaari hai...vo baras jo beete hain aanewale barson ki tayaari hai...dil qalam hua duniya safah-e-sada lagi...dawaat lahu mera.....mohabbat jaan-nisaari hai...

dar pe tere aaye jub paas dil bhi tha
ab kahin bhi hote hain dil tere paas hai

Surmaee andhere bhi ujle lagne lagte hain jub chahne wale tujh se tere dar per milne lagte hain..Aalimon ki jung may maare gaye deewane.....naam per mazhab ke takrar karte log hogaye mazhab se khud begaane...mazhab ki zarurat insaan jub samjhe phir na hote itne afsane...aaj bhi khud hi tufaan hain khud kinara hain..peshwa mazhab ke jitne bhi aaye insaan ka sahara hain..koi mazhabi se bhi pehle insaan tou kehlaye...gar hosake tou ekbaar insaan,insaan ke paas aaye...samjhe vo zubaan jo dil kehna chahe...chune vo makaan jisme khuda rehna chahe...sazishon ka naam mazhab nahi hai Dosto...ranjishen,qahar-o-ghazab bhi nahi hai dosto...ye bas mohabbat hai dosto..ye insaan ki tabiyet hai...


Hum jinki mohabbat ka dam bharte hain...kya waqi un se mohabbat karte hain...saare manzar dhoka hain...khud ki pehchaan ka mauqa hain...mohabbat tou bas usne ki...mehbub ki khatir kya kya na kiya....ek hum hain khaali lafzon ka sahara hai...ulfat ke liye khudgharz dil nakara hai...

Vo dil ,jo sunsaan rahon ke safar per hote hain, unhen jub ghaib ki awazen sunaii deti hain..tab bhi bas ek gumaan sa lagta hai...koi bharam jiski dil ko talaash hai...ho na ho ye wahi awaz hai..yehi gumaan raahen kub taye kara de khabar nahi hoti...manzil se do qadam ke fasle per ek aur mod milta hai...us mod se her manzar jana pehchana lagta hai...ke bas raahi besakhta uski taraf qadam badha deta hai...us pukar ki shiddat se koii dil kahaan bach paaye...ab dil o jaan rahe ke jaaye...her taraf usi pukaar ke dikhaii dete hain saaye....manzil kub mili bichdi kise khabar....per ye manzil si kya hai jo uski rahon may roz aaye jaaye..vo mila bhi aur nahi bhi...vo ojhal bhi nahi bhi....

ab kuch dinon se haal aisa hai
koii kitni bhi aziyeten de
koii jitni raunat se humen ronde
bura biklul nahi lagta
gila koii nahi hota
sukun mehsus hota hai
dua lub se niklti hai

Jisne bhi likha hai vo un raston se guzra hai jahan se guzar kar banda apni zaat ki asaishon se door hojata hai...jub deewangi wafa tehri hai ab sheesha ho ya pathar ...kya farq padhta hai...ye jo bhi apna hai kub hamara hai....bikher kar jo bach gaya hai bas ek khushbu hai....ye dil dil se guzar kar her dil tak pahunchti hai...yehi maqsad hai hawaon ka...yehi gulon ki tamanna hai...yehi rangon ki hai chahat....yehi chaman ki khahish hai..yehi maali ki hikmat.....fana hokar jo rahe baakhi....wahi sada baakhi....

Bahut asan hai muddaai hona
Jitni mushkil hai,sab nibaah may hai


Kitna sangeen sach hai.muddaii apni isteda ke baad yaqeeni taur per pursukun hojata hai..maqbul tamam umr ki riyazaton,mohabbaton ka sila inse mansub karta hai...ummid koii khaali na jaaye..muddaii ka muddua bar aaaye...magar muddaii ke sadaq ki shahadath jub tak na mile tab tak kamyabi mumkin hi nahi....vo dil paida kar aye bande jo ayaan hojaye aaina hojaye...Atta ki mang se pehle teri iltija ka imtihaan hota hai...surkhruii ki manzil tak ki rasaii se peshter khardar rahon ke silsile hain...her ishara mubahem hai...her rang malgaji dhundla sa....ab ankhon ka kaam kya...bas dil se suna jaye...shauq shola ho...junun sauda ho...apni islah ka amal jaari rahe...dil her riya se saaf hojaye....vo daras jaari rahe jo her taraf se sunaii de..hatta ke samaa-at kuch aur na sune...saaare manzar kohra hon....pas manzar bas ek chehra ho.....jiske jalwon se dil khaira ho....yaad rahe bas ek sada.....bande rahbar ke sang paata qurb-e-khuda....

Vo muqadar jinke badle jaane ka amkaan hon tayeshuda hain...duayen asmanon tak jaati hain asar laati hai..Rab apne mehbub bandon ki duayen beshak maqbul karta hai...jinhon ne apni her khushi usi se mansub ki....apni mohabbaton ka sila apne chahne walon ke naam kiya...aur khuda ko ye amal mehbub hai..mohabbat may had se guzarne walon ki panahgah vo khud hai...vo haden wahi taye karta hai...junun bhi wahi bakhshta hai...raahen bhi wahi taye karta hai...manzil ki ore wahi bulata hai...yehaan tak ke ikhtetaam-e-safar per banda sirf uska hojata hai...raaz bahut gehra hai...her taraf khahishon ka pehra hai...gar tod sako tou sukun paajao....bas Rab ke hi hojao....jiski her inayet se hai pyaar humen...phir kyon na atta karne wale se aur sawa ulfat na ho...in khahishon ne derd diya...uski panaah may hi sukun chupa....mehsus gar karsako tou uski qurbat hai...rehbar ki mohabbat uski hi mohabbat hai....


Aaj 'joven" mili..ek afreeqan aurat jise ye taufeeq milgai thi ke dilon ka ujala rangon se nahi amal se haasil hota hai...mujhe vo us waqt mili jub ek lamha kasmaksh tha...dil muztareb tha...sukun anqa...aur khayal hirasaan...aye kaash kuch ekhtiyar humen bhi haasil hota...her ek ki pareshani ko zayel karte....kuch aram unhen bhi aajata jiinhon ne humen be-aaram kiya...dil kuch is surat se tadpa ke aakhir rab ko pyaar aa hi gaya...uske karam ki intiha hi tou thi..pardes may us waqt achanak uska paighaam "joven' ke roop may zahir hojana....kuch bhi be-sabab nahi hota...joven ne mujhe Hindi may wish kiya..kaha ek kitaab padhogi jo kewal shaanti ka sandesh hai...aur dusri jurm kaise mitaya jasakta hai...hmmmmmmmm....mai muskuraii...mujhe waqi is waqt is paighaam ne ek naya hausla diya...ek taskeen bhi..ke rab ne bar waqt mujhe muntashar hone se bacha liya...derd jub had se sawa hojaye..zabt ki intiha hojaye...dil saakt hojaye....us waqt ek tashanj sa taari hojata hai.....pathraye huye aasaab may zindgi ki leher thi joven ka ek sitri paighaam....
Main ne joven se kaha...acha mission hai....duniya ki safai se pehle ho khud ki safaii...self correction...yehin se tou shuru hoti hai asali safaii...jub zehen saaf hoga...sab saaf nazar aayega...aur hum vo dekh paayenge jo kal talak ojhal tha...soch jo dusre zehan may roshni karde ....shafaf ho...aur ek acha khayal ek aur dil may jub muntaqal hota hai tou vo zehen khud darasgaah hojata hai...ye ek chain work hai...raha jurm ka mitna....mujrim halath ki dane hain..mashre ka atiya hain...sohbaton ka sabab hain....khayal ki aludgi asbaab dhundti hai...kamzor zehnon ko khojti hai...aur khususan vo tabqa jo mashre ki nazar may haqeer ho..khud ki bartari pesh karne ke junun may apna insaan hona hi faramosh kar jaata hai...so in zehnon ke liye taaza hawa ka jhonka hain ye "social reformers."...inki koshishon may mohabbat hai..mujhe joven ki maujudgi se sukun mila....ek baat taye hai..dil se nikli her baat asar rakhti hai....mujhe ek aur paighaam mila joven ki shakal may...mere qaliq ki atta hi tou hai dil-e-beqarar ko bakhsha qarar ka lamha..meri fikr ko milgaya ek aur israr ka lamha....

Shadathen chaar su...mai hun her jagah....jub bhi tu karega meri arzu....jub talak tere dil may karam ki chah hai..her mod per rehbar ka milega nishaan....tere zabt ki hi hai mujhe justaju...teri hasraton ko rakhunga rawan...hauslon ki rakhunga teri abru...na udas ho mai bekhabar nahi hun kisi amal se....derd ka safar may sada mai rahunga humsafar...jo tere rahbar ki rahguzar, wahin mujh se mulaqat kar..aaj tak ki saari inayeten qadam qadam yaad aane lageen....uski saari nawazishen ankhon ko rula gayeen...jub koi dil ke na qareeb tha...wahi tou tha sada mera wahed habeeb...bimaari-e-dil ka wahi ek ba-kamaal tha tabeeb..saari zindgi,zindgi ki chah ki...zindgi jis se mili jub jaana usey saari duniya ajeeb lagne lagi ..in chahton ke darmyaan usne liye kitne imtihaan....donon jahanon se peshter vo milgaya mujhe ban kar meherbaan..

Vo taqdeeren jo badli jaati hain vo duayen hain Allah walon ki..maine dekhe hain karamati lamhe mere Ghareeb Nawaz ke dildaron ki...unke ishq may dube nekukaron ki...aashiqaan maqbul bargaah-e-khwajgaan....lafz lafz unka rehmat-e-do jahaan....karam ke andaaz ajib sahi per jub miljaate hain,samjh may aate hain..ajab mosam barpa hota hai...dhup kahin hai dil per,kahin ankhon may sawan hota hai...kaifiyet ajib taari hoti hai.....ke ye aag kahaan se aai hai...ye dhuwan sa uthta kya hai.....ye murdani si kyon chaii hai.....kyon shiddat ki tanhaii hai.... jism khaaki hai per rooh tou apni noori hai....noor se uske rooh ka milna zaruri hai....

Rab ne bashar ki taqliq ka maqsad mohabbat kaha....mohabbat noor ke siwa aur kya..khud apne noor per jo ashiq hua...aisa mehbub usne paida kiya....ishq ki khatir jisne kainaat ki niu rakhi...usi ishq ka khud shaida hua...bande ko apna aaina kaha...phir banda insab se hoga kaise juda...jiska aghaz gar ishq hai..uska anjaam mohabbat hi hoga sada.....insaaniyet ki meraaj mohabbat may rakhi....mehbub ki khatir arsh ko farsh tak kardiya....zameen asmaan ke fasle mit gaye...khud mohbbat may samagaya khuda......gharz samjho tou haqeeat mokhtasar...mohabbat insaan may ho insaan hai khoobter....khaali jism bajta hai sada.....mohabbat ka naghma gunjta hai juda...


Saahibul Jamaal jisko kiya...uski sifaton ki misaal kahaan koii de saka...dono aalam ki misaal unse huii....unke jamal may khud jameel khogaya....ye jamaal unki adaon ka hai...ye kamaal unki attaon ka hai..bashar ban kar bashar ki saubaton ko jeene ka sharf apne mehbub ko baksh kar,khaaliq ne raaz-e-bashar insaan ko diya....asaan zindgi kardi sabke waste....mehbub milgaya aur milgaye mohabbat ke raaste...
ke karam ne rakhi laaj sajdon ki
ye sar tha kahaan astane ke qaabil

Dil tak pahunchna deewanon ka kaam hai...ye naat jub ek dil se nikli tou dil ki gehraion tak pahunchi...munjamid saara muvad bah nikla ankhon se....mano goya dil pighal kar bah gaya ho....kaif ki baarishen pinhaan zikr-e-mehbub do jahaan may...ek lafz puri zindgi maangta hai...Ajib kaifiyet se dil guzra jub "Hamad Noor Jarral saheb" ki naat arsh ki sada bani....yon laga...mehafil badal gaii hai..gard-o-pesh may bas ek naat aur naat-khwan ki sada hai aur dil rubaru-e-ishq Mustafa hai....unki awaaz gawah thi unke ishq-e-rasul ki....khudaii thofa hain vo jazbe jo bande ko sharf-e-mohabbat bakhshte hain...jub bhi zikr-e-Mustafa aur samaa-aten raheen....dil per rab ki inayeten raheen...ek moqadas jazba sirf taqadus ka gawah hai....vo haasil raha...un lamhon may zindgi her anaad se paakeza...her gunaah se mubarra thi...vo lamhe javeedaan huye jahaan Mujtuba jalwagar rahe ....vo kaif dil-o-jaan per ab tak taari hai....Mehbub se mohabbat baari baari hai....

Rab tak banda ki soch pahunche bhi tou kaise....Taqleeq-e-RasulaAllah khud mohabbat ki darasgaah hai..paighaam jahaan ka hain paighaam khuda ka hain....bas naam wafa ka hain....Aam jahaan may unki mohabbat hai khaas unka karaam hai....insaan ki behbud ki khaatir haseen misl ban kar aaye maseeha.....khud unme hi khuda ne khud ko kiya zaahir.....badi anokhi misaal hai jo bas be-misaal hai..lazzat-e-mohabbat se behter na duja nasha koii.....gar vo mere mehebub-e-do jahaan ki hai tou phir uski misaal hi na koii....saare tareeq unse hi tou mile jo khud tareeqat hain shariyet hain marifat hain....unki hasti se hi judi hai nasal-e-Adam ki hasti....unhi ke naam se hai baaqi haq-o-imaan ki sarperasti...


Yaad khushbu khayal unka mohtaram sarapa surur noor jamaal unki hasti haseen sohabat ...ek ek khayal per darya mile kaii....per inhen kinara mila nahi....saahilon ki justaju hai ab kise....dubne de mujhe ab ubharna gawara nahi....dil maahi-e-be-aab hua jata hai...jub bhi vo chera nigahon may ubhar aata hai...deed ki hasrat junun banti mohabbat bas ek tadap raat aur din ki kasmaksh kya kahun gar vo milgaye mujh ko...raah-e-karam jub se mili sada dil yehi chaha kiya...jinke her lafz per jhukta raha hai dil mera..vo lafz lafz jo dil per aaj tak sabt hain...meri surkhurii ka lamha mangte hain sada..khudaya meri mohabbat ki laaj rakhna....tere mehbub ke sadqe mujhe surkhuru karna....

Shajar per aaya mosam naya sahi...per jaden qadeem hain.....kal talak be-jaan theen jo shakhen unse phuti hari konplalen yehi keh rahi theen...yaan baqa ka jalwa apni misaal aap hai...ye manzar kehte hain...hum gawah hain mehshar ke manzar ke....insaan ki hasti nafs ki sarparasti...tufaan ki zad may roz amal ki kashti....waqt mokhtasar hai...aur raftar tez-ter hai...aaj kal may dhalgaya safar hone ko hai tamaam....amal chahte hain apne raste apni zameen apna asmaan...uski khushi ki bisaat per paana chahte hain dono jahaan....

Mangna tou chahta hai dil...per jub rubaru rahe manga na gaya...kya mangte kaise mangte kyon mangte....jub raaz samjh may aata hai dil khamosh hojata hai...hasti ka maqsad sirf arzu nahi....mangta bhala kisi ko de sakega kya....sairi hi ghani karti hai...ghani sairaab karta hai....jahaan dil khule hon wahin bheed lagti hai...Dar-e-nawaz per maine dekhi hai ye jadugari...be-kason ki hote dekhi hai charagiri...khamosh sawali paata hai....naale laut aate hain....jahan shor ho waan sargoshiyan kahaan sunaii deti hain....uske liye tou sukut darkaar hai....bas isi sukut ki tayaari hai....wahin tou khazine chupe huye hain...gar unhen paana hai be-gana-e-hasti hojana hai...


Ghareeb Nawaz unhen milte hain jo nawazishon ka matlab jaante hain...unhen nawazne ka matlab ek aur karam ki ibtida hota hai....aur nawazishen jiske moqadar may aati hain vo ye silsila-e-karam badhaye jaata hai...usey jo bhi milta hai bant-ta chala jaata hai..ye daulat-e-rabbani hai....kub akele ko raas aani hai....isey tou her haal may bahuton ke seenon may muntaqal hona hai...ke yehi fermaan kibriyaii hai..yehi buzargon ki maseehaii hai....badi muddaton may bashar raaz paata hai...ek umr ganwa kar maqsud ka maqsad samjh may aata hai...maine Darbaar-e-rehmat ki azmat per nisaar hote dilon may khud ko khote dekha hai...mohabbat ka lutf dene may hai....wahaan vo dil bas dene per mayel hote hain....sawali apne sawal per sach much sherminda hota hai...kya ab mangne ki zarurat baaqi rahi? Moti tou bin mange milgaya hai.jiska taqadus khud gawah hai..khud bayaan hai...

Vo lamhe jo tamam moqadar per muhit hogaye ab talak hairaan hain…..maine wahan mohabbat ko ibadat karte dekha hai…khudrat ko mohabbat karte dekha hai…un mehakti hawaon may duayen hain….charind parind may bhi unki hi adayen hain…fizaon may arzu hai ekjaan hone ki…unki justaju may khud ko khone ki…ajab jazbon ki ragni banta hai dil…inka matlab samjh jaata hai dil..dubta chala jaata hai dil…her lamha shaadmaani hai…lubon per unki hi meherbaani hai..ek dil jo barson apni pyaas per hairaan tha usne paaya aab-e-hayaath ka chasma….vo sairi huii ke dil ab talak masrur hai….us sohbaat-e-khaas per maghrur hai….ke ye mujh ko haasil hogaya hai….dil usko paakar khud kho gaya hai…kaif ki misaal kya dun…us jazb-e-lazawal ko kya kahun….ab jaana ke soz may luzzat kya hai…derd ki talaash may dil kyon mayel rehte hain….ek unki hasrat may kyon ghayel rehte hain….dil ki chahat kya ek unke siwa….dil kya rooh tak hojati hai fida…saaz mohabbat ka ched jaata hai jub rooh ke taar…dil jhoomne lagte hain karte hain jub ishq ka deedar…sabr-o-qarar ka lete hain imtihaan….hijr ki saubaton may jo hote hain neemjaan…unke liye muszda-e-zeest hai ….derd ki had se guzar kar abdi qurbat haasil hoti hai….jinke nasibon may rehmat likhi hoti hai unhen rehbar ki sohbat haasil hoti hai….
 
Vo riyazaten jo umr maangti hain...vo ibadaten jo daur mangti hain...vo mohabbaten jo shaur mangti hain.....kya inse hi milti hai marifat ki gali...khuda ne kaha mai kahan nahi...teri soch may hun mai...tere jism-o -jaan may...tere khayal-e-begumaan may....tu jahaan na pahunch sake us laa-makaan may.....mai kahaan nahi.....na mujhe tujh se kuch chah hai...na arzu koii..teri arzu may bhii mai ,tujhe arzu hai meri raza ki agar....imtihaan sakht hai..magar himmaten bhi mai hi bakhshunga tujhe....hauslon ko tere azmaunga bhi mai....mohabbaten bakhsh kar tujhe tujh se chin le jaunga mai....yehi marhala tujhe mujh tak le aayega....is derd ki dawa mujh se hi tu paayega...gar ghaur kar sake saa-at ek kaafi hai teri...samjh aajayengi tujhe raahen meri...manzil-e-maqsud ki taraf gar badhenge tere qadam..her qadam per tere milega rahbar....tanha tu kahin bhi nahi....asmanon se bhi pehle tu mujhe paayega yehin..
Duniya arzuon ka lapakta shola hai jiski hasrath may insaan khud ku bhula hai...rab ka wasta tujh ko,kuch saansen baaqi hain...waqt rehte inhen rehmat ke qabil karle....khud ko mohabbat ke qabil karle....

Jo gul khwaab they sab tere astaane may they...jo khaar they zeest ke teri mohabbat ne chunn liye...arzuyen sabhi nadim raheen apne aap per..shikayeten apne aap per khafa hone lageen...kuch is tarha badla gaya rukh taqdeer ka...zindgi jaise khwab hai aur duniya khwabgaah....waaqi ek khwab musalsal hi tou hai jiski taabir sada ulti hai...chahe kuch ,dekhe kuch...paaye kuch....jub tak saari kadiyaan mil nahi jaateen sare taar uljhe rehte hain...inko mazeed uljhane wala hi suljhane may madad karta hai...saayel ka haq hai paana....Daata ka karam diye jaana....

Na hindu,na sikh,na esaaii na muslim,yaad ho Adam tou sab hain ek jaan...ye shar ki ekhtra thi,mazhab ke naam badle....dil wahi they samjhne ke andaz badle...ye khaali zehnon ki jaageer hai..haakim khwabon ki tabeer hai....Insaan gar sochta, paata sada tahi-dast lachaar khud ko...ek ek saans per qabiz hai jo,usi ki rehmat ka haasil hain hum....apni merzi na aane may hai na jaane may hai...her taraf uske karam ka hi nazara hai....sab jaanta hai admi....phir bhi baaghi hai behkta hai admi....usey apne dil-o-dimagh ka ghurur hai...jo insaan ko rahmat se mile....Qaadir agar chahta ,bandon ko ye sharf milta nahi....vo janwar jinhen be-zubaan hi rehne diya unme hi shaamil karta humen...magar ek sharf unko bhi mila hai ghaur kar sako tou karo....unme wafa hai...unme saath nibhane ki ada hai...unki misaal sab se juda hai....hum insaan khalifa-e-duniya ban ke aaye...khilafat ke zorr per zameen may kya kya gul khilaye....ashrafon ne sharf apna pehchana nahi...khud ke wajud ka matlab jana nahi....bas saluk se pehle raah-e-gunaah per rakha qadam....shaitaan ki sohbat raas aane lagi her dam....ke usko pasand hai bartari...vo sadion se isi liye bhatka kiya....insaan ki bhatkan usey mehbub hai...qudrat se ladaii usko marghub hai.....ab ye kahaan jung khud se kare...adam ki niyaat kahaan itni jaldi bhare....khahishon ki baad may jo bah gaya....usey her qadam per iblis aad ban kar milgaya....Aaa dekh yehaan tu mehfuz hai....ayesh-gaah-e-tarab meri tujh se hi mansub hai....jo Rab ne radd kiya vo dunga tujhe.....tu jahaan us se milega mai wahin milunga tujhe...her bigdi huii imaarat ke nazdik hun...tere khayalon ka khandar hun tuti hui daheliz hun...mai tere nafs ki jageer hun....mai tere abad tak saath tere rahgir hun....Haan agar tujh may siwa uske koi khahish nahi....phir samjhle waan teri pursish nahi...mai darmyaan qaliq-o-maqluq ke us waqt hota nahi.....jub banda sajdon may khahishon ke liye rota nahi....roye nadim tou rota hun mai....is per qabza mera kyon hota nahi....ek baat tum ko pata hi nahi...kaii naam mazhab ke maine hi rakhe kaii...mai insaan ki taqliq ka mara hua....ek adam ki khatir junnat haara hua....asmanon se gira bihsht se kinara hua....tab se adami ke dil ka chor hun.....jo kamzor dil hain un ka zor hun....gharz bach sako mujh se tou bacho....Raah khuda ki chuno...wahin se hi mai bhi aaya hua....apni ana ka mai sataya hua...mitti ho noor ho naar ho sab uske isharon ki dane hain...koii kisi se barter nahi...ek wahi sab se barter azeem....jo samjhle kehlaye faheem.....

khwaab ho ya khayal ho,hijr ho ya visaal ho
uski khushi pe rakh nazar,apni khushi kabhi na dekh
sajda qabul ho na ho,is se tujhe gharz nahi
ferz ko apne kar,haasil-e-bandgi na dekh
ishq hai asal zindgi,ishq to khud hai bandgi
haasil-e-aashiqi hai kya,haasil-e-aashiqi na dekh

Raah-e-Ishq







mujhe gumaan tha ke chaha zamane ne mujhe
azeez sab ko thi magar zaruraton ki taraha

jinke liye sada tadpa kiye....jinka her derd lahu rulata raha.....vo her rishta jo qudrat ki dane tha...aaj mud ke dekha tou bas ek khwab sa laga...jise khuli ankhon se nibhaya gaya....aur jinki yaad may khud ko bhulaya...unhen ab hum yaad bhi na they....khud ko halaath aur gardish-e-zamane ki saleb per chada kar ye socha tha ke chalo kuch tou zindgi ka mole tha...kisi ke waste hi sahi ye zindgi kaam aagaii...magar ye bhi ek saraab tha...nazar ka dhoka.....apne aap may ek sangeen sachaii....ke jo preet humne nibhaii khud humen hi ras na aai...haqeeqaton se nazar chura kar ek umr ganwaii...ke jo anter Aatma kehti hai hosakta hai mahaz ek gumaan ho...hosakta hai...magar aisa tha nahi..aur baatin se ubharti huii awaaz jhutlaii kaise jasakti thi....but gaya her vo rishta jise samet kar rakhne ki koshish ki..umr ke vo saal jahaan arzu jawan thi...khwab haseen they....jinko diye vo mah-o-saal unki yaadon may tak zaya hogaye....kisi ko ab kuch yaad tak nahi...rishte....jinki buniyaad ki misalen di jaati hain...jinse nibah ko ferz samjha jata hai....sirf aur sirf mohabbat per hi tike hain...gar ye nahi tou kuch bhi nahi...

Mohabbat bhara dil samjhoton ke liye hamesha tayyar rehta hai..muafi khuda ka pasandeeda amal hai..laghzishen nasl-e-adam ki ghutti may padi hui..so inki sazaayen nahi di jaateen..so darguzar ke lambe arse ke baad bhi ....is kinare se us kinare tak ek sunnatta hi mila...sawal mile..shikwe shikayeten mileen..ilzaam mile....jinhen pure dil-o-taujoh se suna...samjha...samjhane ki koshish ki....umhm...sab be-sud...insaan apna karam sirf apni mohabbat-o-khushi se karta hai...phir badle may jo bhi mile unka ranj kya....

Aise they khokle rishte jinke darmyaan saans lena mushkil hogaya...aur apne ander jame jamud ko todne ka wahed zariya qalam tha....ye qalam sab se pyaara aur sab se purana saathi....haan yehaan vo saare baandh tute...saare ruke huye chasme phute...saara lava bah nikla....

Rahbari ki sangat ne isey ek naya mod diya....khud ko bhulja...phir kya tha...wahi lafzon may dhalne laga...mano mujh se vo likhaya gaya jo beetne wala tha...waqi ek shayer ne sahi kaha...ye sher ilhami hain...ye khyal khuda ki dane hain...ye tajruba bhi kiya maine...gharz,rishte jis rang may bhi milen, aur unsey humen jo bhi mile....her haal may apni haqeeqat rakhte hain..derd den ke khushi....saath chalte hain....

Ajmer shareef..jahaan pahunch kar logon ko madine ki galiyaan yad aajati hain..Gunbad-e-tajdaar dekh kar saltanaton ka ser jhukana yaad aata hai...aur soch ki perwaz un sajda-rez dilon ki janib jub hoti hai ....tab vo manzar saaf dikhaii deta hai...ke dilon ki aseeri kya hoti hai...ye qilla fatah kaise kiya jaata hai...jo kal talak zameenon ki taskheer per maghrur they...unhon ne jaana ke asl maza tou aseeri may hai....khud ko unke karam ke hawale karke khud saayel bane jo haazir huye...vo ek pal jise bhi naseeb hua vo ghani hogaya....


Gharz taaragarh se wapsi khaali haath nahi huii ..koi saath bhi holiya...wahi banda-e-khuda jo achanak namudar hua tha..mujhe to aisa lagta hai jaise raah-e-khizar se khizar ki rehbari .....dusre din alas-subha jub namaz-e-fajar ke baad hum Arcot dalan se khuddam ki khidmat-o-aqeedat ka nazara le rahe they...us waqt ka samaan bada rooh-perwar tha...gulabon se mehkta hua ....her ankh makhmur thi....goya ab kisi nazare ki hawas usko nahi...aur ho bhi kaise...junnat ki hawayen..deedaar e khwaja fakhr-e-do jahaan..unke ashiqon ke jhund.....vo ped jiski nhanni munni chidiaan tak paband-e-ehtraam dikhai deti hain...waqt-e-namaz achanak unki chahchahat ka ruk jana...kyon na ho...aakhir HindulWali ka dar hai..aur her dil ko rab ki jaanib adab-o-ehtraam lazim hai..

Darr-e-nawaz per bula kar apne qurb-o-mohabbat ka waseela baksha khuda ne....uske ayaan hone ke andaz nirale hain..kahin koi jabar nahi...kub banda uska hojata hai khabar nahi..vo be-sukun jise sukun ki ho talaash...dar-e-nawaz per jaaye..aur dil ki murad paaye...isi may chupa hai khudavand ka raaz...saari bechainion ka jawab ban kar milti hai unki mohabbat...ye silsila-e-fazal-o-karam ka markaz-e-wahed faqat ek dil....jo khud ki justaju may khuda ko paaleta hai...khuda unhen hi milta hai jinke dilon may wassaten hon.....uske qurb ki chah ho...uske mehbub ki mohabbat ho..yehaan mehbub ki mohabbat her mohabbat lutati nigaah may mili..vo jaanisari ka shauq,vo karamfermaii may pehal...vo rahnumaii ki mashaal....gharz ishq ishq nazar nazar....her nazar karam ki nazar....

khamoshi bol uthe her nazar payaam hojaye
ye sunnatta had se badhe khoraam hojaye

Bas khoraam hi tou mach gaya tha ..us waqt charon taraf afratafri thi ..kirdar-o-akhakh kodion ke mole bik rahe they...bhaii bhaii ka dushman bana baitha tha....her rishta apne buniyadi usul kho baitha tha..aur derd-mandon ke derd pukaar ban gaye they ek subha Saadhiq mili zulmaton ko...ek Ose ki bund ankhon may shaamil huii....moqadas duayen unhi ka mehkta paighaam theen....aamad aamad thi ek naye daur ke ibtida ki..log kal talak zindgi ki uljhanon may uljhe huye they..unhen apne siwa kisi ka hosh na tha...tez-raftar zamane ne hungama barpa kar rakha tha..koi lamha fursat ka ghum-e-dauraan se khaali na tha...aise may apne tamamtar fazilaton ke saath Rehabar Kaamil ka miljana khushnaseebi thi...Ghareeb Nawaz ko jis kaar-e-khair ke liye mulk sonpa gaya ...us ki ek kadi yehan aakar mili...unke Carvan ka salaar they...khalifa-e-daur haasil-e-murad-o-surur khwaja saheb ke payamber they..waqt ki maang ko samjhte huye naye daur ki naii nasal ko bilkul unhi ke rang-o-roop may mile...aur unhen apne qareeb karne ka amal itna sada aur dil-fareb raha ke unka rishta her rishte se barter ban gaya...dilon may nazdikiyaan paida karne ka saleeeqa mil gaya musahebon ko saheb se....

Murshad ki nazar e karam khud daras hoti hai..so unki her nazar,her lafz amal ki taraf raghib hone ka paighaam tha....ghaur-o-fikr ki ek saa-at ibadat se badh kar hai...baat samjh may aai...aur lamha-e-fikr baatini safar ki raahen tayeen karta gaya....aur hum-qadam rehbari hausla badhati rahi...gharz sare sunnatte bol uthe...aur khamosh paighaam dilon tak pahunchne lage...ye karam jiske peeche khud Khuda karferma hai jub bandon ko miljaaye tou samjh lena chahiye ke talaash mukamal huii..
Talaash ko jub manzil miljaaye ...phir karam ki ibtida hai...so jitne daras mile unki tabligh ka zimma bhi khud bakhud nasib hojata hai...vo yon ke dil khud bakhud uski zubaan ban jaata hai .so jub bhi zubaan bayan huii paighaam-e-rasti ka izhar huii..so saheb...humen jo mila vo sab may bant-te rahe....haan derd dil may rahe khud sab ka darmaan bane...dil aur dimagh aksar mutazad rahon per modne ki koshish karte hain...aise may imtiyaaz-e-haq lagaam ban jaata hai...raahen khud bakhud samne aa khadi hoti hain..ye khuda ka karam hota hai...gharz buniyad mazbut ho tou banda asal pa hi leta hai..kyonki haq apni jaden door door tak phailaye hota hai...bhale waqt unhen kamzor karne ki koshish kare..waqt aur halaath gumrahi ka sabab hote hain....aur khuda jise chahe usey madad faraham karde...Rahbari ke liye bhi dil chune jaate hain..nigaah-e-khaas ke bhi makhsus markaz hote hain...jub batini paighaam miljaye...ye khusbakhti ki dalil hoti hai...

So saheb...safar ...Rehbar...aur mere Khwaja ka dar....zindgi khubsurat hogaii..unki zaat ka sukun meri zaat may uter jaaye dil yehi mangta raha...kyonki is se badi daulat koi nahi...kitne log jaante hain ke khushi kise kehte hain...ye israar khulte khulte ek umr beet jaati hai...zindgi ka her falsfa dhara ka dhara reh jaata hai...insaan jo khwabon ka aadi hai haqeeqaton se ghabrata hai...jub tak unka saamna karne ka hausla juta paata hai...khwab aur haqeeqaton ki kash-makash usey adh-mara kar deti hain...zindgi bojh ban jaati hai...so is se pehle ke zindgi ki shaam hojaye kyon na zindgi se mila jaaye..uski maang ko samjha jaaya...us laa-zawaal sukun ki jaanib dil ko raaghib kiya jaaye jo saare mahol ko baharaan karde....sukun hi khushi ki jud hai..gar ye nahi tou naam-nihaad khushian kub maza deti hain....so rab ki meherbanion ko mehsus karna hi khushnasibi hai...

Mere safar ka ye padau abdi khushi le kar mila....mujhe musafaton ka pata hi na chala...humsafar hum-qadam ke rang may saara alam rangeen tha..aur ye rang insaniyet ki meraaj they....

raini chadi rasul ki, rang maula ke haath
jiski chunari rangdi, uske dhan dhan bhaag

sitamgar sada hansta raha...usey ghurur tha khud ke taqatwar hone ka...uski zad may kitne dil they..unki halath-e-zaar se lutf andoz hona koi is se seekhe...ye waqt...daur pe daur laane wala ye waqt...be-wafa kabhi, kabhi atta...koi kahaan samjh paaya iski chaal...aksar dil nadaan aate hain, namurad jaate hain..fikr ka lamha gar mil bhi jaaye tou daman sirf pasehmaniyan liye milta hai....kyon ki tab tak waqt apni chaal chal chuka hota hai..yaane charon khaane chit kar hi deta hai...sabr ki talqeen bahut asaan, amal bada mushkil...bahut kum dilon ko ye nasib hota hai..qina-at ki daulat jiske haath lagi vo azaad raha...her zanjeer se....usey waqt bhi na kamzor kar saka..bulki usne waqt ko thokar maari....haan jo azal se hi sisakta raha usey sada ye rulaya kiya....badi sitam-zarefi hai ye...
Gharz isi waqt ke hathon kaii dil lut-te rahe..naya kuch bhi nahi tha...per jis per jub bhi beeti uske liye tou sab kuch naya hi tou tha...uski hairan nigahon per kabhi waqt ko bhi pyaar aaya...haaye zalim tu kitna nadaan hai..tu ne mujhe nahi pehchana...mai vo waqt hun jo kabhi wafa na kar saka....arzuon ki tarha ,jawan saalon ki tarha,ummidon ki tarha,mai bhi haathon se phisal hi jaata hun...teri giraft may kabhi na aasaka vo waqt hun mai.....kaash..tu samjh paata....tu samjh ke bhi na samjha....waqt se bhi bada ek aur sitamgar tujh per haawi jo hai....jiska nasha hosh may aane hi nahi deta....bande ki buniyad bana baitha hai jo..khudaii mohabbat...ke mohabbat hi khuda hai....haan saheb...mohabbat hi ka nasha .......hosh ki dawa waqt bhi na karsaka.....bas yehin tou maat hai...jahaan gum bande ki zaat hai...warna waqt ki kya auqat hai......

Raqeeb jahaan may bahut mile hain magar habeeb jo they unhen bhi hum paa na sake....ke talab ,faslon ki marhun-e-minnat hai...so hum bhi ab is dil ko veeran kar ke dekhenge...na kahenge kuch na sunenge...bas khamosh duniya ka tamasha hum bhi dekhenge....lahu ro kar khud natawan huye....lahu le kar arzu jawaan rahe...her chah mange hai rasam nibhane wali....ek-tarfa wafa hai hosh udane wali..azmana ho ,khud azamaye jaane ki shert rahe...
Khuda ki hikmat ...merdem shanasi hai...khuda bande ke darmyani kadi karsazi hai...waseelon ka matlab kitne jaan paaye hain..ye dostaan sab ko khuda se hi milaane aaye hain..yaqeen-o-gumaan ke darmyaan zindgi adhuri hai....saanson ki laye ke liye dhadkanon ka saaz zaruri hai...in sanson ke zer-o-bem may hi chupa hai vo lamha...jahaan bande ki soch tak na pahunche .........majnun dil soch se bhi khaali....jise apni khabar nahi vo kisi ki kub socche....karam ke andaz sabhi nirale hain....uff ye ashiq kitne bhole bhale hain...bande ki be-khabri may hi apna banalen....bande ko mehafil may apni bulakar jub chahen azmalen...
shab-khoon may mare gaye kitne....kitne dil bechare neelam huye....boli lagi qeemat badhi...unka naam sunehri hurfon may...jinhon ne waqt-e-faisla-e-saani bhi hosh may aana gawara na kiya saheb....mohabbat waqi jaadu hai...ek aisa rang hai saheb...ke ankhon se saare rang chin le jaaye..khuda ko pasand hai jo, uske ashiqon ko wahi tou mila hai...her mehbub ke dil may vo rahega ye usi ka faisla hai....ye derd ye hijr ye aahen.....usey itni pasand hain ke...apne mehbub ki deed se uske muhib ko tak mehrum rakha hai...ajab lazzaten hain ulfat ki azmane may....mohabbat hi khuda hai aur yehi shert hai khuda ko paane may....
Dar e Nawaz se jo mila hai vo to saans saans may mehkta hai..vo rutba jo bulandion ka zamin hai Rab ki zaat se hi juda hai..phir bande ke ehsasat per chahe bijliyan hi kyon na giren...jalaa kar usey khakster hi kyon na kar den...raakh bhi gawah hogi...mujhe ye mere mehbub se hi mila hai....maine usey surma bana liya..nainan may saja liya....usey garwa laga liya....usey yon apna bana liya ....ab judaii mumkin hi nahi...ke ye tou Rab ka faisla hai....ke wahi tou mera hausla hai....
mai sochti hun ke sochun kabhi tou uske siwa
karun mai kya meri chahon pe uska dera hai

----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

sahare dhundta hai jeene ke admi
admi se hi uns rakhta hai admi
ummid ki kiran banta hai admi
ek dusre ka darpan banta hai admi
gharz admi, admi ki pehchaan admi
admi ki jaan leta hai admi
admi ko jaan leta hai admi
kabhi khud-gharz ,kabhi be-gharz admi
kabhi shikayeton ka daftar hai admi
kabhi inaayeton ka samundar hai admi
saari kainaat ka manzar hai admi
rab ki zaat ka kabhi mazhar hai admi
khud khuda ki zaat ka safar hai admi....

kainat ka zahur...bande ki zaat ka zahur...faqat khuda ki khudaii ka zahur...her surat may uski zaat ki hi pehchaan admi...duniya bhi mili dil bhi mila..aqal bhi mili...jahad ki taufiq bhi mili....phir bhi nakara na-ahal admi...unme se kisi ko mukamal na apna saka admi....lamha lamha badalti soch may uljha sa admi..halath ki chakki may musalsal peesta admi...waqt se baghawat karta admi...khud apni zaaat se mukarta admi....

ilm-o-amal dono maangte hain takmil...isi se hoti hai insaaniyet ki, tashkil.....ilm ghaur-o -ikr ki raah hai...amal khulus-o-niyet ki chah hai....dono raahon per raahi eksaan qadam rakhe bhi tou darmiyan phir bhi koii .....raah bhi milti hai bhatkan bhi...azal se bhatkna admi ka chalan bhi...ke ekhtiyar usko bhi mile hain jisne bhatkaane ka ahad kiya hai...ye ekhiyar bhi aaala se hi mile hain...jahan nighehbani hai wahaan shaitaan ki mehmaani bhi hai...ke rang rasiya roop basiya munbhavan jo hai..aag ka darya hi sahi pyaas badhaye jaata hai...jub tak haath nahi aata...haath aajaye to jalne ka maza aajata hai.......

khubsuart lagte hain ojhal nazare bhi...haseen hain raaz khulte saare bhi...ek dil hai aisa....jinme sama jaate hain saare derd ke maare bhi....kitne perdon may khud ko chupaye hain...Ajmer ki galion may unke hi saaye hain..dar-o-deewar se khwaja ki unko mohabbat hai..unki mohabbat se sab ko aqeedat hai..ankh saaqi-e-mohabbat hai...dil darbar -e-rehmat hai...aise may koi kaise hosh may rehta hai...saare derd nasha masti....bhulade fiza apni hasti...gul gul bulbul her koii bole unki hi boli...deewani hawa mastani unke hi peeche peeche holi...

Vo shaan-e-dilrubaii kya kahiye...vo junun-e-ashiqi kya kahiye...dil dil hua maye-kada...her simt nazar aaya khuda....sunte rahe ek din achanak le jayega...sab dhara ka dhara reh jayega...phir taayari kaisi...be-sakhta be-ekhtiyari ka kaam hai huye jana...hosh may mai rahun ya phir zamana....dono suraton may ilm ki haajat usko nahi jo laa-ilmi may dil-o-jaan suprud karde...be-talab kuch bhi nahi...yaan bhi talab mange hai nigah-e-karam...maqbuliyet iltija ka dono suraton may qayam bharam...mujhe apne khadmon may jagah de do...mujh ko apne saaye may panaah dedo...ek pal ko na mai door rahun...na tum meri nigahon se ojhal raho...in be-noor dhundli ankhon ko vo nazara de do....dubti kashti ko apni ulfat ka kinara de do...ek lamha kub se takta hai tumhen.....ke mai anjaan nahi teri be-chinion se ,kya mai pareshan nahi...mere muhib teri mohabbat ki qasam...apne mehbub ka payega ek din tu karam....paane ki chah tujh ko ,to dene ki chah mujh ko bhi....sabar ki baat pe kahin tut na jaaye tu...ek tehrne ki saza na miljaye mujh ko..teri tadap saza meri hai..yehi kahega mere aaqa ka dil….

Mere khwaja....aapke matwalon ki hajjat bas aapki ek nazar...ek karam ...hojaye aaj phir ek karam ..sukun ki ek halki si leher aa aa ke kehti hai chu le mujh ko...dekh mai wahi ehsaas hun jahaan se haasil hua tha tujhe apne inshaan hone ka bharam..mera ser jhuka hai muntazar, miljayen aapke qadam..ek dua ban kar...ek dawa ban kar...rooh ke her zakhm ko mandmal hote dekha ..is baar bhi hojjaye ek baar phir wahi nigaah-e-karam....safar kathin hai...hum na-twaan...aapka saath hamari ummidon ka nishaan....her dil aapke rubaru hojata hai be-zubaan...mangte ki jholi ummid se kub khaali hai...vo sada aapke dar per ulfat ka sawali hai...dil khaali ankhen, samne roze ki jaali hai...mere "piya" ki gali gali matwali hai...derd ke maron ko yaan aake chad jaata hai surur...aapse milkar khud pe aajata hai ghurur....mera saaya-e-amaan dar-e-nawaz sa kahaan...aapke dar per sarbasta mere dil-o-jaan..meri mohabbat wafa sada qayam ho..aapki ulfat sab ke liye dayem ho...ab koi roke na mujhe toke na mujhe chalna hai mujhe koocha-e-mehbub bulaye hai dekho...un tak pahunchna hai mujhe amal ki seedhion per...ya khuda surkhuru karde ab shuru hone ko hai safar.....

Azam kaii lekar,ek arzu ka safar ban kar,mohabbat-kade se nikla ek dil.....her su veerani si...saathi koi nahi..faqat ek tanha dil...umid ki dagar per...koi dil kaise bhala dhadke uske seene se juda ho kar...saans leti huii zindgi baar baar puche hai jism se bichde ho ke rooh se...ab kaise ji paoge dono se juda ho kar....ye kaisi udaasi hai her simt jo chaii hai....duniya se juda hona shayed isko hi kehte hain...

ye bhi dekh liya.....jub jaden chut-ti hain tou shajar ka murjha jana taye-shuda amal hai...bas apne watan se jub hum nikle armaan kai bichde...kooche se sanam tere jis tarha ashiq ka dam nikle...her saans hai madham si ...haule se thaame rakhti hai aas koii jaise....mere dil se kahaan door hai dar tera....ek saya hi sahi jis per tika hai ser mera....ulfat ke safar per her dam ashiq ko darkaar hai Rahbar....ab na satao aajao tulu hone ko hai ek aur sehar..is ujaale ko maan ke mehbub ki muskaan...ek baar phir hatheli per rakhlenge apni jaan...

mat pucho ghum kis ka hai...isey raaz hi rehne do....sawal sabhi nazren...kitne tamaskhar hain...kaise bataun mai yaan sab hi mukhbir hain....baat hi kya vo honton pe jo aajaye...ishq hi ka vo jo ankhon se chalak jaaye....mohabbat ka saleeqa unko hi aaye ,ekbaar jo mere khwaja ke dar pe chala jaaye....her ankh pyala hai....her dil madhushala hai...un jhukti uhtti palkon ka paigham niraala hai..aapka aye rehbar mohtaram...her manzar dekha bhala hai....darjon may na simti hai firqon may na bati.....inayeton ke khazine lutne ko sada tayyar.... mangne wale ke dil se kub aapki nazar hati....

Haan jinhen mangna na aaye ek bund hi chalkaye phir dekhle badal bin barse kaise reh jaye......us derd ki qasam hai jo tan mun jhulsa de....zarb gar kaari ho pathar ko paimana bana de....ye saare hunar humne seekh liye un se...shamma ki hasti perwane se milkar hi sanwarti hai......jalne ka shaur yehi...waqt aag ka darya hai aur hijr hi kashti hai.

Hum sochte rehte hain atta aur tarah se
Deta hai dast-e-karam aur taraah se

Wednesday, December 3, 2008

Raahbar


Arz-o-sama kahan teri wassat ku paa-sake
Mera hi dil hai vo jahaan tu sama sake


Dargah-e-shareef ka gosha gosha ihata-e-noor hi hai...magar Arcot dalan ke panah-gazeen jaante hain rang-o-noor ki barsaat ka aalam...mere rehber kehte hain qadmon may jagah miljaaye wahi afzal hai..aur adab ka moqam bhi..waqi...waan se dar-e-Nawaz nigahon ka markaz hota hai...her chahne wale ki chahat ka manzar dikhaii deta hai..her dil kaif may duba hua duniya-o-mafiha se bekhabar bas ishq ki misaal nazar aaata hai..

Masnad-e-ishq hai saji,imaan jaa-baja bicha hua,fiza gulabon se mehki mehki huii,dil bas saakt deedar may khoya hua....sach kaha jaaye tou ye nazar rukh-e-roshan per kahaan tiki...vo bas rooh ka safar karti rahi...ajab khulaii safar tha...haan khulaii hi...jub ander bahar sab sunnatta ho...aur dil her arzu se khaali ho..sohbat-e-haq khud-feramoshi taari kar de,her pal javidan karde...bas haal-e-dil phir bhi bayaan na ho saka...kuch aisa samaa tha ke is se juda hone ko dil nahi chahe...

Saalon ki musafat-o-thakan ke baad padau nasib hua...yaan pahunch kar yon laga saari kofat jaise ghayeb hogaii...her yaas ne chola badla...her hasrat ko araam milgaya....Aah saari khahishen heech hain ek is jalwe ke siwa...sach mano to insaan ko khahishen hi kamzor karti hain...yaan her khahish sirf ek vird may dhal gaii..

Jinki rehbari ne asli moqam-e-ishq tak pahunchaya , jinki sohbat pal pal marifat ho, jinki nigahen buzargan-e-deen ki taleem ka pata deti hon , jinki zubaan Huzur ki mehafil sajati ho, jinki hikmat Rab ki qurbat tak ki rasaii ke siwa kuch bhi nahi..vo waseela jo khuda ku khud pasand ho jise miljaye tou phir vo kyon kar na deewana hojaye..insaan jo ilm-ul-ain ka rasiya jo tehra....bas tou phir pehchaan ka safar taye karne ki mohallat bakhshi gaii...bareekbin nigahon ne buniyad pehchaan li...bas tameer ki taujha ki der thi...so daras shuru hogaya...jahaan na zubaan ko kaam tha na mulaqat ka ehtmaam tha...faslon se bhi paighaam milne lage...jo sirf us dil ko hi mile jinse ummid thi....ummid...khulus-o-niyet ki ..jiske baghair ye safar mumkin hi nahi.....

Mujhe naaz hai unke karam ke mai qabil rahi...dua yehi ke sada qabil rahun...mere khuda mujhe tu bas apna banaye rakh...meri chahton ke silsilon may teri hi tou ronumaii hai..mujhe aur kya chahiye..haasil teri rehmat rahe...mere rehbar kaamil ki sada meri sadaon may jub se shaamil huii....meri samaton ne jabaja unhi ko suna...her sawal se peshter mere jawab mujh ko mile...sawali donon jahaan may mashur hogaya....ye karam murshad-e-mohtaram aapka....

jahad ki her raah per ek imtihaan mila ...mai ladkhadaii baar baar...her waqt unhon ne thama mujhe...mere sukun ki dawa wahi..mera imtihaan wahi....kitni nadan thi mai...hikmat kub samjh saki...baad ye bhed jaakar khula ye thi is safar ki ibtida...majazi se haqeeqi ki taraf..badhte her qadam tale nafs angara bana....khahishon ne rang badal badal kar her mod per ishara kiya...insaan ki aqal per jub dil qabiz rahe..phir kahaan dil ke siwa kuch dikhaii de...Haasil jo hua vo tha karam be intiha...

Veeraan gulshan ko sarsabz baharan hone tak maali ne chaman ki saari veerani khud may utarli...khud chaman ban gaya...gulshan ki kali kali mehakaii...gulshan bekhabar raha is achanak bahar ki amad may chupe ishare se...gulshan ki hasraton ki shaam aakhir dhal hi gaii...usne jise bahar samjha tha usey milgaii...jhonka bahaar ka aake guzar gaya...daali daali patta patta ek naye husn se aarasta hogaya....ye dane thi saheb-e- jamaal ki....jisne apne mohabbat ke noor se veeranion ko roshnion ki khairath bakhshi....

Mohabbat her roop may kimiaii asar rakhti hai...tarse huye dilon ke liye zindgi ki soghat ye...jaan balab dilon ke liye aab-e-hayaath ye......beshqeemti hai agar sachi hai...isi ehsaas se hausle qayem hain...azam panapte hain...safar asaan hai....zindgi ki tahreek hai ye...warna khushi ka moqam kya...so saaheb....nawaze jaane ka amal sirf nawazish paane wale per hi ashkar hota hai...mere her ehsaas se pyaara ye khayal hai ....ke vo mere sang safar per....

Dauran-e-daras ek moqam aisa aaya ke duniya bojh lagne lagi...bas arzu yehi rahi ke ab kuch nahi...bas lagan rahe mere rehbar ke qadmon ki...vo nishaan hain meri najat ke..vo charagh hain meri kainat ke....sard-o-germ se jujhte saubaton may khud ko khojte mushkilon ki talaash may ...raah-e-mehbub ki paasdari ka sila chahne walon ko nawazte..her nazar paighaam hai...her karam imaan hai...aisi sohbat ki lagan kub deewangi bani...kub junun ne begana-e-duniya kardiya pata hi na chala....her taraf jo bhi mila...jisne jo bhi kaha ,lafz lafz may wahi maujud they....najane kub is yaqeen ne mujhe mujh se juda kar diya....aur mujhi ko pata na chalaa...

Banda her surat may hikmaton ka aseer hai...waqt ki her maang usko karni hai ada..her rishta jis se vo hai bandha, unse her surat nibah chahe hai khuda...so madhosh bekhabar majnun bekhudi ki achanak mulaqat ek hadise se huii...nagahani hi tou thi..jise umr bhar socha kiya...jiski her dam hasrath rahi...jo kabhi na mil saka...jiski koi arzu baakhi nahi rahi...jo halath ki her maar ka adi hochuka....uske samne arzu jub pesh ho....phir usey kiska hosh ho...ye azmaish bhi thi...aur hosh ki bhi thi dawa...per kamzor nadan dil ye maar seh na saka..umr ka pehla tajruba jo anmol tha....usey khud ke liye thofa samjh naaz qismat pe karne laga....kahin door vo sitamgar lamha khada zer e lub muskura raha tha.....

Aye bani nu ....bas teri pahunch yehin tak...tu khud se aage kabhi na badh saka....teri nazar gar tujh se hate...to jaan le rab ke faisle...mohabbaton ki dastaan sirf qalam ki meeras kya...gar ye ayaan to phir jo chupa hai vo kyon nahi hai nihaan....nadan bas ek hi waar may saari hasti bikher gaii...jo kal talak bezar ghum-e-jahaan rahe unhi may phir hogaye mubtila....vo bhi karam tha ,tha jo kal talak, ye bhi karam tha jo roop badal kar mil gaya...warna khud se mulaqat mumkin na thi....ek daur tha khud per hi roya kiye...jo apna tha hi nahi usi ke peeche dil laga raha....jo paas tha uski khabar na thi....

Ek bechaini baksh kar bismil ka rakhs dekha kiya....aur zakhm zakhm dastaan bana...duniya thi nasamjh....usne dekha sirf rakhs.....bismil pe jo guzri vo sirf janta tha wahi jiska apna sa haal tha....deen-o-dil ki serhadon may ghira ....donon may dhundta tha khuda.....

Mohabbat jub kisi dil ko bakhshi jaati hai vo sirf mohabbat hi hoti hai moqadas hi hoti hai...hijr-o-visaal ka khauf laazmi...arzu bhi usi ki dane hai..ye sab deewanon ka asasa hain...falsafa mohabbat ka sab ne apne apne dhang se samjhaya...koi kehta hai waan arzu ka dakhal nahi..koi kehta hai ummid ka wajud hi na ho...mohabbat apne aap may hi kaamil hai...saare jazbon ki sartaaj....waan her jazba jayez hai..haan zabt ki kasoti per qatal hona hi meraaj kehalaya..ye koi us beqarar se puche tadap ka maza kya hai...intizar ka janaza kaise niklta hai...ummid ka lahu kub sukh jaata hai...rang zindgi se kaise ud jaate hain...derd ka safar hai ye...isey mohabbat may mohabbat se taye kiya jaata hai....na paane ki tamanna na manzil ki chahat...bas socha kiye sada usey bekhudi may hum....ye lutf ye inbisaath zindgi may nahi...jub ho khayaal-e-yaar phir zindgi bhi nahi...duniya-o-mafeeha se bekhabar kaise hua jaata hai ye koi deewanon se puche...jinhon ne chakha ho is sangeen halaath-o-jazbaat ka maza.....

rafta rafta ankh se tapkti hai ye...her kasak may sada deti hai ye.....zakhmon ka nasha hojata hai isey....soz-e-jigar bhi naghma sara lagta hai...gharz uska her waar maza deta hai...tabhi tou tareekh banti hai ye....kitne jigar chaak kiye isne...kitne dil iski nazar huye....so ek aur dil ko jub ye sacha jazba sonpa gaya vo bhi inhi se guzra....ajab kya tha.....haan vo dil jiski chah may iski haqeeqat bhul chuka tha ...kya waqi ye jazba aaj bhi duniya may maujud hai? uske sawal ko jawab yon mila....saza hi sahi...meher hi sahi...mila tou....saza yon ke paane wale ki soch haqeeqaton ki mutlashi...dene wale ka karam azmaishi....ilzaam usi dil per aaya jo haqeeqaton se guzra ...guzra bhi yon ke sab gumaan sa lage..

Ajab dastoor hain ishq ke marahil taye karne ke....bas....shikaar hi jaane....ek agahi ka safar tha....her ehsaas naya paighaam liye milta...dekh ishq isi ko kehte hain....fana hojana...apni zaat se begana hojjana....yon hota hai deewanapan....ab tak dil ne hazaron sawal kiye they....jawab ban kar jazba-e-haqeeqi mil gaya....log kehte hain jazbaati hona thik nahi...jahaan jazbaat na hon waan mohabbat hi nahi....aqal ki meeraas unku hi mubarak...hum dil ke maron ki duniya her roz naii hai...her pal paighaam hai...


Tou saaheb....paarkhi ne parakh liya...ek aur dil deewana maujud tha....bas uska haath thamne ki der thi...ek aise safar per le jaya gaya jahaan aqal nahi pahunchti...na basaarat ki majaal....ke vo nazara dekhe....bas mehsusath ki duniya thi vo......khwab se jagaya gaya....asal se milaya gaya....Aah.....najane kitni todphod huii....wahi dil jaane....jisper guzri...haqeeqaton ko jhelna ...aasan nahi tha.......ek khwab...ek khayal ke sang puri zindgi chund lamhon may ji li gaii thi...vo pal tou sabt hogaye they zeest ki jabeen per baad-e-naseem ka pehla lams ban kar.....vo kisi taur noche nahi jasakte....haan ekhtiyaar de diya gaya...perwaaz ko rokne ka....

Ankh khuli to paas kuch bhi nahi tha....saara chaman veeraan hogaya...her jazba be-naam hogaya....bas ek mohabbat baakhi rahi....jo sang saans leti ho vo juda ho bhi kaise....

Baargaah-e-aali ke taye shuda faisle Dargah-e-faiz may amali jama pehnaye jaate hain....aur jinke hisse may fazal-o-karam ki nawazishen hoti hain unhen daawat milti hai...banda bekhabri may hi imtihanon se guzarta hai..raahen taye karta hai...manzil tou khair raahen hi nasib hojayen ye bhi bahut...so saaheb ....Ajmer shareef se hi vo nayaab moti mila...waan hi daras shuru hua.....

Ghum kya hai...aur ghumkhwari kya...derd kis ka shadeed hai...apna ya paraya....vo ansu jo dusre ke ghum may bahe hon vo anmol hain...so derd-e-dil bantne wale hi insaan kehlaye...itaa-at ki ek misaal ye bhi hai...ibadat ki ek kadi ye bhi hai...aur mangne se peshter dene ki rasam nibhaii jaati hai..aur banda jo behter taye kare vo khoobter hota hai...ilm-o-akhalakh ki buniyaaden mazbut ki jaaten hain..amal ki rahon per qadam der qadam rahbari milti hai...

Kise khabar thi ke karam khud bakhud apni raahen dhund lega...aur raahi hum bhi honge...hua ye....Dar-e-Nawaz per dil khamosh hogaya...nazar bolti rahi...Mere khwaja aapke der ka sukun her dil may phailta hua....ajab khud-faramoshi hai ...dono alam ke israar inme khulne lage....Aapke dar se khulfa-o-rushda ka milna isi baat ki tasdiq hai...aapke paighaam aapke ashiqan ki sohbat may jise bhi mile vo khaas hua....ye ezaaz mayus dilon ko bakhsh kar na-ummidi se baaz rakhne ki saii ki jaati hai...aur unke liye raahen tayeen ki jaati hain...jahaan sukun-o-mohabbat ki daulat ka suragh mil jata hai....

Arcot dalan ki raunaq mere rehbar ke dam se hai...unki masnad baqa-e -noor..unka wajud sarapa surur....nazar nazar mohabbat....lafz lafz aqaa ki aqeedat..mujhe hamesha aisa hi laga ke mere samne ek noor ki chadar tan gaii hai..aar paar sab saaf sa...na koi qad-o-khaal..na koi rang-o-roop...bas yahan se wahaan tak ek noor....khayal jub rubaru ho tou tassaur ki zarurat hi kya...ye haqeeqaten theen jo rubaru theen...mai bas sama-at bani sunti rahi aur sama-ten vo sunti raheen jo unhon ne kaha hi nahi....ye nisbat dil ki thi...ye aqeedat unke mehafil ki thi...ye khasa unki shaksiyet ka tha.....jo nazar araha tha vo kuch aur hi tha....jo kuch aur tha vo ojhal tha......meri hissen bedaar theen...meri zuban gung...dil tha ke pighla jaraha tha....jaise ankhon se bah jayega.....ajab alam tha....sadion ke derd phut phut kar bahne lage.....mano unke qadmon may doob jayenge....

Saaheb...unki nigahon ki muskurahat kehti huii milti " deewano,maine tumhen pehchaan liya hai..ab tum mujhe pehchano " mera paighaam lo...isey samjho...jano...aur itbaa-e-aaqa ke usul apnao aur apni buniyaaden mazbut karo...khokle jasd khaaki hain...roohon ki tanzeem hi asal maqsad-e-perwaz hai..her muskurahat bas ek paighaam thi...jise bas dil sunta raha...ser dhunta raha...sukun ki asal se mulaqat huii...bechainion ko qarar milta gaya..jaise bhatke huye musafir ko manzil ka pata mil gaya ho...jaise kisi pyaase ko paani ki ahamiyet samjhaii gaii ho..saraab hi sahi per nakhlistan ki jhalak safar jaari rakhti hai....isi tarha manzil paane ki tadap raahon per gamzan rakhti hai....azam qayam rehta hai...aur justaju baakhi.....ajab hikmaten theen...mutlashi ke liye waqt hamesha simta raha...aur manzil her qadam per faasla taye karti rahi...safar taweel se taweelter hota gaya...lamha lamha aagahi....her padau laga ajnabi...per raste sab ek they...aur her taraf wahi....

Aaj bhi her vo lamha rubaru hai ..jub khuda ki khudaii se mulaqat huii...ye dane dilrubaii..ye inaam kibriaii...unki sohbat ka her pal maseehaii...unki rehberi khuda tak ki rasaii hai...so saheb...safar us waqt shuru hua jub unki nazar-e-karam ne dil ki duniya badal dali...nazar kya thi..kya kahun alfaz nahi milte...agar isey mubaligha na kahen tou waqi ek jhankaar huii..ek dhamak si goonji...dil ekbargi saakt hogaya....khauf –o-adab donon eksaath pesh huye...un nigahon may saare jazbe numayaan they...jinme ulfat sarchasma ...ek dilasa ....ghumgusari....aur ek waar nafs-e-amaara per kaari....kuch chan se tuta...awaz ander door door tak sunaii di....bas us lamha ek banda chun liya gaya.....

ye alag baat hai ke kaun kitna qabil hai....nadan ko aaqil bana gaya...phir dil ki sairgahon may uljhaya gaya...donon muqamat ki rushnasi aur imtiyaaz ka mauqa faraham kiya gaya...dil be-niyaaz ...aqal-e-saleem karsaaz.....kiski bartari raas aati hai kise....ye tou tayeshuda fitraten hain jinse admi bache kaise....raah-e-wafa may dil ki baazi haar kar mehbub ko jeeta jaata hai...mohabbat itne rangon may muntaqal hojati hai ke banda hairaan-o-shashud isme kho jaata hai.....khayaal ka guzar bas sawal tak..

Gharz nazron se jo pilaii gaii vo marifat ki pheli bund thi...vo marifat jo asal ki hai...Aulia akraam ki sohbaten bashar ko qalb ki safaii ke pehle marhale se guzarti hain...phir unper karam ke derwaze khole jaate hain...banda khulus-o-niyet se chahe kitna hi nake kyon na ho...phir bhi uski shaksiyet ki poshida khamiyaan uske rubaru ki jaati hain...khud usey unse jujhne ka mauqa faraham kiya jaata hai...nafsani jung..bahrkaif nafs paspa ho hi jaata hai...kyon ki haqeeqat kamzor nafs ki buniyaad per panahgazeen nahi hosakti...so amali taur per muntakhab ko mazbut kiya jaata hai.......

Hmmmmmmm ye agahi ka safar bahut kathin sahi per darya surur ka....aur dilon ke serbasjud hone ka manzar bahut khubsurat hota hai...insaan ser jhukaye khwab-e-ghaflat may zindgi ganwaye....maza to tab hai jub bargaah-e-mohabbat may dil-o-jabeen dono jhukaye....ser se paon talak paa-e-yaar tale bich jaaye....khud se bekhabar ..ho bas usi ki khabar....jo hamesha mukhatib ke paas hai...ye saara faiz mere rehbar ke dam se.....mai unke her karam ke sadqe....mere dono jahaan nisaar unpe...imaan kahe hai yaqeen hun mai...meri jaan kahe unke qadmon may haseen hun mai...mehr-o-wafa kahe rehbari ki dane hun mai....

khatakaar ki ek naki uske her amal-e-ghaflat ka namulbadal hojati hai...ek waqya hai....ek sharabi nashe may choor sadak per ladkhadaye chala jaraha tha...dafatan uski nazar zameen per tiki..kya dekhta hai ke ek kaghaz ka tukda zameen per pada hai....be-sakhta usko utha leta hai...aur dhundlaii nazren usper chapi ibarat padh leti hain..Bismilla hirahaman niraheem....Ya Allah kehta hua usey ankhon se laga leta hai aur apni topi may rakh leta hai....bas rab ko bande ki ye ada itni pasand aii jisme madhoshi may bhi paas-e-adab tha..adab may jhalkti mohabbat thi...jo wahad-ahu la-sharika-lahu ki tazeem may rachi basi thi...so saheb...humara her adna se adna amal mayne rakhta hai ..sabaq awaleen mil gaya..aur dooam ye ke vo mohabbat jo bila-tafreeq sab may bat rahi thi..Dar-e-Nawaz per...mere rehbar ke dil se her dil may muntaqal horahi thi.her vo dil jisne ek nigaah unper daali...ek nigaah unki paali.ajab nazare they.jinme mai yon doobi ke dil us muqam-e-mehbubi se lautna hi nahi chahta tha.

"Gar tum apne aas paas bikhre rishton ko na nibha paoge phir mujh se kya nibhaoge."...mere rehber ka ishara panchi ko apni perwaz per lautane ki taraf tha..aur panchi jo qufas se azad hua chahta tha...ye duniya qufas hi tou lagi raaz paalene ke baad...her chehra ajnabi hi laga khud ke khojane ke baad...hwaqt judaii humne khud se tak ankh churaii..mubada dil kahin ye na kahe..naa jaa ab kahin aur tera thikana nahi...unki nazar nazar kah rahi thi..tu jahaan bhi rahega mera tujh sa deewana nahi....