Sunday, December 18, 2011

Khwaja Mere Khwaja

 


mera ji hai jab tak teri justaju hai
zaban jab talak hai yahi guftagu hai

Mere Khwaja aapke dar ser mera pesh hai...dil mera pesh-e-khidmat hai..jaan meri her lamha chahti hai yehi...mai rahun na rahun naam aapka rahe...mai kahun na kahun karam aapka kahe....qaul aapka herdam qaayem rahe...faiz aapka rehmat ka ek aisa silsila hai jo rehti duniya tak baaqi rahe...

Aapke saayelon may aapki pehchaan hai chupi....aapke saayelon ki jholi aapki ulfat say labrez hai...yeh gawah hai ke khuda ne apne khaazane-e-rehmath ko kahaan kahaan poshida rakha hai...mutlaashi ki justaju ,uska junun-e-ishq ,uski sachi aqeedat,uska moqadas irada,uski achi soch,uski chah-e-falaah hi usey haasil karsakegi...warna her kisi ko ye niyamat nasib nahi hoti..

Jisne bhi dekha vo mar hi gaya...vo husn hai mere sarkaar ka...rang-e-jamaal may jo dooba vo un hi ka sa hogaya...ajab khusbu hai sohbat unki...ajab surur hai bayaan unka...waqt teher sa jaata hai..is jahaan say jahaan waalon say door le jaata hai....jub deewangi ko hosh aata hai phir her lamha karam ban jaata hai....

Dosto,karam ka raasta awal aap kay ghar say hi nikalta hai..aur apno say jaa milta hai...awal karam faraayez-e-awalleen aapke rishte...inhi ke darmyaan ,in ko nibhaane ke dauraan, aapko apni ahaliyet ka patta chal jaata hai ke aapki fitrat ka rukh kis taraf hai...aapki zaat kin murakabaat per mushtamil hai....aap ka rehjaan kis ore aapko modta hai...aapke shauq ki daastaan aapke karam ki raah say mukhtalif hai...nafs agar khud say mukhatib hojaaye phir ye marhala asaani say taye hosakta hai...haan magar ye amar kathin zarur hai...magar chishtiya apne faiz ki manzil aisey hi paate hain...apna saara faiz auron pe lutaatey hain...


Her rishta faani hai...aap say aapke deewanon ka naata ek amar kahaani hai...ye aaj bhi aaj ke baad bhi baaqi rahegi...vo beej jo ek shajar ki dain hai phir ek shajar ban jaata hai....phir ye shajar kitne tapte dilon ka saaya ban jaata hai...kitne dil araam paate hain saaya-e-faiz taley..mohabbat jaadu hai...ishq nasha....karam surur ka samaan hai...ye kausar aapke dar per aa mili hai...wahi saaqi aapke payaale ko lubrez kar rahe hain....aapke pyaale say chalki huii bundon nay kitne jaam lubrez kiye hain....her bund ek saagar bana ..her saagar ek samandar....ye silsila-e-taufeeq jaari-o-saari rahe..Ameen...

Mere Khwaaja...aaj is hosh ke lamhe ko gawah rakh kar ye phaila damaan kehta hai...do haath judey hain kub say...ek dil sawaali bheega hai....do aankhen behti kehti hain...aapko un aankhon ki qasam jo dar per aapke mohabbat lutaati rehti hain...Bas ek baar phir karam hojaaye....is muntashar lamhe ko aapka karam phir mil jaaye....jisey haasil hojaaye panaah aapki uska daman khud panahgaah ban jaaye..maqbul dua karna ..qabul mohabbat karna...Khwaaja mere Khwaaja....Salaam qabul ho...mohabbat maqbul ho..Ameen..

tamana hai teri agar hai tamana
teri arzu hai, agar arzu hai