Thursday, April 28, 2016

Jashn-e-Vasal



hai ye khiraj-e-aqeedat
Mere Rahbar ki nazar
jinse mili mujh ko nazar

jinse ho kar guzri hai
meri her raah-guzar

Duniya bichdan ku hijr ka naam deti hai aur milan ku vasal kaha karti hai..ye tou apne dil ki baat hai apni soch ki baat hai...lafz khushi ka ihaata nahi kar sakte...na hi surur ka izhaar paa sakte hain..Ye tou mohabbaton ki baat hai...ye tou ishq ki soghaat hai...Aur ye tou unhein hi haasil hai jo dono jahaan haqparasti per waar dete hain..

Dum dum may jin ke Ali Ali 
un ki ek hi manzil ek gali

Hazrath Ali Murtaza razi Allahu anahu jaisa tanawar shajar jinper sayafagan hojaaye unhein mukamal taur per koi soch bhi kahaan paa sakti hai..Bas wahi niyamat dilwalon ki ziyafat ka samaan bani hui hai aaj tak...abhi tak..is lamhe tak...taqayamat tak...Mere humnafas dosto ilm tou aapko bhi hai...mera maqsad khud ko samjhana hai ...pehchan kar pehchan deni hai...apni aapko sunani hai...

Haan tou phir baat vasal ki horahi thi...Buzargaan-e-din ka visaaal hi unke vasl ka lamha hota hai..vo apne qaliq se is tarha milte hain jaise mehbub se sadion se bhatakta majnun ashiq zaar..usi may madghum hojaate hain jis se paaye they apne naqsh-o-nigaar....vo lamha jaangsal unke liye hota hai jo un buzargtaren hasti ke ashiqaan hote hain...phir bhi vo us din ko Urus ke naam se manaaya karte hain..yaad waqt ki mohtaj nahi...per judaii tou yaadon may teher jaati hai...aur yehi derd unhen raah-e-tabligh per maayel rakhta hai...ke jis silsile ki bina mehbub ne daali thi uska khiraaj yehi hai ke muhib apne haathon vo mashaal dil dil roshan karta rahe...ye roshni khud uski roshni may izaafe ka sabab banti hai...

jo zameen asmaan ke darmyaan 
ek noor ka sailaab baha de...
kyon phir dil usko rab sa na bana de

Jashan-e-Urus apne mubarak rasmon se arasta un buzargaan-e-deen ki moqadas khankhahon ko munawar karta hua laakhon karodon dilon ko noor-e-imaan se muattar karta hua saal dar saal chala aata hai....be-sakun dilon ki teemaadaari hai ye....bebason ki ummid ki abyaari hai....ye unke chahne waalon ki dildaari hai...

Mere Ghareeb Nawaz sultan-e-Hind Shah-e-Nawaz unka Urus Mubarak yehan USA Newjersey may hotel sheezaan may April 23 rd ko badi mohabbat o bade ehtraam se manaaya gaya...pardes may ye inaayet ka hojaana is baat ki daleel hai ke vo hasb-e-wada apne ashiqain ki dilbastagi ka samaan kahin bhi kar sakte hain..saath samandar paar halaath ka shikaar dil is karam ko paa kar phule nahi samaate....is jashn ko karam maan kar apne karam jaari rakhte hain....mayusi kufr hai aur haqsharasti khushaind ummid.....

Urus shareef per her rasam nibhaii gaii...mehefil-e-samaa  ka bhi intizaam kiya gaya...Huzur sallam ki naatein Ghareeb nawaz ke ishq ko taazgi bakhshti huii unke chahne waalon ke dilon ko mus-hoor karti rahi...gharz ashiqaan ki edd hogaii...

Mere ghareeb nawaz ki nawazishein tou laa zawaal hain...un tak pahunchaane waale waseelon ke dil bhi bemisaal hain...aisi aisi mohabbat ki misaalein milti hain ke dil ash ash kar uth-te hain...vo waseele karodon dilon ko darsgaahon may tabdeel karte jaate hain....aur vo darasgaahein apni waasaton ko phailaate huye dilon dilon tak mohabbat nashar karte hain...

ji haan ain mohabbat , saans mohabbat ,unka her paighaam mohabbat....baghair iske kaise jaan paayenge ke" hai ilhaam Mohabbat.".