Thursday, June 4, 2020

Waseela





"log waseele bhul jaate hain " ..kitna bada sach tha jo dil per chap ker reh gaya...jub suna tha us waqt haal pesh e nazar tha...kise patta tha mustaqbal ka behtreen sabaq is qaul may chupa hai..

Waqi waqt ka bahau apne siwa sab kuch baha le jaata hai...yehan tak ke apne hone ki wajah bhi, apne aane ka zariya bhi...

Khuda vanda quddus ne apni pehchaan bhi waseelon se hi karaii...aur insaan ko bhi waseeloon ke badaulat hi namud ka mauqa nasib hua....gar khuda na hota to ye jahan na hota...gar usne apne izhaar ka zariya insaan ko na banaya hota phir insaan kahan hota....batan -e-maadar ku insaan dusra waseela banaya....yaane ke khuda ne apni hukumat ka naayeb maa hi ko banaya...ke uski bakhshi huii taleem ki roshni us shafeeq hasti ke haathon mashaal-e-raah bane jisne rab ke ahkaam ke amal ka beda uthaaya....

Gharz be wassela jahaan may koi nahi aaya...baghair waseele ke kisi ne kuch nahi paaya....saare sabaq inhi waseelon se zindagi may dhalte rahe...zindagi badalte rahe....

Bada khushqismat hai vo dil jisey taufiq mili....taufiq se bhi pehle inayet mili....koi dast-e-karam uski taraf badha...ye khuda ki taraf se bakhsha hua waseela hi tou hai...jo dilon ki kasaafaton ko dho kar ek saaf suthri zindagi ki jaanib raaghib karta hai...

Duniya may ulajh jaana bhi fitri hai...ke duniya itni rangarang jo hai..aur usper turra ye ke rubaru Dost numa dushman bhi maujud hai....jo apni dilfareb chaalon se aapke husn-e-zindagi ka aks ek mokhtalif aaine may dikhaata hai...aur Dil in chaalon se bekhabar fareb-e-nazar ka shikaar hojaata hai...

Baharhaal tayeshuda hote hain imtihaan...us se bhi peshter tayeshuda hote hain meherbaan....jis lamhe bhatke huye dil ne ehsaas ki ankh kholi , kahin ek bunnd uski ankh se nadamat ki tapki, rahmat khudavand ka waseela pesha hota hai...

kabhi dil may, kabhi mehefil may milne lagta hai vo waseela jahan se asli safar ka aghaaz hota hai...lailmi se ilm ka .......

Waseela ....aur inka hona is baat ka sabut hai ke karam ki raahatein darperda hi nasib hoti hain...taaki ghaafil apne siwa usko sune jo uska baani hai....aur jo na samjha wahi asal may faani hai...