Thursday, February 17, 2011

Ya Habib Salam Alaika



Ye mubarak mahina hum musalmanon ke liye najat ka paighaam le kar aaya karta hai..Gumraah musalmanon ko unki niyamat ka ehsaas dilaya karta hai.

Gar khuda hum per na meherbaan hota..
phir na paida mehbub-e-do-jahaan hota

Huzur ki zaat-e-aala ki ronumaii is baat ka elaan hai...ke khuda bande ki ek hi jaan hai..aur unki sadat-e-wilaadat ne is mahine ko mubarak kar diya..warna in guzarte dinon ki bisat kya..is tez be-rang waqt ki majal kya..ke khud pe nazaan hosake..Ye unki hi hasti ka taqadus hai ke ye ghadi mubarak hogaii..ye mahina ezaz paa gaya..ke khuda ne apne Mehbub say kaha lo haq paraston ka sardar aagaya....


So Dosto unki mohabbat jahaan bhi nazar aaye usey dil may bas jaane se koi rok na paaya..ye naat-e-ishq pesh hai...


Haqeeqat me woh lutf-e-zindagi paya nehi karte
Jo yaad-e-Mustafa se dil ko behlaya nahin kartay.

Zaban per shikwae ranj o alam laya nahin karte
Nabi kay naam lewa gham say ghabraya nahin karte.

Yeh darbaar-e-Mohammad hai yahan apnon ka kiya kehna
Yahaan se haath khali ghair bhi jaya nahi karte.

Are-o-na-samaj qurbaan hoja Inke rozey par
Yeh lamhe zindagi me baar baar aya nahin karte.

Yeh he darbaar-e-Muhammed hai yahan milta hei be-mange
Arey nadaan yahan daman ko phelaya nahi karte.

Madinay jo bhi jaata hai, woh jholi bhar kay lata hai
Sakhi data hain khali haath lotaya nahin kartey.

Mohammad Mustafa key bagh key sabh phool aise hain
Jo bepaani ke tar rehte hain murjhaya nahi karte.

Nadamath sath le kar hashr mein aye aasio jana
Suna hei sharm walon ko woh sharmaya nahi karte.

Jo unke damaan-e-rehmet say wabasta hai aye Hamid,
Kisi kay samnay woh haath phelaya nahi karte.

Mohammad Mustafa ki shaan-e-rehmet to zarah dekho,
Sitam sehte to hain lekin sitam dhaya nahi karte.

Agar ho jazba-e-sadiq to aksar humne dekha hai,
Woh khud tashreef laatey hain tadpaya nahi karte.

Monday, February 7, 2011

Najaath


Tohfa-e-ilm-ul haq Hazrath Imaam Jafar Sadiq Alahisaalam ,unhon ne haqparaston ke liye jo mashaal jalaii hai vo ta qayamat tak dilon ko roshan karti rahegi....unke aqwaal-e-zareen ke chund moti.

Najaath, amal per mauquf hai Nasb per nahi,
Zaaher maqlukh ke liye aur Baatin Khaalikh ke liye,
Daanishmand vo hai jo bhalaii aur buraii may imtiyaaz kar sake,
Jo do bhalaiion may say behter bhalaii ko ekhtiyaar kare aur jo do buraiion may say maslihatan kum buraii per amal kare.

Tareeqa-e-Hidaayet- jub tak dusron say eyaanat ke talabgaar rahe us waqt tak saamne hijaab tha laikin jub Allah say eyaanat ke talib hua tou pehla sa eztaraar khatam hogaya aur qalb roshan hua.

Zikr-e-ilaahi ki taaref ye hai ke jisme maqbuliyet ke baad duniya ki her shaye bhul jaaye. kyon ki Allah taala ki zaat her shaye ka neyam-ul-badal hai.

Allah taala jisko chahe apni rehmat say khaas kar leta hai, yaani tamaam asbaab-o-masaayel khatam kar diye jaate hain taaki ye baat waazeh hojaaye ke ataa-e-ilaahi bila waasta hai na ke bil waasta.

Momin ki taareef ye hai ke nafs ki sarkashi ka moqabla karta rahe aur Aarif ki taareef ye hai ke jo apne maula ki itaayet may huma tan mashghul rahe.

Saaheb-e-karamat vo hai jo apni zaat ke liye nafs ki sarkashi say amada-e-jung rahe kyon ke nafs say jung karna Allah taala tak rasaii ka maujab hota hai.

"Allah Taala apne bande may is say bhi zyada poshida hai jitna ke raat ki taareeki may siyaah pathar per chunti rengti hai.".

Nek bakhti ki alamat ye bhi ke aqal mand dushman say waasta pad jaaye.

Allah taala ne duniya may hi firdos-o-jahannum ka naqsha pesh kar diya hai kyon ki asaaish junnat hai aur taklif jahannum. aur junnat ka haqdaar wahi hai jo apne tamaam amur Allah taala ko sonp de.,aur dozakh usi ka muqaddar hai jo apne amur sarkash nafs ke hawaale kar de.

Ausaaf-e-maqbuliyet may ek wasf ilhaam bhi hai, jo dalaayel say ilhaam ko be-buniyaad qaraar dete hain vo be-deen hain.

Friday, February 4, 2011

Gul-e-Chisth


Haal hi may ye mohabbat nazar say guzri dil may paiwast hogaii..so aap sab ki nazar kar rahi hun..mohabbat ka rang khaas hota hai..aur jo khaas hota hai uski arzu bhi khaas hoti hai..vo dil ye arzu karta hai ke ye rang her dil per chadey..Ameen.

Tera Naam Khwaja MoinUddin (Rahmatullahi Allaih) Tu Rasool e Pak ( sal-lal-lahu alai hi wa sallam) Ki Aal Hai.

Teri Shaan Khawaja e Khwajgaan Tujhe Bekasoun Ka Khayaal Hai.

Mera bigda waqt sanwar do Mere Khwaja Mujh ko nawaz do.

Teri Ek nigah ki baat hai Meri Zindagi ka Sawaal hai.

Mein gada-e-Khwaja-e-Chisht Hoon Mujhe is gada'ee pe naaz hai.

Mera Naaz Khwaja pe kyun na ho Mera Khwaja banda Nawaz hai.

Mera Khwaja (Rahmatullahi Allaih) Ataa e Rasool ( sal-lal-lahu alai hi wa sallam) Hai Woh bahar-e-Chisht ka Phool Hai.

Woh Bahar-e-Gulshan-e-Fatima RA Chaman-e-Ali RA Ka Nihaal Hai.

Yahan Bheek milti hai bay gumaan Yeh Bade Saqi Ka Hai Astaan.

Yahan Sabki Bharti hain jholiyan Yeh Dar-e-Ghareeb Nawaz Hai.

Duhaii



More Khwaja Piya rakhio more yaqeen ki tum laaj....tumko hamaari bipta sunni padegi aaj..itne dinon say kuch na kaha hai..her dukh saha hai...tumhaare deewanon ka bharam tuut na jaaye aaj...had say guzar kar bandh hain tutey..aankhon say saarey sukhey chashme phuttey...koi nahi hai is bhari duniya may apna dekho aaj..gar tumne bhi na suni tou kahaan jayenge tumhaare deewane bolo na sartaaj....


Ab taab nahi hai is deewane dil ko...ekhtiyaar saarey jiske paas hain daata...usko hai sirf apne mehbub ka hai paas...bas kirpa karo Maharaaj....rukey huye hain be-bas ke saarey kaaj....tutey dil ki tuut na jaaye phir say aas....meher hojaaye Mahaaraaj...duaon ko rang laane may ab aur kitni muddat hai darkaar....Kirpa karo Mahaaraaj...hind ke sartaaj.....dua karo Sarkaar......Ab aur kya kahun Mere Ghareeb Nawaaz.....