Monday, January 20, 2014

Israar-e-Baatin






Ek din Anhazrath Sallallahu Alihi Wa Alihi Wasalim maghmum baithey they ke her shaks mujh say ahkam-e-shariyet ke mutaliq daryaft karta hai aur israar-e-baatin ke mutaliq koi nahi poochta. Shayed ye raaz hamare saath chala jaayega. yaani is say koi mustafeez na hoga . Laikin bamasdaq jub Allah Taala kisi cheez ka irada karta hai, is ke liye asbaab paida kar deta hai. usi waqt Hazrath Ali ibn-e-Abi taalib Razi Allahu Anhu ke dil may khayal paida hua ke Anhazrath Sallalahu Alahi Wasalam ki zaahiri mutabayat tou karli hai laikin unhon ne apne ahawaal-e-Baatin ke baare may koi taalim nahi di.. taa kay mutabayat-e-baatini say bahrawar hota. Pas kamaal sadaq-o-akhlas ke saath Anhazrath Sallam ki khidmat may jaa kar sawal kiya. Anhazrath Salla Allahu Alahi Wassalam bahut khush huye ke mujhe isi tarah ka hukum tha ke baghair talab-e-saadiq ye raaz kisi ko taalim na kiya jaaye. Alhamdulillah ke Allah Taala ne tujko ye raaz haasil karne ki hidaayet fermaii hai. Rasul-e-Khuda ne Hazrath Ali Razi Allahu Anha say fermaya ke " Aye Ali tu meri maanind hai meri wilayet may ke ye wilayet muaaina-e-haq hai. Pas vo raaz Hazrath Ali Karam Allah Wajaha say firqa-e-Sufiya tak pahuncha. Alali Amarurasatul Anbiya-o-Alam waris Anbiya hain.isi sabab say kaha gaya hai . Chnunanche Hazrath Khwaja Nasiruddin Mehmood Charagh dehli ne apni kitab ' khairul majalis" may is ajmaal ki tafseel bayaan fermaii hai.

Hazrath Ali ka ye martaba ke tamaam Awliya Akram unhi ke silsila-e-karam say aa mile hain unhi ki talab-e-haq aur Anhazhrath sallam ki ramooz-e-baatini ki taalim ka faiz hai.ke haq ko gar samajhna ho to jo ilm rakhta ho uske amal say ilm haasil kare..ke wahi izhaar-e-haq hai..ke wahi israar-e-haq hai..Anhazrath zaahir aur baatin say haq taala ki jalwa numaii aur sifaat ka muraqa rahe..unki her ada khuda ka paighaam thi..unhen peer-e-kaamil bana kar is jahaan may bheja gaya aur jahaan waalon ke liye  haq ki darasgaah banaya gaya...Aur khuda ne Hazrath Ali ki beloos mohabbat ka ajar unhen Huzur Sallam say bakhsha...Jo rehti duniya tak taalibon ko inaayet kiya jaata rahega...Sirf jaan lena kaafi nahi hai...jaanne waale ka ain ferz hota hai khud may is israr ko jalwagar karde..taaki qareeb aane waalon ke dil roshan hosaken..Aur ye taalim seena ba seena muntaqal hoti rahe...

ke mumkin nahi hai raah-e-shauq ka charagh na bujhey
asaan nahi hai tu mukhalif hawaon ko chalne say rok le
laikin koshish rahe teri nigah unke qadmon say na hatey
phir kya majaal kisi tufaan ki ke tujhe is safar say rok le

Saalek ko sadq-e-dil say jaanna chahiye ke Sufiya Akraam ki mutabayet suratan aur maanan Ain mutabayet Risaalat panah alaihi salat wassalam hai.Pas taalib-e-raah-e-haq ko laazim hai ke sufiya karaam ke ahwal-o-aqwal-o-aqaayed ko kama haqa samjhe aur un ke qadam ba qadam siraat-e-mustaqeem per suluk tamaam kare. Siraat-e-mustaqeem ko Hazrath Sheikh Muhiyudin Ibn-e-Arabi ne apni tasneef "fatuhaat-e-maki " may muffasil bayan kiya hai .

Maulana jaami ne kaha hai" Haq Aftab hai aur saara jahaan uska saaya hai". 

Thursday, January 2, 2014

Azmat-e-Ishq



                                                             




Taalibaan-e-Haq ki her justaju ka jawab unhen diya jaata hai..kyon ki ye talab bhi usi ki dain hai jisne haq ke liye unhen betaab kiya...aur unki qadam dar qadam rahbari bhi ki gaii taake unhen sahi raah mile...Baaqi tou taalib ki sachi talab aur uski nek niyyati kaam aajati hai...Taalib ki lagan yehi hoti hai ke Allah tak rasaii kis tarha ho .

Ishq ki aag hi noor ka moqam hai..ke wahi ishq-e-Mustafa hai wahi Noor-e-khuda hai..ishq ka pehla jalwa rabbani....Dusra Hazrath Abdullah ki peeshaani..phir saara jahaan is ishq ki zad may aagaya aur jisne us per nazar daali vo ishq paa gaya..Ishq waalon ki zaat hi kuch aur hoti hai..wahan na hosh may din hota hai na madhosh raat hoti hai...Dhadkan jub takrar ho, saansen ishq ki raftar hon, aur nabz alamat-e-yaar ho...phir tou safar aur safeer dono ki baagdore manzil ke haath hoti hai...ab aage aane waala baab-e-kaleed isi ki nishandahi karta hua milega...

Log aksar pasheman rahte hain ke hum is qaabil kahan ke hamari pahunch uske khayal tak bhi ho...kyon ke hum tou ishq-o-mohabbat ke daam may phanse aam say bande hain..tou lijiye un logon ke liye ye khususi khushkhabri hai ke yehi vo log hain jinki Awliya Allah husul-e-qurb-o-visal-e-haq ke liye sab say zyada mauzun aur is line ka behtreen khaam maal ( raw meterial) tassavur karte hain. uski wajah ye hai ke yehi vo jins hai jis ki is koochey may badi qadar-o-manzilath hai aur yehi vo esteem hai jo unko nihayet tezi say manzil-e-maqsood tak pahuncha deti hai, zarurat sirf kaanta badalne ki hoti hai. kuch arse majaz per le ja kar Sheikh kaamil inka kaanta haqeeqat ki line ki taraf badal dete hain aur ashiq sadiq is tezi say manaazil taye karta hai ke ibaadaath-o-mujaahidaath waale hazraath munh dekhte reh jaate hain. kyon ke ghair Allah ka jungle jo insaan ke qalb per hawi hota hai usko saaf karne ke do tariqey hain, ek tariqa ye hai ke kulhada lekar her darakht ko jud say nikaala jaaye. Dusra tariqa ye hai ke jungle ko aag laga kar aan ki aan may saaf kar diya jaaye. tariq-e-mujahida aur tariq-e-ishq may yehi farq hai, isliye jin logon ko aam mazhabi peshwa isliye hiqarath ki nazar say dekh kar kharij-az-bahas qaraar detey hain ke unki tabiyet may ishq-o-mushq bhara hai , Hazraath Ahal-e-Allah unko sab say zyada pasand fermaate hain.kyon ke "Derd badi daulat hai."

derd say ishq alag hai derd-e-ishq alag
ek derd ayan hai duja israr-e-ilaahi

Kitna khubsurat maamla kiya hai khuda ne apne bande ke saath..ghaflaten madhoshi hain...aur yehan nashe ki kaat nashe say hi ki gaii hai...yehan is baat ka ehsaas dilaya gaya hai ke khuda ke qurb ki luzzat ka, duniya ki koi luzzat moqabla nahi kars akti...