Friday, March 25, 2011

Raza ki Fazilath


Maidaan-e-Arfat may logon ki giriya-wazari ka manzar dekh kar hazrath Fazeel Rahamatullahi Alaihi ne fermaaya" ke agar itni girya-wazari (ro ro kar) ke saath kisi bakhil (kanjus) say bhi daulat talab kare tou shaayed vo bhi inkaar nahi kar sakta. lihazaaye maalik-e-haqeeqi itni giriya-wazari ke baad maghfirat (maafi)talab karne waalon ko tu yaqinan ,maaf ferma dega.

Aap say kisi ne poocha ke khuda ki mohabbat meraaj kamaal kis waqt pahunchti hai? Fermaaya ke jub duniya aur deen bande ke liye masaavi ( barabar ya eksaan) hojaayen. phir kisi ne sawaal kiya ke agar ferd is khauf say lubbaik na kahta ho ke kahin jawaab nafi may na mil jaaye tou iske mutalaq Aap ki kya raaye hai? Aap ne fermaaya ke is say zyada buland martaba koi nahi. phir asaas-e-deen ke mutalaq sawaal kiya tou fermaaya ke "Aqal deen ki buniyaad hai,aqal ki buniyad ilm aur ilm ki buniyaad sabar hai.

Hazrath imaam bin Hanbal rahamatullahi Alaihi fermaaya karte they ke maine apne kaanon say suna hai Hazrath Fazeel rahamatullahi Alaihi ko kehte huye ke taalib-e-duniya rusuwa-o-zaleel hota hai aur jub maine apne liye kuch nasihat karne ke mutalaq arz kiya tou fermaaya ke "khaadim bano makhdoom nahi kyon ki khadim banna hi wajah-e-saadath hai".

Ek martaba Bashar Haani Rahamatullahi alaihi ne poocha ke zahad-o-raza may afzal kaun hai? Fermaaya ke raza ko fazilath isliye haasil hai ke "jo raazi ba raza rehta hai vo apni bisath say zyada talab nahi karta".

Aap ne fermaaya jo shaks mahaz amaal per guftagu karta hai uski guftagu laghu aur be sood hoti hai ut jo Allah taala say khauf rakhta hai uski zubaan gang hojaati hai aur Allah taala Dost ko ghum aur dushman ko ayesh atta karta hai.

Bande ke zahad ki meqdaar is qadar hoti hai jitna usey aakhirat say lagau hota hai.

Saturday, March 19, 2011

Dosti Ka Haq

Hazrath Rabiya Basri Rahamatullah Alaihi tamaam ahal Allah ki nazar may motabar aur zi izzat tasavur ki jaati theen aur aapke ahwaal ahal-e-dil hazraath ke liye burhaan qaata ka darja rakhte hain. 

Hazrath Rabiya Basri Rahamatullah Alaihi ko ek martaba bawajah takaan namaaz ada karte huye nind aagaii ,is dauran ek chor aapki chaadar utha kar faraar hone laga,laikin bahar ka raasta Nazar nahi aaya. 

Aur chadar wapes rakhte hi raasta nazar aagaya.
 bawajah hirees phir chadar utha kar farar hona chaha aur phir raasta nazar aana bandh hogaya. gharz ke is ne aisa kaii martaba kiya aur her martaba raasta masdud nazar aaya ,hatta ke us ne mada-e-ghaibi suni ke " tu khud ko kyon afat may mubtila karna chahta hai. isliye ke chadar waali ne barson say khud ko hamaare hawaale kar diya hai aur us waqt say shaitaan tak us ke paas nahi phatka phir kisi dusrey ki kya majaal jo chadar chori karle. 

kyon ke" agarcha ek Dost mahu-e-khwab hai laikin dusra Dost to bedaar hai". Logon ne Rabiya Basri Rahamatullahi Alaihi say sawaal kiya ke'Mohabbat kya shaye hai? Aap ra ne fermaaya ke mohabbat azal say hai abad tak rahegi kyon ki bazm-e-aalam may kisi ne us ka ek ghunt tak nahi chakha jiske natijey may mohabbat Allah Taala may hi zam ho kar reh gaii.

Is liye Allah Taala ka irshaad hai ke " Allah Taala unko mehbub rakhta hai aur vo Allah Taala ko mehbub rakhte hain". Ek martaba kisi ne sawal kiya ke Aap jiski ibadat karti hain vo Aap ko nazar bhi aata hai? Aap ne fermaaya" nazar na aata tou ibadat kyon hoti." 

Logon ne Aap say sawal kiya ke khuda bande say kis waqt khush hota hai? Aap ne fermaaya" jub banda mehnath per is tarha shukur ada karta hai jaisa ke niyamath per ada karta hai. Logon ne ek baar sawal kiya ke aasi ( khatakaar) ki dua qabul hoti hai ke nahi? Aap ne fermaya ke "us waqt tak vo tauba nahi kar sakta jub tak khuda taufiq na de.aur jub taufiq haasil hogaii tou phir qabuliyath may koii shak nahi raha.phir fermaaya" jub tak qalb bedaar na ho us waqt tak kisi azu say bhi khuda ki raah nahi milti aur bedaari-e-qalb ke baad aaza ki haajath khatam hojaati hai kyon ki qalb bedaari wahi hai jo haq ke andar is tarha zam hojaaye ke phir aaza ki haajath hi baaqi na rahe aur yehi fana fillah ki manzil hai" 

Hazrath Saaleha Aamri fermaaya karte they ke " jub musalsal kisi ka darwaza khatkhataya jaata hai tou aakhir kisi na kisi waqt khol hi diya jaata hai. Hazrath Rabiya Basri ne ye sun kar sawaal kiya ke" aakhir vo kub khulega? kyon ki vo tou kabhi bandh hi nahi hua". ye sun kar Hazrath Saaleha Aamri ko Aap ki danishmandi per mussarath huii. jub khuda ki mohabbat dil may ghar karle tou khuda ko sunne lagta hai banda.phir usey samjhne lagta hai..uske ahkaam mohabbat hojaate hain..apna amal wafa kar jaata hai banda...ek aisa rishta jo her talluq say azaad hokar us say talluq ban jaata hai...

Buzurgaan-e-deen ke mushahidon may chupa hai aain-e-mohabbat.,unki zindgi aaina-e-mohabbat...khuda ka kamaal hote hain ye aur vo kar jaate hain kamaal mohabbat..hissass dilon ke liye unsi behter panah gaah koi nahi...ke un dilon ke asli safar ki ibtida hai inki hastiiyaan.unki zindgi hoti hai manzil ka nishaan...ye raah-e-khuda hain aur yehi khuda ki shaan...

Tuesday, March 15, 2011

Hayaat-e-Asli






DUNYA-O-AKHRAT ME AGR JINA HO CHAIN SE
JINA ALI SE SIKHLO,MARNA HUSSAIN SE


Ek Baar Hazrat Junaid Baghdadi (Rahmatullahi Allaih) ne

Insaani Zindagi ki Haqeeqat Bayaan karte Hue Farmaaya

Jo Insaan Haq-E-Tala'a se Be Khabar hai,
Uski Zindagi Saans Ki Maujudgi Tak Hai.
Saans Khatam Hui Aur Zindagi Bhi Fana Ho gai...

Magar Jis Sakhsh ki Zindagi Haq Tala'a Par hai
wo Hayaat-E-Tabayii se Hayat-E-Asali Ki taraf
Ruju'o Karata hai,Aur Haqiqi Zindagi Yahi hai..