Tuesday, December 21, 2010

Faryaad Ras

SHAH AST HUSSAIN BAD SHAH AST HUSSAIN
DEEN AST HUSSAIN DEEN PANA AST HUSSAIN
SARDAD NA DAD DAR DASTE YAZID
HAKA KE BINAYE LA ILLAH HA AST HUSSAIN!
(HAZRAT KHAWAJA GHARIB NAWAZ(RA)

Tarjuma-

Ruler is Hussain, Emperor is Hussain,
Faith is Hussain , guardian of faith is Hussain .
Offered his head and not the hand to Yazid.
Indeed, Hussain is the foundation of La-ilah (the
declaration that none but God is Absolute and Almighty)

Tuesday, November 23, 2010

Bulawa

Mujhey Aapne bulaya, ye karam nahi tou kya hai..meri mushkilon ka hul aap ke siwa koi nahi...meri azmaishon ka phal aap ke siwa kuch bhi nahi...ke meri aah ney jo jalwey dikhaaye wahaan aapki mohabbat ka hi jalwa hai..aapne is adna ki deewangi ko rutba bakhsha hai..aapki mohabbat kamaal hai mere Aaqa...mujhey ab meri maujudgi ki koi khabar nahi...khudparasti ki hadon say nikal kar kabhi dekho zara....ek apne siwa sab haq hoga ...ek apni hasti khwab ka dhundlka...baqi sab waazah nazara...mujhe khwab say jaga diya..jub mujh may khud ko mila diya...mai khayaal.yaad,zikr, faryaad...sab bhul gaii....haan ehsaas kehta hai gar aap nahi mai kuch bhi nahi....so mere karamferma, apna dast-e-karam sada mere sar per rakhna....mere dil per jis tarha nazar rakhi,mere emaan ka muhafiz ban kar,mere aagey aagey diya ban kar,meri hasti ka zaa-am ko bhasam kar kar.....apni be-niyaaz ulfat say ta-qayamat apni rifaqat ka tohfa bakhsha....

mujhe bas aapki aarzu hai....mujhe bas aapki justaju hai....mujhe aapka yaqeen hai...aapke siwa mera konu nahi hai....

Saturday, October 16, 2010

Rishta

Ummid-o-beem ke darmyaan ek safar...khaar.-o-gul se be perwa ek nazar..raah dekha kiye rahbar ki shab bhar...ghum khaane ansu peene ki adat tou hawa hogaii...Dil ki sairi ney musahebon ko sair-e-dil kara di...ye khali-az sabab nahi......yehaan majra dil ka dhadkan say...yehaan rabta shaayeq ka chilman say...ke kub sarkey naqab ,deed ki hasrath puri ho...ek sar ki apne aaqa ke dar pe huzuri ho....khamoshi samaa-aton ko suna rahi hai naghma-e-hayaath...saayel ko jholi samjha rahi hai bisaath...sunn hisson ko lubha raha hai khayaal....ke jub mai tera hun phir kaisa ye malaal ?

Wednesday, September 29, 2010

Dua

Ya Ghareeb Nawaz ,
Baad qadambosi ke arz hai...mohabbat qabul ho,
maana ke hum insaan apni zaat ke safar may uljhey huye, aksar vo aasra hi bhul jaatey hain jahaan ki ghani chaaun aaj tak zindgi ke serd-o-garm se mehfuz karti aai hai.,aur her mushkil waqt ko faqat isi yaqeen ney asaan kardiya ke ,hamawaqt ek dua saaya-fagan hai., kya majaal kisi mushkil ki jo danwa dol kardey.,jo humaarey yaqeen ko dagmaga day..mohabbat tou bila shert hoti hai..huii hai..rahegi..phir kya raahaten...kya musibaten...inka tou choli daman ka saath hai..ye tou zindgi ki dhoop chaaun hai..inke baghair bhaley aur burey ki tameez kaise ho...
so aye aqal ,zara sanmbhal...aye dil na bahak..vo pal yaad kar..jahaan le aaya tha khuda..jahaan mahak rahey they Mustafa...jahaan tha nawazishon ka silsila..unhi ke ahad ke saaye taley fikron se azaad huye they hum...hum apni arzu dengey,unka faiz paayenge..vo apna faiz dengey,hum khud ko bhulayengey...hum unko paayengey , ye jahaan bhul jaayengey..
Hum insaan sada nadaan, sada pareshaan, kub samjh paaye ghum-e-zindagi ka sabab, humne zameen asmaan ko kahaan dekha...darmyaan may hi uljhey reh gaye...gar zameen per nazar hoti, haqeeqat jaan letey...gar asmaan ki taraf nazar jaati arsh ki haqeeqat samjh aati...hum apni hasti ka israar hi hul na kar sakey...hum adna ,adna hi rahey...vo log aur they jo apni zaat se nikal kar unki zaat may jazb hogaye...jinki mohabbaton ka safar zikr-e-mehbub se guzar kar vird-e-mehbub ban gaya...
Vo manzar jazb ka ab tak jaam-e-surur hai, yaad unki ab tak khud masrur hai...hosh-ruba sohabat ,ishq-o-noor ki sangat....vo darr-e-ba-barkath...mai chahati hun mere Khwaja, faizaan-e-mohabbat banaye rakhna...humen mayus na karna...waqt kathin hai..aapki duaon ke baghair guzarra na-mumkin hai...haajat rawa ,mushkil kusha...taalib ki sunna Dua, karna Dua....

Baagir daabey baala uftaad kashti
zayeefaan-e-shakista raato pasti
bahaq-e-khwaja Usmaan-e-Harooni
madad-kun Ya Moinuddin Chishti

Monday, September 13, 2010

Aks-e-Yaar

Mohabbaton ka safar jub hojaaye shuru,musafaton ki khabar kahaan, phir her qadam manzil hai...ek dil paaleta hai duniya naii, uski aaghosh may aajaatey hain dil kaii...Dar-e-Nawaaz per bula kar, ek bhuley bhatkey ko apna bana kar, pesh kartey hain usko saja kar..roshnion kay hujum may, noor ki khairaat say, rakhsanda -o-taabinda baa-hosh dil..kehtey hain aa aajaa aa mujh say aa kay mil...mujh may hikmaton ke raaz hain...mujh may unki mohabbaton ke andaaz hain..mai saraapa Sakun hun....mai mukamaal ishq hun , mai deewangi mai junun hun....

Mohabbat ka taqaaza hai, mehbub aur muhib donon ek dusrey ka aks hojaayen..mehbub muhib ka saaya ho..muhib mehbub ka aaina hojaaye...ek ki sohbath may dusra mil jaaye....ishq ki anginaat suraten hain...un sab may haseen hai ye surat...jahaan rab jalaali, mehbub jamaali,muhib kamaali....deewanon ki hadh bisraaye....deewanon ko khud may samaaye...deewanon se khud ko milaaye...deewanon ka hojaaye....

Darbaar-e-Faiz say koii mutalba lauta nahi karta....ab ye taalib ka shauq hai , uski arzu ka zauq hai...usey kya chahiye....usey daste-e-karam chahiye, ya sarkaar chahiye...usey dua chahiye ya duago chahiye....usey hosh chahiye ya surur chahiye.....usey ekhtiyaar chahiye ke panaah chahiye....usey nigaah chahiye ke nazar chahiye....usey khaak-e-paa-e-yaar chahiye....

Wednesday, May 26, 2010

Maah-e-Rajab ka Faiz

Phir wahi mubarak mahina aaya hai..jub watan-e-azeez may hua karte tab bhi duaon ka hi sahara tha..ab pardes may bhi duaon per hi guzara hai..dua jub bhi mehbub ke dil se niklegi muhib ko sairab kardegi..wada bhi tou yehi hai" muhib jub dilse yaad karlega mehbub ki haaziri hogi..mehbub jub chahe, muhib ko bulalega apni huzuri may..kitna khubsurat wada ..nibhaya bhi..hamesha...kuch aise ke muhib ke ehsaas se guzare bhi aur hosh ko khabar bhi na hone di..
khuda ke nek bandon ka zarf hai ye..ehsaan karke jatlaaya nahi karte....nazron may reh kar bhi nazar aaya nahi karte...

Ghareeb nawaz ka dast-e-karam sadion se shahid-e-haq  raha hai..kal bhi aaj bhi..jinhen mili unki nazar, usper huii ye duniya be-asar...kisi shaye ka usme na hosaka guzar..vo ek aise safar per nikal padhte hain jahaan khuda bande ki mulaqaton ka ehtmaam hota hai..jub darmyaan duaon ki dori ho kadey raaston ka patta bhi nahi chalta..Aashiq apne ishq ke paron per bulandiyan taye karete hain..basharte ke ishq kaamil ho...deewana ho...jahaan deewane ne apne dil pe nazar rakhi..uska kaam tamaam hua...ghum-e-ishq hi haath aaya..jub donon jahaan haarey tab usne manzil paai..

Maah-e-rajab ne ashiqan-e-khwaja ko unka ahad yad dilaya hai...kaamil imaan ka gawah khud ko banaya hai. ishq-e-Mustafa saw ko mehkaya hai..Rab ki wihdaniyet ka jalwa khud ko banaya hai...Khwaja ne apne dar per deewanon ko phir bulaya hai...deewanon ko apne faiz ka chasma dikhaya hai...ye daman keh rahe hain humen intizaar hai aapke daman may mehkti duaon ka...aapke saaye ki moqadas hawaon ka...imsaal appka faiz phir aam hojaaye...aapki is deewani ka bhi kaam hojaaye...is deewani ke murshad ka phir naam hojaaye...

Monday, May 17, 2010

Ahadis Islam

MusalMano,
Allah ka ZIKR bohat kiya karo
aur subah wa shaaM uski HI pakeezgi bayan karo.
(Q33:41-42)
____________________________________________________________

3 logon ka IkraM karna
Allah ki Izzat karne Me ShaMil hai,
1)Boodha MusliM,
2)Hafiz-e-Quran,
3)Insaf karnewala HakiM. (Abu Dawood)
____________________________________________________________

KaaMyab hai woh IMaan wale
jo apni NaMaazon Me narMi rakhte hain
aur Fuzool ki baaton se bachte hain.
(Al MoMinoon)
____________________________________________________________

Nabi Pak(SAW)ne farMaya,
Sabse AFZAL SADQA woh hai,
ke ek MusalMan ILM seekh kar'
DOOSRE MusalMan bhai ko SIKHAYE.
(Ibn Maaja.)

____________________________________________________________

Rasulullah(SAW) ne farMaya,
Allah tuMhari shakl-o-surat,
aur tuMhare Maal ko NA dekhega,
balke tuMhare dilon aur aaMal ko dekhega.(MusliM)
____________________________________________________________

Jis shakhs ki Maut
is haal Me aye ke
woh yaqeen ke saath janta ho
ke Allah ke siwa Ibadat ke layaq koi NAHI
Wo Jannat Me dakhil hoga.
(Muslim)

____________________________________________________________
Huzoor(SAW) ne FarMaya,
Azaan Aur IqaaMat Ke DarMiyaani Waqt Me Ki Jaane wali Dua Radd NAHIN hoti,
(Qabool Hoti Hi Hai).
(TirMizi)
____________________________________________________________
Rasulullah(SAW) ne farMaya,
Apne bhai ko dekh kar
MUSKURA dena bhi Sadqa hai.
(TirMizi)

____________________________________________________________

AAP(SAW)ne farMaya,
YateeM aur GhulaM ki tuM log apni aulad ki tarha unki khatir karo
aur unko wo khana khilao jo tuM khate ho.
(Ibn-e-Majah)

____________________________________________________________

Rasulullah(SAW) ne farMaya,
sabse wazni cheez jo qayaMat ke din MoMin ki Mizaan(TARAZU) rakhi jaayegi woh uska Husn AKHLAAQ hoga.
(TirMizi)
____________________________________________________________

AAP(SAW)ne farMaya,
Jis shakhs ne kisi Musibat zada ki TAZIYAT ki to usko bhi
UTNA hi AJAR Milega
jitna khud Musibat zada ko Milega.
(TirMi)

Rasool(SAW) ne farMaya,
woh shakhs huM Me se NAHIN hai,
jo haMare chhote par reheM NAA kare
aur haMare bade ki Ta'zeeM NAA kare.(TirMizi)

____________________________________________________________

Jo shakhs kisi biMar ki IYADAT keliye jata hai
to ek Farishta pukaar kar kehta hai,
'tuM Barkatwale ho
tuMhara chalna BAA-Barkat hai.(TirMi)

____________________________________________________________

Jo Shakhsh Raat Me
100 Aayaton ki tilawat kare
woh us raat Ibadat guzaron Mein shaMil kiya jayega.
(HaakiM)
____________________________________________________________

HaMesha NAMAZ padhte raho
aur haMesha KHAIRAT karte raho
aur Nabi(SAW)ke FARMABARDAR bane raho
taaki tuM par REHAM kiya jaaye.
(Quran 24:5)

____________________________________________________________

Fuzool kharchi MATH kiya karo,
kyonki Fuzool kharchi karne wale,
yakeenan SHAITAAN ke bhai hain.
(Qur'an 17:26-27) .

____________________________________________________________

Aap(SAW)ne farMaya,
Woh kabhi Aag Me dakhil NAA hoga
jo Sooraj ke nikalne wa chhupne
se PEHLE NaMaz padhega,
yaani Fajr aur Asr ki.
(MusliM)

____________________________________________________________

JuMMe ke din ek aisi ghadi aati hai
jisMe agar koi MusalMan banda Khada NaMaz padh raha ho
aur Dua Maange,
Allah qabul karta hai.(Bukhari)
____________________________________________________________

Sahabi(RA): IslaM Me sabse BEHTAR aMal kaunsa hai?
Huzoor(SAW): Khana khilana,
aur HAR ek so SALAAM karna,
jaan pehchan ho na ho.
(Bukhari)

Khana khane ke baad
UNGLIYAN aur BARTAN chaantne ka hukM diya.
FarMaya ki tuMhein MaluM nahin ki
Khane ke KIS hisse Me BARKAT hai.
(MusliM)

____________________________________________________________

Rasulullah(SAW)ne farMaya,
Allah us bande se Raazi hota hai
jo ek luqMa khaaye ya pani ka ek ghot piye
us par Allah ki taarif kare.
(MusliM)

____________________________________________________________

Jo aadMi RAAT ko
Surah-e-Dukhan padhe
to 70,000 Farishtey
uske liye Subah tak
MAGHFIRAT ki Dua karte rehte hain.
(TirMizi)(Baihaaqi)

____________________________________________________________

RehaM Karne walon Par
REHMAN RehaM Karta Hai
TuM ZaMeen walon Par RehaM Karo,
ALLAH TuM PaR RehaM Karega.
(Abu Dawood)

____________________________________________________________

Huzoor(SAW) se daryaft kiya gaya:
Kaunsa AMAL sabse zyada logo ke JANNAT Me jaane ka sabab banega?
FarMaya:TAQWA aur ACHE AKHLAQ.
(TirMizi)
____________________________________________________________

Nabi KareeM(SAW) ne farMaya,
Jab JuMMe ka din aata hai,
to Farishte, Masjid
ke darwaaze par,
aanewalon ke naaM likhte hain.
(Bukhari,, 929)
____________________________________________________________

Aap(SAW)ne farMaya,
Meri uMMat ke log
QayaMat ke din
WUZU ke asar se
Noorani chehre aur haath paanv wale honge.
(AhMad).

____________________________________________________________

Nabi(SAW) Ne FarMaya,
Jo Shakhs Subah 10 Baar
ShaaM 10 Baar Darood Padhega
QiyaMat Ke Din Usko Meri Shafa'at Naseeb Hogi.
(Tibrani)
____________________________________________________________

Aurat par sab AdMiyo se
zyada HAQQ uske SHAUHAR ka hai
aur Mard par uski MAA ka.
(HaakiM)

____________________________________________________________

Nabi(SAW) ne farMaya,
Jab tuM JuMua ke roz aao
aur IMaaM Khutba de rahe hon
to Mukhtasaran 2 rakat NaMaz zaroor ada kar liya karo.
(MusliM)
____________________________________________________________

Jis ne Meri Sunnat ko Zinda kiya, Usne Mujh se Mohabbat ki.
Aur jisne Mujh se Mohabbat ki,
Woh Mere saath Jannat Me hoga.
(TirMizi)
____________________________________________________________

AAP(SAW)ne farMaya,
Jo NEK Aulad bhi apni Waalidein par Mohabat bhari EK nazar dalti hai,
uske badle EK HAJJ-E-MAQBOOL ka Sawab hai.
(MusliM)

____________________________________________________________

Wuzu karke sone se
raat bhar jaag kar
Ibadat karne ka sawab hai aur
1 Qur'an Majeed ki tilawat karne jitna sawab hai.
____________________________________________________________

Jo log,
BINA dekhe
apne RABB se DARTE hain,
YAQEENAN unke liye
MAGHFIRAT hai
aur bada AJAR hai.

(Quran67:12)

____________________________________________________________

HaMesha NAMAZ padhte raho
aur
haMesha KHAIRAT karte raho
aur
Nabi(SAW) ke FARMABARDAR bane raho
taaki tuM par REHAM kiya jaye.
(Quran 24:5)
____________________________________________________________

Munaafiq ki nishaniyan
3 hain,

1. Jhoot bolna,

2. Waada khilafi karna.

3. AManat ...

Me khayanat karna.
(Bukhari)
____________________________________________________________

FARISHTE,
us MusalMaan par
TA'JJUB karte hain,
jo MusalMaan ke paas se ho guzarte hain
Magar usey salaaM NAHIN karte.
(Sahih MusliM)
____________________________________________________________

Huzoor(SAW) ne farMaya,
'Mazdoor ka paseena KHUSHK hone se PEHLE hi
us ki Mazdoori de diya karo.

(Ibne Maaja)

____________________________________________________________

Allah ke sabse KHAS bande wo hain
jo ZaMin pe narMi se chale
aur jab JAHIL unse jihalat ki baat kare
to kahe
TUMKO SALAM.
(Quran-25:63)
____________________________________________________________

Shaitan ko
3 cheezo se gussa ata hai.
1.WUZU ke SAATH rehne se.
2.TAHAJJUD padhne se.
3.MISWAK karne se.
Jitna ho sake usko gussa dilao
____________________________________________________________

Huzoor(SAW)
ne farMaya,
"Sadqe se
Maal Me kaMi NAHIN hoti
aur MU'AF karne se
Allah uski IZZAT
Me IZAAFA karta hai.
(MusliM/6592)
____________________________________________________________

Jo RaMzan ke roze rakhe,IMan ki haalat Me
aur
sawab ki neeyat se,
to uske
pichle sab
gunah Ma'af
ho jaate hain.
(Bukhari)

____________________________________________________________

NaMazi par Allah ke 5 inaaM.
>Asaan Rozi.
>Azaabe Qabr NAHI.
>A'Mal daayen Haath Me.
>Pulsiraat ka Raasta Asan.
>Bina Hisaab Ke Jannat
____________________________________________________________

Jab tuMhe khane ki dawat ho
to Mukarrar WAQT PAR jao
NA to waqt se PEHLE pahuncho
aur
NA hi khane ke baad bahut DER tak ruko
(Qur33:53)
____________________________________________________________

Jab kisi par bhi EHSAAN karo
to US se badle ki uMMeed MATH rakho,
yahan tak ki SHUKR GUZAARI
ki bhi uMMeed NA rakho.

(Quran 76:9)
____________________________________________________________
Jisne MOMIN ko duniya ki kisi sakht Musibat se nikala
Allah qayaMat ke din ki kisi HAULNAAK Musibat se
USEY nikalega.
(MusliM)
____________________________________________________________

YAHOOD wa NASAARA aur
HaMaare ROZE Me,
sirf SEHRI ka farq hai,
(yani wo sehri NAHI khaate
aur huM khaate hain).
(MusliM)
____________________________________________________________

ALLAH farMata hai, Me khayanat karna.

ALLAH farMata hai,
Bani ADAM ka HAR aMal USKE liye hai
siwaye ROZE ke
ki wo khaas MERE liye hai
aur MAIN hi iska badla doonga

Friday, May 14, 2010

Tafseer

Tafseer-ul-Quran per kal majlis-e-ashiqaan may jub bahas chidi ,tou sab apni soch ka izhaar kar rahe they..aur ye soch apne apne aqaayed ka rang thi..tafseer may apne aqaayed aur apni mohabbat ko hi dhundna aur un ke ilawa baaqi sab ko be-maani samjhna behter nahi hai.mohabbat sirf chund dilon ki hoti tou phir Quraan sab ke liye nahi hota...ye daras tou aam hai...phaila hua..sabko khud may samet lene waala...sabko raah-e-haqeeqi pe chalaane waala...yehaan tera mera ki gunjaish hi nahi....

Sadion seTafseer likhne waale buzargon ne apne ilm ka behtereen izhaar kiya..unki pahunch jahaan tak thi, unhen jitna ilm bakhsha gaya.. unhon ne awam-un-naas ki falaah usi may dhundi..ye silsila-e-maurusi duniya ki falaah ki khatir jaari-o-saari raha..aur ab hum duniya waale isme behter aur khoobter ki talaash may lage huye hain...halaanke hum iske ahal hain hi nahi..hamaara kaam tou apne buzargon ki tafseer ki gehraii may utarna hai..unke ilm se etefada haasil karke apne amal-o-kirdar ko behter banane ki koshish karna hai...na ke is bahas may padh kar apni aaqibat kharab karna hai...aur jahaan tak tafseer ka sawaal hai her buzarg ne Quraan shareef ke paighaam ki gehraiion tak pahunch kar,logon ke liye asaan tafseer pesh ki..taaki aam zubaan logon ki madadgaar sabit hosakey..aur her kisi ki samjh may asake...

Tafseer jonsi bhi ho, jin ki bhi ho baat samjhne ki hai..her Ayet quran ki khud keh uthegi mera payam ye hai..ek dil hai insaan ka jo vo kon-o-makaan hai jahaan khud khuda ki awaz uthegi..sahi ghalath ka farq samjha jaayegi..ek musalmaan sirf apne dil pe nazar rakhta hai jo kaamil imaan ka asli ghar hai..phir ye mubahise kitne dilon ko barma denge,kitne dilon ko garma denge...basa auqath mohabbaton may darar ka sabab bhi ban jaate hain..jo mehafilen ulfaton ki shamma jaalati hain wahaan tafreeq ki hawa na chale wahi behter..

Mujhe kaafi arse pehle meri waleda ki taraf se ek Quran shareef tohfe may mila tha..muaf kijiye mai un buzarg ka naam bhul rahi hun jo us Quran shareef ke mutarjem they..yaqeen jaaniye jub bhi may pareshaan rahi aur maine quran shareef khola mujhe apni her pareshaani ka jawab us tafseer may nazar aaya. aur maine qaraar paaya..Quraan shareef ki her vo tafseer jo humen ghum-e-zindgi se door karde, aur sabar ki raahaton ki sair kara de sab se behter hai..Khuda ne her baar yehi kaha hai. "ghum na kar unka jo teri baat na samjhe..kyonki ye kaam tera nahi hai..maine unke dilon per mohar laga rakhi hai..jo kaii baar ke samjhaane per bhi na samjhe unki yehi saza hai...tera kaam sirf mera paighaam pahunchana hai .".

Behtreen Tafseer vo hai jo bande ko khuda se mila de..apni haqeeqat samjha de..

Mere Murshad ne ek dafa saari mehafil may meri taraf dekh kar jub ye kaha" Aala hazrath ka tarjuma-e-quran padho." mujhe ehsaas tha ke us puri mehafil may vo paighaam sirf mere liye tha..aur hua bhi ye ke mai jaise hi ghar aai Alahazrath ki talaash may nikal padi.aur mujhe vo mil gaye..phir maine unhen bade ghaur se padha,samjhne ki puri koshish ki kyonki ye ishaara khaas tha..aur be sabab nahi tha..Alahazrath ne bahut si bidaton ka munh tod jawab bhi diya tha...Quran shareef ke zariye ye paighaam nashar kiya..ke buzargaan-e-deen ka zikr abidain-o-salihain ki raahon per chalne ki dua ke zariye kiya gaya...khuda ki jaanib waseela dhundne ki baat ki gaii...uska yehi matlab tha ke gumrah dilon ki rahnumaii ke liye rahnuma ka hona kis qadar zaruri tha..khuda ki haqeeqat Anbiya ke zariye samjhaii gaii...unke baad bhi ye silsila jaari raha..unhi ki nasal se nikli huii shaakhen aaj tak hum per saaya fagan hain..inse koi inkaari nahi..ek baat kehti chalun..mere murshad ne ye nahi kaha ke kisi aur ka tarjuma ya tafseer na padho...us se kya hoga..gumrahi her surat may aapke rubaru hogi..ye aapki aqal-e-saleem ki faham-o-adrak ka mamla hai ke vo apne saath kya mamla chahti hai...jahaan bhi achi cheez mile jo aapke amal ko sanwar de,us se estafada haasil karne may koi buraii nahi..achi achi cheezen apne paas rakho..jo buri hain unhen chod do...

Maine haal hi may hazrath Abu Ala Syed al-Maududi saheb ka tafheem-e-Quran padhne ka mauqa mila...jo purasar tha.maine unki tafseer may bahut kuch paaya..unhon ne barha is baat ka ishara kiya ke log mohtaram mukhoton may nafaq bhi hote hain ..unse bachne ki takid ki gaii..ye koi ghalath nahi...jaisey ke Huzur saw ki ek hadees hai.

"sab se zyada jinse mujhe meri ummat ka dar hai vo alimulisan-o-faseehul-bayaan munafiq hain. jo lachedar khatib-o-muqarer honge, aqeeda-e-khaas ki pabandi na karenge,aur taqreer ke zariye musalmanon ko gumrah kardenge. mujhe apni ummat per un munafiqon ka khatra hai jinka kalaam hakimana aur amal zalimana hoga.."

Behtreen dalilon-o-misalon ke zariye aam faham rakhne waale hum insaanon ko Deen ki barekiyaan samjhaii gayeen..insaan ko uski kamzorion se,usper ghalib aane waale khatron se waqif karaya gaya...humen chahiye ke jahaan bhi koi baat aapki soch ka zaviya durust karde us per zarur ghaur-o-fikr karna chahiye...aur apne amal per nazar saani karna chahiye...tamaam umr ek dusre ki mitti palid karne se ye bahut behter hai...

Monday, March 15, 2010

Mere Ghareeb Nawaz

Mere Ghareeb Nawaz

maine sab ganwaya tab aapko paaya. ye duniya kya jaane mere daman may ab ke kya aaya..vo gauhar nadaar ,vo yaqeen payedar,wahi ishq ka karobaar. ye sauda bila shert hota hai..jahaan banda apne liye nahi dusron ke liye maangta hai..paata hai.aur khushaal hojaata hai.

mai kya misaal dun aapke karam ki..mujhe her qadam aapki dua saaya-fagan mili.meri aah se bhi pehle mere sukun ki dua mili..mere saath chalte rahe aapke namabar. meri khamoshi ko zubaan dene waale wahi tou hain rahbar.

meri her kasmakash ko jawab milte rahe..mujhe uljhanon se bachate rahe aapke faisle...faaslon ke maayne badal gaye...rag-e-jaan se bhi qareeb hogaye ye khuda ke silsile..mai aapke zer-e-saaya barkaton ka zikr kaise karun..meri zubaan-o-dil ko itni taab kahaan Aaqa-e-rang-o-jamaal..

Aap ki nisbaten sarshaari-roh ka samaan hain.aapke naam-leva azmat-e-imaan hain..aapke dar se jo jude vo mohabbaton ka nishaan hain.

Tuesday, January 26, 2010

Allah Ki Mohabat

1. jo shaks Allah ki mohabat ka maza chakh leta hay phir use duniya hasal karne ki mohlat nahi milti aur use insanon se ghabrahat or weshat hoti hay.
2. main gawahi deta hun ke Khuda ek hai,is ka koi shareek nahi,is ke alawa koi ebadat ke layekh nahi,Allah to hamesha se hay or hamesha rehega,is jesa koi dosra nahi,woh apne sab kammo ka dehyan rakhta hai aur nafarmanon ko saaza deta hay.
3. agar tum Khuda ki rehmat ke umeedwar ho to is ki makhluk par rehem karo.
4. jahan tak mumkin ho,apne tamam kamo main khaw woh zahir hon ya chupey hon,insan Khuda se darta rahey.
5. jo khuda ke kamo main masroof ho jaye,to Khuda us ke kamon main masroof ho jata hai.
6. jis ke pas jitna ilim ho ga woh Allah se itna hi dare ga aur jitna jahil ho ga utna hi bekhoof ho ga.
7. jo shaks jahanam ke saaye se bachna aur Khuda ke saye main aana chahata hay is ko chahiye ke sakhti ke bajaye raham kare.
8. Allah tumhara madadgar hai,is ke siwa kisi main koi quvat nahi.
9. is dastoor zindagi par amal karo jo tumhare Nabi tumhare liye laaye hain or is raste par chalo jo nabi ne dekhaya hai.
10. is baat ko yaad rakho ke Allah in logon ki zaroor madad karta hai jo is ke Nabi ke liye qurbani dete hain.
11. taalib-e-deen'amal main zyaadati karta hai aur talib-e-dunyia ilm main.
12. agar koi dil se musalman nahi ho ga to us ka hisab Khuda ke hath main hai.
13. jo musalman paanch waqt ki namaz ada karta hai Khuda us ka mohafiz hota hay aur Allah ki hifazat main aa gya use koi nahi maar sakta .
14. agar kisi se koi gunah sarzad ho jaye to wazo kar ke do rakat namaz padhey aur Khuda se maafi mange,is ke gunah baksh diye jayeinge.
15. Allah ke waday kabi ghalat nahi ho saktey aur na in main kisi kisam ke shuba ka ehtamal ho sakta hay.
16.nafas se jahad karna sab se bada jahad hai.
17. kar-e-khair ko shauq se anjam dene wale ko Khuda ajar azim ata karta hai.
18. fakir ke samne ajzi or adab ke sath sadqa pesh karna chahiye,kyun ke khush dilli se sadqa dena qabuliat ka nishan hai.
19. Allah insano ke wohi amal khabul karta hai jo sirf achi niyat se kiye gye hun,jis admi ki jo niyat hoti hay us ko usi ka ajar milta hay.
20. ilm ke baghair amal bekaar hai aur ilm baghair amal bekar hai.
21. har roz balke har ghari naik amal karne ki koshish karo.
22. achey burey amal ki jaza Allah ke hath main hai.
23. jo shaks Khuda ke wastey koi masjid banaye Khuda us ke liye jannat banaye ga.
24. ya Allah meri akhari umar achi kar,naik amal par mera khatma farma or apni mulakhat ka din sab dino se behtar kar.
25. har shaks qyamat ke din apne bure aamal ka jawab de raha ho ga.
26. tum ko apne padosi se larna jhagarna nahi chahiye,is liye ke woh to apni jagah par hi rahey ga logon main tumhara charcha hota rahey ga.
26. jhooti batein banaane wala jannat main dakhal na ho ga.
27. tumhein chaye ke apni haalat durust rakho,taakey tumhein dekh kar dusrey log bhi apni halat durust rakein.
28. ameer ka takabur to bura hay hi lekin gareeb ka takabur us se bhi bura hai.
29. chori or khyanat se bacho ye baatein fikkar or aflas se peda hoti hain.
30. zuban ko shikwa se rok khushi ki zindagi ata ho gi.
31. agar koi naiki kisi waja se reh jaye to use hasal karne ki kosish karo or ise agar paa lo to agey barne ki koshish karo.
32. Khuda makluk se kabi koi moseebat nahi hatata jab take maklok ibadat ki taraf na jhuk jaaye.
33. dunyia jin ka sarmaya hai un ke deen ka nukhsan zuban bayan karne se ajiz hai.
34. gunah se tobah karna wajib hay,lekin gunah se bachna wajibtar hay.
35. bad-bakht hai woh shaks jo khud to mar jaaye lekin us ka gunah nahi martey .
36. woh log behtar hain jo dunyia ko akhrat ke liye tark kar dete hain.
37. jo bhi raaye kisi ko do us may Khuda ka khauf zaror shaamil hona chahiye.
38. agar koi mashwara talab kare to mukhlasana or sacha mashwara do..
39. jis par nasehat asar na kare usey samaj lena chahiye ke is ka dil imaan se khali hai.
40. jis cheze ke karne main Allah ne apni rehmat ka wada farmaya hai us ke karne main jaldi karo.

Sunday, January 24, 2010

Sunehere Qaul

Jab tum kisi ko dost banao to apne dil mein aik qabristan bana lo jahan tum uski buraiiyan aur raaz dafna sako
Prophet Muhammad PBUH ---

Acha dost kitni dafa hi kyun na ruth jaye ussey mana lena chahiyeh kyun ke tasbeeh ke daney kitni dafa hi kyun na bikher jayein chun liye jatey hein
Hazrat Ali (AS) ---

Jab aankhein nafs ki pasandeeda cheezein dekhnein lagein to dil anjaam say andha ho jata hai
Hazrat Ali (AS)---

Ikhtiyar, taqat aur daulat milne par log badaltey nahin balkey be-naqaab ho jatey hein
Hazrat Ali (AS)---

Din ki roshni mein rizq talash karo aur Raat ki tareeqi mein usse talash karo jo tumhein rizq deta hai
Hazrat Ali (AS)---

Kisi ko tum chaho aur woh tumhein thukra
day,Yeh uski badnaseebi hai. Koi tumhein na chahey aur tum usse zaberdasti apna banana chaho, ye tumhare nafs ki zillat hai
Hazrat Ali (AS)---

Insaan dukh nahin deta, insaanoun say wabasta umeedein dukh deti hein
Hazrat Ali (AS)---

Agar kisi ka banna chahtey ho to poori haqeeqat say ban jao warna apni zaat mein aisi haqeeqat paida kar lo ke koi haqeeqat mein tumhara ban jaye
Hazrat Ali (AS)---

Sadqa (charity) jab apne malik ke hath se nikalta hai to Uss waqt 5 jumley kehta hai

1. Main faani maal tha tu nay mujhe baqa di
2. Main tera dushman tha ab tu nay mujhe apna dost bana liya
3. Aaj say pehlay tu meri hifazat karta tha
ab mein teri hifazat karoun ga
4. Main haqeet tha tu nay mujhe azeem bana diya
5. Pehlay mein tere hath mein tha ab mein khuda ke haath mein hun
Prophet Muhammad PBUH---

Logoun ki zarooraton ka tum say wabasta hona tum par Allah ki inayat hai
Hazrat Imam Hussain (AS)---

Jab gunahon ke bawajood Rab-ul-Izzat ki naimatein musalsal tumhein milti rahein to hoshiyar ho jana
ke tumhara hisaab qareeb aur sakht tareen hai
Hazrat Ali (AS)---

Mujhe jannat say zyada masjid mein bethna acha lagta hai kyun ke jannat mein mera nafs khush hoga,
jab ke masjid mein mera rabb khush hoga
Hazrat Ali (AS)---

Momin woh nahin jis ki mehfil paak ho, Momin woh hai jis ki tanhaii paak ho
Hazrat Ali (AS)---

Barish ka qatra seep aur saanp dono ke munh mein girta hai.. seep ussey moti bana deta hai, saanp ussey zehr bana deta hai.. jiska jaisa zarf waisi uski takhleeq
Hazrat Ali (AS)---

One
thing that is better not expressed even if it is true, is a man's praise for himself
Hazrat Ali (AS)---

3 kaam kisi ke dil mein aapki izzat barhatey hein

1. Salaam karna
2. Kisi ko jagah dena
3. Asal naam se pukarna
Hazrat Ali (AS)---

Koshish karo ke tum dunya mein raho dunya tum mein na rahey kyun ke kashti jab tak paani mein rehti hai khoob terti hai lekin jab paani kashti mein ajaye to woh doob jati hai
Hazrat Ali (AS)---

Apni zubaan ki taizi uss maa par mat aazmao jis ne tumhein bolna sikhaya
Hazrat Ali (AS)---

Mere Allah, meri izzat ke liye yehi kafi hai ke mein tera banda hun aur mere fakhar ke liye yehi kafi hai ke tu mera parwardigar hai.. tu waisa he hai jaisa mein chahta hun.. bas tu mujh ko waisa bana day jaisa tu chahta hai
Hazrat Ali (AS)---

5 cheezon ki 5 jaga par hifazat karo
1... mehfil mein zubaan ki
2. bazaar mein aankh ki
3. namaz mein dil ki
4. dastarkhwan mein pait ki
5. nigah mein haya ki

Hazrat Ali (AS)---

3 cheezein insaan ko Allah se door karti hein
1. apne aamaal ko zyada samajhna
2. apne gunhaoun ko bhool jana
3. apne aapko sab se behtar samajhna

Hazrat Ali (AS) ---

6 cheezein amal ko zaya karti hein
1. logon ke aaib talash karna
2. Dil ki sakhti
3. Dunya ki mohabbat
4. Haya ki kammi
5. Lambi umeed.
6.. Zulm

Hazrat ALi (AS)---

A
friend cannot be considered a friend
unless he is
tested on three occasions
1. At the time of need
2. Behind your back

3. After your death

Hazrat ALi (AS)---

Agar kisi ka zarf aazmana ho to zyada izzat do..
woh aala zarf hua to aapko aur zyada izzat dega
aur kam zarf hua to khud ko aala samjhe ga

Friday, January 22, 2010

Ummat-e-Wast- Sarfarazi

Mohammad Salla Allahu walahi wassallam ki pairwi karne waale tarraqi karte karte is martabe par pahunche ke “ Ummat-e-wast"qaraar diye gaye. Tahavil-e-qibla ko jo nadaan mahaz ek simt se dusri simt ki taraf pherna samajh rahe hain ,halaanke darasal Baitul muqadas se Kaabey ki taraf simt-e-qibla ka phirna ye maani rakhta hai ke ke Allah ne Bani Israil ko Duniya ki peshwaii ke mansab se baa-zaabita maazul kiya aur Ummat-e-Mohammadiya ko us per faayez kar diya…
“Ummat-e-wast” ka lafz is qadar wasee maanuiyet rakhta hai apne andar ke kisi dusrey lafz se uske tarjume ka haq ada nahi kiya jaasakta. Is se muraad ek aisa aala aur ashraf groh hai jo adal-o-insaaf aur tawassat ki rawish per qaayem ho, jo Duniya ki qaumon ke darmyaan sadar ki haisiyeth rakhta ho, jiska talluq sab ke saath eksaan haq aur raasti ka ho aur nahaq aur narawa talluq kisi se na ho.
Phir ye fermaaya ke tumhen “ Ummat-e-wast isliye banaya gaya ke “ tum logon per gawaah ho”.is se muraad ye hai ke aakhirath may jub puri nu-e-insaani ka ikhata hisaab liya jaayega, us waqt hamaare Rasul hamaare zimmedar numayende ki haisiyeth se tum per gawahi denge, kyonke sahi aur amal-e-saaliha aur nizaam-e-adal ki jo taalim humne unhen di di thivo usne tum ko be-kam-o-kaast pahuncha di. Aur amalan uske mutabiq kaam kar ke dikha diya.uske baad Rasul ke qaayem moqaam hone ki haisiyeth se tum ko tamaam insaanon per gawah ki haisiyeth se uthna hoga aur ye shadath deni hogi ke Rasul ne jo kuch tumhen pahunchaaya vo tumne unhen pahunchaane may aur jo kuch Rasul ne tumhen dikhaaya tha tumne unhen dikhaane may apni had tak koii kotaahi nahi ki..
Is tarha kisi groh ka is Duniya may khuda ki taraf se gawahi ke mansab per maamoor hona darhaqeeqat uska imaamat aur peshwaii ke moqam per sarfaraz kiya jaana hai. isme jahaan fazilath aur sarfarazi hai wahin zimmedaari ka bahut bada baar bhi hai. iske maani ye hain ke jis tarha Rasul Allah Salla Allahu Walahi Wassalam is Ummat ke liye khuda-tarsi, raast-rawi sadaqat aur haq-parasti ki zinda shahadath baney usi tarha is Ummat ko bhi tamaam Duniya ke liye zinda shahadath banna chahiye..hatta ke iske qaul aura mal aur bartau her cheez ko dekh kar ye maalum ho ke khuda-tarsi isi ka naam hai. Raast-rawi ye hai,sadaqat isko kehte hain aur haq-parasti aisi hoti hai.
Duniya may ek Ummat ki rast-rawi ka ye intihaii samra hai ke vo Allah kea mar tasdiqi se aqwaam-e-aalam ki rahnuma aur peshwa banaii jaaye. Aur nu-e-insaani ko khuda parasti aur neki ke raastey per chalaane ki qidmat iske suprud ki jaaye.. ye mansab jis Ummat ko diya gaya dar-haqeeqat us per Allah ke fazal-o-inaam ki takmil hogaii..

Haqeeqat

Naawaqif log jub apne qayaas-o-gumaan ki buniyaad per " Mazhab " ki taarikh murratab karte hain tou kehte hain ke insaan ne apni zindgi ki ibtida shirk ki taarikiyon se ki phir tadreeji irteqa ( step by step aage badhna) ke saath saath ye taariki chat-ti gaii aur roshni badhti gaii..yehaan tak ke Admi tauheed ke moqaam per aa pahuncha.

Quraan iske bar-aks bataata hai ke Duniya may insaan ka aagahaz puri roshni may hua hai. Allah Taala ne sab se pehle jis insaan ko paida kiya tha usko ye bhi bata diya tha ke haqeeqat kya hai aur tere liye sahi rasta kaunsa hai..uske baad ek muddat tak nasl-e-Adam raah-e-raast per qaayem rahi aur ek ummat bani rahi. phir logon ne naye naye raastey nikaale aur mukhtalif tareeqe ejaad karliye..is wajah se nahi ke unko haqeeqat bataaii nahi gaii thi, bulke is wajah se ke haq ko jaanne ke bawajud baaz log apne jaayez haq se badh kar imtiyaazaath, fawaayed aur munaafa haasil karna chahtey they aur aapas may ek dusrey per zulm, sarkashi aur zyadati karne ke khahis-mand they.

Isi kharabi ko door karne ke liye Allah Taala ne Anbia-e-Akraam ko maabuus karna shuru kiya. ye Anbiya isliye nahi bheje gaye they ke ek naye mazhab ki bina daalen aur apni ek naii ummat bana daalen. bulke unke bheje jaane ki gharz ye thi ke logon ke saamne us khoii huii raah-e-haq ko waazah karke unhen phir se ek ummat banaa den.

Kufar

"Kufar" ke asal maani chupaane ke hain..is se inkaar ka mafhum paida hua aur ye lafz eman ke muqabley may bola jaane laga..Emaan ke maani hain manna, qabul karna, tasleem kar lena. iske bar-aks kufar ke maani hain na manna, radd kar dena, inkaar karna..

Quraan ki ruu se kufar ke rawaiye ki mukhtalif suraten hain.

Ek ye ke insaan sarey se khuda hi ko na maane,ya uske eqtedaar-e-Aala ko tasleem na kare aur usko apna aur saari kaainaath ka Maalik aur Maabud maanne seinkaar karde.ya usey Wahed Maalik aur Maabud na maane.

Dusrey ye ke Allah ko tou maaney magar uske ahkaam aur uski hidaayaath ko wahed munba-e-ilm-o-qaanun tasleem karne se inkaar karde..

Teesrey ye ke usulan is baat ko bhi tasleem karle ke ke usey Allah hi ki hidaayaath par chalna chahiye, magar Allah apni hidaayaath aur apne ahkaam pahunchaane ke liye jin paighambaron ko wasta banaata hai, unhen tasleem na kare.

Chauthey ye ke paighambaron ke darmyaan tafreeq kare aur apni pasand ya taasubaath ki bina par unme se kisi ko maane aur kisi ko na maane...

Paanchven ye ke paighambaron ne khuda ki taraf se aqaayed, akhlakh aur qawaneen-e-hayaath ke mutallaq jo taalimaat bayaan ki hain unko ya unme se kisi cheez ko qabul na karey..

Chettey ye ke nazriyey ke taur per tou in sab cheezon ko maan le magar amalan ahkaam-e-ilaahi ki daanesta nafermaani kare..aur is nafermaani per israar karta rahe aur dunyawi zindgi may apne rawaiyey ki bina itaa-at per nahi bulke nafermaani per rakhe..

Ye sab mukhtalif tarz-e-fikr-o-amal Allah ke muqabley may baaghiyaana hain aur inme se her ek rawaiye ko Quraan " kufar" se taabir karta hai.