Monday, December 10, 2012

Khalifa






Sura-e-Baqara may insaan ki haqeeqat aur kaainaat may uski haisiyet thik tarha say bayaan kardi gaii hai. Aur nu-e-insaani ki taareekh ka vo baab pesh kiya gaya hai jiske maalum hone ka koii dusra zariya insaan ko muyessar nahi hai. is baab say jo aham nataayej haasil hote hain vo un natayej say zyada qeemati hain jo zameen ki tahon say haddiyaan nikaal kar aur unhen qayaas-o-takhmeen say rabt dekar admi akhaz karne ki koshish karta hai.

Malak ka lafzi tarjuma farstaada ya farishta hai, Arabi zubaan may payambar ke hain. ye mahaz mujarad quwaten nahi hain jo tashakas na rakhti hon bulki ye shaksiyet rakhne waali hastiyaan hain jin say Allah taala apni isi azeem-ul-shaan saltanat ki tadbeer-o-intizaam may kaam leta hai. yon samajhna chahiye ke ye sultanat-e-ilaahi ke ahalkaar hain jo Allah ke ahkaam ko nafez karte hain.

Khalifa-jo kisi ki milk may uske tafveez-kurda  ekhtiyaaraath uske naayeb hone ki haisiyet say istemaal kare. Khalifa maalik nahi hota bulki asal maalik ka naayeb hota hai. uske ekhtiyaaraat zaati nahi hote bulki maalik ke atta-kurda hote hain. vo apne mansha ke mutabiq kaam karne ka haq nahi rakhta, bulki uska kaam maalik ke mansha ko pura karna hota hai..


Farishte lafz khalifa say ye tou samajh gaye they ke is zeer-e-tajveez makhlukh ko zameen may kuch ekhtiyaaraat suprud kiye jaane waale hain, magar ye baat unki samajh may nahi aati thi ke saltanat-e-kainat ke is nizaam may kisi ba-ekhiyar makhlukh ki gunjaish kaise hosakti hai. aur agar kisi ki taraf kuch zara say ekhtiyaaraat bhi muntaqal kar diye jaayen tou saltanat ke jis hisse may bhi aisa kiya jaayega  wahaan ka intizaam kharabi say kaise bach jaayega. 

Farishton ko khuda ka ye jawaab raha ke khalifa ki zarurat -o-maslihat sirf mai jaanta hun,tum usey nahi samajh sakte. Apni jin khidmaat ka tum zikr kar rahe ho vo kaafi nahi hain bulki un say bhi badh kar kuch matlub hai.isi liye zameen may ek aisi makhlukh paida karne ka irada kiya gaya hai jinke taraf kuch ekhtiyaaraat muntaqal kiye jaayen.

Allah ne unhen bata diya ke mai Adam ko sirf ekhtiyaaraath hi nahi de raha hun bulke ilm bhi de raha hun. uske taqarar say fasaad ka jo andesha tumhen hua hai vo is maamle ka sirf ek pehlu hai, dusra pehlu salaah ka bhi hai aur vo fasaad ke pehlu say zyada wazni aur zyada besh-qeemat hai. Hakeem ka ye kaam nahi ke choti kharaabi ki wajah say badi behtri nazar andaz karde.

No comments: