Sunday, September 18, 2016

Goyayee ke usul....






Allah taala ne sharf-e-adam ka khulasa adam ko bakhshi huii niyamaton se kiya hai...usey tamaam makhlukh se afzal aur behter karne may uski goyayee ka bhi dakhal hai...jub adam ki ajz bhari inkisaari goya hui tou khudavand ka shaad hojana lazmi tha...uski takhlikh ki ye haseen tareen herkat usko bhaii...jo uski zubaan se uske saamne apne ajaz ka izhar bani..Goya ke niyamat-e-goyaee  hamd-o-sana say izhaar ki quwat paa gaii...aur khuda apne bande se raazi hua..aur usey khilafat-o-bargazeedgi bakhshi..

Zubaan se ada hone waale lafz tab mutahrik hote hain jub unme khuda ka vasf jhalke...ye mujasim hokar jalwa ban jaate hai haq ka...us ki zaat ko ashkaar karna bande ki qudrat nahi...ye bhi usi ke ekhtiyar per mumkin hai..jisne insaan ko mukamal kiya...uski asaniyaan faraham keen..Zubaan ka sahi istemaal khud us ke liye sudmand hota hai jiski zubaan hai...so jub ek dusre se humkalam hon to us kalaam ki khasiyet ye rahe ke bahami mohabbat ki faroghdasht ho..na ke shak-o-shubahath ke beej bone ka kaam lo...zindagi ko asaan banane ki khatir faraham ki gaii sahulathon ka ghalath istemaal puri zindagi ko ulat pulat kar rakh deta hai...so apne zuban ka sahi istemal khuda ko raazi karne may maven-o-madagar saabit hota hai...ek achi zubaan kitne dilon ko mashoor kar deti hai...aur sache aur ache lafz hamesha hamesha ke liye dilon per raqam hojaate hain...sachi zubaan sab se achi zubaan hai..

Alfaz-o-ebaraat aur bayaan waghaira ki zarurat to ghair ku khabar dene ke liye hoti hai aur haq taala ke saamne halaath bayaan karne aur unki tafseerein pesh karne ki gunjaish nahi ke vo in sab baaton se be-niyaz hai, ke vo tou dil ke andar ki baatein bhi khud hi jaanta hai, uske siwa aur koi laayeq nahi ke jis se mashghul hona laazim ya rawa ho.

jo kalaam ko sukut per fazilat dete hain kehte hain ke bayan-e-ahwaal ek hukum hai jo haq taala ki taraf se humein diya gaya hai kyon ki dawa maani per hi qaayem hota hai, is liye ke koi shaks hazar saal se bhi dil-o-baatin se aarif bana phirta rahe aur koi aisi zarurat ya maslihat iske kalaam karne may maanya bhi na ho tou uska zuban se bol kar iqrar-e-marifat na karna kaafiron ke hukum may shumaar hoga. aur Allah taala ne tou tamaam mominon ko hukum diya hai ke vo hamesha uski hamd-o-sana aur shukur ada karte rahein.."apne rab ke inaamat ka tazkara karte raha kijiye yaani zubaan se qauli shukur bhi kijiye.zaaher hai ke sana-o-zikir bahar haal bol kar hi kiya jaa sakta hai, pas hamara bolna Allah taala ki shaan-e-rabubiyet ki ayeen taazeem hai. 

Fermaan-e-khudavandi hai ke " mujh ko pukaro  mai tumhari darkhwast qubul karunga" aur phir fermaaya ke " mai manzur karleta hun arzi darkhwast dene waale ki jub ke vo mere huzur may darkhwast de" Ek buzurg khuda unse raazi ho , kehte hain ke jo shaks apne ahwal ko bayan nahi kar sakta uske ahwaal goya hain hi nahi, kyon ki " tera haal wahi hai jisey tu bayan kar sake aur vo haal khud kalaam kare ".

haal ki zubaan mere jism ki zubaan se faseeh-ter hai 
aur mere sawaal ki tarjumaan meri khamoshi hai

Hazrath ali hajveri rahmatullah alhi kehte hain "kalaam ki bhi do qismein hoti hain aur usi tarha khamoshi bhi do tarha ki hoti hai. kalaam may se ek tou vo hai jo haq hai aur dusra vo jo baatil hota hai..aur sakut ki ek wajah tou husul-e-maqsad hoti hai aur dusri ghaflat. pas baat karne se pehle her kisi ko apne dil may jhank kar dekh lena chahiye ke bolna munasib rahega ya khamosh rahna .yaane agar kalaam-e-haq ho tou uska bolna uske khamosh rahne se behter hai.agar baatil hai tou khamoshi kalaam se bhali...

IBLIS KHUD BOLA " MAI ADAM SE BEHTER HUN' PHIR KHUD BOL KAR APNA HASHAR BHI DEKH LIYA AUR ADAM ALAHISALAM KO KHUDA NE BULWAYA TOU AAP NE KAHA " AYE PERWARDIGAR HUMNE APNI JAANON PER ZULM KIYA" UN KE YON KEHNE PER ALLAH TAALA NE UNHEIN BARGIZDAGI ATTA KAR DI. PAS TAREEQAT KI DAWAT DENE WAALE APNI GUFTAAR MAY MAAMOOR YAANE AMAR-E-RABBI KE TAABA HOTE HIN..UNKI KHAMOSHI SHERM-O-BECHARGI KI HAAMIL HOTI HAI, JINKI KHAMOSHI HAYA KI WAJAH SE HO , UNKA KALAAM DILON KE LIYE HAYAAT AFROZ HOTA HAI". ISLIYE KE UNKA BOLNA DEEDAAR-E-ILAAHI KE BAAYES HOTA HAI..

Isi bina per ek buzurg ne fermaaya " jiski khamoshi uski apni zaat ke liye sona ho, uska kalaam dusron ke liye na sirf sona bulke keemiya hota hai jis se sona banaya jaata hai..so "zubaan jub rabubiyet ki shaan-o-iqrar may mahu-e-guftaar hojaaye tou uska her her lafz dilon ko apne daam-e-guftaar ka aseer bana le ".

                                hazar khauf ho laikin zubaan ho dil ki taufiq

                                yehi raha hai azal se qalandaron ka tareeq

Thursday, April 28, 2016

Jashn-e-Vasal



hai ye khiraj-e-aqeedat
Mere Rahbar ki nazar
jinse mili mujh ko nazar

jinse ho kar guzri hai
meri her raah-guzar

Duniya bichdan ku hijr ka naam deti hai aur milan ku vasal kaha karti hai..ye tou apne dil ki baat hai apni soch ki baat hai...lafz khushi ka ihaata nahi kar sakte...na hi surur ka izhaar paa sakte hain..Ye tou mohabbaton ki baat hai...ye tou ishq ki soghaat hai...Aur ye tou unhein hi haasil hai jo dono jahaan haqparasti per waar dete hain..

Dum dum may jin ke Ali Ali 
un ki ek hi manzil ek gali

Hazrath Ali Murtaza razi Allahu anahu jaisa tanawar shajar jinper sayafagan hojaaye unhein mukamal taur per koi soch bhi kahaan paa sakti hai..Bas wahi niyamat dilwalon ki ziyafat ka samaan bani hui hai aaj tak...abhi tak..is lamhe tak...taqayamat tak...Mere humnafas dosto ilm tou aapko bhi hai...mera maqsad khud ko samjhana hai ...pehchan kar pehchan deni hai...apni aapko sunani hai...

Haan tou phir baat vasal ki horahi thi...Buzargaan-e-din ka visaaal hi unke vasl ka lamha hota hai..vo apne qaliq se is tarha milte hain jaise mehbub se sadion se bhatakta majnun ashiq zaar..usi may madghum hojaate hain jis se paaye they apne naqsh-o-nigaar....vo lamha jaangsal unke liye hota hai jo un buzargtaren hasti ke ashiqaan hote hain...phir bhi vo us din ko Urus ke naam se manaaya karte hain..yaad waqt ki mohtaj nahi...per judaii tou yaadon may teher jaati hai...aur yehi derd unhen raah-e-tabligh per maayel rakhta hai...ke jis silsile ki bina mehbub ne daali thi uska khiraaj yehi hai ke muhib apne haathon vo mashaal dil dil roshan karta rahe...ye roshni khud uski roshni may izaafe ka sabab banti hai...

jo zameen asmaan ke darmyaan 
ek noor ka sailaab baha de...
kyon phir dil usko rab sa na bana de

Jashan-e-Urus apne mubarak rasmon se arasta un buzargaan-e-deen ki moqadas khankhahon ko munawar karta hua laakhon karodon dilon ko noor-e-imaan se muattar karta hua saal dar saal chala aata hai....be-sakun dilon ki teemaadaari hai ye....bebason ki ummid ki abyaari hai....ye unke chahne waalon ki dildaari hai...

Mere Ghareeb Nawaz sultan-e-Hind Shah-e-Nawaz unka Urus Mubarak yehan USA Newjersey may hotel sheezaan may April 23 rd ko badi mohabbat o bade ehtraam se manaaya gaya...pardes may ye inaayet ka hojaana is baat ki daleel hai ke vo hasb-e-wada apne ashiqain ki dilbastagi ka samaan kahin bhi kar sakte hain..saath samandar paar halaath ka shikaar dil is karam ko paa kar phule nahi samaate....is jashn ko karam maan kar apne karam jaari rakhte hain....mayusi kufr hai aur haqsharasti khushaind ummid.....

Urus shareef per her rasam nibhaii gaii...mehefil-e-samaa  ka bhi intizaam kiya gaya...Huzur sallam ki naatein Ghareeb nawaz ke ishq ko taazgi bakhshti huii unke chahne waalon ke dilon ko mus-hoor karti rahi...gharz ashiqaan ki edd hogaii...

Mere ghareeb nawaz ki nawazishein tou laa zawaal hain...un tak pahunchaane waale waseelon ke dil bhi bemisaal hain...aisi aisi mohabbat ki misaalein milti hain ke dil ash ash kar uth-te hain...vo waseele karodon dilon ko darsgaahon may tabdeel karte jaate hain....aur vo darasgaahein apni waasaton ko phailaate huye dilon dilon tak mohabbat nashar karte hain...

ji haan ain mohabbat , saans mohabbat ,unka her paighaam mohabbat....baghair iske kaise jaan paayenge ke" hai ilhaam Mohabbat.".