Sunday, October 22, 2023

Khudi ka raaz…



Hazrath Allama Iqbal ke kalaam ne faham o adrak ki raahon per zeefaham zehenon ko dawat di hai..Hazrath rumi se unka Ishq o aqeedat is baat ki gawah hai…ke khuda ka qurb aksar yon bhi mila karta hai..dil arzu khahishon ki rahguzar se ho kar khudi ka patta chala karta hai..


 Ghalath nigar hai teri chashm-e-neem baaz  ab tak 

Tera wajud tere waastey hai raaz ab tak

Tera niyaz nahi ashna-e-naaz ab tak 

Ke hai qayam se khali  teri namaz ab tak

Gustaar hai teri khudi ka raaz ab tak 

Ke tu hai naghma-e-rumi say be-niyaz ab tak


________________________

Na utha phir koi rumi ajam ke laala zaaron say

Wahi aab-e-gil-e-iraan, wahi tabrez hai baaqi

--------------------------------------------------------------


Insan ki zindagi, arzu per buniyad,aur asaas rakhti hai. Apne aap ko apni pakiza tamannavon aur aala arzuvon ke hawaley say pehchano.

Momin aur banda-e-haq ki ummid aur tamanna Allah ki Raza, khushnudi aur uske deen ki sar bulandi , duniya ki kamrani aur akhirat ki falah hai..iske liye Allah ka batlaya hua raasta ekhtiyar karna hi matlub-o-maqsood hai..

Insan ki ankhen,kaan,hosh-o-hawas,  arzu se hi mutahrik aur zinda rahte hain.ye musht-e-khaak,  aulad-e-adam ,arzu se hi laala kheez  ban jaati hai..aisi mitti jis may gul-laala ugtey aur nashonuma paatey hain..

Jis insan ne arzuvon aur tamannavon ke beej apne dil ki kheti may na boye, vo patharon aur eenton ki tarha dusron ki paamaali  ka shikar  aur sabab banta hai..

Neik tamannayein buland iraadey aur maqsad-e-zindagi ke hawaley say khush-aaind arzuyein , her badsha aur sardar ka sarmaya-e-hayaath hain..

Arzu her faqeer ke liye  jaam-e-jahaan been ki haisiyet rakhti hai..

Insan jo aab-o-Gul ka mujasima hai , usko arzu hi insan banati hai..arzu hum ko apni pehchan aur shanakht bata deti hai..

Arzu aag ki chingari ki tarha hamare jism say buland hoti hai aur ek khaak k zarrey ku asmaani wussat aur pinhaii se humkinaar kar deti hai...

Aazar ki aulad ne ek kaaba tameer kiya..ek nigah-e-khuda shanas-o-khudabeen nay khaak ko akseer bana diya..aye bani nu ,tum bhi apne badan may khudi paida karo aur apni musht-e-khaak ko akseer banao.