Wednesday, September 29, 2010

Dua


Ya Ghareeb Nawaz ,
Baad qadambosi ke arz hai...mohabbat qabul ho,
maana ke hum insaan apni zaat ke safar may uljhey huye, aksar vo aasra hi bhul jaatey hain jahaan ki ghani chaaun aaj tak zindgi ke serd-o-garm se mehfuz karti aai hai.,aur her mushkil waqt ko faqat isi yaqeen ney asaan kardiya ke ,hamawaqt ek dua saaya-fagan hai., kya majaal kisi mushkil ki jo danwa dol kardey.,jo humaarey yaqeen ko dagmaga day..mohabbat tou bila shert hoti hai..huii hai..rahegi..phir kya raahaten...kya musibaten...inka tou choli daman ka saath hai..ye tou zindgi ki dhoop chaaun hai..inke baghair bhaley aur burey ki tameez kaise ho...
so aye aqal ,zara sanmbhal...aye dil na bahak..vo pal yaad kar..jahaan le aaya tha khuda..jahaan mahak rahey they Mustafa...jahaan tha nawazishon ka silsila..unhi ke ahad ke saaye taley fikron se azaad huye they hum...hum apni arzu dengey,unka faiz paayenge..vo apna faiz dengey,hum khud ko bhulayengey...hum unko paayengey , ye jahaan bhul jaayengey..
Hum insaan sada nadaan, sada pareshaan, kub samjh paaye ghum-e-zindagi ka sabab, humne zameen asmaan ko kahaan dekha...darmyaan may hi uljhey reh gaye...gar zameen per nazar hoti, haqeeqat jaan letey...gar asmaan ki taraf nazar jaati arsh ki haqeeqat samjh aati...hum apni hasti ka israar hi hul na kar sakey...hum adna ,adna hi rahey...vo log aur they jo apni zaat se nikal kar unki zaat may jazb hogaye...jinki mohabbaton ka safar zikr-e-mehbub se guzar kar vird-e-mehbub ban gaya...
Vo manzar jazb ka ab tak jaam-e-surur hai, yaad unki ab tak khud masrur hai...hosh-ruba sohabat ,ishq-o-noor ki sangat....vo darr-e-ba-barkath...mai chahati hun mere Khwaja, faizaan-e-mohabbat banaye rakhna...humen mayus na karna...waqt kathin hai..aapki duaon ke baghair guzarra na-mumkin hai...haajat rawa ,mushkil kusha...taalib ki sunna Dua, karna Dua....

Baagir daabey baala uftaad kashti
zayeefaan-e-shakista raato pasti
bahaq-e-khwaja Usmaan-e-Harooni
madad-kun Ya Moinuddin Chishti

Monday, September 13, 2010

Aks-e-Yaar


Mohabbaton ka safar jub hojaaye shuru,musafaton ki khabar kahaan, phir her qadam manzil hai...ek dil paaleta hai duniya naii, uski aaghosh may aajaatey hain dil kaii...Dar-e-Nawaaz per bula kar, ek bhuley bhatkey ko apna bana kar, pesh kartey hain usko saja kar..roshnion kay hujum may, noor ki khairaat say, rakhsanda -o-taabinda baa-hosh dil..kehtey hain aa aajaa aa mujh say aa kay mil...mujh may hikmaton ke raaz hain...mujh may unki mohabbaton ke andaaz hain..mai saraapa Sakun hun....mai mukamaal ishq hun , mai deewangi mai junun hun....


Mohabbat ka taqaaza hai, mehbub aur muhib donon ek dusrey ka aks hojaayen..mehbub muhib ka saaya ho..muhib mehbub ka aaina hojaaye...ek ki sohbath may dusra mil jaaye....ishq ki anginaat suraten hain...un sab may haseen hai ye surat...jahaan rab jalaali, mehbub jamaali,muhib kamaali....deewanon ki hadh bisraaye....deewanon ko khud may samaaye...deewanon se khud ko milaaye...deewanon ka hojaaye....


Darbaar-e-Faiz say koii mutalba lauta nahi karta....ab ye taalib ka shauq hai , uski arzu ka zauq hai...usey kya chahiye....usey daste-e-karam chahiye, ya sarkaar chahiye...usey dua chahiye ya duago chahiye....usey hosh chahiye ya surur chahiye.....usey ekhtiyaar chahiye ke panaah chahiye....usey nigaah chahiye ke nazar chahiye....usey khaak-e-paa-e-yaar chahiye....