Thursday, December 20, 2012

Manzil-e-Ishq





Ishq may hum sirf aur sirf Mehbub ki khushi dekhte hain. Junun Ishq say bhi aage ki manzil hai.

 Be-khatar kood pada aatish-e-namrud may ishq
 Aqal hai mahu-e-tamaasha-e-lub-e-baam abhi

                                               
Hazrat Abu-al-Abas Ahamed bin Mohammed-ul-Ashqani RA  zor zor say kaha karte they " Mujhe vo adam chahiye jise wajud kabhi muyessar hi na aasake ". Admi ke liye majal hai ke jaisa usey hona chahiye waisa ho bhi jaaye. Mai khud bhi waisa nahi hun jaisa mujhe hona chahiye aur yaqeenan waisa ho bhi na sakunga, kyon ke mujhe maalum hai ke vo nahi hoga jo mai chahta hun aur jo mai chahta hun vo ye hai ke khuda taala mujhe us adam may le jaaye ke us adam say phir wajud may aasakun. is liye ke jo kuch moqamaat-o-karamaat hain mehal-e-hijaab aur moqaam-e-balaa hain aur Aah sad Aah ke jo admi apne hijaab ka ashiq ban baitha hai aur ye nahi samajhta ke deedaar-e-Ilahi may nesti bhi us araam say behter hai jo hijaab-e-haq may muyessar aaye aur chunke Allah taala ki hasti vo hasti hai jis per adam rawa nahi. Lihaza uske milk may hasti bhi muyessar aajaaye tou hamaara kya nuqsan hai. Kyon ke yehi tou vo nesti hogi jo phir kabhi hasti ki shakal ekhtiyaar na karegi aur Mera yehi maqsud hai yaane vo nesti jiske baad phir hasti say dochaar na hona pade. Aur dosti fana ka yehi vo tassavur hai jiski buniyaad  qawi aur mazbut hai. Allah behter jaanta hai.

              hum hain uske khayaal ki tasweer
              jis ki tasweer  hai  khayaal  apna
                                           

No comments: