Monday, October 19, 2020

Sun lijiye phir arz hamari.....

 



Ek darkhwast le ker aaye hain phir se deewane

phir aas karam ki hai,pesh hain dil ke nazraane


Waqt kehte they kabhi eksa nahi rehta....waqi ye wahi waqt hai jo dekhte hi dekhte badal gaya hai...mere sarkaar,ashiqon ki dua maqbul ho...is waqt ke daman se kaanton ko chun lena her kisi ke bas ki baat nahi, banda ghaafil hai,aur Rab naraz,rab ko manaana hum jaison ki auqaat nahi....ye tou Dostaan-e-khuda ka khaasa hai, jinka khuda ko paas hai...jo rab ki mohabbat may fanafillah hone ka hunar rakhte hain.....jinki arz dono jahan may maqbul hoti hai...

Khwaja mere Khwaja aapke sadqe may khuda aapke deewanon ki sun le....ye jo hiraasani-o-pareshaani phaili hui hai duniya may,ye aapki mohabbat ke sadqe may door hojaaye....Rab apne bandon se raazi hojaaye....Amin....Dua maqbul kijiye Murshad-e-Mohtaram....aapki azmat ke sadqe hum ko aapki zyarat ka mauqa phir se nasib ho....dua maqbul ho....Amin...

Thursday, June 4, 2020

Waseela





"log waseele bhul jaate hain " ..kitna bada sach tha jo dil per chap ker reh gaya...jub suna tha us waqt haal pesh e nazar tha...kise patta tha mustaqbal ka behtreen sabaq is qaul may chupa hai..

Waqi waqt ka bahau apne siwa sab kuch baha le jaata hai...yehan tak ke apne hone ki wajah bhi, apne aane ka zariya bhi...

Khuda vanda quddus ne apni pehchaan bhi waseelon se hi karaii...aur insaan ko bhi waseeloon ke badaulat hi namud ka mauqa nasib hua....gar khuda na hota to ye jahan na hota...gar usne apne izhaar ka zariya insaan ko na banaya hota phir insaan kahan hota....batan -e-maadar ku insaan dusra waseela banaya....yaane ke khuda ne apni hukumat ka naayeb maa hi ko banaya...ke uski bakhshi huii taleem ki roshni us shafeeq hasti ke haathon mashaal-e-raah bane jisne rab ke ahkaam ke amal ka beda uthaaya....

Gharz be wassela jahaan may koi nahi aaya...baghair waseele ke kisi ne kuch nahi paaya....saare sabaq inhi waseelon se zindagi may dhalte rahe...zindagi badalte rahe....

Bada khushqismat hai vo dil jisey taufiq mili....taufiq se bhi pehle inayet mili....koi dast-e-karam uski taraf badha...ye khuda ki taraf se bakhsha hua waseela hi tou hai...jo dilon ki kasaafaton ko dho kar ek saaf suthri zindagi ki jaanib raaghib karta hai...

Duniya may ulajh jaana bhi fitri hai...ke duniya itni rangarang jo hai..aur usper turra ye ke rubaru Dost numa dushman bhi maujud hai....jo apni dilfareb chaalon se aapke husn-e-zindagi ka aks ek mokhtalif aaine may dikhaata hai...aur Dil in chaalon se bekhabar fareb-e-nazar ka shikaar hojaata hai...

Baharhaal tayeshuda hote hain imtihaan...us se bhi peshter tayeshuda hote hain meherbaan....jis lamhe bhatke huye dil ne ehsaas ki ankh kholi , kahin ek bunnd uski ankh se nadamat ki tapki, rahmat khudavand ka waseela pesha hota hai...

kabhi dil may, kabhi mehefil may milne lagta hai vo waseela jahan se asli safar ka aghaaz hota hai...lailmi se ilm ka .......

Waseela ....aur inka hona is baat ka sabut hai ke karam ki raahatein darperda hi nasib hoti hain...taaki ghaafil apne siwa usko sune jo uska baani hai....aur jo na samjha wahi asal may faani hai...

Friday, February 7, 2020

Murshad-e-Mohtaram






Dostaan-e-mehefil,adab, daras ki muddat tayeen kahan hoti hai...ye tou taalib ki qabiliyet per taye hoti hai.

tou bas hum bhi zad-e-mauj-e-darya hi rahe...maujon ne humein khoob zad-o-kob kiya....waqtan fauqtan baab-e-daras khulte rahe..hum is isna may khud se milte rahe...aainon se jahad mumkin hi kahan hai...vo tou saaf go hua karte hain..perde utha ke milte hain...aur nafs ankhein chura kar bach nikalte hain...bahar kaif is tag-o-dudh ki bhi manzil hoti hai..kahin aaina tut jaata hai..kahin nafs chut jaata hai...phir bhi jahad ka jaari rakhna ye bhi inayet may shumar hota hai..

Gharib nawaz apna dast-e-khair jis per ek baar rakh dein vo her surat may khair ki jaanib hi rawan dawan rahta hai...aur alhamdulliah qarar ki manzil jub qareeb hone lagti hai to jaan lena chahiye ke imtihan sakhth hai..aur her rahzani bhi mumkin hai...aaina rubaru ho to phir jalwa bhi rubaru hota hai..jub jalwa rubaru ho tou phir rooh ka jalwa kaise namumkin hosakta hai...

Daras ki ibtida to hosakti hai intiha nahi...vo tou ek lamatnahi silsila hai...jaari -o-saari rahega abad tak...rafta rafta talib ashna hote rahenge...faiz paate rahenge....

Mere murshad ka her qaul zehen nashin hai..unki humnashini ka her pal sang-e-safar hai...unki nazar-e-karam ka hi ye phal hai..aur dil ka muddua unki dua hai..