Tuesday, March 31, 2009

Qurb Ki Raahen



koii qaabil ho tou hum shaan kaii dete hain
dhundne waale ko duniya bhi naii dete hain

Abdullah Ismaeel almaghrbi Razillahuanahu ne fermaya” Duniya se badh kar kisi ko munsif na paaya . kyonke agar tum uski khidmat karo tou usey apna khaadim paaoge,laikin usey chod do tou vo tumhen bhi chod degi . yaane duniya vo cheez hai ke agar tum usey chaho tou vo bhi tumhen chahegi,laikin agar tum us se muh mod kar khidmat-e-qalq may lag jaao tou vo khud hi tum se kinarakash hojaayegi . aur uska andesha tak tumhaare dil may baaqi nahi rahega . pas jo koi sache dil se duniya ko chod de vo uske fasad se mehfuz hojaata hai aur uski aafaton se rihaii haasil kar leta hai” .insha Allah Taala .

Aulhasanaljarjaani Raziallahuanahu ne fermaaya” Duniya ko qaraar bhi mila tou maidaan-e-ghaflat may mila ! aur etmaad hai tou un shakuk-o-tauhimaat per jo sarasar aafat-o-bala hain .aur apne aap may tassaur kiye baithe hain goya vo jo kuch kar rahe hain bas wahi durust hai aur haqeeqat per mubni hai .

Abu Mohammad bin Ahmad binulHussain alhareeri Raziallahuanahu ne farmaya” Emaan ka duaam, deen ka intizaam, aur badan ki sheath ka ehtmaam teeno baton se wabasta hai .
Awal ye ke bharosa faqat khuda per kiya jaaye,duaam-e-emaan,
Duam ye ke parhez kiya jaaye,intizaam-e-deen
Suam ye ke ghiza ka khayaal rakha jaaye.

Tafseel is ajmaal ki ye hai ke jis ne Allah Taala per bharosa kiya uska batin sahi hogaya, goya emaan duaami hogaya, aur jisne mamnu-aat se parhez kiya uski seerat achi hogai,deen ka bandobast hogaya, aur jisne ghiza ko ghair munasib ashiya se kharaab na hone diya tou uske nafs ki riyaazat haasil hogai, tanbadan ki durusti qaayam hogaii, pas Allah per ektefa-o-bharose ka sila ye hoga ke usey safuvat-e-maarifat se nawaazenge aur taqwa ( nawahi se parhez ) karne ka sila husn-e-khulkh hai..aur namunasib ghizaon se parhez ka natija ye hoga ke tabiyet etdaal per rahegi .yaane jo shaks sirf Allah Taala hi ko kaafi samjhe aur usper ektefa kare,usi per bharosa kare,uski maarifat bhi mussaffa hoti hai. Aur jo maamlat may taqwa se kam leta hai Uska khulkh duniya aur akhirat donon may pasandeeda hota hai.

Aadab-e-talab seekh talab beadabi hai
Mujrim hai vo saayel jo dar-edil pe dua de

Friday, March 13, 2009

Irshadaat-e-Nabwi



Irshadaat-e-Nabwi
------------------------

Do niyamten aisi hain jinki qadar aksar log nahi jante.vo niyamten ye hain,
1) tandurusti
2) firak-hdasti

Daulatmandi zar-o-maal ki kasrath se haasil nahi hoti.Ghani vo hai jiska dil Ghani hai.

Kisi ko kisi per fazilat haasil nahi hai. Fazilat ka zariya tou sirf khuda-tarsi hai.

Jo koi shaks dusre per raham nahi karta usper bhi raham nahi kiya jaayega.

Do bol hain jo Rahmaan ko pyaare hain.zubaan per halke hain,Meezaan-Aamaal per bhaari hain. Vo ye hain,
1)Subhan-Allahi -Bihamdihi,
2)subhan-Allahil-Azeem

Musalmaan vo hain jiski zubaan aur haath se Musalmaan bache rahen.

Behter wahi amal hai jo hamesha kiya jaaye,agarcha madar may kum ho. Ibaadat utni hi kiya karo jise Ba-asaani karsako.

Khuda ka irshaad hai”Meri Rahmat Mere ghazab per ghaalib hai”.

Aamaal baqadr-e-taaqat ada kiya karo.ibadat-e-nafela us waqt tak karo ke nishaat-e-tabaa qayam rahe.

Jo koi khuda aur qayamat per yaqeen rakhta hai usey laazim hai ke baat kahe tou achi kahe warna khamosh rahe.

Mahaajer kaun hai ? Khuda ki raah may hijrat karne waala vo shaks hai jo Khuda ki manaa ki hui chezon se alag hojaata hai.

“Kamaal mohabbat ko Imaan kehte hain “

Monday, March 9, 2009

Tahseel-e-ilm


Mohammed Bin Fazalulbalkhi Raziallahuanahu
-------------------------------------------------------
Jub hum kehte hain ke “ La ilaaha illallah” Allah ke siwa koii maabud nahi..tou yeh haqeeqat hai aur jub ye kehte hain ke “Mohammed RasulAllah” yaane Mohammed Allah ke Rasul hain tou yeh shariyet hai..

Haqeeqat shariyet ki asal hai aur shariyet darasal haqeeqat ki faraa hai..jaise ke marifat isi haqeeqat se aagahi ka naam hai.aur amar maroof ko qabul karke usper amal paira hona shariyet hai..

Chahe shikast-e-jahal tou tahseel-e-ilm paida kar
Wabasta ye tilsm hai looh-e-kitaab ka

Banda kathin manzilen taye karke Harm-e-kaaba may is khayal se pahunchna chahta hai ke wahaan usey Allah taala ke Nabion ke asaar dikhaii dete hain.aakhir vo apne nafs ke sehra aur hiris-o-laalach ke darya ko abur kyon nahi kar leta.taake vo apne dil tak rasaai haasil karle.ke isme khud Allah Taala ke aasaar usey mil jayenge.

Yaane zyada buzargwaar tou dil hai jo Allah Taala ki marifat ka mahal hai.banisbat kaaba ke jo mahaz ek simt ki taraf nishandahi karta hai..yaane sirf ibaadat-e-ilaahi ki jahat hai..kaaba tou vo moqaam hai ke jasper bande ki nazar hamesha jami rehti hai.aur dil vo moqaam hai ke khud nazar-e-Haq usper hamesha padhti rehti hai.pas jahan dil hai wahaan Dost hai.aur jahan us Dost ka hokum hai wahin muraad hai.
------------------------------------------------------------------------------------------

Rasul vo hai jo mukhatibain ko shariyet-e-jadeeda pahuncha de.
Nabi vo hai jo saaheb-e-wahi ho,khaw shariyet-e- jadeeda ki tabligh kare ya shariyet-e-qadima ki.

-----------------------------------------------------------------------------------------------

Samnun Bin Abdullah Alkhwas Raziallahunahu
--------------------------------------------------------------
kisi cheez ki tabir karne ke liye kisi aisi chez ka zikr karna padhta hai jo awaluzikr se nazuk-tar ho,tou phir mohabbat ki taabir kyonkar ki jasakti hai ,jis se badh kar nazuk chez koi hai hi nahi..aur matlab iska yeh hai ke ibaarat izhaar-e-mohabbat ki mutmahal ho hi nahi sakti,isliye ke ibaarat tou ibaarat-nigar ki sifat hai,jub ke mohabbat mehbub ki sifat hai,pas ibaarat aur alfaaz ke zariye mohabbat ki haqeeqat ka shaoor haasil nahi kiya jaasakta,kyonke isey tou mehsus kiya jaasakta hai bayaan nahi kiya jasakta .aur asal haqeeqat tou Alah hi jaanta hai.