Saturday, November 25, 2017

Mitti ki fazilat







Insan ko ghaur-o-fikir ki janib  isliye raghib kiya gaya ke vo apni haqeeqat paa sake...jahan khuda ki haqeeqat poshida hai...vo khuda ko paa sake aur vo khud ke rubaru hosake...

Insaan ko mitti se banane may khudavand qudus ki yehi maslihath thi ke vo ajz-o-inkisari ka murakab bane...aur ghurur jaise ansar se beniyaz ho...iblis aur bashar ke darmyan yehi ek sifat hai jo in dono may sharf ka imtiyaz kara sakti hai....insan ka mitti hona mitti ki daryadili ka sabut hai...so ye fayazi bhi insan ki fitrat may shaamil hogaii...basharte ke insan uska ehsaas kar sake aur amal tou agla qadam hai...mitti may tawazoh koot koot kar bhari huii hai...mitti ki wassat to lamehdud hai...gharz ghaur karne waali baat ye hai ke insan ko ye ehsaas dilaane ka sabab kya hai ke vo mitti se banaya gaya hai....tou mere azeez insaano, musalman to vo hain jo khuda ki maslihaton aur hikmaton ko aur uski raza ko apni mataa-e-zindagi samjhein...isliye kul kaainaat ke bashindo.....ye aap sab ki sochne waali baat hai....ke aapka mitti se hona aur mitti hojaana isi baat ki dalil hai jaise ke hazarath ibn-e-Arabi ne kaha hai " hum sab usi se wajud may aaye hain aur usi may jazb hojaayenge ".

Rabulizzat ne apni takhliq ko muktalif zawiyon say parkha, unhein azmaaya hai....apni raza ke raaston per bulaana isi baat ka sabut hai ke jo sabaq awal bashar ko mila tha uska imtihan maqsood tha..ek tou adam ka mitti se banna, dusre apne khaliq ki siffaton ko khud may munawar karna....in haqayeq ki roshni may apni zaat ka maqsad khojna.....insan ki fitarat ko khuda ne ahsan tareeqe se wazeh kiya hai...insan ki khahishon ka silsila bada taveel ter hai....jiski dore khuda ne apne saath bandh rakhi hai....mohabbat ka mole behter aur khoobter tehraya gaya.....nafraton ko iblis ki aag kaha gaya....mohabbat ka her qadam junnat ka raasta....nafrat say sirf dozakh arasta..

Baat samajhne ki hai Dosto...farayezon ko pesh karne may insan ki insaniyet ko ujagar karna hi maqsood hai.. kalma namaz roza zakaat aur hujj....inmay aapke liye ek saaf suthri zindagi ke behtreen sabaq maujud hain....aapka yaqeen aapka amal chahta hai...aapka amal aapki sifat ki tabligh hai...aur ye sab sirf aur sirf haq ki mohabbat ka natija ho...na ke aane waale kal may khud ke liye mazeed khahishon ki lambi fihrist....maana ke ye duniya aur yehan ki her shaye khuda ne insan ke liye hi banaii...so ye koi najayez khahish bhi nahi...jub tak hadood may simti rahi...aur hadon ka tayeen insan ki berah rawi ko rokne ke liye hi kiya gaya...gharz mazhab aur uski taleem ka wahed maqsad insan ki falah aur islah hi hai...

Agar aisa na hota tou uske liye kahin bhi koi kya kami thi....usey adam aur unki nasal ki zarurat hi nahi thi...usne Huzur ko mehbub-e-dojahan bana kar mohabbat ko insan ke khamir may shaamil kar diya...agar koi is sifat se arasta hogaya tou usey haqeeqatan khuda ka rasta mil gaya...baghair is buniyazi juz ke baat nahi banne waali Dosto....loag apni mushkilon ko aram nahi dete....ek asan si mohabbat ka dum kyon nahi bharte....tamaam zindagi auron se ladtey rahtey  hain khud say kyon nahi ladtey...khud ko bakhsha hua behtreen wasf istemal nahi karte....nasamjhi may umar guzar dete hain...khaali haath aate hain khaali haath chale jaate hain....

Mohabbat may jo pehel karle vo apni zindagi ko sahal karle...mohabbat may dilon ki taskhri aam hai...dilon ka jhukna jaana khaas....jub dil ki bisat per sar ki baazi lagti hai tou phir tera kya aur mera kya.....hamara hi wahed naara ho...ek mai aur ek tu ka hum hona hi aham hai...is tu tu mai ki kahani nirali nahi hai...is se bahar nikal aana hi insan hone ki nishani hai...

Ghurur insani fitrat may shaamil nahi hai...kyonki insan ko tou khuda ki siffatein bakhshi gayeen...aur ye bairuni ansar hai jo insan ki kota andeshiyon ki wajah se usper hawi hone lagta hai....aise insan asan shikaar hote hain...khuda ne jisey choot de rakhi hai uski shaadmaani ki wajah bante hain...muddaton say ye kheil jaari hai....kabhi uski tou kabhi iski baari hai...baat sirf yaad dahani ki hai khud ko mitti ka samajhna aur mitti sa hona hi insan ke azmat ki nishaani hai....

mitti say bane hain mitti may mil jaayenge
junnat na bhi mili behel jaayenge
humein apni mehek do apne gulab do

Monday, September 25, 2017

Hazrath imaam jaafar Sadiq Alahisalam ke behtareen qaul....

Image result for islamic light

"Allah taala apne bande may is se bhi zyada poshida hai jitna ke raat ki tareeki may siyaah pathar per chiyunti rengti hai...."


loag dhundte hain dasht-o-sehra may, jo bande ki zaat may hi shaamil hai...uski fitrat ka ujaala wahi tou hai...jisney apne nafs ki kaali chaadar odhli ho vo kahan dekh paata hai..bas dhundta reh jaata hai...khuda ko paana ho tou khud ko tatolna hoga...khud may chupi uski siffaton ko ujaagar karna hoga....phir tou dil ki roshni may waazah manzar dikhaaaii dega..talab asmaanon ki usey kyon ho jo zameen ka khalifa hai...khudaii may simat jaana hi qalq ka saleeqa hai...

"Allah taala ne duniya hi may firdose-o-jahanum ka namuna pesh kar diya hai kyonki asaaish junnat hai aur taklif jahanum...aur junnat ka haqdar wahi hai jo apne tamaam amoor Allah taala ko soanp day aur dozakh us ka moqadar hai jo apne amoor sarkash nafs ke hawaale kardey..."

"Allah taala jis ko chahe apni rahmath say khaas kar leta hai..tamaam asbaab-o-wassayel khatam kar diye jaate hain taake ye baat waazah hojaaye ke atta-e-ilaahi bila waasta hai na ke bil-waasta...."

Allah taala ki meher amuman uski mehbubiyet ke zariye azmaaye jaane ke baad hi nasib hoti hai..pehle duniya pesh hoti hai...duniya may mubtila ho kar bhi jisne paas-e-khuda rakha vo khusnasib hota hai ...vo banda khuda ko pasand hai jisne huma waqt apne dil per nazar rakhi ho, mubada madhoshiyon may dono jahaan se hi na chala jaaye...(aur duniya ki asaaishein ek nasha hi tou hain...aur insan ki talab kabhi khatam nahi hoti)...ye bhi khuda ki taraf se hi inaayet hoti hai ke mughaliton may bhi bande ku khuda ka hi paas hota hai kyon ke huma waqt khuda hi paas hota hai..aur ye karam ka silsila khuda se hi shuru hai aur us tak pahunch kar hi tamaam hua karta hai....darmyaani marhala uske khaas-ul-khaas salihain ke zariye manzilein taye karta hai....aur ye bhi bahukum-e-ilaahi hota hai...ishaara bhi uska, nazar bhi uski, karam bhi uska, mohabbat bhi uski, rahmat bhi uski, faizaan-e-aalam wahi ism-e-aazam...

"Paanch logon ki sohbat se ejtenaab chahiye, awal jhoote saykyonki is ki mayeet fareib may mubtila kar deti hai, duam bewaqoof say kyonki jis qadar vo tumhari munafath chahega usi qadar nuqsaan pahunchayega , suam kanjoos say kyonki uski sohbat say behetereen waqt rayegaan ho jaata hai , chaharam buzdil say kyon ki waqt padne per vo saath chod deta hai , panjam fasiq say kyonki ek niwale ki tamaa may kinara-kash ho kar musibat may mubtila kar deta hai...."

"Nek bakhti ki alamat ye bhi hai ke aqalmand dushman say waasta pad jaaye..."

Laakhon salaam aye Jafer Sadiq aye imaaam....lafzon may kahaan samaa sakta hai aap ka moqaam...

Tuesday, April 4, 2017

Aye Mere Khwaja-e-Khwajgaan.......


khwaja-e-khwajgaan aye bahar-e-rahmat-e-bekaraan
taalib ke waaste her baar aapne liya rang-e-rahbaran


Assalam-o-Alaikum haaziraan-e-mehefil, Ashiqaan-e-khwaja-e-khwajgaan...

Is saal ka Urus-e-Ghareeb Nawaz bhi gulabon may mehkta hua karodon dilon ko apni be-intiha rahmaton ke saaye may leta hua pursakun kar gaya...Her saal ki tarha...vo raat aai bhi guzar gaii...Ye purnoor subah kitne dilon ko munawar kar gaii...jisne nazaara paa liya vo noor hogaya...jisne dooriyon may  bandh ankhon may jalwe samet liye vo makhmoor hogaya....Khuda ne inhi khankhahon ko apna gawah banaya...Yehi khankha nasheen uske mehbub ke ishq may ishq-e-khuda ko paa gaye aur khuda Dost hogaye....ye dosti hi to hai jo kitne ghumzada dilon ko Dost kar leti hai...unke ghumon se unhein azad kar deti hai...unke ghumon ko apna bana leti hai....ye jo jhund ke jhund umadey chale arahe hain isi baat ke gawah hain...

Aaj is mubarak mauqe per mai aap sab se Khwaja qutub-ul-islam Hazrath Bakhtiyar kaaki rahmatullahi alaih ne daleel-ul-arifeen may Khwaja buzarg ke malfuzaat jama kiye hain..un may say chund kalmaat tabarukan darj kiye jarahe hain...

Khwaja buzarg fermaate hain ke " ashiq ka dil mohabbat ka atish kada hai jo kuch uske andar jaata hai jal kar raakh ho jaata hai aur kuch baaqi nahi rehta..Aap fermaate hain ke juu-e-Aab ko dekho kis josh-o-khrosh se pahadon se hoti hui aati hai ,laikin jub samandar may daakhil hoti hai khamosh hojaati hai. ( yaane jub saalek hijr may hota hai tou zauq-o-shauq may be-chain hota hai, laikin jub zaat-e-haq ke samandar be-payaan may fana hota hai tou uska saara josh-o-khrosh jaata rehta hai.."

Neiz fermaaya ke haq taala ke vo Dost hain ke ek lamha bhi us se mehjub rahein ( perde hojaaye ) tou nest-o-nabud hojaayein..

Fermaya jis shaks may ye teen khaslatein hoti hain yaqeen jaano Allah taala usey Dost rakhte hain. "Awal , sakhawat yaani darya ki tarha sakhi ho, duam , shafaqat yaani aftaab ki tarha shafeeq ho, suwam, tawaza yaani zameen ki tarha mutawaza ho...Fermaaya admi us waqt faqar ka mustahaq hota hai jub is alam-e-faani may say us ke liye kuch baaqi nahi rahta..

Fermaaya "mohabbat ki alamat ye hai ke tu Dost ka mutee hojaaye,,aur hamesha is baat se darta rahe ke randa-e-dargah na hojaaye. Fermaaya ke arif jo irada karta hai vo fauran hojaata hai.aur jis se baat karta hai us se jawab fauran sunta hai.( yaane jis cheez ko vo mukhatib karta hai vo us se humkalam hojaati hai khwah vo bejaan kyon na ho.) "

Fermaaya " ahal-e-mohabbat vo loag hain jo haq taala se barah-e-raast kalam sunte hain, faazil tareen waqt vo hai ke dil ke wasawas band hojaayein."

Fermaaya"ilm behar-e- muheet hai aur marifat is behar say ek nadi hai..bahar-e-muheet se murad haq hai aur marifat se murad banda "

Fermaaya " haq taala ke nazdeek behtreen ibadat mazlumon ki faryad rasi aur bhukon ko khana khilana hai.."

Fermaaya" jub mai post-o-chilke se bahar aaya tou ashiq, mashooq aur ishq ko ek dekha, yaane alam-e-tauheed may sab ek hain.."

Neiz fermaaya " haaji loag jism ke saath khana-e-kaaba ka tawaf karte hain aur bihisht ke taalib hote hain, laikin areefain qalb ke saath arsh-o-hijab-e-azmat ka tawaf karte hain aur Allah ke deedar ke taalib hote hain.."

Fermaya" Areefain aftab ki maannd hain jo duniya per chamakte hain aur saara jahan unke noor se munawar hojaata hai...

Khuda hum sab ko khwaja saheb ke zareen aqwal ko samajhne ki taufeeq atta fermaaye aur koshish-e-amal ki janib raghib kare...Amin..