Sunday, November 3, 2019

Jalwa-gaah-e-yaar


Image result for dua"





Adab yaaraan-e-mehafil,ek mushahida phir haazir-e-khidmat hai...dil ki her kahi humne kahi ,isme munafiqat bilkul bhi nahi...

Haan tou phir koi lamha inayet ban kar mil hi gaya,arzoo ek dil ne ki,do dil sarfaraz huye..yaane sohbaton ka bhi ajar mila karta hai..aur ye sach hai..

Haqeeqat ka yaqeen zaati tajrubon se hi haasil ho sakta hai..insan jaanta hai apni khudi ko...ke vo kahan kahan adhura hai...magar ek jazba aisa hai jahan vo pura hai..aur vo hai bartar-e-aala ki taazim-o-mohabbat..

tou aisa hua ke arzoo kisi ki thi inayet mujh per bhi hogaii...mai adna ,Aala ke rubaru ho hi gaii..Rab-e-kareem ne karam ka daras khol kar mangton ko sakhi kar diya...jo daman phaile huye they vo atta ka bojh sahaar na sake...lutne ko beqarar hogaye...ek dost ne apne deedaar ke faiz se mohabbat ka faiz aam kar diya...

Lamakaan ka makaan hona, khud uske ishq ka bayaan hona,apne mehbub ke ishq may khud uska ayan hona....
ek ghadi may sab askhaar hogaya...jub uska darr pesh-e-nazar tha....Aah! ek lahar dil may uthi jo jism-o-jaan se bekhabar kar gaii...sarapa ishq hogaya...Allah Allah mere mehbub-e-do-jahan ke sadqe vo be-naqab hogaya...

khaana-e-khuda ne dil ke chaaron khaanon ko chit kar diya....jis dil ki suna karte they vo bhi apna nahi tha...hum ne dil ki suni hoti to kub ka qurb-e-haqeeqi paa jaate....insan tou duniya ke hungamon may mubtila raha....aur adam ki khilafat ka maqasad faramosh kar gaya...ab jub ke rubaru jalwa gah-e-yaar tha tab saare bandh derwaze eklakhth khul gaya....dil ka hungama-e-junun puri tarha bedaar hogaya....aakhir Rab ne ehsaas ki khairaat de hi di...aur zulekha ka yusuf se inkaari hona samajha gaya vo haqeeqat jo atal hai....jisne mohabbat ke jazbe ko duam bakhsha us sa mehbub koi kahan...

ye barasti ankhein is baat ki gawah hain gar tu nahi to kuch nahi,hum may hum kahan sab tu hi tu...dil ka naara tu hi hai Allah hu...

Aaj saaqi-e-chashm-e-khamoshan bada yaad aaya, jiski ek nazar se mili vo gali,jo le kar chali dagar dagar,raah may aaye kitne,agar,magar,magar bade ehtiyath se di usne manzil ki khabar,her ezaaz ka haamil sirf usko kiya,jo wahed shahon ka shah hai...jiski mohabbat may jo sultan huye,jisne unhein maayel ba karam kiya...charon taraf hai wahi jalwanuma,ye jaah kya vo jaah...tu kahan nahi,tu hai her kahin....teri jaaye panah derd hai,teri her ada tere mehbub ki ek nazar hai...

Gharz tere rubaru ho kar her dil ne paaya apne hi dil ka muddua...tera makka makaan,tere mehbub ki jahan basti hai jaan...tu ne apna miskin banaya apna ishq mehbub-e-do-jahaan...