Wednesday, November 28, 2012

Noor-e-Baseerath ki Jalwa Saaziyaan


Assalam-o-Alaikum Aye emaan waalo...ye mazmun aap sab ke saamne pesh karne say pehle mai bataana chahungi ke ye khayaal mujhe kyon kar hua ke mai isey aap sab say share karun...tou Dosto, maine khud ko jub haq ka shahid paaya tou mere dil ka sakun khushi ki manzilen chuta hua haq ki tabligh ko apna ferz-e-ayin samjha...her baat waqi her ek ke liye nahi hoti, magar aaj ka daur jo sabuton gawahon per tika hua hai, uski munh maangi saughaath usey pesh karne may koi buraii nahi...aur ye Rab-ul-Alameen ka ekhtiyaar hai ke vo jisey chahe faham-o-adraak atta karde...

darun-e-khaana hungaame hain kya kya
charagh-e-rehguzar ko kya khabar hai

Sufi Akraam ki dil ki aankh jub khulti hai aur darr-e-baseerath wa hone lagta hai ,tou israar apni makeen-gaahon say nikal aate hain aur dil say hijaabaath chat jaate hain. jub sheesha-e-khayaal  may anwaar-o-israar tajjalli fermaate hain tou baatin unhen yonhi mulahiza fermaata hai jis tarha zaahiri aankh aalam-e-zaaher ko mulaahiza karti hai. isi ko" baseerath ki aankh " kehte hain. Is aankh ko paa kar dil-o-wajud ke guphaaron may chupi cheezon ko mulahiza karte hain. Zameer-o-Dil ke bhedon per nigaah mutla hojaati hai. 

Ye nigaah-e-baseerath yaane dil ki aankh jub pardon ko cheerti aur rukawaton ko hataati  badhti hai tou apne moqabal aane waale dil ko apni hissiyaath, wasawas aur zunun-o-hawa sab ke saath samajh leti hai. agar us dil may khair hai tou usey samajh leti hai, sharr hai tou usey paaleti hai. Ab ye aarif ka kaam hai ke chahe tou byaan karde, chahe tou raaz rakhe. Awlia ke dilon ki safaii ki wajah say unme dusre logon ke dilon ki baaten muntaqal hojaati hain. ye un aaina dil Aarifon ka nasib hai jo arzi khayalaath wasawas say paak hote hain. agar aise wali haq ke dil may aisa khayaal aata hai jo unke moqam ke shaayaan-e-shaan nahi hai tou unhen yaqeen hota hai ke haazirain may say  kisi ka khayaal hai. ab us khayaal ke mausuf say bat karte hain aur agar kisi makhsus admi ka khayaal hai tou Aarif uski taraf munh kar ke baat karte hain.

Asal Marifat ye hai ke asal may dilon ki munasibat hoti hai Shaikh ya mureed ke dil may koi qabeeh wahima ya ghalath khatka hota hai tou dil say dhuwaan sa uth kar shaikh ke dil may phailne lagta hai. ab jiska ye wahima hota hai jub shaikh uski taraf munh karke baat karne lagte hain tou dhuwaan kaseef hone lagta hai , jub munh phairne lagte hain tou dhuwaan chatne lagta hai. is tarha Aarif bhare majme may saaheb-e-khayaal ko pehchaan lete hain. agar wahem-o-khayaal umda-oi-haseen hota hai  tou Aarif ke dil per dhuvain ki jagah lateef si mehek ,mehekne lagti hai, tou dil ki taraf fauran us ka haal nak daryafth kar leti hai,agar saaheb-e-khayaal haazir hai tou yehi haal hota hai aur agar haazir nahi tou uska haal jaama may tehrne waale Aarif ka hai ke usey bhuk nahi magar dusron ki khaatir khahish-e-twaam hoti hai.Twaam mangwa kar uski khahish rakhne waalon ko bhej dete hain.

No comments: