Sunday, June 3, 2012

Moqaam-e-Mohabbat




Bismillahirahmanirahim
-------------------------------------------------

Shauq Tera Agar Na Ho Meri Namaz Ka Imam
Mera Qiyam Bhi Hijab, Mera Sajood Bhi Hijab

Khudavanda qudus ney jub duniya bannane ki sochi is say bhi pehle usne duniya ka laayeha-e-amal banaane ki sochi...ke uski banaii huii duniya uski siffaton ko pehchaane, aur apnaaye..Alaamon ki buniyaad usne itni qawi-o-khubsurat rakhi ke khud vo us per farefta hogaya...

Rab nay takhlikh-e-husn say pehle asmaa-e-husna ke ansar ikhatta kiye...vo jaanta tha ke uski banaii huii duniya, aur uski takhlikh dono kya gul khilaane waale hain..qayamat say pehle uthne waali qayamat ko usne yon muntashar kiya....khud apne jalwe ko usney bashar kar diya...

Bashar ke liye usne ek aisi misaal tayyar ki jiska koi saani nahi...jisme koi khaami nahi....jiska baani rab-e-kareem ho uski siffat ki raheemi ka kya kehna...Khuda-e-wahed ney apne jamaal ko yon mulahiza fermaaya ke apni zaat key kamaal ko paikar kar diya....husn-o-akhlaakh ki sab say aala tasweer banaii aur usme apni siffat ke vo moqadas rang bhare ke khud uska mehboob hogaya aur unko apna humrang kar daala...

Ye mohabbat ki aalatareen misaal thi jahaan bande ko sabaq awaleen bakhsha gaya...pehla aur pyaara sabaq...ke khuda ki siffaton may say awaltareen siffat mohabbat hai...namuna-e-qudrat ki herkat isi say huii...khud khuda nay is jazbe may herkat li...ke yehi uski asal hai..isi say adam ki nasal hai...

usne apni sab say mehbubtareen aur awaleen takhlikh ko duniya ke liye misaal bana kar paida kiya, taaki uske bandey uske ausaaf-e-husna  say zindgi paa saken...aur unki haqeeqat jaanen. aur unhen apna kar haq ki raah pehchaanen...khud apna sach jaanen...

Naam-e-Mohabbat jub arsh-e-mualla per chamka usi waqt ye taye hochuka tha ke ek aisi duniya zahur pazeer hogi jo is noor say khaira hojaayegi....basa awqaat band aankhen gumraah kar deti hain...un aankhon ko bhi roshan kardene waali roshni le kar aaya tha paighaam-e-zahur-e-Mustafa.

Gharz duniya ke liye Rab ne ek roshan misaal qayam ki..ilkaakh-e-husna ke vo johar taraashey usney ke her dil khaira hogaya....banda zara sa ghaur karta khuda ki hikmat jaan leta...ke usne Mohammed may khud ko jalwanuma kiya...yon vo apne bandon say qareeb hua ke uska banda Mohammed ke jalwon may uska deedaar kar sake...

Magar jaise hi bande ko duniya bakhshi gaii , usne khud ko khuda ko tak faramosh kar diya...vo duniya ke husn-e-aarzi may kho gaya aur iske padaash may husn-e-haqeeqi ka nazaara uski aankhon say ojhal hogaya. ye dusri saza thi adam ki..nasal ki saza pidar ki hi saza hoti hai...ke usne apne khalikh ko faramosh kar diya....aur apne nafs ki roghbaton ka ghulaam hogaya....

Jub jub duniya ne apni haqeeqat bisraai khuda ne unhen unki haqeeqat yon samjhaii....unki falaah ki khatir her baar kisi na kisi rang may un per zaaher hua....apne rasulon ki surat, apne nabiyon ki surat, apne waliyon ke surat....unki sada may usi ki nada thi...ke ab bhi mauqa hai....meri rehmaton ka faiz haasil karne ka....ke meri rehmath josh per hai ke tum hosh may aao aur usey talab karo....aur may tumhen apne saaya-e-rehmath may leloon....

Banda hai ke ghaafil hai..usey ab bhi vo asaar-e-qadeema dikhaii nahi dete ,jahaan bandon ne khuda ki nahi suni aur neest-o-nabud hogaye...rehti duniya tak khud ko aane waali naslon ke liye ek ibrat naak misaal bana daala....Apni  hasti ka matlab-o-maqsad pehchaane baghair is duniya-e-faani say kooch kar gaye...

Aqal-o-Dil-o-Nigah Ka Murshid-e-Awaleen Hai Ishq
Ishq Na Ho Tou Sharaa-o-Deen, Boott kada-e-Tasawwarat

Mere azeez dosto...aapka kya iraada hai....aap intizaar kar rahe hain ke" khuda bande say khud pooche bata teri raza kya hai"? khuda pooch bhi raha hai per koi sune tou....aap poochoge kub poocha tha usne....arey saaheb...kabhi apne apne baatin ko suna bhi....zaaher ka shor itna hai ke aap usi may gum ho kar reh gaye...phir baatin ki pursakoon sadaayen aapko kaise sunaii deteen....uske liye aapko is shor say niklna hoga....

Kuch lamhe ghaur-o-fikr ke aapki nijaat ka zariya ban sakte hain..ab aapko taye karna hai ke aapko khuda say kya chahiye...uska qurb ke qurb-e-duniya....jo ke chund roza hai...yehaan ki her shaye faani hai....iski mohabbat samjho tou be maani hai....jisne bhi duniya say dil lagaaya uske hissey ghum hi ghum haath aaya....jisne khuda ki mohabbat talab ki, sakun uske hissey may aaya...

Is afratafri ke daur may sirf sakun anqa hai....aap ki talab kya hai....sochiye samjhiye...jaaniye...maangiye...paaiye....Rasul-e-khuda ka nazul aapki bahbudi ki ek aisi raah hai jiski manzil khud khuda hai...unke akhlaakh-e-husna ko apna shuaar banaaiye...phir dekhiye saare dost nazar aayenge  aur tamaam uljhanen,kaduraten,shikaayeten, rafa hojaayengi aur apni haqeeqat aap per roshan hojaayegi...ke khud aapke andar khuda poshida hai..jis ki aapne ab tak ansuni ki wahi aapki baqa hai...wahi aapka martaba hai...wahi jeene ki sahi ada hai..

Aap hi ke liye "khuda ne apna naam rakha Mustafa hai".