Friday, December 14, 2012

Samaa





Mehafil-e-sama aaghaaz aur anjaam say pare ek abadi kaif-o-masti-o-sarshaari ka aalam pesh karti hai. Masnad-e-mehefil jinke liye saji huii hai unke aashiqaan ke jazb ka aalam na poochiye...donon jahaan say ghaafil dil bas ek hi jazb may madhosh hua jaata hai....mai kahaan hun mujhe hosh nahi ke her simt tu hi tu nazar aata hai....samaaton may teri mohabbat ghuli huii hai....dil ko teri sohbat say raahat mili huii hai....khayaal ki sangat tere karam say dhuli huii hai...dil chahe ke is mehafil-e-shauq ki koi subah na ho....

Hazrath Junaid Bughdadi Ra ne fermaaya " Khudawanda qudus ne roz-e-azal may insaan ko mukhatib kar ke ye daryaft fermaya tha" Alasta bira bikum " ( kya mai tumhara perwardigaar nahi hun ). insaan ne arz kiya," kyon nahi tu hamaara perwardigar hai " humkalaami ke is zauq ne insaani arwah per wajad taari kar diya tha, chunanche jub vo samaa sunte hain tou un ko vo zauq yaad aajaata hai aur wajad may aajaate hain.

Hazrath Zunun Misri RA ne sama ke mutalaq kaha ke sama darood-e-haq hai jo qulub ko haq ke liye muztarab bana deta hai.

Khwaja Ghareeb Nawaz RA ko sama ka behad zauq tha .Aap ne Apni majalis-e-sama say tableegh ka bhi kaam liya. Naghma-o-lahan aur moseeqi Ahal-e-hind ki ghutti may padi huii thi aur moseeqi hi un ke nazriyaat may inqilaab laane ka zariya ban sakti thi. so apni paakeeza zindgi aur majaalis-e-tableegh-o-hidaayat say aur doosri taraf majaalis-e-sama say tableegh ka kaam shuru kiya.

Khwaja Ghareeb Nawaz RA likhte hain ke Allah agar aankh de tou her raah may uske chehre ke siwa aur kuch na dekhe aur dono jahaan may jis taraf nigaah kare usme uski hi haqeeqat dekhe. deendaari aur aankh haasil kar.  kyon ke agar zara ghaur say dekho tou khaak ka her zarra jaam-e-jahaan numa hai , siwa-e-zaahiri milaap ke shauq ke.....

No comments: