Monday, December 28, 2009

Sadqa


Jo sadqa ferz ho usko alaaaniya dena afzal hai. aur jo sadqa ferz ke maasiwa ho,uska akhfa zyada behter hai.

Nawafil ko chupa kar karna awla hai. yaane chupa kar nekiyaan karne se admi ke nafs_o-akhlakh ki musalsal islaah hoti chali jaati hai. uske ausaaf_e_hameeda khoob nashonuma paate hain.uski buri sifaath rafta rafta hut jaati hain aur yehi cheez usko Allah Taala ke haan itna maqbul bana deti hai ke jo thode bahut gunaah uske naama_e_aamaal may hote hain unhen uski khubiyon per nazar karte huye Allah Taala muaf ferma deta hai.

Ahal_e_ imaan ki akhlakhi-o-ruhaani tarbiyet ke zariye khalkh-e-khuda ko faham ki raahen sujhaii gayeen.

Akhlakhi-o-roohani haisiyet se dekhiye tou ye baat bilkul wazah hai ke sood darasal khudgharzi, bakhal, tangdili aur sangdili jaisi siffat ka natija hai aur vo unhi siffat ko insaan may nashonuma bhi deta hai. unke bar-aks sadqaath natija hain faiyaazi, humderdi, ferakhdili aur aalazarfi jaisi siffath ka aur sadqaath per amal karte rehne se yehi siffath insaan ke andar parwarish paati hain.

Allah ki sunnat yehi rahi hai ke jisne bhi haq-o-sadaaqat ki pairwi ka azam kiya hai usey sakht azmaishon aur fitnon se do chaar hona pada hai aur jub azmaishen pesh aayen tou moin ka kaam yehi hai ke poorey istaqlaal se unka moqabla kare.laikin baharhaal momin ko Allah se yehi dua karni chahiye ke vo uske liye haqparasti ki raah ko asaan kare.

Is duniya mayinsaan ki ki azmaish sari is baat ki hai ke vo haqeeqat ko dekhe baghair manta hai ya nahi.aur maanne ke baad itni akhlakhi taaqat hai ya nahi ke nafermaani ka ekhtiyaar rakhne ke bawajud fermabardari ekhtiyar kare.

Imaan lane aur ita-at may sar jhuka dene ki saari qadr-o-qeemat usi waqt tak hai jub tak haqeeqat tumhaare hawaas se poshida hai aur tum mahaz dalil se usey tasleem karke apni danishmandi ka aur mahaz fahmaish se uski pairwi-o-itaa-at karke apni akhlaki taaqat ka sabut dete ho.

Hosakta hai ek cheez tumhen nagawar ho aur wahi tumhaare liye behter ho, hosakta hai ek cheez tumhen pasand ho aur wahi tumhare liye buri ho. Allah jaanta hai tum nahi jaante.

No comments: