Tuesday, December 15, 2009

Tauba


"Tauba "ke asli maani ruju karne aur palatne ke hain. Bande ki taraf se tauba ke ye maani hain ke vo sarkashi se baaz agaya,tareeqa-e-bandgi ki taraf palat aaya aur khuda ki taraf se tauba qabul karne ke ye maani hain ke vo apne shermsaar ghulaam ki taraf rahmath ke saath mutawajah hogaya, phir se nazar-e-inaayet uski taraf maayel hogaii..
Allah ka fazal aur uski rahmath,uski hikmat ke saath humrishta hai. vo saza us qusur per deta hai jo baghiyaana jasarath ke saath kiya jaaye aur jiske peeche shermsaari ki bajaaye mazeed ertekaab-e-jurm ki khahish maujud ho.
Zameen Adam ke liye darulazab nahi thi aur vo yehan saza ke liye nahi utaare gaye. Bulke unhen zameen ki khilafat ke liye hi paida kiya gaya tha. Junnat unki asli jaaye moqam nahi thi. Wahaan se niklne ka hukum unki saza na thi. Asal tajveez tou zameen per utaarne kit hi. Albatta us se pehle unko imtihaan ki gharz se junnat may rakha gaya tha.
Zameen yaane apni jaa-e taqarur per khalifa ki haisiyet se bheje jaane se pehle Adam aur Hava ko imtihaan ki gharz se junnat may rakha gaya tha take unke rehjanaath ki azmaaish hojaaye . us azmaish ke liye ek darakht ko chun liya gaya aur hukum diya gaya ke uske paas bhi na phatakna aur uska anjaam bhi bata diya gaya ke aisa karoge tou hamaari nigaah may zaalim qaraar paaoge. Ye is baat ki azmaish thi ke ye shaitaan ki targhibaath ke muqable may kis had tak hukum ki pairwi per qaayem rehte hain. Is maqsad ke liye kisi ek cheez ka muntakhab karlena kaafi tha.
Is imtihaan ke liye junnat ka moqam sab se zyada mauzun tha. Darasal usey imtihaan-gaah banana ka maqsad ye haqeeqat insaan ke zehan-nasheen karna tha ke tumhaare liye tumhaare martaba-e-insaaniyet ke lihaaz se junnat hi laayeq-o-munasib moqam hai, laikin shaitaani targhibaath ke moqable may agar tum Allah ki fermanberdaari ke raaste se munhareef hojaaoge tou jis tarha intida may junnat se mahroom kiye gaye they usi tarha aakhir may bhi mehroom hi rahoge. Apne us moqaam-e-laayq ki, apni us firdos-e-gumgashta ki bazyaft tum sirf is tarha karsakte ho ke apne us dushman ka kamyaabi se moqabla karo,jo tumhen fermanbardari ke raaste se hataane ki koshish karta hai.
Adam ko jub apne qusur ka ehsaas hua aur unhon ne nafermaani se phir fermanbardari ki taraf ruju karna chaha aur unke dil may ye khahish paida hui ke apne rab se apni khata maaf karaayen tou unhen vo alfaaz nahi milte they jinke saath vo khata-bakhshi ke liye dua karsakte. Allah ne unke haal per raham fermaya aur vo alfaaz unko bataa diye.

No comments: