Wednesday, December 2, 2009

Haqeeqat-e-Raza


Haqeeqat-e-Raza

Tasleem ki nazar se karismhe raza ke dekh

Begangi-e-dost ko duniya bana ke dekh

Raza do tarha per hoti hai.

1) Allah ka bande se raazi hona

2) bande ka Allah se raazi hona

Raza-e-khudavandi ka matlab ye hai ke Allah jal shana’ bande ki sawab.niyamat aur karamat atta fermaane ka irada karle.aur raza-e-bande ki haqeeqat ye hai ke vo ahkaam-e-khudavandi per qayam rahe aur uske fermaan baja lane ke liye sar tasleem karne ka khugar hojaaye.pas raza-e-khudavandi ko raza-e-bande per taqadam haasil hai.

Yaane jub tak uski tayeed-o-taufiq haasil na ho banda uske hukum ki taamil nahin kar sakta aur uski fermabardari per mustad nahi ho sakta. Kyonke raza-e-banda laazmi taur per raza-e-ilahi se wabasta hai.

Raza bande ko ghumon se chutkara dilaati hai maur ghaflath ke chungal se uski rihaii ka baayes hoti hai.

Ghair ka khayaal dil se nikaal deti hai aur musibaton ki qaid se usey azaad kara deti hai. kyonke raza ki siffat hi rihai dilaana hai..

“Jub banda qaza-e-haq per raazi hojata hai tou ye azkhud is baat ki alamat hoti hai ke Allah taala us bande se raazi hai.” kyonke bande ko raazi ba raza hone ki taufiq khud Allah taala deta hai aur jisey vo taufiq de tou saaf zaher hai ke vo raazi hai tabhi usey taufiq atta fermaii. Razi-ba-qaza hone waale ki mazeed koii tamanna nahi hoti.

hamaare dil se mitega na daagh-e-shauq-e-sajud
jabeen rahe na rahe, astaan rahe na rahe

No comments: