Tuesday, January 19, 2010

Raah-e-Wafa



Ibrahim bin ahamdulkhwas raziallahu anhu fermatey hain “ ilm saare ka saara do kalmon may jamaa hai.
1. ek tou ye ke jis baat ka andesha Allah taala ne terey dil se door kar diya hai,uske baarey may taradud na kar.
2. Dusrey ye ke jo cheez karney ki hai aur tujh per ferz kardi gaii hai, usey zaaya honey na de.
Muraad is se ye hai ke qismat ke baarey may taraddud-o-pareshaani ki zarurat nahi hoti. Kyonke tera takalluf-o-taradud naushta-e-taqdeer ko badal nahi sakta. Aur amar-e-maaruf ki baja-awari may taqseer nahi honi chahiye. Kyonke tark-e-hukum tujhey azaab may mubtila kardega.
Ek martaba logon ne un se poocha “ ajaayebaath may se aap ne kya dekha ? “
Aap ne kaha “ Ajaayebaath tou behtere dekhe laikin is se badh kar ajeeb baat na dekhi jo khud mujh se sarzad huii thi. Yaane khizar Alahisaalam ne mujhe apni sohbath may rehne ki dawat di aur maine vo qabul nahi ki”.
Logon ne kaha” Aapne aisa kyon kiya? “
Aapne kaha,” isliye nahi ke mujhe unse behter rafeeq ki talaash thi bulke ye khayaal ghaalib tha ke us surat may Allah Taala ke ilawa goya un per bhi etmaad karna padega aur yon tou phir unki sohbat mere sarmaaya tawakal ke zyaan ka baayes hoti.” Aur ye tou aise hi hai jaise koii nawafil ke badley ferz ko tark karde.

Her haal may hai pesh-e-nazar bas wahi surat
Maine kabhi roo-e-shab-e-hijraan nahi dekha

No comments: