Tuesday, January 26, 2010

Allah Ki Mohabat




1. jo shaks Allah ki mohabat ka maza chakh leta hay phir use duniya hasal karne ki mohlat nahi milti aur use insanon se ghabrahat or weshat hoti hay.
2. main gawahi deta hun ke Khuda ek hai,is ka koi shareek nahi,is ke alawa koi ebadat ke layekh nahi,Allah to hamesha se hay or hamesha rehega,is jesa koi dosra nahi,woh apne sab kammo ka dehyan rakhta hai aur nafarmanon ko saaza deta hay.
3. agar tum Khuda ki rehmat ke umeedwar ho to is ki makhluk par rehem karo.
4. jahan tak mumkin ho,apne tamam kamo main khaw woh zahir hon ya chupey hon,insan Khuda se darta rahey.
5. jo khuda ke kamo main masroof ho jaye,to Khuda us ke kamon main masroof ho jata hai.
6. jis ke pas jitna ilim ho ga woh Allah se itna hi dare ga aur jitna jahil ho ga utna hi bekhoof ho ga.
7. jo shaks jahanam ke saaye se bachna aur Khuda ke saye main aana chahata hay is ko chahiye ke sakhti ke bajaye raham kare.
8. Allah tumhara madadgar hai,is ke siwa kisi main koi quvat nahi.
9. is dastoor zindagi par amal karo jo tumhare Nabi tumhare liye laaye hain or is raste par chalo jo nabi ne dekhaya hai.
10. is baat ko yaad rakho ke Allah in logon ki zaroor madad karta hai jo is ke Nabi ke liye qurbani dete hain.
11. taalib-e-deen'amal main zyaadati karta hai aur talib-e-dunyia ilm main.
12. agar koi dil se musalman nahi ho ga to us ka hisab Khuda ke hath main hai.
13. jo musalman paanch waqt ki namaz ada karta hai Khuda us ka mohafiz hota hay aur Allah ki hifazat main aa gya use koi nahi maar sakta .
14. agar kisi se koi gunah sarzad ho jaye to wazo kar ke do rakat namaz padhey aur Khuda se maafi mange,is ke gunah baksh diye jayeinge.
15. Allah ke waday kabi ghalat nahi ho saktey aur na in main kisi kisam ke shuba ka ehtamal ho sakta hay.
16.nafas se jahad karna sab se bada jahad hai.
17. kar-e-khair ko shauq se anjam dene wale ko Khuda ajar azim ata karta hai.
18. fakir ke samne ajzi or adab ke sath sadqa pesh karna chahiye,kyun ke khush dilli se sadqa dena qabuliat ka nishan hai.
19. Allah insano ke wohi amal khabul karta hai jo sirf achi niyat se kiye gye hun,jis admi ki jo niyat hoti hay us ko usi ka ajar milta hay.
20. ilm ke baghair amal bekaar hai aur ilm baghair amal bekar hai.
21. har roz balke har ghari naik amal karne ki koshish karo.
22. achey burey amal ki jaza Allah ke hath main hai.
23. jo shaks Khuda ke wastey koi masjid banaye Khuda us ke liye jannat banaye ga.
24. ya Allah meri akhari umar achi kar,naik amal par mera khatma farma or apni mulakhat ka din sab dino se behtar kar.
25. har shaks qyamat ke din apne bure aamal ka jawab de raha ho ga.
26. tum ko apne padosi se larna jhagarna nahi chahiye,is liye ke woh to apni jagah par hi rahey ga logon main tumhara charcha hota rahey ga.
26. jhooti batein banaane wala jannat main dakhal na ho ga.
27. tumhein chaye ke apni haalat durust rakho,taakey tumhein dekh kar dusrey log bhi apni halat durust rakein.
28. ameer ka takabur to bura hay hi lekin gareeb ka takabur us se bhi bura hai.
29. chori or khyanat se bacho ye baatein fikkar or aflas se peda hoti hain.
30. zuban ko shikwa se rok khushi ki zindagi ata ho gi.
31. agar koi naiki kisi waja se reh jaye to use hasal karne ki kosish karo or ise agar paa lo to agey barne ki koshish karo.
32. Khuda makluk se kabi koi moseebat nahi hatata jab take maklok ibadat ki taraf na jhuk jaaye.
33. dunyia jin ka sarmaya hai un ke deen ka nukhsan zuban bayan karne se ajiz hai.
34. gunah se tobah karna wajib hay,lekin gunah se bachna wajibtar hay.
35. bad-bakht hai woh shaks jo khud to mar jaaye lekin us ka gunah nahi martey .
36. woh log behtar hain jo dunyia ko akhrat ke liye tark kar dete hain.
37. jo bhi raaye kisi ko do us may Khuda ka khauf zaror shaamil hona chahiye.
38. agar koi mashwara talab kare to mukhlasana or sacha mashwara do..
39. jis par nasehat asar na kare usey samaj lena chahiye ke is ka dil imaan se khali hai.
40. jis cheze ke karne main Allah ne apni rehmat ka wada farmaya hai us ke karne main jaldi karo.

No comments: