Friday, January 22, 2010

Kufar


"Kufar" ke asal maani chupaane ke hain..is se inkaar ka mafhum paida hua aur ye lafz eman ke muqabley may bola jaane laga..Emaan ke maani hain manna, qabul karna, tasleem kar lena. iske bar-aks kufar ke maani hain na manna, radd kar dena, inkaar karna..

Quraan ki ruu se kufar ke rawaiye ki mukhtalif suraten hain.

Ek ye ke insaan sarey se khuda hi ko na maane,ya uske eqtedaar-e-Aala ko tasleem na kare aur usko apna aur saari kaainaath ka Maalik aur Maabud maanne seinkaar karde.ya usey Wahed Maalik aur Maabud na maane.

Dusrey ye ke Allah ko tou maaney magar uske ahkaam aur uski hidaayaath ko wahed munba-e-ilm-o-qaanun tasleem karne se inkaar karde..

Teesrey ye ke usulan is baat ko bhi tasleem karle ke ke usey Allah hi ki hidaayaath par chalna chahiye, magar Allah apni hidaayaath aur apne ahkaam pahunchaane ke liye jin paighambaron ko wasta banaata hai, unhen tasleem na kare.

Chauthey ye ke paighambaron ke darmyaan tafreeq kare aur apni pasand ya taasubaath ki bina par unme se kisi ko maane aur kisi ko na maane...

Paanchven ye ke paighambaron ne khuda ki taraf se aqaayed, akhlakh aur qawaneen-e-hayaath ke mutallaq jo taalimaat bayaan ki hain unko ya unme se kisi cheez ko qabul na karey..

Chettey ye ke nazriyey ke taur per tou in sab cheezon ko maan le magar amalan ahkaam-e-ilaahi ki daanesta nafermaani kare..aur is nafermaani per israar karta rahe aur dunyawi zindgi may apne rawaiyey ki bina itaa-at per nahi bulke nafermaani per rakhe..

Ye sab mukhtalif tarz-e-fikr-o-amal Allah ke muqabley may baaghiyaana hain aur inme se her ek rawaiye ko Quraan " kufar" se taabir karta hai.

No comments: