Friday, January 22, 2010

Haqeeqat


Naawaqif log jub apne qayaas-o-gumaan ki buniyaad per " Mazhab " ki taarikh murratab karte hain tou kehte hain ke insaan ne apni zindgi ki ibtida shirk ki taarikiyon se ki phir tadreeji irteqa ( step by step aage badhna) ke saath saath ye taariki chat-ti gaii aur roshni badhti gaii..yehaan tak ke Admi tauheed ke moqaam per aa pahuncha.

Quraan iske bar-aks bataata hai ke Duniya may insaan ka aagahaz puri roshni may hua hai. Allah Taala ne sab se pehle jis insaan ko paida kiya tha usko ye bhi bata diya tha ke haqeeqat kya hai aur tere liye sahi rasta kaunsa hai..uske baad ek muddat tak nasl-e-Adam raah-e-raast per qaayem rahi aur ek ummat bani rahi. phir logon ne naye naye raastey nikaale aur mukhtalif tareeqe ejaad karliye..is wajah se nahi ke unko haqeeqat bataaii nahi gaii thi, bulke is wajah se ke haq ko jaanne ke bawajud baaz log apne jaayez haq se badh kar imtiyaazaath, fawaayed aur munaafa haasil karna chahtey they aur aapas may ek dusrey per zulm, sarkashi aur zyadati karne ke khahis-mand they.

Isi kharabi ko door karne ke liye Allah Taala ne Anbia-e-Akraam ko maabuus karna shuru kiya. ye Anbiya isliye nahi bheje gaye they ke ek naye mazhab ki bina daalen aur apni ek naii ummat bana daalen. bulke unke bheje jaane ki gharz ye thi ke logon ke saamne us khoii huii raah-e-haq ko waazah karke unhen phir se ek ummat banaa den.

No comments: