Tuesday, December 16, 2008

Raah-e-Ishq







mujhe gumaan tha ke chaha zamane ne mujhe
azeez sab ko thi magar zaruraton ki taraha

jinke liye sada tadpa kiye....jinka her derd lahu rulata raha.....vo her rishta jo qudrat ki dane tha...aaj mud ke dekha tou bas ek khwab sa laga...jise khuli ankhon se nibhaya gaya....aur jinki yaad may khud ko bhulaya...unhen ab hum yaad bhi na they....khud ko halaath aur gardish-e-zamane ki saleb per chada kar ye socha tha ke chalo kuch tou zindgi ka mole tha...kisi ke waste hi sahi ye zindgi kaam aagaii...magar ye bhi ek saraab tha...nazar ka dhoka.....apne aap may ek sangeen sachaii....ke jo preet humne nibhaii khud humen hi ras na aai...haqeeqaton se nazar chura kar ek umr ganwaii...ke jo anter Aatma kehti hai hosakta hai mahaz ek gumaan ho...hosakta hai...magar aisa tha nahi..aur baatin se ubharti huii awaaz jhutlaii kaise jasakti thi....but gaya her vo rishta jise samet kar rakhne ki koshish ki..umr ke vo saal jahaan arzu jawan thi...khwab haseen they....jinko diye vo mah-o-saal unki yaadon may tak zaya hogaye....kisi ko ab kuch yaad tak nahi...rishte....jinki buniyaad ki misalen di jaati hain...jinse nibah ko ferz samjha jata hai....sirf aur sirf mohabbat per hi tike hain...gar ye nahi tou kuch bhi nahi...

Mohabbat bhara dil samjhoton ke liye hamesha tayyar rehta hai..muafi khuda ka pasandeeda amal hai..laghzishen nasl-e-adam ki ghutti may padi hui..so inki sazaayen nahi di jaateen..so darguzar ke lambe arse ke baad bhi ....is kinare se us kinare tak ek sunnatta hi mila...sawal mile..shikwe shikayeten mileen..ilzaam mile....jinhen pure dil-o-taujoh se suna...samjha...samjhane ki koshish ki....umhm...sab be-sud...insaan apna karam sirf apni mohabbat-o-khushi se karta hai...phir badle may jo bhi mile unka ranj kya....

Aise they khokle rishte jinke darmyaan saans lena mushkil hogaya...aur apne ander jame jamud ko todne ka wahed zariya qalam tha....ye qalam sab se pyaara aur sab se purana saathi....haan yehaan vo saare baandh tute...saare ruke huye chasme phute...saara lava bah nikla....

Rahbari ki sangat ne isey ek naya mod diya....khud ko bhulja...phir kya tha...wahi lafzon may dhalne laga...mano mujh se vo likhaya gaya jo beetne wala tha...waqi ek shayer ne sahi kaha...ye sher ilhami hain...ye khyal khuda ki dane hain...ye tajruba bhi kiya maine...gharz,rishte jis rang may bhi milen, aur unsey humen jo bhi mile....her haal may apni haqeeqat rakhte hain..derd den ke khushi....saath chalte hain....

Ajmer shareef..jahaan pahunch kar logon ko madine ki galiyaan yad aajati hain..Gunbad-e-tajdaar dekh kar saltanaton ka ser jhukana yaad aata hai...aur soch ki perwaz un sajda-rez dilon ki janib jub hoti hai ....tab vo manzar saaf dikhaii deta hai...ke dilon ki aseeri kya hoti hai...ye qilla fatah kaise kiya jaata hai...jo kal talak zameenon ki taskheer per maghrur they...unhon ne jaana ke asl maza tou aseeri may hai....khud ko unke karam ke hawale karke khud saayel bane jo haazir huye...vo ek pal jise bhi naseeb hua vo ghani hogaya....


Gharz taaragarh se wapsi khaali haath nahi huii ..koi saath bhi holiya...wahi banda-e-khuda jo achanak namudar hua tha..mujhe to aisa lagta hai jaise raah-e-khizar se khizar ki rehbari .....dusre din alas-subha jub namaz-e-fajar ke baad hum Arcot dalan se khuddam ki khidmat-o-aqeedat ka nazara le rahe they...us waqt ka samaan bada rooh-perwar tha...gulabon se mehkta hua ....her ankh makhmur thi....goya ab kisi nazare ki hawas usko nahi...aur ho bhi kaise...junnat ki hawayen..deedaar e khwaja fakhr-e-do jahaan..unke ashiqon ke jhund.....vo ped jiski nhanni munni chidiaan tak paband-e-ehtraam dikhai deti hain...waqt-e-namaz achanak unki chahchahat ka ruk jana...kyon na ho...aakhir HindulWali ka dar hai..aur her dil ko rab ki jaanib adab-o-ehtraam lazim hai..

Darr-e-nawaz per bula kar apne qurb-o-mohabbat ka waseela baksha khuda ne....uske ayaan hone ke andaz nirale hain..kahin koi jabar nahi...kub banda uska hojata hai khabar nahi..vo be-sukun jise sukun ki ho talaash...dar-e-nawaz per jaaye..aur dil ki murad paaye...isi may chupa hai khudavand ka raaz...saari bechainion ka jawab ban kar milti hai unki mohabbat...ye silsila-e-fazal-o-karam ka markaz-e-wahed faqat ek dil....jo khud ki justaju may khuda ko paaleta hai...khuda unhen hi milta hai jinke dilon may wassaten hon.....uske qurb ki chah ho...uske mehbub ki mohabbat ho..yehaan mehbub ki mohabbat her mohabbat lutati nigaah may mili..vo jaanisari ka shauq,vo karamfermaii may pehal...vo rahnumaii ki mashaal....gharz ishq ishq nazar nazar....her nazar karam ki nazar....

khamoshi bol uthe her nazar payaam hojaye
ye sunnatta had se badhe khoraam hojaye

Bas khoraam hi tou mach gaya tha ..us waqt charon taraf afratafri thi ..kirdar-o-akhakh kodion ke mole bik rahe they...bhaii bhaii ka dushman bana baitha tha....her rishta apne buniyadi usul kho baitha tha..aur derd-mandon ke derd pukaar ban gaye they ek subha Saadhiq mili zulmaton ko...ek Ose ki bund ankhon may shaamil huii....moqadas duayen unhi ka mehkta paighaam theen....aamad aamad thi ek naye daur ke ibtida ki..log kal talak zindgi ki uljhanon may uljhe huye they..unhen apne siwa kisi ka hosh na tha...tez-raftar zamane ne hungama barpa kar rakha tha..koi lamha fursat ka ghum-e-dauraan se khaali na tha...aise may apne tamamtar fazilaton ke saath Rehabar Kaamil ka miljana khushnaseebi thi...Ghareeb Nawaz ko jis kaar-e-khair ke liye mulk sonpa gaya ...us ki ek kadi yehan aakar mili...unke Carvan ka salaar they...khalifa-e-daur haasil-e-murad-o-surur khwaja saheb ke payamber they..waqt ki maang ko samjhte huye naye daur ki naii nasal ko bilkul unhi ke rang-o-roop may mile...aur unhen apne qareeb karne ka amal itna sada aur dil-fareb raha ke unka rishta her rishte se barter ban gaya...dilon may nazdikiyaan paida karne ka saleeeqa mil gaya musahebon ko saheb se....

Murshad ki nazar e karam khud daras hoti hai..so unki her nazar,her lafz amal ki taraf raghib hone ka paighaam tha....ghaur-o-fikr ki ek saa-at ibadat se badh kar hai...baat samjh may aai...aur lamha-e-fikr baatini safar ki raahen tayeen karta gaya....aur hum-qadam rehbari hausla badhati rahi...gharz sare sunnatte bol uthe...aur khamosh paighaam dilon tak pahunchne lage...ye karam jiske peeche khud Khuda karferma hai jub bandon ko miljaaye tou samjh lena chahiye ke talaash mukamal huii..
Talaash ko jub manzil miljaaye ...phir karam ki ibtida hai...so jitne daras mile unki tabligh ka zimma bhi khud bakhud nasib hojata hai...vo yon ke dil khud bakhud uski zubaan ban jaata hai .so jub bhi zubaan bayan huii paighaam-e-rasti ka izhar huii..so saheb...humen jo mila vo sab may bant-te rahe....haan derd dil may rahe khud sab ka darmaan bane...dil aur dimagh aksar mutazad rahon per modne ki koshish karte hain...aise may imtiyaaz-e-haq lagaam ban jaata hai...raahen khud bakhud samne aa khadi hoti hain..ye khuda ka karam hota hai...gharz buniyad mazbut ho tou banda asal pa hi leta hai..kyonki haq apni jaden door door tak phailaye hota hai...bhale waqt unhen kamzor karne ki koshish kare..waqt aur halaath gumrahi ka sabab hote hain....aur khuda jise chahe usey madad faraham karde...Rahbari ke liye bhi dil chune jaate hain..nigaah-e-khaas ke bhi makhsus markaz hote hain...jub batini paighaam miljaye...ye khusbakhti ki dalil hoti hai...

So saheb...safar ...Rehbar...aur mere Khwaja ka dar....zindgi khubsurat hogaii..unki zaat ka sukun meri zaat may uter jaaye dil yehi mangta raha...kyonki is se badi daulat koi nahi...kitne log jaante hain ke khushi kise kehte hain...ye israar khulte khulte ek umr beet jaati hai...zindgi ka her falsfa dhara ka dhara reh jaata hai...insaan jo khwabon ka aadi hai haqeeqaton se ghabrata hai...jub tak unka saamna karne ka hausla juta paata hai...khwab aur haqeeqaton ki kash-makash usey adh-mara kar deti hain...zindgi bojh ban jaati hai...so is se pehle ke zindgi ki shaam hojaye kyon na zindgi se mila jaaye..uski maang ko samjha jaaya...us laa-zawaal sukun ki jaanib dil ko raaghib kiya jaaye jo saare mahol ko baharaan karde....sukun hi khushi ki jud hai..gar ye nahi tou naam-nihaad khushian kub maza deti hain....so rab ki meherbanion ko mehsus karna hi khushnasibi hai...

Mere safar ka ye padau abdi khushi le kar mila....mujhe musafaton ka pata hi na chala...humsafar hum-qadam ke rang may saara alam rangeen tha..aur ye rang insaniyet ki meraaj they....

raini chadi rasul ki, rang maula ke haath
jiski chunari rangdi, uske dhan dhan bhaag

sitamgar sada hansta raha...usey ghurur tha khud ke taqatwar hone ka...uski zad may kitne dil they..unki halath-e-zaar se lutf andoz hona koi is se seekhe...ye waqt...daur pe daur laane wala ye waqt...be-wafa kabhi, kabhi atta...koi kahaan samjh paaya iski chaal...aksar dil nadaan aate hain, namurad jaate hain..fikr ka lamha gar mil bhi jaaye tou daman sirf pasehmaniyan liye milta hai....kyon ki tab tak waqt apni chaal chal chuka hota hai..yaane charon khaane chit kar hi deta hai...sabr ki talqeen bahut asaan, amal bada mushkil...bahut kum dilon ko ye nasib hota hai..qina-at ki daulat jiske haath lagi vo azaad raha...her zanjeer se....usey waqt bhi na kamzor kar saka..bulki usne waqt ko thokar maari....haan jo azal se hi sisakta raha usey sada ye rulaya kiya....badi sitam-zarefi hai ye...
Gharz isi waqt ke hathon kaii dil lut-te rahe..naya kuch bhi nahi tha...per jis per jub bhi beeti uske liye tou sab kuch naya hi tou tha...uski hairan nigahon per kabhi waqt ko bhi pyaar aaya...haaye zalim tu kitna nadaan hai..tu ne mujhe nahi pehchana...mai vo waqt hun jo kabhi wafa na kar saka....arzuon ki tarha ,jawan saalon ki tarha,ummidon ki tarha,mai bhi haathon se phisal hi jaata hun...teri giraft may kabhi na aasaka vo waqt hun mai.....kaash..tu samjh paata....tu samjh ke bhi na samjha....waqt se bhi bada ek aur sitamgar tujh per haawi jo hai....jiska nasha hosh may aane hi nahi deta....bande ki buniyad bana baitha hai jo..khudaii mohabbat...ke mohabbat hi khuda hai....haan saheb...mohabbat hi ka nasha .......hosh ki dawa waqt bhi na karsaka.....bas yehin tou maat hai...jahaan gum bande ki zaat hai...warna waqt ki kya auqat hai......

Raqeeb jahaan may bahut mile hain magar habeeb jo they unhen bhi hum paa na sake....ke talab ,faslon ki marhun-e-minnat hai...so hum bhi ab is dil ko veeran kar ke dekhenge...na kahenge kuch na sunenge...bas khamosh duniya ka tamasha hum bhi dekhenge....lahu ro kar khud natawan huye....lahu le kar arzu jawaan rahe...her chah mange hai rasam nibhane wali....ek-tarfa wafa hai hosh udane wali..azmana ho ,khud azamaye jaane ki shert rahe...
Khuda ki hikmat ...merdem shanasi hai...khuda bande ke darmyani kadi karsazi hai...waseelon ka matlab kitne jaan paaye hain..ye dostaan sab ko khuda se hi milaane aaye hain..yaqeen-o-gumaan ke darmyaan zindgi adhuri hai....saanson ki laye ke liye dhadkanon ka saaz zaruri hai...in sanson ke zer-o-bem may hi chupa hai vo lamha...jahaan bande ki soch tak na pahunche .........majnun dil soch se bhi khaali....jise apni khabar nahi vo kisi ki kub socche....karam ke andaz sabhi nirale hain....uff ye ashiq kitne bhole bhale hain...bande ki be-khabri may hi apna banalen....bande ko mehafil may apni bulakar jub chahen azmalen...
shab-khoon may mare gaye kitne....kitne dil bechare neelam huye....boli lagi qeemat badhi...unka naam sunehri hurfon may...jinhon ne waqt-e-faisla-e-saani bhi hosh may aana gawara na kiya saheb....mohabbat waqi jaadu hai...ek aisa rang hai saheb...ke ankhon se saare rang chin le jaaye..khuda ko pasand hai jo, uske ashiqon ko wahi tou mila hai...her mehbub ke dil may vo rahega ye usi ka faisla hai....ye derd ye hijr ye aahen.....usey itni pasand hain ke...apne mehbub ki deed se uske muhib ko tak mehrum rakha hai...ajab lazzaten hain ulfat ki azmane may....mohabbat hi khuda hai aur yehi shert hai khuda ko paane may....
Dar e Nawaz se jo mila hai vo to saans saans may mehkta hai..vo rutba jo bulandion ka zamin hai Rab ki zaat se hi juda hai..phir bande ke ehsasat per chahe bijliyan hi kyon na giren...jalaa kar usey khakster hi kyon na kar den...raakh bhi gawah hogi...mujhe ye mere mehbub se hi mila hai....maine usey surma bana liya..nainan may saja liya....usey garwa laga liya....usey yon apna bana liya ....ab judaii mumkin hi nahi...ke ye tou Rab ka faisla hai....ke wahi tou mera hausla hai....
mai sochti hun ke sochun kabhi tou uske siwa
karun mai kya meri chahon pe uska dera hai

----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

sahare dhundta hai jeene ke admi
admi se hi uns rakhta hai admi
ummid ki kiran banta hai admi
ek dusre ka darpan banta hai admi
gharz admi, admi ki pehchaan admi
admi ki jaan leta hai admi
admi ko jaan leta hai admi
kabhi khud-gharz ,kabhi be-gharz admi
kabhi shikayeton ka daftar hai admi
kabhi inaayeton ka samundar hai admi
saari kainaat ka manzar hai admi
rab ki zaat ka kabhi mazhar hai admi
khud khuda ki zaat ka safar hai admi....

kainat ka zahur...bande ki zaat ka zahur...faqat khuda ki khudaii ka zahur...her surat may uski zaat ki hi pehchaan admi...duniya bhi mili dil bhi mila..aqal bhi mili...jahad ki taufiq bhi mili....phir bhi nakara na-ahal admi...unme se kisi ko mukamal na apna saka admi....lamha lamha badalti soch may uljha sa admi..halath ki chakki may musalsal peesta admi...waqt se baghawat karta admi...khud apni zaaat se mukarta admi....

ilm-o-amal dono maangte hain takmil...isi se hoti hai insaaniyet ki, tashkil.....ilm ghaur-o -ikr ki raah hai...amal khulus-o-niyet ki chah hai....dono raahon per raahi eksaan qadam rakhe bhi tou darmiyan phir bhi koii .....raah bhi milti hai bhatkan bhi...azal se bhatkna admi ka chalan bhi...ke ekhtiyar usko bhi mile hain jisne bhatkaane ka ahad kiya hai...ye ekhiyar bhi aaala se hi mile hain...jahan nighehbani hai wahaan shaitaan ki mehmaani bhi hai...ke rang rasiya roop basiya munbhavan jo hai..aag ka darya hi sahi pyaas badhaye jaata hai...jub tak haath nahi aata...haath aajaye to jalne ka maza aajata hai.......

khubsuart lagte hain ojhal nazare bhi...haseen hain raaz khulte saare bhi...ek dil hai aisa....jinme sama jaate hain saare derd ke maare bhi....kitne perdon may khud ko chupaye hain...Ajmer ki galion may unke hi saaye hain..dar-o-deewar se khwaja ki unko mohabbat hai..unki mohabbat se sab ko aqeedat hai..ankh saaqi-e-mohabbat hai...dil darbar -e-rehmat hai...aise may koi kaise hosh may rehta hai...saare derd nasha masti....bhulade fiza apni hasti...gul gul bulbul her koii bole unki hi boli...deewani hawa mastani unke hi peeche peeche holi...

Vo shaan-e-dilrubaii kya kahiye...vo junun-e-ashiqi kya kahiye...dil dil hua maye-kada...her simt nazar aaya khuda....sunte rahe ek din achanak le jayega...sab dhara ka dhara reh jayega...phir taayari kaisi...be-sakhta be-ekhtiyari ka kaam hai huye jana...hosh may mai rahun ya phir zamana....dono suraton may ilm ki haajat usko nahi jo laa-ilmi may dil-o-jaan suprud karde...be-talab kuch bhi nahi...yaan bhi talab mange hai nigah-e-karam...maqbuliyet iltija ka dono suraton may qayam bharam...mujhe apne khadmon may jagah de do...mujh ko apne saaye may panaah dedo...ek pal ko na mai door rahun...na tum meri nigahon se ojhal raho...in be-noor dhundli ankhon ko vo nazara de do....dubti kashti ko apni ulfat ka kinara de do...ek lamha kub se takta hai tumhen.....ke mai anjaan nahi teri be-chinion se ,kya mai pareshan nahi...mere muhib teri mohabbat ki qasam...apne mehbub ka payega ek din tu karam....paane ki chah tujh ko ,to dene ki chah mujh ko bhi....sabar ki baat pe kahin tut na jaaye tu...ek tehrne ki saza na miljaye mujh ko..teri tadap saza meri hai..yehi kahega mere aaqa ka dil….

Mere khwaja....aapke matwalon ki hajjat bas aapki ek nazar...ek karam ...hojaye aaj phir ek karam ..sukun ki ek halki si leher aa aa ke kehti hai chu le mujh ko...dekh mai wahi ehsaas hun jahaan se haasil hua tha tujhe apne inshaan hone ka bharam..mera ser jhuka hai muntazar, miljayen aapke qadam..ek dua ban kar...ek dawa ban kar...rooh ke her zakhm ko mandmal hote dekha ..is baar bhi hojjaye ek baar phir wahi nigaah-e-karam....safar kathin hai...hum na-twaan...aapka saath hamari ummidon ka nishaan....her dil aapke rubaru hojata hai be-zubaan...mangte ki jholi ummid se kub khaali hai...vo sada aapke dar per ulfat ka sawali hai...dil khaali ankhen, samne roze ki jaali hai...mere "piya" ki gali gali matwali hai...derd ke maron ko yaan aake chad jaata hai surur...aapse milkar khud pe aajata hai ghurur....mera saaya-e-amaan dar-e-nawaz sa kahaan...aapke dar per sarbasta mere dil-o-jaan..meri mohabbat wafa sada qayam ho..aapki ulfat sab ke liye dayem ho...ab koi roke na mujhe toke na mujhe chalna hai mujhe koocha-e-mehbub bulaye hai dekho...un tak pahunchna hai mujhe amal ki seedhion per...ya khuda surkhuru karde ab shuru hone ko hai safar.....

Azam kaii lekar,ek arzu ka safar ban kar,mohabbat-kade se nikla ek dil.....her su veerani si...saathi koi nahi..faqat ek tanha dil...umid ki dagar per...koi dil kaise bhala dhadke uske seene se juda ho kar...saans leti huii zindgi baar baar puche hai jism se bichde ho ke rooh se...ab kaise ji paoge dono se juda ho kar....ye kaisi udaasi hai her simt jo chaii hai....duniya se juda hona shayed isko hi kehte hain...

ye bhi dekh liya.....jub jaden chut-ti hain tou shajar ka murjha jana taye-shuda amal hai...bas apne watan se jub hum nikle armaan kai bichde...kooche se sanam tere jis tarha ashiq ka dam nikle...her saans hai madham si ...haule se thaame rakhti hai aas koii jaise....mere dil se kahaan door hai dar tera....ek saya hi sahi jis per tika hai ser mera....ulfat ke safar per her dam ashiq ko darkaar hai Rahbar....ab na satao aajao tulu hone ko hai ek aur sehar..is ujaale ko maan ke mehbub ki muskaan...ek baar phir hatheli per rakhlenge apni jaan...

mat pucho ghum kis ka hai...isey raaz hi rehne do....sawal sabhi nazren...kitne tamaskhar hain...kaise bataun mai yaan sab hi mukhbir hain....baat hi kya vo honton pe jo aajaye...ishq hi ka vo jo ankhon se chalak jaaye....mohabbat ka saleeqa unko hi aaye ,ekbaar jo mere khwaja ke dar pe chala jaaye....her ankh pyala hai....her dil madhushala hai...un jhukti uhtti palkon ka paigham niraala hai..aapka aye rehbar mohtaram...her manzar dekha bhala hai....darjon may na simti hai firqon may na bati.....inayeton ke khazine lutne ko sada tayyar.... mangne wale ke dil se kub aapki nazar hati....

Haan jinhen mangna na aaye ek bund hi chalkaye phir dekhle badal bin barse kaise reh jaye......us derd ki qasam hai jo tan mun jhulsa de....zarb gar kaari ho pathar ko paimana bana de....ye saare hunar humne seekh liye un se...shamma ki hasti perwane se milkar hi sanwarti hai......jalne ka shaur yehi...waqt aag ka darya hai aur hijr hi kashti hai.

Hum sochte rehte hain atta aur tarah se
Deta hai dast-e-karam aur taraah se

No comments: