Tuesday, December 16, 2008

Daras





   
Saaqi ki chasm-e-lutf ajab kaam kar gaii
Daali vo nigah ke kaamil bana diya
Khizr-e-tareeq-e-ishq pe qurbaan jaaiye
Gumraah ko bhi rahbar-e-manzil bana diya



Saath jinka humen mehfuz karde her bala se.....jiski khatir ashiq guzre hanste hanste karbala se....vo ishq ke siwa hai aur kya...zaat unki ishq hai...sohabten jinki ishq theen....nishaan ishq ,raah ishq ,qadam qadam ashiqi....her taraf ,hawa hawa ,bas ishq ishq.....daras awaleen rabubiyet ki mang bhi sirf ishq ishq...khud ashiqi khud ishq.....lafz khud per hi aashiq hua jub likha usne ishq ishq....looh-o-qalam ka pehla lafz bhi hua hoga ishq ishq...jub usne naam "Mustafa ' liya hoga kaanp gaya hoga uska seena bhi keh kar" aye noor-e-khuda tum ishq ishq".. ye shauq ki thi intiha...khud apni taqliq per khaliq ashiq hua....apni mohabbat usne adam ke seene may rakhi....adam ne jub saans li bas her saans ne kaha "Mustafa."... 

rog phir rog hai pathar ko bhi lag sakta hai
ye tou phir dil hai yehaan derd sawa hosakta hai

Ye nazuk bhi hai hissas bhi jisey log dil kehte hain....derd kahaan uthta hai kise khabar....per dil hi ki duhaii lagti hai..haaaye dil...haan isi dil ke naam her jazba mansub hota hai...isi ka naam lekar duniya may tamasha khoob hota hai...bashar ko basaarth milkar bhi vo mehrum darun-e- khana-e-manzar hai...vo chasm jo rooh ka safar karle sabse khoobter hai...kahaan aasan hai uske liye jo duniya may ghaltan hai...uske liye duniya bas ek ishq-e-pechaan hai...thokron may maza paaya bada-parwar ne....justaju-e-shauq may bhatkaya jub dar dar ne...bas ek nada ku tarse sada dil hairaan...mai hi hun jiske liye bhatke hai tu neem-jaan..mai kub se muntazar hun meri rahon may tu aaye...do qadam aur aage badhe aur mujh ko paaye....ye fasla darmyaan tere mere bas chund sanson ka.....dil kehta hai tu jisey ,mai isi may hun maujud....tune sara jahan dekha...sataya khud ko talaash may meri.....mai her waqt tujh may tha jaan ki tarha teri....

Ek sakut sa kyon dil pe taari hai...ab ke kis tufaan ki baari hai...khamoshi tujh se dosti pehle aisi na thi...aye khamoshi ab ke tu kyon itni pyaari hai...kahin saare sabaq apne ho na gaye hon...ya tera daras ab bhi jaari hai...musalsal husul payedari hai... naii naii hi teri meri yaari hai...vo baras jo beete hain aanewale barson ki tayaari hai...dil qalam hua duniya safah-e-sada lagi...dawaat lahu mera.....mohabbat jaan-nisaari hai...

dar pe tere aaye jub paas dil bhi tha
ab kahin bhi hote hain dil tere paas hai

Surmaee andhere bhi ujle lagne lagte hain jub chahne wale tujh se tere dar per milne lagte hain..Aalimon ki jung may maare gaye deewane.....naam per mazhab ke takrar karte log hogaye mazhab se khud begaane...mazhab ki zarurat insaan jub samjhe phir na hote itne afsane...aaj bhi khud hi tufaan hain khud kinara hain..peshwa mazhab ke jitne bhi aaye insaan ka sahara hain..koi mazhabi se bhi pehle insaan tou kehlaye...gar hosake tou ekbaar insaan,insaan ke paas aaye...samjhe vo zubaan jo dil kehna chahe...chune vo makaan jisme khuda rehna chahe...sazishon ka naam mazhab nahi hai Dosto...ranjishen,qahar-o-ghazab bhi nahi hai dosto...ye bas mohabbat hai dosto..ye insaan ki tabiyet hai...


Hum jinki mohabbat ka dam bharte hain...kya waqi un se mohabbat karte hain...saare manzar dhoka hain...khud ki pehchaan ka mauqa hain...mohabbat tou bas usne ki...mehbub ki khatir kya kya na kiya....ek hum hain khaali lafzon ka sahara hai...ulfat ke liye khudgharz dil nakara hai...

Vo dil ,jo sunsaan rahon ke safar per hote hain, unhen jub ghaib ki awazen sunaii deti hain..tab bhi bas ek gumaan sa lagta hai...koi bharam jiski dil ko talaash hai...ho na ho ye wahi awaz hai..yehi gumaan raahen kub taye kara de khabar nahi hoti...manzil se do qadam ke fasle per ek aur mod milta hai...us mod se her manzar jana pehchana lagta hai...ke bas raahi besakhta uski taraf qadam badha deta hai...us pukar ki shiddat se koii dil kahaan bach paaye...ab dil o jaan rahe ke jaaye...her taraf usi pukaar ke dikhaii dete hain saaye....manzil kub mili bichdi kise khabar....per ye manzil si kya hai jo uski rahon may roz aaye jaaye..vo mila bhi aur nahi bhi...vo ojhal bhi nahi bhi....

ab kuch dinon se haal aisa hai
koii kitni bhi aziyeten de
koii jitni raunat se humen ronde
bura biklul nahi lagta
gila koii nahi hota
sukun mehsus hota hai
dua lub se niklti hai

Jisne bhi likha hai vo un raston se guzra hai jahan se guzar kar banda apni zaat ki asaishon se door hojata hai...jub deewangi wafa tehri hai ab sheesha ho ya pathar ...kya farq padhta hai...ye jo bhi apna hai kub hamara hai....bikher kar jo bach gaya hai bas ek khushbu hai....ye dil dil se guzar kar her dil tak pahunchti hai...yehi maqsad hai hawaon ka...yehi gulon ki tamanna hai...yehi rangon ki hai chahat....yehi chaman ki khahish hai..yehi maali ki hikmat.....fana hokar jo rahe baakhi....wahi sada baakhi....

Bahut asan hai muddaai hona
Jitni mushkil hai,sab nibaah may hai


Kitna sangeen sach hai.muddaii apni isteda ke baad yaqeeni taur per pursukun hojata hai..maqbul tamam umr ki riyazaton,mohabbaton ka sila inse mansub karta hai...ummid koii khaali na jaaye..muddaii ka muddua bar aaaye...magar muddaii ke sadaq ki shahadath jub tak na mile tab tak kamyabi mumkin hi nahi....vo dil paida kar aye bande jo ayaan hojaye aaina hojaye...Atta ki mang se pehle teri iltija ka imtihaan hota hai...surkhruii ki manzil tak ki rasaii se peshter khardar rahon ke silsile hain...her ishara mubahem hai...her rang malgaji dhundla sa....ab ankhon ka kaam kya...bas dil se suna jaye...shauq shola ho...junun sauda ho...apni islah ka amal jaari rahe...dil her riya se saaf hojaye....vo daras jaari rahe jo her taraf se sunaii de..hatta ke samaa-at kuch aur na sune...saaare manzar kohra hon....pas manzar bas ek chehra ho.....jiske jalwon se dil khaira ho....yaad rahe bas ek sada.....bande rahbar ke sang paata qurb-e-khuda....

Vo muqadar jinke badle jaane ka amkaan hon tayeshuda hain...duayen asmanon tak jaati hain asar laati hai..Rab apne mehbub bandon ki duayen beshak maqbul karta hai...jinhon ne apni her khushi usi se mansub ki....apni mohabbaton ka sila apne chahne walon ke naam kiya...aur khuda ko ye amal mehbub hai..mohabbat may had se guzarne walon ki panahgah vo khud hai...vo haden wahi taye karta hai...junun bhi wahi bakhshta hai...raahen bhi wahi taye karta hai...manzil ki ore wahi bulata hai...yehaan tak ke ikhtetaam-e-safar per banda sirf uska hojata hai...raaz bahut gehra hai...her taraf khahishon ka pehra hai...gar tod sako tou sukun paajao....bas Rab ke hi hojao....jiski her inayet se hai pyaar humen...phir kyon na atta karne wale se aur sawa ulfat na ho...in khahishon ne derd diya...uski panaah may hi sukun chupa....mehsus gar karsako tou uski qurbat hai...rehbar ki mohabbat uski hi mohabbat hai....


Aaj 'joven" mili..ek afreeqan aurat jise ye taufeeq milgai thi ke dilon ka ujala rangon se nahi amal se haasil hota hai...mujhe vo us waqt mili jub ek lamha kasmaksh tha...dil muztareb tha...sukun anqa...aur khayal hirasaan...aye kaash kuch ekhtiyar humen bhi haasil hota...her ek ki pareshani ko zayel karte....kuch aram unhen bhi aajata jiinhon ne humen be-aaram kiya...dil kuch is surat se tadpa ke aakhir rab ko pyaar aa hi gaya...uske karam ki intiha hi tou thi..pardes may us waqt achanak uska paighaam "joven' ke roop may zahir hojana....kuch bhi be-sabab nahi hota...joven ne mujhe Hindi may wish kiya..kaha ek kitaab padhogi jo kewal shaanti ka sandesh hai...aur dusri jurm kaise mitaya jasakta hai...hmmmmmmmm....mai muskuraii...mujhe waqi is waqt is paighaam ne ek naya hausla diya...ek taskeen bhi..ke rab ne bar waqt mujhe muntashar hone se bacha liya...derd jub had se sawa hojaye..zabt ki intiha hojaye...dil saakt hojaye....us waqt ek tashanj sa taari hojata hai.....pathraye huye aasaab may zindgi ki leher thi joven ka ek sitri paighaam....
Main ne joven se kaha...acha mission hai....duniya ki safai se pehle ho khud ki safaii...self correction...yehin se tou shuru hoti hai asali safaii...jub zehen saaf hoga...sab saaf nazar aayega...aur hum vo dekh paayenge jo kal talak ojhal tha...soch jo dusre zehan may roshni karde ....shafaf ho...aur ek acha khayal ek aur dil may jub muntaqal hota hai tou vo zehen khud darasgaah hojata hai...ye ek chain work hai...raha jurm ka mitna....mujrim halath ki dane hain..mashre ka atiya hain...sohbaton ka sabab hain....khayal ki aludgi asbaab dhundti hai...kamzor zehnon ko khojti hai...aur khususan vo tabqa jo mashre ki nazar may haqeer ho..khud ki bartari pesh karne ke junun may apna insaan hona hi faramosh kar jaata hai...so in zehnon ke liye taaza hawa ka jhonka hain ye "social reformers."...inki koshishon may mohabbat hai..mujhe joven ki maujudgi se sukun mila....ek baat taye hai..dil se nikli her baat asar rakhti hai....mujhe ek aur paighaam mila joven ki shakal may...mere qaliq ki atta hi tou hai dil-e-beqarar ko bakhsha qarar ka lamha..meri fikr ko milgaya ek aur israr ka lamha....

Shadathen chaar su...mai hun her jagah....jub bhi tu karega meri arzu....jub talak tere dil may karam ki chah hai..her mod per rehbar ka milega nishaan....tere zabt ki hi hai mujhe justaju...teri hasraton ko rakhunga rawan...hauslon ki rakhunga teri abru...na udas ho mai bekhabar nahi hun kisi amal se....derd ka safar may sada mai rahunga humsafar...jo tere rahbar ki rahguzar, wahin mujh se mulaqat kar..aaj tak ki saari inayeten qadam qadam yaad aane lageen....uski saari nawazishen ankhon ko rula gayeen...jub koi dil ke na qareeb tha...wahi tou tha sada mera wahed habeeb...bimaari-e-dil ka wahi ek ba-kamaal tha tabeeb..saari zindgi,zindgi ki chah ki...zindgi jis se mili jub jaana usey saari duniya ajeeb lagne lagi ..in chahton ke darmyaan usne liye kitne imtihaan....donon jahanon se peshter vo milgaya mujhe ban kar meherbaan..

Vo taqdeeren jo badli jaati hain vo duayen hain Allah walon ki..maine dekhe hain karamati lamhe mere Ghareeb Nawaz ke dildaron ki...unke ishq may dube nekukaron ki...aashiqaan maqbul bargaah-e-khwajgaan....lafz lafz unka rehmat-e-do jahaan....karam ke andaaz ajib sahi per jub miljaate hain,samjh may aate hain..ajab mosam barpa hota hai...dhup kahin hai dil per,kahin ankhon may sawan hota hai...kaifiyet ajib taari hoti hai.....ke ye aag kahaan se aai hai...ye dhuwan sa uthta kya hai.....ye murdani si kyon chaii hai.....kyon shiddat ki tanhaii hai.... jism khaaki hai per rooh tou apni noori hai....noor se uske rooh ka milna zaruri hai....

Rab ne bashar ki taqliq ka maqsad mohabbat kaha....mohabbat noor ke siwa aur kya..khud apne noor per jo ashiq hua...aisa mehbub usne paida kiya....ishq ki khatir jisne kainaat ki niu rakhi...usi ishq ka khud shaida hua...bande ko apna aaina kaha...phir banda insab se hoga kaise juda...jiska aghaz gar ishq hai..uska anjaam mohabbat hi hoga sada.....insaaniyet ki meraaj mohabbat may rakhi....mehbub ki khatir arsh ko farsh tak kardiya....zameen asmaan ke fasle mit gaye...khud mohbbat may samagaya khuda......gharz samjho tou haqeeat mokhtasar...mohabbat insaan may ho insaan hai khoobter....khaali jism bajta hai sada.....mohabbat ka naghma gunjta hai juda...


Saahibul Jamaal jisko kiya...uski sifaton ki misaal kahaan koii de saka...dono aalam ki misaal unse huii....unke jamal may khud jameel khogaya....ye jamaal unki adaon ka hai...ye kamaal unki attaon ka hai..bashar ban kar bashar ki saubaton ko jeene ka sharf apne mehbub ko baksh kar,khaaliq ne raaz-e-bashar insaan ko diya....asaan zindgi kardi sabke waste....mehbub milgaya aur milgaye mohabbat ke raaste...
ke karam ne rakhi laaj sajdon ki
ye sar tha kahaan astane ke qaabil

Dil tak pahunchna deewanon ka kaam hai...ye naat jub ek dil se nikli tou dil ki gehraion tak pahunchi...munjamid saara muvad bah nikla ankhon se....mano goya dil pighal kar bah gaya ho....kaif ki baarishen pinhaan zikr-e-mehbub do jahaan may...ek lafz puri zindgi maangta hai...Ajib kaifiyet se dil guzra jub "Hamad Noor Jarral saheb" ki naat arsh ki sada bani....yon laga...mehafil badal gaii hai..gard-o-pesh may bas ek naat aur naat-khwan ki sada hai aur dil rubaru-e-ishq Mustafa hai....unki awaaz gawah thi unke ishq-e-rasul ki....khudaii thofa hain vo jazbe jo bande ko sharf-e-mohabbat bakhshte hain...jub bhi zikr-e-Mustafa aur samaa-aten raheen....dil per rab ki inayeten raheen...ek moqadas jazba sirf taqadus ka gawah hai....vo haasil raha...un lamhon may zindgi her anaad se paakeza...her gunaah se mubarra thi...vo lamhe javeedaan huye jahaan Mujtuba jalwagar rahe ....vo kaif dil-o-jaan per ab tak taari hai....Mehbub se mohabbat baari baari hai....

Rab tak banda ki soch pahunche bhi tou kaise....Taqleeq-e-RasulaAllah khud mohabbat ki darasgaah hai..paighaam jahaan ka hain paighaam khuda ka hain....bas naam wafa ka hain....Aam jahaan may unki mohabbat hai khaas unka karaam hai....insaan ki behbud ki khaatir haseen misl ban kar aaye maseeha.....khud unme hi khuda ne khud ko kiya zaahir.....badi anokhi misaal hai jo bas be-misaal hai..lazzat-e-mohabbat se behter na duja nasha koii.....gar vo mere mehebub-e-do jahaan ki hai tou phir uski misaal hi na koii....saare tareeq unse hi tou mile jo khud tareeqat hain shariyet hain marifat hain....unki hasti se hi judi hai nasal-e-Adam ki hasti....unhi ke naam se hai baaqi haq-o-imaan ki sarperasti...


Yaad khushbu khayal unka mohtaram sarapa surur noor jamaal unki hasti haseen sohabat ...ek ek khayal per darya mile kaii....per inhen kinara mila nahi....saahilon ki justaju hai ab kise....dubne de mujhe ab ubharna gawara nahi....dil maahi-e-be-aab hua jata hai...jub bhi vo chera nigahon may ubhar aata hai...deed ki hasrat junun banti mohabbat bas ek tadap raat aur din ki kasmaksh kya kahun gar vo milgaye mujh ko...raah-e-karam jub se mili sada dil yehi chaha kiya...jinke her lafz per jhukta raha hai dil mera..vo lafz lafz jo dil per aaj tak sabt hain...meri surkhurii ka lamha mangte hain sada..khudaya meri mohabbat ki laaj rakhna....tere mehbub ke sadqe mujhe surkhuru karna....

Shajar per aaya mosam naya sahi...per jaden qadeem hain.....kal talak be-jaan theen jo shakhen unse phuti hari konplalen yehi keh rahi theen...yaan baqa ka jalwa apni misaal aap hai...ye manzar kehte hain...hum gawah hain mehshar ke manzar ke....insaan ki hasti nafs ki sarparasti...tufaan ki zad may roz amal ki kashti....waqt mokhtasar hai...aur raftar tez-ter hai...aaj kal may dhalgaya safar hone ko hai tamaam....amal chahte hain apne raste apni zameen apna asmaan...uski khushi ki bisaat per paana chahte hain dono jahaan....

Mangna tou chahta hai dil...per jub rubaru rahe manga na gaya...kya mangte kaise mangte kyon mangte....jub raaz samjh may aata hai dil khamosh hojata hai...hasti ka maqsad sirf arzu nahi....mangta bhala kisi ko de sakega kya....sairi hi ghani karti hai...ghani sairaab karta hai....jahaan dil khule hon wahin bheed lagti hai...Dar-e-nawaz per maine dekhi hai ye jadugari...be-kason ki hote dekhi hai charagiri...khamosh sawali paata hai....naale laut aate hain....jahan shor ho waan sargoshiyan kahaan sunaii deti hain....uske liye tou sukut darkaar hai....bas isi sukut ki tayaari hai....wahin tou khazine chupe huye hain...gar unhen paana hai be-gana-e-hasti hojana hai...


Ghareeb Nawaz unhen milte hain jo nawazishon ka matlab jaante hain...unhen nawazne ka matlab ek aur karam ki ibtida hota hai....aur nawazishen jiske moqadar may aati hain vo ye silsila-e-karam badhaye jaata hai...usey jo bhi milta hai bant-ta chala jaata hai..ye daulat-e-rabbani hai....kub akele ko raas aani hai....isey tou her haal may bahuton ke seenon may muntaqal hona hai...ke yehi fermaan kibriyaii hai..yehi buzargon ki maseehaii hai....badi muddaton may bashar raaz paata hai...ek umr ganwa kar maqsud ka maqsad samjh may aata hai...maine Darbaar-e-rehmat ki azmat per nisaar hote dilon may khud ko khote dekha hai...mohabbat ka lutf dene may hai....wahaan vo dil bas dene per mayel hote hain....sawali apne sawal per sach much sherminda hota hai...kya ab mangne ki zarurat baaqi rahi? Moti tou bin mange milgaya hai.jiska taqadus khud gawah hai..khud bayaan hai...

Vo lamhe jo tamam moqadar per muhit hogaye ab talak hairaan hain…..maine wahan mohabbat ko ibadat karte dekha hai…khudrat ko mohabbat karte dekha hai…un mehakti hawaon may duayen hain….charind parind may bhi unki hi adayen hain…fizaon may arzu hai ekjaan hone ki…unki justaju may khud ko khone ki…ajab jazbon ki ragni banta hai dil…inka matlab samjh jaata hai dil..dubta chala jaata hai dil…her lamha shaadmaani hai…lubon per unki hi meherbaani hai..ek dil jo barson apni pyaas per hairaan tha usne paaya aab-e-hayaath ka chasma….vo sairi huii ke dil ab talak masrur hai….us sohbaat-e-khaas per maghrur hai….ke ye mujh ko haasil hogaya hai….dil usko paakar khud kho gaya hai…kaif ki misaal kya dun…us jazb-e-lazawal ko kya kahun….ab jaana ke soz may luzzat kya hai…derd ki talaash may dil kyon mayel rehte hain….ek unki hasrat may kyon ghayel rehte hain….dil ki chahat kya ek unke siwa….dil kya rooh tak hojati hai fida…saaz mohabbat ka ched jaata hai jub rooh ke taar…dil jhoomne lagte hain karte hain jub ishq ka deedar…sabr-o-qarar ka lete hain imtihaan….hijr ki saubaton may jo hote hain neemjaan…unke liye muszda-e-zeest hai ….derd ki had se guzar kar abdi qurbat haasil hoti hai….jinke nasibon may rehmat likhi hoti hai unhen rehbar ki sohbat haasil hoti hai….
 
Vo riyazaten jo umr maangti hain...vo ibadaten jo daur mangti hain...vo mohabbaten jo shaur mangti hain.....kya inse hi milti hai marifat ki gali...khuda ne kaha mai kahan nahi...teri soch may hun mai...tere jism-o -jaan may...tere khayal-e-begumaan may....tu jahaan na pahunch sake us laa-makaan may.....mai kahaan nahi.....na mujhe tujh se kuch chah hai...na arzu koii..teri arzu may bhii mai ,tujhe arzu hai meri raza ki agar....imtihaan sakht hai..magar himmaten bhi mai hi bakhshunga tujhe....hauslon ko tere azmaunga bhi mai....mohabbaten bakhsh kar tujhe tujh se chin le jaunga mai....yehi marhala tujhe mujh tak le aayega....is derd ki dawa mujh se hi tu paayega...gar ghaur kar sake saa-at ek kaafi hai teri...samjh aajayengi tujhe raahen meri...manzil-e-maqsud ki taraf gar badhenge tere qadam..her qadam per tere milega rahbar....tanha tu kahin bhi nahi....asmanon se bhi pehle tu mujhe paayega yehin..
Duniya arzuon ka lapakta shola hai jiski hasrath may insaan khud ku bhula hai...rab ka wasta tujh ko,kuch saansen baaqi hain...waqt rehte inhen rehmat ke qabil karle....khud ko mohabbat ke qabil karle....

Jo gul khwaab they sab tere astaane may they...jo khaar they zeest ke teri mohabbat ne chunn liye...arzuyen sabhi nadim raheen apne aap per..shikayeten apne aap per khafa hone lageen...kuch is tarha badla gaya rukh taqdeer ka...zindgi jaise khwab hai aur duniya khwabgaah....waaqi ek khwab musalsal hi tou hai jiski taabir sada ulti hai...chahe kuch ,dekhe kuch...paaye kuch....jub tak saari kadiyaan mil nahi jaateen sare taar uljhe rehte hain...inko mazeed uljhane wala hi suljhane may madad karta hai...saayel ka haq hai paana....Daata ka karam diye jaana....

Na hindu,na sikh,na esaaii na muslim,yaad ho Adam tou sab hain ek jaan...ye shar ki ekhtra thi,mazhab ke naam badle....dil wahi they samjhne ke andaz badle...ye khaali zehnon ki jaageer hai..haakim khwabon ki tabeer hai....Insaan gar sochta, paata sada tahi-dast lachaar khud ko...ek ek saans per qabiz hai jo,usi ki rehmat ka haasil hain hum....apni merzi na aane may hai na jaane may hai...her taraf uske karam ka hi nazara hai....sab jaanta hai admi....phir bhi baaghi hai behkta hai admi....usey apne dil-o-dimagh ka ghurur hai...jo insaan ko rahmat se mile....Qaadir agar chahta ,bandon ko ye sharf milta nahi....vo janwar jinhen be-zubaan hi rehne diya unme hi shaamil karta humen...magar ek sharf unko bhi mila hai ghaur kar sako tou karo....unme wafa hai...unme saath nibhane ki ada hai...unki misaal sab se juda hai....hum insaan khalifa-e-duniya ban ke aaye...khilafat ke zorr per zameen may kya kya gul khilaye....ashrafon ne sharf apna pehchana nahi...khud ke wajud ka matlab jana nahi....bas saluk se pehle raah-e-gunaah per rakha qadam....shaitaan ki sohbat raas aane lagi her dam....ke usko pasand hai bartari...vo sadion se isi liye bhatka kiya....insaan ki bhatkan usey mehbub hai...qudrat se ladaii usko marghub hai.....ab ye kahaan jung khud se kare...adam ki niyaat kahaan itni jaldi bhare....khahishon ki baad may jo bah gaya....usey her qadam per iblis aad ban kar milgaya....Aaa dekh yehaan tu mehfuz hai....ayesh-gaah-e-tarab meri tujh se hi mansub hai....jo Rab ne radd kiya vo dunga tujhe.....tu jahaan us se milega mai wahin milunga tujhe...her bigdi huii imaarat ke nazdik hun...tere khayalon ka khandar hun tuti hui daheliz hun...mai tere nafs ki jageer hun....mai tere abad tak saath tere rahgir hun....Haan agar tujh may siwa uske koi khahish nahi....phir samjhle waan teri pursish nahi...mai darmyaan qaliq-o-maqluq ke us waqt hota nahi.....jub banda sajdon may khahishon ke liye rota nahi....roye nadim tou rota hun mai....is per qabza mera kyon hota nahi....ek baat tum ko pata hi nahi...kaii naam mazhab ke maine hi rakhe kaii...mai insaan ki taqliq ka mara hua....ek adam ki khatir junnat haara hua....asmanon se gira bihsht se kinara hua....tab se adami ke dil ka chor hun.....jo kamzor dil hain un ka zor hun....gharz bach sako mujh se tou bacho....Raah khuda ki chuno...wahin se hi mai bhi aaya hua....apni ana ka mai sataya hua...mitti ho noor ho naar ho sab uske isharon ki dane hain...koii kisi se barter nahi...ek wahi sab se barter azeem....jo samjhle kehlaye faheem.....

khwaab ho ya khayal ho,hijr ho ya visaal ho
uski khushi pe rakh nazar,apni khushi kabhi na dekh
sajda qabul ho na ho,is se tujhe gharz nahi
ferz ko apne kar,haasil-e-bandgi na dekh
ishq hai asal zindgi,ishq to khud hai bandgi
haasil-e-aashiqi hai kya,haasil-e-aashiqi na dekh

No comments: