Tuesday, December 2, 2008

Ghareeb Nawaaz



Tumhari zaat se hamara bada talluq hai
ke hum gharib bade aur tum bade Gharib Nawaz

Assalam walaikum ashiqaan-e-khwaja-e-khwajgaan

Ghareeb Nawaz ke faiz se ek alam waqif hai, aur unka faiz kisi lafz may sama bhi nahi sakta, gar unka faiz paana ho to unka naam ek baar pure sadaq se le kar dekhein, unki qurbat ke raaste aap hi aap khulne lagte hain, khuda se bande ko milaane ki, unke emaan ko taazgi bakhshne ki raah mohabbat ki dore se khinchti chali aati hai...mohabbat ki daastaan likhne waala khud gawah hota hai in karamaath ka jo manzil ka nishaan hote hain...khuda se mulaqat ki bas ek hi shert hai mere dosto.

apne dilon ko is jazbe se muatter kar liya jaaye jo darbaar-e-khwaja may huma waqt apni mehek se zaayereen ko khud may sametey rakhta hai...ranj-o-ghum ke maare, apne derd se hare huye unke darbaar may her bala se mehfuz hojaate hain....ke ye khudavand ki pasandeeda khankha hai jahaan uske mehbub ka mehbub banda usi ki jalwa aaraiyon say uske bandon ke dil khaira karta hai...

Rab-ul-izzat ne apni hikmat ki zameen mohabbat ko hi banaaya hai...aur mohabbat mazhab ka aaina hai..aur islaam zindagi ke tarz-e-amal ka dusra naam hai....mazhab ke zariye zindagi ko ahsan tareeqe se guzarne ke gur bataaye gaye hain...ek dusre ko khushi ka sabab banaya gaya hai...take bahami mohabbat aur khulus ke zariye rishton ko mazbut kiya jaaye...ranjishon ki koi gunjaish na bache, basharte ke banda khuda ke ahkamaath may chupi hui is khubsurat baat ko samjhe...bas is ke liye dilon ka khula hona zaruri hai....bandh derwazon se aksar awaz laut jaaya karti hai....so mere dosto, apne dilon ka gudaz mehsus karo jo khuda ka pasandeeda jazba hai usey mehsus karo, aur khuda ke mehbub bande namuna-e-amal hote hain ...ye sab se behter bulki khoobter tableegh hai mazhab ki....buniyaad jub mazbut hogi phir imaarath bhi azeem hogi....

Ghareeb Nawaz ne aane waali naslon ke liye khud ko khuda ka paighaam banaya hai jo mehbub-e-khuda ke ishq may rang laaya hai...unke darbaar ki sakunat zayereen ko sakun aur raahat ka matlab samjhaati hai...jo sirf Allah ke pasandeeda bandon ka faiz hai jo aam hota hai....unhi ke dum se zamaane may mohabbat ka naam hota hai...

So dosto, aaiye unki mokhtasar si sanwaneh hayaath se istefada haasil Karen ke khuda ne apne bandon ki khatir apne mehbub bandon ko kin kin azmaishon se guzar kar unke dono jahaan ko kamyaab karne ki raahein sujhaii hain...ye asaan nahi hai ke apne mehbub bandon ko mushkilon se guzarna....Rab-ul-izzat ne apni mohabbat ko esaar ka hi naam diya hai...

 -----------------------------------------------------------------------------------------

 Mere Ghareeb Nawaaz
-------------------------------------------

Khwaja Moinuddin Chishti khurasan mey 14 rajjab ko paida huye.Aap Hussaini Sayed hain.Aap key valid mohatram Hazrath Imaam Hussain Alaihi salam ki aulad may se hain.aur valida mohatrama Hazrath Imaam Hasan Alaihi Salam ki aulad may se hain. Aap ke validain nihayet saaliha aur parhezgaar they.Khwaja Saheb ki paidaish say pahle hi karamaton ka zahoor shuru hogaya tha. Ghar mey barkaton niyamaton key darwaze khul gaye. Dushman dost ban gaye.izzat badhney lagi. Jab se maa ke batan(pate) mey Aap ke jism mey rooh padi us waqt se paidayish tak aadhi raat se subha hone tak "La Ilaha Illalaah" ka zikir karte rahtey.Aap ki paidaish ki raat aap ka ghar noor se bhar gaya tha. Maa ki ghabrahat dekh ghaibi awaz aayi “pareshaan na ho.yeh mera hi noor tha jo my ney tere lakht e jigar (Bete) mey bhar diya hai ‘’

Khwaja Gharib Nawaz 14 saal ke they key aap key valid ka saaya sar sey uth gaya.abhi aap unka gham bhula na paaye they key vaalida bhi rahlat farma gayeen. Khwaja Saheb is besabaat duniya se dil bardashta ho gaye.aur haqeeqhi manzil ki jusaju ne karwat li. Aap ko us waqt aisey bande ki talaash huyi jo bande ko Khuda sey milata hai.....

Ek din aap apne baagh mey darakhton ko paani de rahe they.Hazrath Sheikh Ibrahim Khandozi wahan tashreef laye.jo Khuda key deewane majzoob buzurg they.Khwaja Saheb apna saara kaam chod kar unki khidmat mey haazir huye.un ke dast e mubarak ko bosa dekar chaaoon mey bithaya aur apne baagh ke angur pesh kiya. Aur khud dozanoo (jaise namaz mey baith te hain) hokar baith gaye.Hazrath sheikh khandozi rh ko Khwaja Saheb ka ye andaz e adab pasand aaya.vo samajh gaye ke ye ladka maarifat e ilahi ka mutlaashi hai.. unhon ne ek khalli ka tukda apne daanton se chaba kar Khwaja Ji ke moon mey daala.vo khali ka tukda sharab e maarifat ka jaam tha jise pite hi Khwaja saaheb ki ankhon mey noor hi noor cha gaya.khudi key tamaam parde hat gaye.aur dil mey Khuda ki mohabbat josh marne lagi.jiska nateeja yeh hua ke aap ne apni tamaam jaydad bech kar gharibon mey baant di aur khud maarifat -e-ilahi ki talaash mey nikal padey.is ke liye ilm zaaheri ka haasil karna zaruri tha.aur uske baad amal ki dushvar guzar manzilon ko taye karke ulum e baatini haasil hota hai.jab kahin ja kar jalwaye mehaboob nazar aata hai..

Samar khand aur bukhara un dino azeemusshaan darul ulum ka markaz tha.duniya ke kone kone se tulba(student) aate they.aur ulum o fanoon ke gauhar naayab paate they. Khwaja Saheb ne bhi apne liye isi markaz(Center)ka intikhaab kiya.yehaan unhon ne ulum e zaahiri ki taalim paayi.phir aap murshad kaamil ki talaash mey Baghdad gaye.wahan khasbaye haroon mein Khwaja Usmaan-E-Harooni sey bayeet ka sharf haasil hua.aap bahut pahunche huye peer tareekhat they. Khwaja Usmaan-E-Harooni ki sohabat mey 20 saal ka arsa guzara.apne murshad ki har tarha se khidmat ki aur vo niyamaten paayeen jo bayan se baahar hain.Khwaja Usman-E-Harooni rh muyeenudeen rh ko bahut chahate they.kehte they.”Moinuddin Mehboob-e-haqh hai aur mujhe uspar naaz hai.

Hzrath Khwaja Saheb ne apni umer ke 70 saal riyaazat-o-mujahidaat mey guzarey. Aksar roze rakhtey.aap ki riyaazat ka hi nateeja tha ke aap ki roohaani takhat itni badhi huyi thi ke nazar e kimiya jis par bhi pad jaati vo chashm e zadan(palakh japakne tak) mey zar e khaalis ban jata….

Hazrath Khwaja Saheb ne apne murshad se ijazat lekar makkay e mukarma rawana huye. Wahan aap ki khismat ka sitara chamka.aur mehaboob e haqeeqi meharban hogaya.”aye muyeenudeen mai tujh se raazi hoon. Tu baksh diya gaya.aur jo chahe talab farmale.”khaja saheb khushi-o-mussarat se bekhud ho gaye.phir bhi unhon ne apne liye nahin apne silsile mein aane wale tamaam muridon ki bakhshish ki dua mangi.aur ta khayamat silsilay-e-chishtiya ko khayam rakhne ki dua mangi.aap ki yeh dua usi waqt makhbul hui.chunanche ye silsila Khuda ke karam se ab tak khayam hai.yeh dua khaja saheb ki frakh dili ki missal hai.aap ney itne barson ki kadi riyazat-o-ibadat ka phal apne chahane walon ko baksh diya.jo takhayamat talab garon ko milta rahega.

Aap apne murshad kaamil ke hamrah madiney munavara gaye aur huzur sallam ke rozay-e-mubarak par haazri di.Gharib Nawaz jaante the ke isi barghay- e -azmat se gadaon ko badshahi aur khaksaaron ko sardari milti hai.is dehaliz se nikalne waley khutub aur ghaous ke buland maratib par faayez hote hain.chunanche hazrat khaja rh kaafi arse tak mutavater darood o salam ka tohafa pesh karte rahe. Ek roz aap mussalle par they ke huzur ke roze mubarak se aawaz aayi.” MUYEENUDEEN SANJARI KO BULAO.” Khaja saheb aastana ye mubarak pahunch kar huzur ke deedar se musharaf huye.aur hukum hua.”Aye Moinuddin Tu Hamare Deen Ka Madadgar Hai.Tu Khaas Hamara Hai..Hum Ne Tumhen Vilaayet-E-Hind Atta Ki.Tum Ajmer Jaao Aur Wahaan Se Kufr-O-Zalalat Door Karo..khaja saheb rasul allah ka tohfa lekar rawana huye .raah-e-safar mein jahan bhi jo buzurg milte un se mulakhat ka faiz haasil kiya aur apne murshad ki khidmat mey haazir hokar un se ijaazat li aur ajmer rawana huye....

Khwaja Gharib Nawaz jab Ajmer pahunche us waqt wahan Pirthvi Raj ka raj tha.wahan ke logon ne khaja saheb ki bahut mukhalifat ki.aap ko har tarha se sataya.aap ne Khuda ke karm se har ek mukhalif ka dil badla unki taqdeer badli aur unhein apni narm dili ki wajha se mauf farmaya.aap ki taalim o tableegh se mutasser hokar log islaam mey dakhil hone lage.raja ne ye haal dekh kar apne hindoo jogiyon jaadugaron ko bheja jinhon ne apne saare hurbe khaja rh per aazmaye.laikin baatil haqh ke aage kahan teher sakta tha.sab khaja ki karamat o barkaton se zare huye aur khaja ke haat par toba ki aur islam khubul kiya.un mey jai pal jogi ka khissa mashur hai jo bahut pahuncha hua jaadugar tha aur vo khaja ke halkhe mey daakhil hokar vali ke darje ko pahunchey aur unka naam Abdullah biyabani rakha aapne.aaj bhi abdulla biyabani ka naam bhule bhatkon ko rah dikhata hai.yeh unki karamat hai.
Ajmer mey khaja rh ke khiyam ki muddat 50 baras hai.aap ki khankha ek aisa chasma-e-faiz ban gai jis se harkas o nakas mustafeez hosakta tha.is khankha mey ek waseeh langar khana jaari kiya gaya jiske darwazey har muslim ghair muslim par khule they.

Hazrath Khwaja Moinuddin Chishti rh gharibon ke liye sarasar rahmat-o-shafakhat ka mujasama they. Apne mureedon se aur akhidat mandon se farmate ke darveshon aur gharibon se mohabbat rakho.jo inko dost rakhta hai Khuda usko dost rakhta hai.kabhi koyi aap ko nazar karta to gharibon mey takhseem farma detey.Khwaja Saheb ko apne muridon se bahut mohabbat thi.unhein apne baatini faiz se musafeez karte rahte they.Aap ko rasul e akram se itna bepanha ishq tha ke jahan huzur ka naam aaya aapki aankhein purnam hojati theen.......

4 comments:

Unknown said...

subhanallah from ashiqkhane khaja

Unknown said...

subhanallah and attach more info...

Rehana Chaand said...

Ji insha Allah..koshish rahegi ke jitna bhi ilm khuda ke fazal-o-karam say haasil hoga, aap sab ke rubaru pesh hoga.Aur Ghareeb Nawaz ka faiz khud bol uthega apne ashiqon ki zubaani..

romantic lovers said...

SHUBHAAN ALLAH.......AAMEEN