Sunday, May 13, 2012

sabar-o-tasleem



Khuda ka irshaad hai” apne rab ko us waqt yaad kar jub tu apne aap ko bhul jaaye.”

Zikr dil say burey khayaalaath aur burey fasaayel door kar kay marifat-e-ilaahi aur wihedath visaal may gharq kar deta hai.

Kaamil ki nazar manhus ko masood kardeti hai…nazar karne waale ki nazar may ruhaaniyet ka hokum hota hai.

“Jo tawajah kaamil murshad ki hoti hai vo sotey jaagtey , masti, hoshiyaari, asaani sakhti may rafeeq aur shah-e-rag say nazdeek rehti hai aur dastgiri karti hai.”

Duniya may koi musibat-o-sakhti Allah ki marzi ke baghair nahi aati..Momin ko is baat ka yaqeen hai tou is per ghumgeen ya bad dil hone ki zarurat nahi hai. Bulki her surat Maalik-e-haqeeqi key faisley per raazi rehna chahiye aur kehna chahiye. Is tarha Allah taala Momin ke dil ko sabar-o-tasleem ki raah batla deta hai ,jiskey baad irfaan-o-imaan ki ajib-o-gharib raahen khulti hain aur baatini taraqiyaath aur qalbi kaifiyaat ka darwaza maftooh hota hai.

Yaani jo taklif usney bheji,musibat jo bheji, vo ayeen ilm-o-hikmath say bheji aur wahi jaanta hai key tum may say kaun waqi sabar-o-isteqamat aur tasleem-o-raza ki raah per chala aur kis ka dil kin ahawal-o-kaifiyet ka maurud banney ke laayeq hai, qaabil hai.

No comments: