Monday, May 14, 2012

Allah Ka Irfan





Hazrath Ibn-e-Arabi fermaatey hain,

Allah ek hai sab uske mohtajj hain, koi uska shareek nahi. Vo badshah hai koi uska wazeer nahi. Koi shaye uske ihaata-e-ilm say bahar nahi. Uska deedaar dil say bhi hosakta hai ankhon say bhi. Vo awal bhi hai aakhir bhi. Usney arwaah ko ajsaad ka paband kiya. Apna khalifa banaya aur zameen ki her shaye ko uska mutee kar diya . Allah khalikh hai. Allah hi zaahir hai baatin bhi…vo khair per bhi qudrat rakhta hai aur shar per bhi…banda laakh koi kaam karna chahe laikin jub tak Allah na chahe vo kaam ho hi nahi sakta..

Darasal khalikh nay makhlukh ke andar khud apne aap ko jalwa aara banaya isliye asal may shahud-o-shahid-o-mash-hood ek hai..Allah nay jub apne Jamaal ka jalwa dekhna chaha tou kainaath ko aur phir insaan ko paida kiya. Insaan ko apni siffat may say bahut si siffat atta fermaayeen aur khud apne Jamaal-e-jahaan aara ko mulahiza fermaaya, apni zaat ko siffat ke zariye zaahir kiya..Asmaa-e-Husna insaani sifaat ki buniyaad ban gayeen. Adam-o-Ibn-e-Adam ko zameen per niyabat-e-ilaahi sonp di gaii.. us koi ilm ke lihaaz say farishton per sabaqat di gaii.

Khuda ka aghaaz hai na anjaam. "Hum sab usi say wajud may aaye hain usi may jazb hojaayenge". Isliye awal wahi aakhir wahi. Allah ka irfan do tarha ka hai zaati aur sifaati. Uski zaat ka irfan hawas-e-khamsa say mumkin nahi, sifat ka irfan mumkin hai. Insaan Allah ki siffat ka aaina hai. Khud per qayaas kar ke Allah ki siffat-o-makhulkhaat ko samajh sakta hai.. Allah ka qahaar hona bhi rehmat sa khaali nahi hai.Allah buniyaadi taur per Rehamaan-o-Raeem hai. Uski di huii her saza may ek jaza poshida hoti hai..


Khuda ko samajhne ka sab say acha tareeqa ye hai ke insaan khud apne aap ko samajhne ki koshish kare, jisne khud ko samajh liya vo khuda ko bhi samajh lega. Khuda hi her shaye ki asal hai.

No comments: