Thursday, January 20, 2011

Asfahan


Jub mai New jersey may thi ek din News Paper ke Travel section may ek islamic Article per nazar padi...usmey Asfehaan ka zikr tha..na jaane kyon vo sheher mujhe maqnaates ki tarha khinchne laga...us sheher ko jaanne ki khahish shadeed hoti gai...ek apne-pan ka ehsaas horaha tha..us waqt is ehsaas ka matlab sahi tarha say samajh nahi paai..magar itna zarur yaqeen tha ho na ho koii baat us sheher ki aisi thi jo mujhe apni mohabbat may giraftar kiye jaarahi thi..us sheher say milne ko dil bechain ho utha tha...maine Irfan say kaha bhi,zindgi may gar mauqa mila tou mai Asfehaan jaana chahungi....jaane konsi kadi thi jo dil say mil rahi thi....rooh ko apni ore khinche jaa rahi thi....ye raaz tou rab hi jaanta hai....

Aaj jub maine dekha ke Khorasan ,Asfehaan ( Gharib Nawab ki jaye paidaaish ) ka hi dusra naam hai ,tou phir is mohabbat ki wajah samaj may aane lagi hai...ye ek aise rishte ka sabut thi jo bandh kar kabhi na tutey....ye ek shohra-e-Afaq faiz ki daastaan ka ek aise baab ka shahid hai jo apni misal aap hai...Mai hamesha unke faiz-o-karam ki shahid rahi hun....unke dar say mujhe mila hua nayaab tohfa hai..jo aakhiri saanson tak,aur taa-qayaamat mujh say juda rahega......

Insaan ka baatin uske ache aur bure karamon ka gawaah hota hai, bilkul usi tarha apne her us ehsaas say bhi aagaah hota hai jo uski pehchaan ki raahen faraham karta hai....bilkul yehi hua ....aur mera adhura safar takmil ki raahon per apne raahbar ke saath badhne laga...Aaj bhi jaari hai....

ghum-e-duniya bhi ghum-e-yaar may shaamil kardo
nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon say milen

No comments: