Sunday, January 23, 2011

Nawaazishen Nawaaz ki

Buzargaan-e-Deen ki sohbat khuda ki qurbaat ka samaan hai...vo sarapa aaina-e-haq hote hain..jinmay musaaheb khuda ka dedar kar lete hain...ye jalwa Awliya Akraam ki zindgi ke mushaidey say haasil hota hai..unki zaat ilm ka ek aisa sarchasma hai jis say irfaan-e-ishq-e-ilaahi nasib hojaata hai..Huzur purnor Ghareeb Nawaaz ke qaul tabaruk hain haq ke mutlaashi dilon ke liye....


Khwaja Gharib Nawaz"Zarurato k mutabik zindagi jiyo, Khwahisho k mutabik nahi. Q Ki zarurate fakeer ki bhi puri ho jati hain aur khwahishe to badshaho ki bhi adhuri rah jati hain.."


Khwaja Gharib Nawaz“ Duniya Tumhain Us Waqt Tak Nahi Hara Sakti ,Jab Tak Tum Khud Sy Na Haar Jao ”


Khwaja Gharib Nawaz "Sadqa (charity) jab apne malik ke hath se nikalta hai to Uss waqt 5 jumley kehta hai,


1. Main faani maal tha tu nay mujhe baqa di
2. Main tera dushman tha ab tu nay mujhe apna dost bana liya
3. Aaj say pehlay tu meri hifazat karta tha
ab mein teri hifazat karoun ga
4. Main haqeer tha tu nay mujhe azeem bana diya
5. Pehlay mein tere hath mein tha ab mein khuda ke haath mein hun..!


Khwaja Gharib Nawaz ".Aik Aurat Tandoor Pe Rotian Paka Rahi Thi,Uska Bacha Baar Baar Aag Kay Paas Jata Tha,Woh Bachay Ko Aag Say Door Bitha Deti. Nabi S.A.W Nay Yeh Farmaya Yeh Aisa Kyoun Karti Hay.Sahaaba:Ta’kay Bacha Aag Se Bach Jaey.
Aap S.A.W.Ne Farmaya. Maa Se Bhi 70 Guna Ziada Muhabbat Karnay Wala Allah Hai.
Kyoun Kay Maan Bachay Ko Aag.Say Bachati Hay,Aur Allah Apni Makhlooq Ko Baar Baar Baahaknay Say Bachate Hai.


Khwaja Gharib Nawaz "

Ho k sharminda gunahon se kabhi sir jhuka to sahi,
Wo karega maaf tujhe do ashk baha to sahi
Rahegi chandni qabr me bhi sath tere
Tu uski yad ko dilse zara laga to sahi
Na rahega tu mohtaaj kabhi kisi ka
Aray nadan apne hath utha k daaman phaila to sahi....!


Khwaja Gharib Nawaz"Karabala ko karabla ke Shansha per Naaz hai ,Us Nawase pe Mohammad Mustafa(S.A.W) ko Naaz hai
Yun to Lakhon ne Sajde kiye per,Hussain as ne woh Sajda kiya jis pe Khuda ko Naaz hai…


Khwaja Gharib Nawaz

"ALLAH"Wo hai jo qatrey ko faiz-e-aam kare
"NABI"Wo hai jo khudai ka intzam kare
"KAABA"Wo hai jis ki simt sajda har khas-o-aam kare
"ALI"Wo hai jisay kaba khud salam kare
"FATIMA"Wo hai jis ka Nabi khade ho kar Ehtram kare
"HASAN"Wo hai ke Allah jannat jis ke naam kare
"HUSAIN"Wo hai jo sar kata kar bhi naize par kalam kare
"ABBAS"Wo hai jisay wafa khud salam kare
"MOMIN"Wo hai jo is Zikr Ko Aam kare .........


Khwaja Gharib Nawaz "Wo bakhshta hay gunah e azeem bi lekin,humari choti si neki sanbhal rakhta hay,

hum usay bhool jatey hain roshni me,wo tareeki mein bhi khyal rakhta hay,

jo kabhi dair se lotun to meri maa ki tarah,wo meray rizq ka hissa nikaal rakhta hay,

gharo me jin k diya bhi nhi un k lie,fiza me chaand sitary uchal rakhta hay,

mohabat apne bandon se kamal rakhta hay,Sohna RUB hay humara sohni shaan rakhta hai.


Khwaja Gharib Nawaz ‎"The word "shams" (sun) is feminine, and "qamar" (moon) is masculine. The sun burns itself out to give light and life to everything around, and the moon is muneer, meaning it reflects the light. Within itself it has no light; it radiates the brilliance of the sun. So when we shine as mens, the implication is that we are reflecting the glorious light of our womens. May Allah Subhanahu wa Ta'ala be pleased with them."


7 comments:

CHISTIYAMEHFIL said...

As-Salamu-Alai-Kum....

Bahot Accha Laga Apke Blogs Padhker!

Khushi Hoti Hai Ke Aap APNE Ander Thaate Marta HUA ILM Ka SAMANDER Rakhti Hain!

Rehana Chaand said...

walaikum Assalam mehafil...

ye ilm unhi ka sadqa hai jinki nazar hum per padhi aur humen kapne rubaru kar gaii...

CHISTIYAMEHFIL said...

As-Salamu-Alai-Kum....

Aapne Is Blog Me "GARIB NAWAZ" Ka Ek Qaul Nakl Kiya:

"KAABA"
Wo Hai Jise SAJDA Har Khaas-O-Aam Kare!

Par Qaul Kuch Is TARAH Ka Hai:

"KAABA"
Wo Hai Jis SIMT SAJDA Har Khaas-O-Aam Kare!

Shukkriyaaaa....!

Rehana Chaand said...

walaikum Assalam janab

ji qaul ki durustgi say behter fale ki barjastagi may walehana pan chupa hai...waise simten tou bhatkon ko raah raast per laane ke liye unhen markaz-e-khayaal say milaane ke liye muqarar huyeen...warna vo tou her simt maujud hai...jahaan aapne sar ko jhuka diya wahin vo mil gaya...

Chishtiya

Rehana Chaand said...

sorry...sahi kaha aapne...simt ka nukta maayne rakhta hai..warna pathron ki bisath kya..khuda kahaan kisi cubical structure may samaana waala..uski zaat tou wasee-o-bekaraan hai..vo lafz lafz moqadas-o-qaabil-e-taazeem hogaya jo Mehbub ki zubaan say ada hogaya..

chishtiya

CHISTIYAMEHFIL said...

Blog Ke Is Kaul KO Aaap Edit Kar Lijiye

Shukriyaaa.......

Rehana Chaand said...

ji.....