Wednesday, November 4, 2009

Aqwaal-e-Zarreen

Logon ki zarorton ka tum say wabasta hona tum par ALLAH ki inayat hai.
(Hazrat Imam Hussain
)
----------------------------------
Gunah kisi na kisi surat me dil ko pareshan rakhta hai.(Hazrat Usman
)
----------------------------------
Ustaad ki maar baap k pyaar se achi hai
[ HAZRAT LUQMAN
]

Chand ke baghair raat bekaar hai, aur ilm k baghair zehan.
[HAZRAT ABU BAKAR
]

Jo tujhey teri khamiyaan bataye wo tera dost hai.
[HAZRAT UMER
]

Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho.
[HAZRAT ALI
]
----------------------------------
Gunah tumhen itna nuqsan nahi puhncha sakta jitna k Musalman ko khwar karna or be-izzati karna.
(Khwaja Gharib Nawaz Rahmat Ullah Alaih)
----------------------------------
Tumhain us din par rona chahiye jo tum ne neki ke baghair guzar dia.
(Hazrat Abu Bakar Siddiq
)
----------------------------------
Paighame-Khuwaja
---------------------------
Gunah karne se Itna Nuqsan Nahi Hota Jitna Apnay kisi Bhai ko Haqeer ya Zaleel Samjhne se Hota hai.
(Maktobat Ghareeb Nawaz)
----------------------------------
4 cheezon ki 4 jaga hifazat karna

1.Mehfil main zuban ki
2.Bazaar main ankh ki
3.Namaz main dil ki
4.Dastar-khuwan per pait ki
HAZRAT UMAR FAROOQ
----------------------------------
Apne ilm pe amal na karna, niyamton pe shukr na karna or gunahon se tauba na karne se bhalai ka darwaza band hojata hai.
(Yahya Bin Muaz
)
----------------------------------
Log Bimari k khauf se Khana to chor detey hain,
Magar Allah ke khauf se Gunah karna nahi chorte.

(Hazrat Ghaus Ul Azam Rahmat Ullahi Alaih)
----------------------------------
Deen Sarapa Adab hai, Jo iska Lihaz na Rkhe Wo Bad-Naseb hai.

Intiqam ki Taqat rakhtey Howay Ghussy ko pijana Afzal Tareen Jihad hai.
IMAM JAFFER SADIQ

----------------------------------
"Rozana kuch waqt apni Maa ke sath guzara karo,
Quon Ke,
Kal qayamat k roz ye waqt tumhari maghfirat ka zarya ban jayega.

"IMAM HUSSAIN
)
----------------------------------
Insan ki tamam pareshanian 2 wajohat ki waja se hain.
1. Taqdeer se zyada chahta hai.
2. Aur waqt se pehlay chahta hai.

(Imam Ghazali)
----------------------------------
Momin Woh nahi Jis ki Mehfil Pak ho,
balke Momin Woh hai Jis ki Tanhai Pak ho.

(Hazrat Imaam Hussain
)
----------------------------------
Bhookay ko Khaana khelana Hajat Ravai karna, Dushman ko Maaf karna Achy Nafs ki Zeenat hai.

(Hazrat Khawaja Moeen u Deen Rahmat u Allha)
----------------------------------
Bara khatakar woh hai jis ko logon ki buraiyon ka zikr karne ki faraghat mili ho.
Hazrat Usman Ghani )
----------------------------------
Hazrat Fatima (RA) Ne farmaya ke mojhe dunya mein 3 cheezen pasand hain.

1) jis qadar mumkin ho ibadat karna
2) gunahon se nadim ho kar rona
3) fiqr-o-faqa mein sabar karna

book Tazkira-ul-waezin
----------------------------------
Zilat Ke Zindgi Say Maut Bahter Hai.

Immam Hussain )
----------------------------------
Ager Tum Chatay Ho Kay Log Tumhari Tareef Karen To Naik Kam Karo.

Immaam Hussain
)
----------------------------------
"Jab banda gunah kar ke tuba karta hai tu is say Qurb-e-ILAHI barhta hai aur isi tarah baar baar tauba karny say qurbat barhti jaati hai"

----------------------------------
"Duniya ka Gham Dil mein Andheera Aur
Aakhirat ki Fikar Dil mein Noor Paida karti hay".
Hazrat USMAN E GHANI
----------------------------------
Logon se bewaja behas mat kia kro Qyon Ke tumhari izat khatam hojayegi ,aur ziyada mazaq mat kia karo Qyon Ke logo ko tumse baat karne ki jurat paida hojayegi.

(HAZRAT IMAM HUSSAIN
)
----------------------------------
Farman-e-Syedena Abu Bakar Siddiq
:

"Neki ke kaamon main taakhir na karo kiyun ke Maut tumhari ghaat main lagi hui hai"

Dawat-e-Amal Islamic Forum
----------------------------------
Agar to gunah par aamada hai,to koi aisa maqam talaash kar,jahan Allah na ho"
* Hazrat Usman Ghani
*
----------------------------------
Jis par naseehat asar na karay,woh jaan lay ke mera dil imaan sy khaali hai"
* Hazrat Abo-Bakar Siddiq *
----------------------------------
"Khaliq kay saath adab ka dawaa ghalat hai,jab tak,tu makhlooq kay adab ka khayaal na rakhay"

* Hazrat Abd-ul-Qadir Jeelani rahmatulla aleh*
----------------------------------
"Jab tak tera itraana aur ghusa karna baaqi hai,apnay aap ko ehl-e-ilm may shumaar na kar
"
* Hazrat Abd-ul-Qadir Jeelani rahmatulla aleh*
----------------------------------
"AGAR TUMHAIN EK DOSRY KI NIYATON KA ILM HOTA TO TUM EK DOSRaY KO DAFAN BHI NA KARTY."

FARMAN-E-IMAM HUSSAIN
----------------------------------
Yaad Rakho Ke Sachai Amanat Hai,
Aur Jhot Khyanat.

Jo Qaum Allah Ki Raah Main Jahad Karna Chorh Deti Hai,Aur Jis Qaum Main Be-Hayai Phail Jaati Hai Us Par Allah ka Azab Nazill Hota Hai.
Hazrat Abu Bakar
----------------------------------
Teen Chizain Jis Shakhs Main Hongi Us Ko Nuqsan Dain Gee,
1 : Nafarmani
2 : Ahad Shikni
3 : Makar-O-Fareb
HAZRAT ABU BAKAR SIDIQ
----------------------------------
Insaan Duniya Ki Masrufiyat Mein Mashghool Hota Hai.aur Usay Pata Bhi Nahi Hota Ke, Jis Kapray Se Oska Kafan Ban'na Hai; Wo Bazar Mein Aa chuka Hai.

Imam Ghazali
----------------------------------
HAZRAT USMAN-E-GHANI
Ne Farmaaya:

Jo Shakhs Tumhaari Nigaahon Se Tumhaari Zaroorat Ko Nahin Samajh Sakta, Usay Kuchh Keh Kar Khud Ko Sharminda Na Karo.
----------------------------------
Hazrat Suleman
Ka Qaul Hai,

"Ke Jis Shakhs Ne Apne Nafs Par Qabu Paya,
Wo Us Shakhs Say Zyada Taqatwar Hai
Jo Akela Aik Shehar Ko Fatah Kar Leta Hai."
----------------------------------
"Sab Se Behter Wo Shaks Hai
Jo Aise Logo'n Se Acha Sulook kare
jin Se Usay Koi Umeed Na Ho ..."

Hazrat Imam Hussain
----------------------------------
Aqwal-e-Imam Jaffar Sadiq

1- Deen Sarapa Adab Hai Jo Is Ka Lihaaz Na Rakhe Wo bad-Naseeb Hai.
2 - Intiqam Ki Taqat Rakhte Huey,
Ghussey Ko Pee Jana
Afzal Tareen Jihaad Hai.
----------------------------------
"Us Shaks Per Zulm Kerne Se Mohtaat Raha Karo
Jis Ka ALLAH K Siwa Koi Na Ho .."

Hazrat IMAM HUSSAIN
----------------------------------
Tanha Shaks Mehfooz Hai.
Har Gunah Ki Takmeel Do Afraad Se Hoti Hai.
(Shekh Abdul Kadir Jelani

----------------------------------
Logo'n Se Bewaja "Behas" Mat Karo
Tumhari "Aabru" Khatam Ho Jayegi
Aur Ziada "Mazaq" Na Karo,
Qyon ke Logo'n Mein Tum Se Baat
Karne Ki "Jur'at" Peida Ho Jayegi.

Imam Hussain
----------------------------------

FArmaanN-E-Alahazrath(aleh rehma)

"Jo kisi qoum k tariqay par chala wo unhe mai say hai.."
(Fatawa e Razawia vol-21 pg-120)
----------------------------------
"Insan ko jin kamo say roka jaaye un ke karny ki wo hiris rakta hai"

(FATAWA E RAZAWIA V-24)
FARAMEEN E AALHAZRAT (aleh rehma)
----------------------------------
Wo Shaksh Kis Tarha Takabur Kar Sakta Hai,
Jo Mitti Se Bana Ho,
Mitti Me Milne Wala Ho Or Mitti Me Keere
Makore Ki Gizah Ban'ne Wala Ho.
(HAZRAT ABU'BAKAR )
----------------------------------
"Tum me Se koi B Dusre muslman ko Haqeer Khayal na kare Is liye k ALLAH k Haan Chote Musalman ka Rutba bhi bada hai"
(Hzrt Abu Bakar Siddiq
)
----------------------------------
Imam Jaffer-E-Sadiq
Farmatay Hain K,

Dua Ka Tareeqa Yeh Hai K
"Pehlay KHUDA Ki Humd-O-Tareef Karo
Phir Gunahoon Ka Iqrar Karo
Aur Phir Apni Hajat Talab Karo"
----------------------------------
"Log Tung-dasti Se Jitna Dartey Hain
Agr DOZAKH Se Dare'n Tou Dono' Se Bach
Jaye'n.
Maal Se Jtni Mohabbat Kartay Hain Agr Jannat Se
Kare'n Tou Dono' Pa Len"

Imam Ghazali
----------------------------------
"Fatah"Umeed Say Nahi Ilm Aur KHUDA Par Aitmaad Say Haasil Hoti Hai ...
Hazrat UMAR
----------------------------------
Dunya Ko Apni sawari Jano...!
Agar Tum Is Per Sawar Rahe Tou Ye
Tumhe'n Manzil Tak Le Jaye Gi
Aur Agar Tum Ne Isey Khud Per Sawar Ker
Lia,Tou Tumharey Liye Zillat-o-Halakat Hai...
~ Hazrat Hassan Basri ~
----------------------------------
ALLAH Ka Zikr Kia Karo ke Is Main "SHIFA" Hy
Aur
Logo'n k Aeb Bayan Na Karo ke Is Main "BEEMARI" Hai.
HAZRAT UMAR
----------------------------------
Hazrat UMAR
Nay Farmaya : " Mohtaji aur Ghurbat 6 cheezon ki Waja se Aati hai ... Jaldi Jaldi Namaz Parhne se ,Kharey Ho kar Rafa Hajat karne Se, Khare Ho kar Pani Peene Se ,Mooh Se Chiragh Bujhanay Se, Dannt Se Nakhoon Kaatne Se, Daaman ya Asteen Se Mooh Saaf Karne Se
----------------------------------


No comments: