Thursday, June 11, 2009

Islam may Allah walon ka Mukham


Islam may Allah walon ka Mukham
-------------------------------------------
Sacchi talab jo khudrat ki zameen par ugti hai vo khud paaney hi ka ek aaghaz hota hai. Ek aadmi kay andar sacchi talab ka jaagna aalam e zaher kay peechey aalam e baatan ko dekhne ki koshish karna hai.yeh talaash jab yaft kay marhaley par pahunchti hai to vo imaan bilghaib ban jaati hai.
Vo khoj jo zindagi kay hangamon kay aagey uska aakhri anjam malum karney ki surat may kisi kay andar ubharti hai vo aakhirat par yakheen ki surat may apney sawal ka jawab paleti hai.
Jo loug haqh ko paaletey hain vo har khisam ki nafsiyati grahon say azad hojatey hain.isliye sacchayi jahan bhi ho aur jis bandaye Khuda ki zuban say uska elaan kiya jaaraha ho vo usko fauran pehchan letey hain aur uspar “labbaik” kahtey hain. Haqh ko wahi paasakta hai jo uska dhundney wala hai. Khuda unhein milta hai jo paak tainiyat kay hon.
Ummat-e-mohammadiya may “Auliya” allah kay pasandida hotey hain.wali vo hota hai jisko Allah ummat ki falah kay liye mukharar karkey unpar apni khaas inayet farmata hai. Har zamaney may Allah walon ney apne akhlaqh o kirdar, amal o seerat say mutlashiyan haqh ko rishtaye akhlas may piroya.khud itbay e rasul ka amli namuna bankar khareeb aaney walon ko hubb e rasul ki saaf ,seedhi aur paak rahen sujhayeen.

Auliya e azzam ki dargahen wajahe itihad aur sabab-e-sukun hoti hain.in khankha nasheenon nay islam ki ilmi, akhlakhi aur tahazeebi ekhtedar ki hamesha hifazat ki hai. Aur aadey waqton may musalmanon ki sahi rahnumayi ki hai.khuran ki gehrayion may utarney waley aur Allah kay khaas yehi allah waley hain jo ahaley khuran hain.

Jab bhi auliya akram say mulakhat ho to usey Allah kareem ki khaas inayet o tauajoh samajh kar khush hona chahiye kay yeh vo fard e haqeeqhi hain jinkey sohabbat badbakhti door karti hai.aur Khuda say khareeb karti hai.

Zaheeri inki hasti hai khud shariyat hai tarikhat hai
Samajhna maurifat hai janna iska haqeeqat haI…

No comments: