Tuesday, April 14, 2009

Kashaf-o-Namud



Hazrath Ali Hajveri rahmatullaalahi fermaate hain…jub kisi shaks ko haq ki taraf se kashaf-o-namud ho aur vo qawiul haal hone ke ilawa saaheb-e-qalam bhi ho tou Allah Taala ka fazal uske saath shaamil hojaata hai.aur vo baaten aise andaz may bayan karta chala jaata hai ke khud usey apni tahreer per tajub hone lagta hai..

Aalam ki fiza pooch mehroom-e-tamanna se
Baitha hua duniya may uth jaaye duniya se

------------------------------------------------------------------------
Khird mandi huii zanjeer warna
Guzarti khoob thi deewanapan may

Sehar qahar-e-ilaahi ka natija hai aur karamat raza-e-khudavandi ka qareena hai. Karamat ka zaahar kardena kamaal marifat hai..aur sehar ka zaahar karna kamaal kufar hai.

Khahish-e-nafs ko sachai aur sadaqat muwafiq nahi.aur vo tou musalsal inheraf ke tareeqe dhudnti rehti hai.taake usi may uljhe rehne ka mauqa muyesar aajaaye.

Zarre may dasht qatre may darya chupi rahe
Daala meri nigaah ne perda kahaan kahaan

Hazrath Ibrahim bin Ahamadul-khwas raziAllahuanahu fermaate hain,

Ilm saare ka saara do kalmon may jamaa hai.

1, ek tou ye ke jis baat ka andesha Allah Taala ne tere dil se door kardiya hai uske baare may taradudh na kar.

2,dusri ye ke jo cheez karne ki hai aur tujh per ferz kardi gaii hai usey zaaya na hone de.taake tu duniya aur aakhirat may ahal-e-taufeeq may shaamil rahe.

Murad is se ye hai ke qismat ke baare may taradud-o-pareshaani ki zarurat nahi hoti.kyonke tera takaluf-o-taradud noshta-e-qismat ko badal nahi sakta.aur amar-e-maruf ki baja-awari may taqseer nahi honi chahiye.kyonke tark-e-hukum tujhe azaab may mubtila kardega..

Ek martaba logon ne un se poocha-ajaybaat may se aapne kya dekha.

Aapne kaha ke ajayebaat tou bahetere dekhe laikin is se badh kar ajib baat nahi dekhi jo mujh se serzad huii thi.Hazrath Khizar Alhisaalam ne mujhe apni sohbat may rehne ki dawat di aur maine vo qabul nahi ki.

Logon ne kaha aapne aisa kyon kiya-kaha ke isliye nahi ke mujhe un se behter rafeeq ki talaash thi.bulke ye khayal ghalib tha ke is surat may Allah Taala ke ilawa goya unper bhi etmaad karna padega.aur yon tou phir unki sohbat mere sarma-e-tawakal ke zyaan ka baayes hogi.aur ye tou aise hi hai jaise koi nawafel ke badle ferz ko tark karde.

Meri nigahon ne jhuk jhuk kar kardiye sajde
Jahaan jahaan se taqaza-e-husn-e-yaar hua

No comments: