Monday, March 9, 2009

Tahseel-e-ilm


Mohammed Bin Fazalulbalkhi Raziallahuanahu
-------------------------------------------------------
Jub hum kehte hain ke “ La ilaaha illallah” Allah ke siwa koii maabud nahi..tou yeh haqeeqat hai aur jub ye kehte hain ke “Mohammed RasulAllah” yaane Mohammed Allah ke Rasul hain tou yeh shariyet hai..

Haqeeqat shariyet ki asal hai aur shariyet darasal haqeeqat ki faraa hai..jaise ke marifat isi haqeeqat se aagahi ka naam hai.aur amar maroof ko qabul karke usper amal paira hona shariyet hai..

Chahe shikast-e-jahal tou tahseel-e-ilm paida kar
Wabasta ye tilsm hai looh-e-kitaab ka

Banda kathin manzilen taye karke Harm-e-kaaba may is khayal se pahunchna chahta hai ke wahaan usey Allah taala ke Nabion ke asaar dikhaii dete hain.aakhir vo apne nafs ke sehra aur hiris-o-laalach ke darya ko abur kyon nahi kar leta.taake vo apne dil tak rasaai haasil karle.ke isme khud Allah Taala ke aasaar usey mil jayenge.

Yaane zyada buzargwaar tou dil hai jo Allah Taala ki marifat ka mahal hai.banisbat kaaba ke jo mahaz ek simt ki taraf nishandahi karta hai..yaane sirf ibaadat-e-ilaahi ki jahat hai..kaaba tou vo moqaam hai ke jasper bande ki nazar hamesha jami rehti hai.aur dil vo moqaam hai ke khud nazar-e-Haq usper hamesha padhti rehti hai.pas jahan dil hai wahaan Dost hai.aur jahan us Dost ka hokum hai wahin muraad hai.
------------------------------------------------------------------------------------------

Rasul vo hai jo mukhatibain ko shariyet-e-jadeeda pahuncha de.
Nabi vo hai jo saaheb-e-wahi ho,khaw shariyet-e- jadeeda ki tabligh kare ya shariyet-e-qadima ki.

-----------------------------------------------------------------------------------------------

Samnun Bin Abdullah Alkhwas Raziallahunahu
--------------------------------------------------------------
kisi cheez ki tabir karne ke liye kisi aisi chez ka zikr karna padhta hai jo awaluzikr se nazuk-tar ho,tou phir mohabbat ki taabir kyonkar ki jasakti hai ,jis se badh kar nazuk chez koi hai hi nahi..aur matlab iska yeh hai ke ibaarat izhaar-e-mohabbat ki mutmahal ho hi nahi sakti,isliye ke ibaarat tou ibaarat-nigar ki sifat hai,jub ke mohabbat mehbub ki sifat hai,pas ibaarat aur alfaaz ke zariye mohabbat ki haqeeqat ka shaoor haasil nahi kiya jaasakta,kyonke isey tou mehsus kiya jaasakta hai bayaan nahi kiya jasakta .aur asal haqeeqat tou Alah hi jaanta hai.

No comments: