Wednesday, February 27, 2013

Roohani Irteqa






Namaz Roza aur tamaam aqsaam ki ibadaat may tou insan mahaz banda-o-ghulam hota hai. Magar tableegh-e-Deen aur aqamat-e-Deen ki jadojahad may bande ko Khuda ki rifaqat-o-madadgaari ka sharf haasil hota hai jo is duniya may roohaani irteqa ka sab say ooncha martaba hai.

Fazal-o-Sharf Allah ke ekhtiyar may hai jise chahe atta fermaaye. Vo wasee-un-nazar hai aur sab kuch jaanta hai. Apni rahmat ke liye jis ko chahta hai muntakhab kar leta hai aur uska fazal sab say bada hai. Yaane Allah ko maalum hai ke kaun fazal-o-sharf ka mustahaq hai.

Insaan ki tawaqaat aur ummidon ko us ki kasoti per parakhne ke baad hi taabir nasib hoti hai ,taaki insan ko is baat ka ehsaas ho ke amal ka aaina hai zindgi...khuda per isi yaqeen ka naam hai bandagi.Banda asanian talab karte waqt ye bhul jaata hai ke khuda ne apne Mehbub ki mushkilon may jo misal qaayem ki thi unki haqeeqat kya hai. Gar efa-e-Mohabbat itni asan hoti phir na bande ki mushkilon may jaan hoti...Her phal apni nashonuma ka haq talab karta hai...koi bhi beej baghair kisi koshish ke shajar may tabdeel nahi hosakta..Aur koi shajar baghair kisi sayee ke khud ko buland-o-baala nahi kar paata.So sawab paane say pehle kaar-e-sawab ki ahamiyet apni jagah thos haqeeqat rakhti hai.

Sawab ke maayne hain natija-e-amal .Sawab-e-duniya say murad vo fawayed-o-munafe hain jo insan ko uski sayee-o-amal ke natije may isi duniya ki zindgi may haasil ho. Aur sawab-e-aakhirat say murad vo fawayed-o-munafe hain jo is sayee-o-amal ke natije may akhirat ki paayedar zindgi may haasil honge.

Taalib-e-haq ki awal faham durust hoti hai. Ye baseerat hai. Phir vo ahkaam qabul karta hai ye hidayet hai. Phir hidayet ka samra qurb-o-qabul inaayet hota hai. ye rahmat hai.

No comments: