Tuesday, October 25, 2011

Mohabbat-Haqeeqat-Shareeyat




zarrey may dasht qatre may darya chupi rahe
daala meri nigaah ne perda kahaan kahaan

Kisi cheez ki taabeer ka ke liye kisi aisi cheez ka zikr karna padta hai jo awal-uz-zikr say nazuk-tar ho.tou phir mohabbat ki taabir kyon kar ki jaa sakti hai jis say badh kar koi naazuk cheez hai hi nahi.aur matlab uska ye hai ke ibarath izhaar-e-mohabbat ki mutmahal ho hi nahi sakti is liye ke ibarat ko ibarat nigar ki siffat haasil hai,jub ke "mohabat mehbub ki siffat hai ".

Aur alfaaz ke zariye mohabbat ki haqeeqat ka shaoor haasil nahi kiya jaa sakta, kyon ke isey tou mehsus kiya jaa sakta hai, bayaan nahi kiya jaa sakta, aur asal haqeeqat tou srf Allah hi jaanta hai.Ya Allah.

jub hum kehtey hain ke la ilaaha illaallahu' tou ye haqeeqat hai " Allah ke siwa koii mabud hai hi nahi".phir jub ye kehte hain ke " Mohammed RasulAllah" yaane Mohammad sallam Allah ke Rasul hain  tou ye shariyeth hai.

Haqeeqat shariyath ki asal hai aur shareeyath haqeeqat ki fara hai. jaise ke maarifath khud is haqeeqat say aagahi ka naam hai aur amar maaruf ko qabul kar ke is per amal paira hona shariyeth hai.

Tauheed khaalis aisi cheez hai jiski badaulat kamaalaath-e-nafsaaniya-o-badniya-o-maaliya paida hojaate hain.

Rasul vo hai jo mukhatibain ko shariyet-e-jadeeda pahuncha de, Aur Nabi vo hai jo Saaheb-e-wahi ho, khwah shariyet-e-jadeeda ki tableegh kare ya shareet-e-qadeema ki.

Banda kaii manzilen taaye kar ke harm-e-kaaba may is khayaal say pahunchna chahta hai ke wahaan usey Allah Taala ke nabiyon ke aasar dikhaii dete hain. Aakhir vo apne nafs ke sehra aur hiris-o-laaluch ke darya ko abur kyon nahi kar leta taake vo apne dil tak rasaii haasil karle,ke us may khud Allah Taala ke aasaar usey mil jaayenge.

Yaane zyaada buzargawar tou dil hai jo Allah taala ki maarifat ka mahal hai. ba nisbat kaaba ke jo mahaz ek simt ki nishaan dahi karta hai yaani sirf ibaadat-e-ilaahi ki jahat hai. kaaba tou vo moqaam hai ke jis per bande ki nazar hamesha jami rehti hai aur dil vo moqaam hai jis per khud nazar-e-haq hamesha padhti rehti hai.

"Pas jahaan jahaan mera dil hai wahin mera Dost hai". Aur jahaan us Dost ka hukum hai wahin meri muraad hai aur jahaan Anbiya ke aasaar hain wahaan mere Doston ka Kaaba hai.

("Mohammad bin Fazal-ul-Balkhi razi Allahu anahu").

mujh may rahe vo par na mai samjha kahaan rahe
qaalib may reh ke rooh ki surat nihaan rahe

No comments: